jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

13
JAMAAT-UL-MUSLIMEEN HAQ AUR AHL-E-HADĪS MEŃ FARQ Part 1- 30 Jamaat-ul-Muslimeen Aūr Aih’l-e Hadīs Aik Na’hiń Ho Sakte. Aih’l-e Hadīs Khūd Ko Aik Firqa Taslīm Karta Hai Jab Ke Jamaat-ul-mūslimeen Ka Firqoń Say Ko’ī Tā’lūq Na’hiń. In Messages Meń Āpko In Dono Jamātoń Meń Vāze Farq Bataya Jā’eyga Jiske Ba’d Āp Per Ye Lāzim Hoga Ke Āp Firqa Bandi Chor Kar Vahid Haq Jamā’at Ki Taraf Ājayain. Bohat Se Aiterazāt Ke Javab Aūr Ijtāmiat Jo Min O Un Khālis Shari’at (Devine Law) Per Chalti Ho Paish Ki Jā’ey’gī Insha Al-lāh. Rasoolullah Ne Farmāyā: Har Bach’cha Fitrat-e-Islām Par Paida Kia Jāta Hai Ba’d Meń Ūskay Vālidaiń Ūsay Yahoodi Yā Essaī Yā Majoo’sī (Fire Worshiper) Bana Le’tein Haiń [Sahīh Būkhari Tafsīr Sūrah Rome]. Vālidaiń Ke Zehan Meń Ye Chīz Pehlay Se Maujood Hoti Hai Ke Ūn’ke Ābā O Ajdād Hi Haq Par The Aūr Bāqi Sab Bātil. Voh Apnay Ābao O Ajdād Ke Khilāf Kūch Sūn’na Pasand Na’hiń Kar’tay HAQ Ko Thūkra De’te Haiń Lekin Ūs Chīz Ko Chorna Gavārāh Na’hiń Kar’te Jo Pehle Se Ūn’ke Zehan Meń Jagūzin Hoti Hai. Phir Voh Apne Bach’choń Ki Zehan Sāzi Bhi Ū’sī Ūsool Par Karte Haiń. Phir Voh Hi Bach’chā Jo Fitrat-e- Islām Per Paida Hūva Tha Zehan Parasti Ki Vaj’h (reason) Se Yahoodi, Essaī Majoosī, Shia, Hindu, Barelvi, Aih’l-e Hadīs, Han’fi Etc. Ho Jāta Hai Lekin Mūslim Na’hiń Hota. Mayar-e-Haq To Sirf Mūslim Kehlvāna Tha Lekin Aqal Par Parda Parh Jāta Hai Aūr Dil Par Mūhar Lag Jāti Hai Ab Hidāyat Nasīb Ho To Kaise Ho? Aūr Zehan Badlay To Kis Tarah Badlay? Isī Zehan Parasti Se Chut’kāra Dilane Aūr Taslīm Haq Ke Jazbe Ko Az Sar e Nau Qāyam Karne Ke Li’ye Al-lāh Rabbulizzat Ne Mūkhtalif Zamāno Aūr Qaumoń Meń Anmbia (AS) Ko Maboos Farmāyā. Lekin Ye Zehan Ke Parastār Anmbia (AS) Ko Ye Hi Javāb Dayte Rahe. Al’lāh Ta’ālā Farmātā Hai: Ham Ne Apne Āba-o-Ajdād Ko Aik Khās Tariqe Par Pāya Hai Aūr Ham To Bas In’hiń Ke Qadam Ba Qadam Chalaińge [Sūrah Zūkhrūf 23]. Apne Ūsool Aūr Maslak Ke Difā (defence) Ke Li'ye Ai’se Ūsool Maratab Kar’te Haiń Jin’se Zehan Parasti Aūr Jamood Meń Izāfa Ho Aūr Ūnke Nām Ni’hād Haq Ko Jis Ko Voh Nādāni Se Haq Mān’ne Ka Tahiy’yah (determination) Kar Chūke Haiń Sahārā Mil Sake Maslan: Be-shak Har Is Hadīs Ko Jo Hamāre As’hāb - Yāni Fi’qah - Ke Khilāf Ho Nas’kh Per Moh’mal (meaningless) Kia Jayega Ai’si Sakht Zehan Parasti Jinki Ki Jāye Voh Haq Ko Kai’se Taslīm Karainge? Mazīd Likh’te Haiń: Har Voh Āyat Jo Hamāre Fiqāh Ke Qaul Ke Khilāf Hogī Ūse Ya To Naskh Per Moh’mal Kia Jāyega Yā Terjīh Par [Ūsool-E-Kerkhi 28-29] Ya’ni Al’lāh Aūr Rasool Ki Bāt Ko Mansookh Kia Jā’ye Magar Apne Fiqa Ke Ūsool Na’hiń. Agar Iske Bā’d Bhi Ye Gūmrāhi Na’hiń To Phir Imān Ka Dāva Bekār Hai.

