123 ki series

Upload: hamza-ali

Post on 17-Jul-2015

344 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Bachpan main hum Tarzan ki kahanian parhtay thay to humain yaqeen hota tha kay tarzan zaroor jungle main hota hoga aur aisa hota hoga waisa hota ho ga , matlab ideal sa lagta tha magar jab hosh sambhala to yeh sab jhoot laga aur phir khud per hi hansi aati thi

bilkul usi tarha school college main hamain islamic history parhai jati to bilkul tarzan ki tarha hazrat umar ki baatein likhi jati thi kay aisay bahadur thay waisay bahadur thay to woh mujhay aur shayad har bachay ko hero nazar anay lag gaye lakin jab maine authentic history parhni shuru ki to kab hazrat umar hero say zero hogaye ya shayed us say bhi neechay mujhe pata hi nahi chala

ab maine jo research ki woh main baki sab doston ko bhi batana chahta hoon takay aap bhi is jaal say nikal sako.

Jee to humne books main parha kay Hazrat umar bohat bahadur thay aur jab woh islam laye to musalman bohat khush huay aur kafir dar gaye to kiya waqai aisa tha ??

HAZRAT UMAR ISLAM KAISAY LAYE

aiye sahih bukhari say poochtay hain

sahih al bukhari main hai kay jab hazrat umar islam laye to darr ki wajah say ghar main chupay bethay thay , phir unka aik kafir dost aya to poocha kay tum yahan kyun bethay ho to hazrat umar nay kaha kay mujhay kafir maar dalainge to usne kaha kay umar meri panah main hai to hazrat umar ko phir hosla hua kay woh wahan say bahar nikal aai.

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0044.gif

HAZRAT UMAR KI MAIDAAN E JANG MAIN FATOOHAT

continue

Uske baad maine socha hosakta hai kay us waqt dil kamzoor hogaya hoo magar baad main bahaduri dikhai ho khair Uske baad jang e Badar ka waqiya hua to us main bhi hazrat umar ki koi bahaduri nazar nahi ati

haan yeh hai kay 123 khulfa main say aap bahadur hi nikalay

aapne mamoo ko hi sahi lakin aik kafir maara to sahi jab kay hazrat usman ka to naam hi nahi hai jab kay hazrat abu bakar ki bahaduri ka sirf aik waqiya mojood hai Seerat Ul Nabi aur tareekh Ibne Hashaam mein , hazrat abu bakr nay talwar uthai aur apnay kafir betay ko jo kafiron kay saath tha lalkara to main samjha kay abhi kahain gay kay kafir hai aur aik musalman baap ka yeh farz hai kay woh islam ki khatir apnay kafir betay ko jahannum wasil karde magar hazrat abu bakar ki baat parh kar pehlay to mujhe hairangi hui aur phir mujhay itni hansi aai kay sanbhalna mushkil ho gaya

hazrat abu bakar nay apnay beta say jang main kaha Oye Khabis! Mera Maal Kahan Hai ??

Matlab islam aur kufr ki jang main hazrat abu bakar ko islam ki parwah nahi thi magar maal ziada aziz tha , khair baat ho rahi thi hazrat umar ki to janab hazrat umar nay apnay mamoo ko maar to diya magar baad main unko bohat say kafiron ko safaiyan deni par gain aur shayad isi wajah se unhon ne kisi jang main larnay say tobah kerli kay na laronga na koi kafir qatal hoga aur na hi safai deni parhegi

khair jang kay baad hazrat umar nay saeed bin alaas ko kaha kay tum mujhse naraz ho to main clear kar doon kay maine tumharay baap ko nahi mara balke apnay mamoo alaas bin hashaam ko mara hai aur jang main main nay dekha kay tumhara baap aik biphray janwar ki tarha tha to main to us say katra gaya aur us ko Ali nay mara