Upload: azaz-khan

Post on 26-May-2015

684 views

Category:

Education


8 download

DESCRIPTION

Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

TRANSCRIPT

Page 1: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

����

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN HAQ AUR AHL-E-HADĪS MEŃ FARQ

Part 1- 30

Jamaat-ul-Muslimeen Aūr Aih’l-e Hadīs Aik Na’hiń Ho Sakte. Aih’l-e Hadīs

Khūd Ko Aik Firqa Taslīm Karta Hai Jab Ke Jamaat-ul-mūslimeen Ka Firqoń

Say Ko’ī Tā’lūq Na’hiń. In Messages Meń Āpko In Dono Jamātoń Meń Vāze

Farq Bataya Jā’eyga Jiske Ba’d Āp Per Ye Lāzim Hoga Ke Āp Firqa Bandi

Chor Kar Vahid Haq Jamā’at Ki Taraf Ājayain. Bohat Se Aiterazāt Ke Javab

Aūr Ijtāmiat Jo Min O Un Khālis Shari’at (Devine Law) Per Chalti Ho Paish Ki

Jā’ey’gī Insha Al-lāh. Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmāyā: Har Bach’cha Fitrat-e-Islām

Par Paida Kia Jāta Hai Ba’d Meń Ūskay Vālidaiń Ūsay Yahoodi Yā Essaī Yā

Majoo’sī (Fire Worshiper) Bana Le’tein Haiń [Sahīh Būkhari Tafsīr Sūrah Rome].

Vālidaiń Ke Zehan Meń Ye Chīz Pehlay Se Maujood Hoti Hai Ke Ūn’ke Ābā

O Ajdād Hi Haq Par The Aūr Bāqi Sab Bātil.

Voh Apnay Ābao O Ajdād Ke Khilāf Kūch Sūn’na Pasand Na’hiń Kar’tay HAQ

Ko Thūkra De’te Haiń Lekin Ūs Chīz Ko Chorna Gavārāh Na’hiń Kar’te Jo

Pehle Se Ūn’ke Zehan Meń Jagūzin Hoti Hai. Phir Voh Apne Bach’choń Ki

Zehan Sāzi Bhi Ū’sī Ūsool Par Karte Haiń. Phir Voh Hi Bach’chā Jo Fitrat-e-

Islām Per Paida Hūva Tha Zehan Parasti Ki Vaj’h (reason) Se Yahoodi, Essaī

Majoosī, Shia, Hindu, Barelvi, Aih’l-e Hadīs, Han’fi Etc. Ho Jāta Hai Lekin

Mūslim Na’hiń Hota. Mayar-e-Haq To Sirf Mūslim Kehlvāna Tha Lekin Aqal

Par Parda Parh Jāta Hai Aūr Dil Par Mūhar Lag Jāti Hai Ab Hidāyat Nasīb Ho

To Kaise Ho? Aūr Zehan Badlay To Kis Tarah Badlay? Isī Zehan Parasti Se

Chut’kāra Dilane Aūr Taslīm Haq Ke Jazbe Ko Az Sar e Nau Qāyam Karne Ke

Li’ye Al-lāh Rabbulizzat Ne Mūkhtalif Zamāno Aūr Qaumoń Meń Anmbia (AS) Ko

Maboos Farmāyā. Lekin Ye Zehan Ke Parastār Anmbia (AS) Ko Ye Hi Javāb

Dayte Rahe.

Al’lāh Ta’ālā Farmātā Hai: Ham Ne Apne Āba-o-Ajdād Ko Aik Khās Tariqe Par

Pāya Hai Aūr Ham To Bas In’hiń Ke Qadam Ba Qadam Chalaińge [Sūrah

Zūkhrūf 23]. Apne Ūsool Aūr Maslak Ke Difā (defence) Ke Li'ye Ai’se Ūsool

Maratab Kar’te Haiń Jin’se Zehan Parasti Aūr Jamood Meń Izāfa Ho Aūr Ūnke Nām

Ni’hād Haq Ko Jis Ko Voh Nādāni Se Haq Mān’ne Ka Tahiy’yah (determination) Kar

Chūke Haiń Sahārā Mil Sake Maslan: Be-shak Har Is Hadīs Ko Jo Hamāre As’hāb -

Yāni Fi’qah - Ke Khilāf Ho Nas’kh Per Moh’mal (meaningless) Kia Jayega Ai’si

Sakht Zehan Parasti Jinki Ki Jāye Voh Haq Ko Kai’se Taslīm Karainge? Mazīd

Likh’te Haiń: Har Voh Āyat Jo Hamāre Fiqāh Ke Qaul Ke Khilāf Hogī Ūse Ya To

Naskh Per Moh’mal Kia Jāyega Yā Terjīh Par [Ūsool-E-Kerkhi 28-29] Ya’ni Al’lāh

Aūr Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ki Bāt Ko Mansookh Kia Jā’ye Magar Apne Fiqa Ke Ūsool Na’hiń.

Agar Iske Bā’d Bhi Ye Gūmrāhi Na’hiń To Phir Imān Ka Dāva Bekār Hai.

Page 2: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

Ūmoo’man (generally) Ahl-e-Hadīs Maslak Ke Pairokār Jamaat-ul-Muslimeen Se

Savāl Karte Haiń Ke Jab In Do Jammatoń Meń Ko’i Farq Na’hiń Dono Ke Ūsool

Aik Haiń to Phir Kya Vajah Hai Ke Ham Milkar Kām Na’hiń Karte?

• Is Ka Mūkhtasar Javāb Ye Hai Ke Dono Ke Ūsool Aik Na’hiń.

• Doosra Ye Ke Ahl-e-Hadīs Aik Khās Maslak Ke Pāband Haiń Jab ke Jamaat-ul-

muslimeen Ka Ko’ī Maslak Na’hiń.

• Ma’loom Na’hiń Ke Dīn Ki Jaga Maslak Ne Kab Lī Aūr Ye Lafz Kis Ki Iejād

Hai?

• Al-Jamaat Ke Nazdīk Asal Dīn Voh Hi Hai Jo Is Āyat Meń Bayan Kiya Gaya

Hai. Al-lāh Farmātā Hai: Ūs Chīz Ki Pairvi Karo Jo Tūmhāre Rabb Ki

Taraf Se Tūm Per Nāzil Ki Gaī Hai Aūr Iske Ilā’vah Valioń Ki Pairvi Na Karo [Surah Alaaraaf 3]. Munaz’zal Min-allāh Sirf Qur’ān O Hadīs Hai

Lihāza Sirf Qur’ān O Hadīs Hi Asal Dīn Hai Kisi Shakhs Ka Ijtihād O Qayās Na

Munaz’zal Min-allāh Hai Aūr Na Voh Asal Dīn Hai.

Bar Khilāf Iske Ahl-e-Hadīs Firqe Ke Hān Asal Dīn Chār Haiń.

• (1). Quran.

• (2) Ahadīs.

• (3) Ijmā-e-Sahāba O Tābe’in Aūr.

• (4) Qayās.

Iske Sūboot Ke Liye Markazi Jamiat Ahl-e-Hadīs Ke Ameer Janab Moinuddin Sahāb

Lakhvi ke Khutbe Ke Iqtibāsat Jo Ūnho Ne Kul Pakistan Ahl-e-Hadīs Conference

Lahore 12/13/14 April 1979 Meń Diye the. Capital Words Per Gaur Karaiń.

MASLAK AHL-E-HADĪS Ki Būnyād Bhi Inhi Ūsooloń Per Hai Jinko Tamām

ĀIMA Ne Islām Ki Būnyād Qarār Diya Hai Ya’ni Al-lāh Ki Kitāb Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ki

Sūnnat Bā’d Iske IJMĀ-E-SAHABA O TĀBEIN Aūr Ūskay Bād ĀIMA

MŪJ’TAHIDEEN Ke IJTEHĀDĀT Aūr FIQHI FŪYOOZ Jise Kūtūb-E-Usool

Meń QAYĀS Ke Lafz Se Tābīr Kiya Gaya Hai. [Alaitasam lahore 20-27 April 1979]

Is Iqtibās Se Zāhir Hai Ke Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Mūj’tahideen Ka Ijtihād

Aūr Qayās Bhi Islām Ki Būnyad Hai jise Mūstaqil Aūr Dāimi Qanoon Samjha Jāta

Hai.

Jab ke Jamaat-ul-muslimeen Ke Nazdīk Qanoon Sāz Sirf Al-lāh Ta’ālā Hai Al-lāh

Ta’ālā Ka Dīn Kāmil Hai Ūsmaiń Izāfa Na Mūmkin Hai Mūj’tahideen Ka Ijtihād O

Qayās Hūjjat Na’hiń.

AITRĀF - Shāyad Log Ye Samajhte Haiń Ke Ham Ne Maslak Ka Nām Jor Diya Hai

Firqa Ahl-e-Hadīs Ke Sāth Is Silsile Meń Moinuddin Lakhvi Sahāb Ke Isī Taqrīr Se

Iqtibās Paish-E-Khidmat Haiń: MASLAK AHL-E-HADĪS Se Apne Ham Vatanoń

Ko Roshanās Karāya Jāye Tāke Mūkhtalif Maktab-e-Fikr Ki Maslak Ke Mūtaliq

Galat Fahmi Door Hojaye. Ya’ni Dīn-e-Islām Ke Bajaye Maslak Ahl-e-Hadīs Ki

Tablīgh Hoti Āī Hai. Bar’aks Is Ke Al-jamaat Islām Ki Khālis Da’vat Paish

Karti Hai Na Ke Maslak Ki Hamārā Dīn Yaqīnan Islām Hai. Jamaat-ul-

Page 3: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

muslimeen Ke Har Ijtimā’t Ka Maqsad Sirf Tablīgh-e-Islām Hai. Amīr Jamiat

Sahāb Farmate Haiń.

Is Tariqe Se Firqa Varāna Tā’sūb Khatam Kiya Jasake Aūr Mūlk-O-Mil’lat Ki

Khidmat Ke Liye Aik Sāth Mil Kar Kām Karne Ki Rāh Hamvār Hosake. Islām

Meń Firqa Bandi Aik Lānat Hai. [Havala Mazkoor] In Dono Iqtibāsāt Se Sābit

Hūva Ke Firqa Bandi Ko Lānat Mān’ne Ke Ba-vajood Maslak Ahl-e-Hadīs Ko

Tamām Firqoń Ke Sāth Milkar Kām Karne Ki Khūvāish Hai Gaur Karaiń Ke

Firqoń Ke Sāth Ye Mafā’mat Kis Hadh Tak Mūnāsib Hai? Lihāza Hadīs-e-

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Dekhte Haiń: In Tamām Firqoń Se Alāhida Rehna [Sahīh

Būkhari Va Sahīh Mūslim]. Jamaat-ul-muslimeen Is Hūkm Ki Tāmīl Meń Tamām

Firqoń Se Ala’hidah Hai Jamaat-Ul-Muslimeen Ke Nazdīk Firqoń Ke Sāth Mil

Kar Kām Karne Ka Tasav’vur Bhi Kisi MŪSLIM Ke Zehan Meń Na’hiń Āa

Sakta. Isī Liye Ham Kehte Haiń. FIRQOŃ Meń ISLĀM Na’hiń Aūr ISLĀM

Meń FIRQAY Na’hiń. -FATVON KI ZAD MAIN KYOON-?