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0012-2.gif

Khair yahan hazrat abu bakr 123 main bahadur niklay aur hazrat usman yahan bhi 3rd no. per aaye shayed 3 unka lucky no.tha isi liye ziada kaam 3 se hi hotay thay 3rd caliph banay badar main bhi 123 main 3rd no. par aaye , ohad main bhi 3rd no. per aaye aur aisay bhagay kay 3 din baad wapsi hui.isn't that strange :-)

kyunki yahan hazrat abu bakr aur usman ki bahaduri ka tazkira gaya to yahan main ahle sunnat ki motbar kitab jahan jang e ohad kay waqiyaat naqal huay unme sahae satta hi ki kitab sunan abu dawood ki musnad ka hawala pesh kar raha hoon aur Al Asabat Tameez Al Sahaba jo ek mashoor kitab hai sahaba ikram per usmay say hazrat usman kay 3 din baad anay wala waqiya pesh kar raha hoon

musnad abu dawood jahan Hazrat Ayesha Say Mervi Hai Kay Hazrat Abu Bakr Nay Farmaya Jab Jang E Uhud Main Loog Rasool Allah S.A.W Ko Chor Kar Mutfariq Hogaye To Un May Say Sabse Pehlay Main Rasool S.A.W Ki Khidmat Main Wapas Aya

kyunki sabsay pehle aye isliye 123 main bahadur nikle

http://imageshack.us/photo/my-images/831/pqaaaoyzbwlr6dilx3r7io7.jpg/

hazrat usman lucky no 3

http://imageshack.us/photo/my-images/705/81585715.jpg/

khair yeh to kahani main apne aap kood parhay magar yeh na mumkin hai kay jab aap hazrat umar ka tazkira kar rahay hoon to unke dono dost abu bakr aur

usman ka tazkira na hoo aisa bhi kabhi hosakta hai teeno yaar saath saath hain :-)

kyunki ismail bukhari sahab nay jang e ohad per tazkira karna munasib hi nahi samjha isliye mujhe hazrat umar ki bahaduri jo unho nay ohad main dekhai tafseer e tabari jo bazat e khud ek motbar tareen kitab hai us may say batana parh raha hai iske baad inshallah har reference sahih al bukhari say hi dia jayega

hazrat umar khud farmatay hain kay main pahaar par aisay bhaag raha tha jaisay pahari bakri yeh jang e ohad ki baat horahi hai is say pehle jang e badar main hazrat umar ki bahaduri ka kissa sabko sunaya jachuka hai

http://imageshack.us/photo/my-images/859/umaryf.jpg/

Khair yeh jang e ohad kay waqiyat hogaye magar abhi tak hazrat umar ki bahaduri ka koi waqiya samnay nahi asaka

koi baat nahi abhi bohat zindagi pari hai.

uske bad jang e khandaq main to larai hui hi nahi bas umro ibne abdul wad aur uske kuch saathi aa gaye aur bakwas karnay lagay.

yahan bhi hazrat umar ki bahaduri ki kuch jhalkian hain

Rasool Allah S.A.W.W nay fermaya kay koi hai jo is kuttay ka moo band karay mola ali a.s nay labbaik kaha , Rasool Allah nay kaha Ali tum beth jao , phir wohi sawal kiya , Mola ali phir kharay hogaye , phir bethnay ka hukam hua.

Rasool Allah nay jab phir wohi sawal kiya to hazrat umar se bardasht na hua to kaha Ya Rasool Allah! yeh umro bin abdul wad hai , aik dafa main aur yeh safar

kar rahay thay kay 40 daakuon nay hamla kardiya , umro nay oonth kay bachay ko dhaal bana kar larai ki aur sab ko bhaga diya

yeh sun kar sab sahaba kay jhukay huay sar aur jhuk gaye , matlab khud to bahadur thay hi doosron ko bhi apnay jaisa bahadur bana diya

khair Mola ali a.s gaye aur umro ko finaar kiya , uska saathi bhaag khara hua

hazrat umar usko marnay kay liye peechay bhagay , achanak jab usne peechay dekha kay umar arahay hain to ruk gaya aur talwar larkari to hazrat umar say talwar gir gaye to usne talwar wapas rakhtay huay kaha umar mera yeh ahsan yaad rakhna