Ulmāye Ahl-e-Hadīs Bāz Mau’qe Par Bilkūl Be-Dalīl Fat’ve Deytaiń Haiń Bāz

Mau’qe Par Apne Fat’ve Ki Tāīd Meń Za’īf Hadīs Paish Karte Haiń Aūr Yeh

Tak Na’hiń Batāte Ke Yeh Hadīs Zaīf Hai Aūr Bāz Mau’qe Par Apni Ta’īd

Meń Kūtūb-e-Fiqah Ki Ibārataiń Paish Kartain Haiń Goya Inhaiń Hūj’jat

Samajhte Haiń [Fatawa Ahl-e-Hadīs] Bar Khilāf Iske Jamaat-Ul-Muslimeen Meń

Aisa Koī Na’hiń Karta. Ham Za’īf Hadīs Se Istidlāl (argument) Na’hiń Karte Na

Hamārā Firqa Varāna Fiqah Se Ko’ī Ta’lūq Hai Balke Firqa Varāna Fiqa Hūj’jat

Sha’ra Samajhna Hamāre Nazdīk Shirk Hai. Hamāra Kām Qur’an-O-Hadīs Ko

Min O Un Pohchana Hai Na Kay Apne Ijtihād Ki Ishāt. Maslan Jamaat-Ul-

Muslimeen Ke Nazdīk Tark-E-Sūnnat Gūnāh Aūr Maujib-E-Lānat Hai Jab Ke

Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Liye TARK- E-SŪNNAT Gūnāh Na’hiń.

SUNNAT KI AHMIAT?

Al-lāh Farmāta Hai: Jisne Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ki Itā’t Ki Ūsne Dar Haqīqat Al-lāh Hi Ki

Itā’at Ki [Surah Nisa 80]. Ya’ni Farz Aūr Sunnat Meń Koī Farq Na’hiń. Dono

Aik’sāń Taur par Lazim Haiń. Sūnnat Voh Kām Hai Jis Ko Nabi ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ne

Hameińsha Kiya Ho Aūr Kabhi Na Chora Ho Ye Ham Par Karna Lāzim Hai Is

Ko Tark Karne Vāla Gūnah Gār Hoga. SŪNNAT AŪR FARZ KE Nāmoń Ki

Is Tafrīq Se Logoń Ka Ye Natīja Nikla Hai Ke Sūnnat Lāzmi Na’hiń Hoti Balke

Ikhtiyāry Ya Nafil Hoti Hai Aūr Ye Bohat Galat Natīja Hai. Is Natije Ne

Sūnnat Ki Ahmiy’yat Ko Khatm Kardiya Aūr Log Gūmrāhi Meń Mūbtala

Hogaye.

FIRQA AHL-E-HADĪS KĪ HAQĪQAT:

Al-lāh Ta’āla Farmāta Hai: Kya Ūnho Ne -Al-lāh Ke- Sharīk Bana Rakhe Haiń

Jo Ūnke Liye Dīn Meń Shariy’yat Sāzi Karte Haiń Hālanke Al-lāh Ne Iski Ijāzat

Na’hiń Di [Surah Shoora 21]. Al-garz Al-lāh Ke Dīn Khālis Meń Kisi Qisam Ki

Milāvat Yā Izāfa Aik Qism Ka Shirk Hai.

Page 4: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

Jo Shakhs Dīn-e-Islām Ko Chor Kar Koī Aūr Dīn Maz’hab Ya Maslak Ikhtiyār

Karta Hai To Voh Dīn Maz’hab Ya Maslak Al-lāh Rabbulizzat Ke Hań Maqbool

Na’hiń Hoga. Al-lāh Farmāta Hai: Jo Shakhs Islām Ke Ilā’vah Kisi Aūr Dīn Ka

Mūtalāshi Ho To Voh Dīn Us Se Hargiz Qūbool Na’hiń Kiya Jayega [Surah Aale

Imran 85].

Dīn-e-Islām Kāmil Hai. Na Is Meń Koī Nūks Hai Na Koi Aib Hai. Al-lāh

Farmata Hai: Āj Maine Tumhare Liye Tumhare Deen Ko Kāmil Kardiya Tum

Par Apni Ne’mat Poori Kardi Aur Tumhare Liye Dīn Bas Islam Ko Pasand

Farmaya [Surah Maaida 3].

Al-lāh Farmata Hai: Al-lāh Ne Tumhara Nām Mūslimeen Rakha Hai [Surah Hajj

78]. In Ayāt Se Sāf Sābit Horaha Hai Ke Dīn Meń Hukm Sirf Al-lāh Ka Chalta

Hai Jab Dīn Mūkamal Hogaya To Ye Nām Ki Tabdīli Kis Haq Say Ki Gai?

Aik Aitrāz. Kya Hogaya Jo Mūslim Nām Ke Sāth Khūd Ko Ahl-e-Hadees

Kaihalvāte Haiń?

MANA TO NA'HIŃ NA?