Is jang kay baad Sulah e Hudaibiya hui ab yahan par to aap sab ko pata hai kay hazrat umar nay kitni gustakhian kein

khair uska zikr hum baad main karaingay pehlay bahaduri par baat karlain to janab yahan bhi aap ne bahaduri dikhanay main kanjoosi nahi dikhaye

Rasool Allah nay hazrat umar ko bulaya aur kaha kay jao quresh walon ko mera message de do kay hamara maqsad kiya hai to hazrat umar nay bari bahaduri say kaha

Ya Rasool Allah mujhay quresh say dar lagta hai

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0014-3.gif

dekhi aap ne bahaduri ?? Rasool Allah kay hukam ka saaf inkar kar dena bhi to bahaduri hai na to janab yahan bhi hamain bas pehlay jaisay hi bahaduri kay waqiyat nazar aaye.

Ab hum Jang e Khyber ki baat kartay hain ,yahab bhi hazrat usman to khair ghayab nazar aaye magar baki 2 thay wahan par magar jab bhi marhab unko aankhein dikhata to wapas bhaag atay aur 39 din yehi hota raha.

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0018-2.gif

Uskay baad aik aur jang ka waqiya bhi sahih bukhari main hai

aik sahabi nay kaha kay jab loog bhagnay lagay to main bhi bhagnay laga mujhay hazrat umar nazar aa gaye to maine poocha yeh sab kiya hogaya to hazrat umar nay bari bahaduri say kaha Allah ka hukam hai kay bhago :-o

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0024.gif

matlab khud to bhagtay hi thay doosron ko bhi aisi baat kartay thay kay woh bhi Allah ka hukam samajh kar maan jatay

Khair yeh to jitni baatein main nay dekhi aap ko bata dein phir aik sawal zehan mein aata hai kay phir woh bahaduri kahan dikhatay thay ?? to uskay baray main bhi maine kuch research ki hai.

Rasool Allah ne aik shaks ko pakarnay kay liye Mola Ali ko bheja woh pakar kar le aaye to Rasool Allah ne us say poocha woh thora be-qasoor nikla magar

hazrat umar ki bahaduri nay josh mara aur kaha Rasool Allah! hukam dain main iska sar ura doon

yani nihattay per war karna aapki bahaduri ka mehwar tha

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0027-2.gif

AZWAAJ E RASOOL S.A.W.W KAY SAATH HAZRAT UMAR KA RAVAIYAA

UskE baaD fatah e makkah ka waqiya hai abu sufiyan nay Hazrat Abbas bin abdul mutallib ki panaah li hui thi , hazrat umar nay dekha to jaldi se pohnchay aur kaha Rasool Allah! hukam dain kay sar ura doon

to janab yeh thi hazrat umar ki bahaduri ki baatein.

ab aik aur masla yeh hai k aap nay aksar kuch logon say suna hoga kay bohat si ayaatain hazrat umar ki wajah se utari specially woh parday ka hukam Quran main anay ka sehra hazrat umar ko pehnatay hain

lakin mujhay hairangi hoti hai un logon par jinhon nay shayad aaj tak Quran parha hi nahi warna kabhi aisi baat nahi kartay.

khair main us ayat ki translation yahan likhta hoon aur yeh yaad rahay kay translation kisi shia alim ki nahi hai balke Aala Hazrat Ahmed Raza Barelvi sahab ki kinzul emaan fi tarjuma al Quran say liya hai.

------------

Surah Ahzaab Ayat 59:- Ay Nabi! apni bibion aur sahibzadion aur musalmanon ki auraton se farma do kay apni chadaron ka aik hissa apnay moo par dalay rahein , yeh us se nazdeek-ter hai kay inn ki pehchaan ho to satai na jaein aur Allah bakshnay wala mehrban hai.

Matlab yeh hai kay Rasool Allah ki kisi biwi ko bahir nikalnay per kisi ne sataya ya awazein kasein to yeh kon tha ??

sahih bukhari main hai kay Hazrat Soada kisi kaam kay liye bahir nikalein aur chadar bhi orhay huay thi magar hazrat umar ki unper nazar par gaye aur lagay awazein kasnay kay tum to abhi bhi kapron main chupi hui nahi ho etc...

woh wapas agai aur Rasool Allah se hazrat umar ki batameezi ki shikayat ki kay usne mujhay iss tarha sataya to foran parday ka hukam nazil ho gaya

to ab main poochta hoon kay kiya yeh hazrat umar ki shaan hai ?? aik sharif aur naik aurat par awazain kasna kisi shareef aadmi ka kaam hai ?? kiya Rasool Allah ki biwion ki yeh izzat thi hazrat umar kay dil main ??

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0074.gif

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0075.gif

Yeh to hazrat umar kay parday kay masla par shaan bayaan ki gaye hai.

uske ilawa bhi kuch inn ki shaan main ayatain utarein.

dekhtay hain kay aur kiya aisi baat hai ?? Sahih bukhari main hai kay jab rozay farz huay to us waqt ramadan main biwion kay paas janay ka hukam nahi hota tha magar hazrat umar aur kaab chori chori apni biwion k paas gaye jis per ayat nazil hui

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0069.gif

RASOOL E KHUDA S.A.W.W KAY SAATH AAPKA IKHLAAQ

yeh hamari series ka aakhri chapter hai aur sabsay ziada dil dehlanay wala manzar hai jo ek sachay aashiq e rasool s.a.w.w kay liye giryay ka bais hai aur tamam musalmano kay liye ek sawalia nishan hai khaas taur per un logon say jo yeh nara buland kartay hain " azmat e rasool per jaan bhi qurbaan hai " aur jo un logon ko wajib ul qatal samajhtay hain jo gustakh e rasool s.a.w.w hain jo haq hai aur gustakh e rasool s.a.w.w ki yehi saza hai sar tan say juda kardo

khair aab tamam ashiqan e rasool s.a.w.w apne dil ko sambhalain aur mujhe jitna dukh horaha hai yeh pesh kartay way woh main nahi bata sakta magar kyunki haq ko saamne lana hai isliye mujhe yeh pesh karna parh raha hai

Uske baad Rasool Allah kay saamnay batameezi kay saath awaz buland karnay walon main bhi hazrat umar ka major role tha aur side hero thay hazrat abu bakar

matlab yehi woh dono thay jinki wajah se itni sakht ayat nazil hui. http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0057.gif

Sulah e Hudaibiya kay waqt hazrat umar nay bohat batameezi ki Rasool Allah say aur phir abu bakar se bhi jakar baat ki

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0004.gif

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0077.gif

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/? action=view&current=scan0078.gif

aur aab woh dil dehla denay wala manzar jab umar bin khattab nay sari hadain par kardi aur woh baat kehdi kay agar koi beghairat musalman yeh sun kar bhi us per lanat na karay to usko yeh haq hasil nahi kay woh aapne aapko aashiq e rasool s.a.w.w kahay

yahan har cheez ki hadh hogai aur agar thora sa bhi socha jaye kay kis hasti kay khilaf yeh lafz kaha jaraha hai , kis hasti ko yeh lafz kaha jaraha hai woh jo mehboob e khuda hain woh rab ul alameen hai to yeh rehmatulil alameen hain

sharam karain musalman

jab rasool allah s.a.w.w nay is duniya main apne akhri lamhaat main farmaya kay mujhe kaghaz aur kalam lado takay main kuch tehreer kardon kay mere baad tum loog gumrah na hoo jis per umar bin khattab nay woh jumla kaha jo

kisi aashiq e rasool s.a.w.w say bardasht na hosakay ga

khair mujh main itni himmat nahi kay main dohra sakon aap scan page mulahiza farma lijiye

http://imageshack.us/photo/my-images/46/ogaaaejoxyxbf7nzcmxxt5x.jpg/

ibne abbas r.z ki age

sahih muslim ki reevayat

http://imageshack.us/photo/my-images/834/83478071.jpg/

janab main debate point scoring kay liye nahi karta na hi kisi ko neecha dekhanay kay liye karta hoon aur na hi mere liye yeh koi game hai mera kaam hai haq baat logon tak pohnchana ya jitna main janta hoon utna agay forward karna , debate bhi isi niat say karta hoon kay kia pata koi haq shinaas jo raah say bhatak gaya hai aur haq ki talash main hai woh raah per ajaye aur mere liye ek bakshish ka darwaza khul jaye.