JAVĀB: Islām Meń Jo Al-lāh Aūr Ūske Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Keh Daiń Voh Tamām

Logoń Ke Liye Ākhri Aūr Yaqīni Hona Chahiye Na Ke Al-lāh Ki Ayat Ke

Khilāf Jakar Tāvīl Paish karaiń Aūr Naye-Naye Nām Ki Iejād Ki Jaye. Agar

Dalīl Sirf Is Bāt Ko Liya Jāye Ke Nām Rakhne Se Mana To Na’hiń Kiya. To

Phir Hamaiń Namaz Meń Har Raka’at Meń 3 Saj’dah Karne Chahiye Kyoon Ke

Do Ka Hūkm Diya Hai 3 Se Mana To Na’hiń Kiya? Hajj Per 7 Ki Jaga 9

Tavāf Karne Chahiye Kyooń Ke Mana To Na’hiń Kiya? Etc. Is Tarah To Dīn

Khatm Hojayega In Usooloń Par. Chalaiń Yooń Samajhte Haiń: Meń Ahl-e-

Hadīs Na’hiń To Kyā Meń Haq Par Na’hiń? Yaqeenań Aap Mūjhe Haq Per

Samjhaińge Lekin Agar Meń Kahoon Ke Meń Mūslim Na’hiń To Aap Bagair

Kisi Shak-o-Shūb’h Ke Mujhe Na-Haq Samjhaińge Aūr Yehi Farq Hai Firqa

Varana Nām Aūr Al-lāh Ke Diye Hū’ey Nām Mūslim Meń.

AQĀ’ID MEŃ FARQ:

Dono Jamātoń Ke Aqā’id Meń Bohat Farq Hai Lekin Kūch Bātaiń Bayān Ki

Jāsakti Hai. EID KI NAMĀZ - Ahl-e-Hadīs Eid Ki Namāz Ko Sūnnat Samajhti

Hai [Albalaag ul Mubeen 396]. Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Sūnnat Aūr Nafil Aik Chīz

Hai. Sadiq Sialkoti Sahāb Likhtaiń Haiń: Vāzay Hokay Sūnnat Nafil Mūs’tahab

(desirable). Yeh Tamām Alfāz Ham Māni Aūr Mūtarādif (synonymous) Haiń.

Lihāza Maslak Ah-le-Hadīs Kay Nazdīk Namāz-e-Eid Nafil Hai. Jabkay Jamaat-

ul-muslimeen Ise Farz Samajhti Hai kyoon Ke Jis Kām Ka Hūkm Darbar-e-

Risālat Se Mil Jā’ye Voh Mūslimeen Ke Liye Vājib-Ūl-Ita’at Hoti Hai.

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmāya: Eid-ul-Fitr/Azha Ki Namāz Do Rak’at Hai [Ibn

Khuzaima Sahīh]. Eid Ke Liye Nikalne Ka Hukm Hai Lihāza Eid Ki Namāz

Farz Hūvi. Is Bāt Par Sabka It’tefāq Hai Ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ne Eid Ki Namāz

Hamesha Parhi Kabhi Na’hiń Chori Lihāza Ye Aik Vāzay Farq Hai Dono Ke

Aqā’id Meń.

Page 5: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

TAH’T-UL-MASJID:

Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Tah’t-ul-Masjid Nafil Hai [Albalaag Ul Mubeen

Page 136]. Jabkay Jamaat-ul-mūslimeen ke Nazdīk Ye Namāz Itnī Zarūri Hai ke

Khūbay Ke Daurān Bhi Usay Ada Karne Ka Hukm Hai. Kya Ye Ahl-e-Hadīs

Maslak Islām Ki Terjūmani Kar Rahi Hai? Maulim-e-Kitab Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ka

Farman Hai: Hazrat Abu Qatada (RZ) Masjid Meń Dakhil Hūye. Ūnho Ne

Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ko Sahāba Ke Dar-mayān Baithe Hūye Paya Voh Bhi Inke Pass

Baith Gaye. ĀP Ne Farmāya: Tūmhaiń Do Rakat Namāz Parhne Se Kya Chīz

Manā Hūvi? Abū Qatada (RZ) Ne Arz Kiya: Maine ĀP Ko Aūr Logoń Ko

Baithe Hū’ai Daikha. Main Bhi Baith Gaya. ĀP Ne Farmāya: Jab Tūm Meń Se

Koī Shakhs Masjid Meń Dākhil Ho To Baithe Na’hiń Jabtak Do Rakataiń Na

Perh Le [Saheeh Muslim]. Kitna Farq Hai Dono Jamaatoń Meń Phir Bhi Kehna

Ke Dono Hi Thīk Hai? Bāt Kūch Banti Na’hiń. Mazīd Dalail.

Aik Shakhs Jūm’ah Ke Roz -Masjid Meń- Dakhil Hūwa. Nabi ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Khūtba De

Rahe The. ĀP Ne Farmāya: Kya Tūm Ne Namāz Perh Li? Us Shakhs Ne

Kaha: NA’HIŃ. ĀP Ne Farmāya: To Phir Do Rak’ataiń Perho [Saheeh Bukhari].

In Ahadīs Se Ye Bāt Tou Vā’zeh (evident) Hoti Hai Ke Ye Hūkm-e-Rasool Hai

Lekin Afsos Firqa Ahl-e-Hadīs I’se Nafil Keh Kar Hūkm Ki Nā-farmāni Kartaiń

Haiń. KHAVATĪN KA EID-GĀH JĀNA. Ūme Attya (RZ) Farmāti Haiń:

Hamaiń Eid Gāh Jāne Ka Hūkm Diya Jāta Tha Hat’tā Ke Hamaiń Hūkm Diya

Jāta Tha Kay Hūm Kūńvāri Lerki Ko Bhi Iske Khidr - Perday Say Nikal Kar

Eid Gāh Lay Jayaiń [Bukhari]. Ye To Voh Farz Hai Jis Par Jamaat-ul-muslimeen

Amalan (practically) Saboot Paish Karti Āi Hai Bar’aks Iske Ahl-e-Hadees Is

Hūkm-e-Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ko Bhi Nafil Keh Kar Gūnāh Ke Mūtaraqib Hotay Ārahay

Haiń. Bas Jūmloń Ka Farq Hi To Hai Ahnāf I’se Makrooh Keh’te Haiń Aūr

Ahl-e-Hadīs Nafil. Amal To (hence) Dono Ka Na’hiń.

JŪM’ĀH KE DIN GŪSSAL KARNA:

Firqa Aih’l-e Hadīs ke Yān Jūm’ah Ke Roz Gūssal Karna Nihāy’yat Hi Achchā

Hai. Baroyay Sharai Mūs’tahab (desirable) Tākīdi Aūr Pasańdī’dah (choice) Hai

Lekin Na Ai’sa Lāzim Ke Tārik Is’ka Gunāh Gār Ho [Salaat-e-Rasool Page 117] Ya’ni

Ke Gūssal ka Karna Zaroori Na’hiń. Jab Ke Hadīs-e Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Hai: Jūm’ah

Ke Din Gūssal Karna Her Bāligh Par Vājib Hai [Saheeh Bukhari] Ya’ni Jab Tum Meń

Se Koī Shakhs Jūm’ah Ki Namāz Ke Li’ye Ā’ye To Gūssal Karaiń [Saheeh

Bukhari]. Har Mūslim Par Sāt 7th Din Meń Aik Din Gussal Karna Zaroori Hai Aūr

Voh Jūm’ah Ka Din Hai [Nisai Kitab Ul Jumma Saheeh]. Farq To Har Bāt Par Hai

Magar Phir Mūslimīn Ko Firqa Aih’l-e Hadīs ke Sāth Aik Hi Jamā’at Tasav’vur Karna

Kya Ye Ziyā’datī Na’hiń? Jamaat-ul-Muslimeen Ilm Aūr Amal Ke Maidan Meń khālis

Tauhīd Par Yeksań Hoker Is Ūm’mat Ko Aik Karne Ki Da’vat De’ti Hai- Mazīd

Daikh’te Haiń: Maslak Aih’l-e Hadīs Aik Hadīs Ka Ziker Hamesha Karti Ā’i Hai

Jis Se Voh Mūslimeen Se Savāl Talab karti Hai. Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Farmate Haiń: Ye

Dīn I’sī Tarah Qāyam Rahega Is Dīn Ke Li’ye Mūlimīn Ki Aik Jamā’at Jūng Karti

Page 6: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

Ra’he’gī [Saheeh Muslim]. Merī Ūm’mat Ki Aik Jamā’at Hamesha Al-lāh Ke Amar

Ke Li’ye Jung Karti Ra’he’gī Voh Apne Dūshman Par Qādir Hońge [Saheeh

Muslim]. Is Hadīs Se Voh Yeh Saval Ūthate haiń ke Jamā’at-ul –Muslimeen ko Agar

Haq Mān Bhi Li’ya Jaye Kyoon Ke Hadīs Meń Mūslimīn Ki Jamā’at Ka Zikar Aya

Hai To Batāyein Ke Al-Jamā’at Kahań Jung kar Rahī Hai Aūr Kab Se?

JAVAB - Gūzishta Daur Meń Voh Końsi Jamā’at Aihl-e Hadīs Thi Jo In Sifāt Par

Poori Ūtrī Ho Aūr Voh Har Zamāne Meń Mūsalsal Rahī ho? Maslak Aih’l-e Hadīs

Kūch Arsa Qabal Hindūstān Meń Bani Is Se Pehle Voh Kahań Thī? Is Hadīs Ka Ye

Mafoom (meaning) Lena Kitna Dūrūst Hai Mazīd Jānte Haiń.

Hamesha Rehna Aūr Mūnqata Na Hone Par Istidlāl Karna Sahīh Na’hiń. Al-lāh Ta’ālā

Farmata Hai: ĀP Bani Israil Ki Taraf Se Hamesha Kisi Na Kisi Khayānat Ki Khabar

Sūnte Rahaińge [Sūrah Māida 13]. Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmāya: Jib’rā’il (AS)

Mūjhay Hamesha Parosi Ke Mūtaliq Vasiyyat Karte Rahe Yahań Tak Ke Mūjhe Ye

Khayāl Hūva Ke Voh Ūs’ko Vāris Qarār Daińge [Sahīh Būkhāri]. Pehli Āyat ke Hisab

Se Ye Tāsūr Li’ya Jāsaktā Hai Ke Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ke Pass Har Vaqt O Har Ān

Mūsal’sal (consecutive) Khayānat Ki Khabraiń Āti Thīń Par Kya Ye Mūmkin Tha?

Lihāza Is -LĀ TAZĀL- Ka Mafoom Galat Li’ya Ga’ya Hai Tāke Apne Maslak Ka

Difa Kiyā Ja Sa’ke Jab’ke Di Ga’ī Dūsrī Hadīs Ka Māmla Bhi Kūch Ai’sa Hi Hai۔

Zaahir Hai Jibrael hamesha Perosi Kay Mutaliq Vasiyat Na’hiń Kertay Thay Balkay

Vaqfoń Ke Sāth Ye Kām Jārī Tha. Āj Bhi Agar Ūlema Khālis Islām Ka Difa Karaiń

To Ye Tavīl Kar’ne Ki Zaroorat Na Pare.