yeh tha ek haqeeqi dasta waiz , jo umar bin khattab per sirf sahih bukhari ki roshni main pesh kia gaya warna agar doosri motbaar kitabo say umar bin khattab kay baray main baat karta to bohat si aur si baatain bhi sabke saamne pesh kardeta laikin baat sirf sahih bukhari say hui hai

aab agar tum main thori si bhi sharam hai to ainda is tarha ki baatain dobara mat karna warna agar dhitai per ari rahogi to yeh tumhara apna amal hai , jo mera kaam tha woh maine kardia

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

tumhari jahalat abhi bhi urooj per hai baatain quran ki karti hoo aur ilm tumhain takkay ka nahi kay kaunsi ayat kis zail main nazil hui aur uske asbab kia thay

hazrat ayesha ki masoomiat per 120 words ka essay likh dia kuch pata bhi hai surah noor main hazrat ayesha ko kis zail main defend kia gaya hai aur shia ka aqeeda kia hai is baray main

pehle to shia ka aqeeda bayan karna chahonga

jahan tak hazrat ayesha kay ummul momineen honay ka sawal hai to is say koi shia inkar nahi karta , beshaq woh musalmano ki maa hain aur musalmano ki maa honay ki hesiat say unka jo ehtaram hona chahiye hai usme shia firqa doosray musalmano say peechay nahi hai

shia firqay ka aqeeda yeh hai kay nabi ki zoja kafira to hosakti hai laikin bad jalan aur bad kirdar nahi hosakti jaisay hazrat nooh a.s aur hazrat lut a.s ki biwian thi , isi liye shia ummul momineen ayesha ko woh darja nahi daitay jo haqeeqat say be khabar aam musalman dete hain

aab ajao surah noor per

pehle poora pase manzar bayan kardon jo yakeenan tumharay mullaon nay tumse chupaya hoga isi liye tumharay har lafz main jahalat tapak rahi hai

pehli baat to yeh aur yeh mera challenge hai kay azwaaj e rasool kay baray main pooray quran main kisi bhi khusoosi fazeelat o manzilat ka tazkira mojood nahi hai ilawa iske kay paighambar ki biwian tumhari maaen hain

is ayat kay shaan e nazool kay baray main tamam mufasareen ka mutaffiqa faisla hai kay talha ibn ubaid ullah nay jo abu bakr kay khandani aur qareebi rishtedar thay apne is iraday ka izhar kia tha kay rasool s.a.w.w ki rehlat kay baad hazrat ayesha say nikkah karlain magar allah ko talha ki yeh jasarat nagawar guzri aur foran ayat nazil hogai "azwaja aqhatahum" jiske zariye talha aur unkay jaisay deegar afraad ki umango ka hamesha kay liye khatma kardia takay phir koi yeh khayal lanay ki himmat na karay kay nabi s.a.w.w ki biwi say shadi hosakti hai

is ayat kay zariye azwaaj e rasool s.a.w.w ki fazeelat ka izhar maqsood na tha balke kuch logon ki nafsani khwahishat ko khak main milana tha aur iski taid khud hazrat ayesha kay jumlay say hoti hai kay jab kisi aurat nay hazrat ayesha ko maa kehkar pukara to foran unho nay farmaya "hum mardo ki maa hain auraton ki nahi"aur is daleel say yeh bhi iski taeed hoti hai kay azwaaj e paighambar musalmano ki maain honay kay bawajood unsay usi tarha parda karti thi jis tarha kay na mehramo say kia jata hai aur yehi parda batata hai kay woh haqeeqatan musalmano ki maain nahi thi balke unhain isliye maa

kaha gaya takay koi shaks insay nikkah na karsakay.

is ayat ka maqsad azwaaj e rasool s.a.w.w say nikkah ki mumaniat kay dairay main mehdood hai iske ilawa koi fazeelat is ayat say sabit nahi hoti