KYA FIRQA AIH’L-E HADĪS MEŃ BAIT KA TASAV’VUR HAI? Bait Ke

Mā’ne A’hd O Paimān Hai. Jab Ādmi Amīr Yān Khalifā Ki Bait Karta Hai To Voh

Khūd ko Baich Deta Hai Go’yā Voh Ūs Bāt Ka A’had Ka r le’ta Hai Ke Voh Amīr

Ki Maroof Bātoń Meń Hamesha Itā’at Kartā Rahe’ga Kabhi Na-Farmanī Na’hiń

Kare’ga. Hazrat Ūbāda (RZ) Kehte Haiń: Ham Ne Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Se Sū’ne Aūr

Itā’at Karne Par Bait Ki Khūshi Aūr Na-Khūshi Meń Aūr Ye Ke Jab Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص

Hamāre Pass Yasrib Ya’ni Madina Mūnavvara Tashrīf Layaiń Ge To Ham ĀP Ki

Madad Karaiń Ge [Ravah Hākim Va Sahīh]. Jis Shaks Ne -Amīr ki- Itā’at Se Hāth

Khaińcha To Voh Qayāmat Ke Din Al-lāh Se Ai’si Hālat Meń Mūlaqāt Kare’a Ga Ke

Is’ke Pass Koī Hūjjat Na Hogī Aūr Jo Shakhs Is Hālat Meń Marr Gayā Ke Ūske

Gardan Meń -Amīr Ki- Bait Na’hiń To Voh Jahiliat Ki Maut Mare Ga [Sahīh

Mūslim]. Kya Bait Sirf Rasool ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ki Farz Hai?

Agar Bait Sirf Rasoolońملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Ke Li’ye Khās Hoti To phir Sahāba (RZ) Ne Abū Bakar

Siddique Ūmer Bin Khatab Ūsman-e Farooq Aūr Hazrat Ali (RZ) Ki Bait Kyooń Ki?

Zāhir Hai ĀP ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص Hamaiń Dīn Aūr Dūnya Meń Chalne Aūr Zindagi Gūzārne Ka

Tariqa Samjha kar Ga’ye Haiń Alhamdulillah. Ager Aitrāz Ye Kiyā Jāye Ke Bait Sirf

Khalifā Ki Hosakti Hai Kyooń Ke Voh Iqtedār Meń Hota Hai Aūr Saza Nāfis Kar

Sak’ta Hai To Mūkhtasar Ye Ke Al-lāh Rabbūlizzat Farmāta Hai: Kisi Shakhs Ko

Taklīf Na’hiń Di Jāti Magar Ūs’ki Tāqat Ke Mūtābiq [Surah Baqarah 286] Tīsri Class

K Student Se (B.A.) Ke Exam Ka Mūtā’laba (demand) Karna Jaiz Hai? Yaqīnoń

Na’hiń. Iqtidār Meń Āna Al-lāh Ki Madad Se Hi Mūmkin Hai- Ai’sa Amīr Mūntakhab

Page 7: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

ki’yā Jāye Jo Apne Mā-taiht Logoń Ko Shariyyat Par Chale. Aūr Ye Kām Vahid

Jamaat-ul-Muslimeen Kar Rahi Hai. KYA JAB MAKKAH Me RASOOL ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص KE

BAIT HU’E TO ĀP TĀQATVAR THE? Hargiz Na’hiń.

Yeh Ummat 73 Hison main Taqseem Hogee-72 Jahanam main Jayainge Aur Aik Jannat

Main Aur Voh AL-JAMĀ’AT Ho’gī [Abu Daud Saheeh]

FAISLA: Agar dono Jamataiń Haq Haiń To Phir Is Hadīs Ka Inkar Lāzim Hai. Lihāza -

Ya To Āp Jan’nati Haiń Ya Ham? Hamārā kām HAQ Pohnchāna Hai Gavah Hojayeiń

Ke HAM To MŪSLIM Hai. Dono Jamā’toń Meń Farq Vazeh Hai- Aik Jamā’at Ka

Sūboot Qur’an o Hadīs Meń Dūsrī Ka KOĪ SŪBOOT NA’HIŃ. Aik Ka Dīn Islām

Dūsri Ka MASLAK. Aik K Nazdīk Tark-e-Sūnnat Gūnāh Dūsri K Nazdīk Sūnnat Nafil

Sab Yaksań. Aik K Nazdīk Amīr Aūr Ūs’ki Bait LAZIM Dūsrī K Pās Na Amīr Na Bait.

Aik Hai Jamaat-ul-Muslimeen Jis’ka inkar KŪFR Aūr Doosra Hai FIRQA Aih’l-e

Hadīs Jis’ka INKAR KUFR NA’HIŃ. Āj TAHQĪQ Karke Jawab De Aūr AMAL

Karein KYOOŃ KE KAL Roz-e-Mahshar I’sī Javab Par JAN’NAT YA

JAHAN’NAM Ka Faisla Hoga. Anqarīb LOG KHĀHISH KAREINGE Kāsh Ke Voh

MŪSLIM Hote.