-------------------------------------------

quran say sabit karo hazrat ayesha ka yeh iqdam , quran main surah ahzab main allah direct warning deraha hai aur hazrat ayesha ko to 2 bar warning di gai hai quran main zara surah tehreem parho jisme allah hazrat ayesha aur hazrat hafsa ko keh raha hai kay tum dono tauba karo tumharay dil tehray hogaye hain

surah ahzab main allah nay wazaye hukum dedia hai kay aye nabi ki biwio apne ghar main raho aur daur e jahalat main jis tarha auratain bartao karti thi waisa bartao na karo aur jo biwi amal e swalay karaigi usko ajar milega aur jo mukhalifat karaigi usko double saza milegi

zara surah ahzab ki verse 30,31,32 ko parhlo sari haqeeqat khul kar saamne ajayegi

hazrat ayesha nay khalifa e waqt kay khilaf khurooj kia jiski saza hai maut shukar karo hamaray maula ali a.s nay unko zinda chor dia aur ahtaraman madina rawana kardia.unka khud ka bhai mohammad ibn abu bakr unke khilaf lara tha jang e jamal main

---------------------------------------------------------

kaunsa qasas kaunsa rishta

usman kay katal ka fatwa khud hazrat ayesha nay dia tha aur jis talha ki masoomiat ka dhindora peet rahi hoo usko tumharay marvan ibn hakkam nay jang e siffien main katal kardia tha marvan yani usman ka damad yeh kehkar kay aaj maine usman ki maut ka badla lelia

zara hosh o hawaas main rehkar baat karo yahan koi sunni nahi betha jo haan main haan milaiga tumhari yahan sab nay tareekh parhi hui hai

-------------------------------------------------------------------------------

surah noor main jo waqiya naqal hua woh sardar ul munafiqeen abdullah ibn ubai ki karastani ki waja say hua aur jaisa maine pehle batadia koi shia mazallah hazrat ayesha per bad kirdari ka ilzam nahi lagata kyunki quran is baat ka elaan karta hai kay nabi ki biwi kafira to hosakti hai laikin bad kirdar aur bad jalan nahi hosakti aur yehi shia ka aqeeda hai jo ain quran kay mutabiq hai

muarakheen aur mufasareen ki ek bari jamaat nay is waqiya ko naqal kia hai kay rasool s.a.w.w nay bani mustalak say jihad main jatay waqt hasbe adat qura dala to saath janay kay liye hazrat ayesha ka naam nikal aya aur aap s.a.w.w unhain saath lekar chalay gaye , iske baad jab maidaan fatah karke wapas aye to rastay main ek muqaam per qayam kia aur hazrat ayesha rafah hajaat kay liye door chali gai udhar qafla rawana hogaya aur woh wahin per reh gai , thori dair baad safwan bin muattal aya aur usne hazrat ayesha ko sehra main akaila dekha to apne ghoray say neechay utar aya aur unko ghoray per bitha dia aur muhar khenchta hua chala laikin abdullah ibn ubai jaisay munafiqeen nay yeh propaganda shuru kardia kay safwan say hazrat ayesha kay taluqaat qaim hogaye hain aur inka qirdar mashkook hogaya hai takay

rasool s.a.w.w kay dil ko aziat pohnchai jasakay aur unki izzat o abroo ko thees pohnchai jaye , zahir hai is mamlay ka taluq direct rasool s.a.w.w ki ghairat say tha isliye allah nay aap s.a.w.w ki safai di aur bar bar azaab e aleem ki khabar sunai kay ummat ko hosh ajaye aur ainda rasool s.a.w.w kay baray main is tarha ki baatain na karsakain kay nabi ki zoja kafir to hosakti laikin bad kirdar nahi hosakti

hazrat nooh a.s ki biwi ki khayanat bhi yehi thi kay woh unhain deewana kehti thi aur hazrat lut a.s ki biwi ki khayanat yeh thi kay woh logon ko mehmano kay saath badkari ki taraf ishara karti thi warna un dono main say koi bhi bad kirdar o bad jalan nahi thi.

------------------------------------------------------------------------------------------------------