LIHĀZA ĀJ HI MŪSLIM BANJAYE:

AMBIA � Ke Mūslimīn Hone Ka Sūboot. QUR’ĀN KA MŪTĀLA VAZEH KARTA

HAI KE AL-LĀH NE HAME AIK DĪNI NĀM DIYA AŪR VOH NĀM MŪSLIM

HAI. Al-lāh Ta’ālā Ne Nūzool-e-Qur’ān Se Pehle Aūr is Qur’ān Meń Bhi Tūmhārā

Nām MŪSLIM Rakha Hai (SŪRAH HAJJ 78). HAZRAT NOOH �AS :-Ai Rasool

In’ko NOOH Ka Hāl Sūnāyein Jab Un’ho Ne Apni Qoum Se Kahā, Ai Meri ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص

Qoum Agar Mera Mansab Aūr AL-LĀH Ki Āyat Ke Zariye Meri Nasihat Tum Par

Giran Gūzarti Hai To Meń Al-lāh Par Tavakkaul Karta Hooń Tūm Apne Tamām

Shūrka Ko Jamā Karo Phir Jo Kūch Karna Chaho Sab Mil Kar Is’ka Faisla Kero

Tūmhārī Tadbīr Ka koī Gosha Tum Se Makhfi Na Reh Jā’e Phir Mere Khilāf Jo Chaho

Kar Gūzro Aūr Mūjhe Mūhlat Na Do. Phir Agar Tum Mooń Moro To Meń Tum Se Koī

Ūjrat Na’hiń Māngta Meri Ūjrat Al-lāh Ke Zimme Hai. Mūjhe To Ye Hūkm Diya Gaya

Hai Ke Meń MŪSLIMĪN Meń Se Hooń (SŪRAH YOUNUS 71-72).

IBRAHIM � Al:: IBRAHIM � na Yahoodi The Na Essaī The Balke Voh To Aik Al-

lāh Ke Mānne Vāle MŪSLIM The. Voh Mūshrikīn Meń Se Bhi Na’hiń The (ĀLE

IMRĀN 67). Ya’ni Voh Sirf Mūslim The Yahood O Nasara Ke Firqo Se Uka Koī

Vāsta Na Tha Firqa Bandi Shirk Hai Lihāza VOH MŪSHRIKĪN MEŃ SE BHI

NA’HIŃ THE.

YAQOOB � KI KI VASIAT: Tūmhaiń Maut Na Ā’ai Magar Is Hāl Meń Ke Tūm

MŪSLIM Hoń (SURAH BAQARAH 132).

LOT �: Hamaiń is Basti main koi MUSLIM Gher Na Mila Sivaye Aik Ghar Ke.

(SURAH ZAARIYAAT:36).

Page 8: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

ISMAIL aur IBRAHIM Alaihimas Salaam Ki DŪĀ: Aye Hamare RAB Hame Apna

MŪSLIM Banaye Rekh Aūr Hamari Aūlād Meń Se Bhi Aik Jamā’at Ko Apna

MŪSLIM Bana (SURAH BAQARAH:128).

YAQOOB � KI VAFĀT KE VAQT ŪNKE BETE: Ham Sab Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM

Haiń. (SURAH BAQARAH: 133). PARHTE JAYE.. MŪSLIM NĀM KE QADĪM

SŪNEHRI TARĪKH ĀPKE SĀMNE HAI.

YOUSUF �: Aye RAB Mūjhe Is Hālat Meń Maut De Ke Meń MŪSLIM Hoon Aūr

Mūjhe Salehīn Ka Sāth Atā Farma. (SURAH YOUSUF:101).

MOOSA �: Moosa Ne Kaha Ai Meri Qoum Agar Tum Al-lāh Par Imān Le Ā’e Ho

Aūr MŪSLIM Ban Gaye Hoto Al-lāh Hi Par Bharosa Kero. SURAH YOUNUS:84).

FIRAUN KE JĀDŪGAR IMĀN LANE KE BĀD: Aye Hamare RAB Hamaiń Sabr

Atā Farmā Aūr Hameiń Is Hālat Meń Maut Day Kay Ham MŪSLIM Hon. (SURAH

AARAAF:126).

SŪLAIMĀN �: Mere Sāth Sarkashi Na Karo Aūr MŪSLIM Ban Kar Mere Pāss

Ājāo. (SURAH NAML:31).

MALAIKA E SABA: Meń SŪLAIMĀN Ke Sāth Al-lāh Rabul Ā’lamīn Ki MŪSLIM

Hogaī (SURAH NAML:44).

ĪSSA �: Jab ESSA Ne Apni Qoum Meń Kūfr Ko Mahsoos (perceived) Kiya To Kaha

Kon Al-lāh Ke Rāste Meń Mera Madadgār Hai Havā'rioń Ne Kaha Ham Al-lāh Ke

Madadgār Haiń Ham Al-lāh Par Imān Lā’e Āp Gavah Rahaiń Ke Ham MŪSLIM Haiń.

(SURAH ĀLAE IMRAN:52).

MUHUMMED UR Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلصملسو هيلع هللا ىلص : Keh Dijiye - MŪJHE YE HŪKŪM MILĀ HAI

KE MEŃ SAB SE PEHLA MŪSLIM BANŪ. (SURAH ZUMAR:12). ĀP Keh Dijiye

Ke Meri Namāz Meri Qur’bāni Meri Zindagi Aūr Meri Maut Al-lāh RabulA’lamīn Ke

Li’ye Hai Is’ka Koī Sharīk Na’hiń Mūjhe I’sī’ Bāt Ka Hūkm Diya Gaya Hai Aūr Meń

Sab Se Pehla MŪSLIM Hooń. (SURAH ANAAM:162-163). Ham To Sirf Al-lāh Ke

MŪSLIM Haiń. (SURAH ĀLE IMRAN:84). JAMAAT-UL-MUSLIMEEN KO AL-

LĀH KI TARAF SE KHŪSH KHABRI: QAYĀMAT Ke Din Maiń Kahūńnga. Ae

Mere Bandoń Āj Tumko Na Koī Khauf Hoga Aūr Na Tūm Gamghīn Hońge Jo Hamāri

Āyatoń Par Imān L’ye The Aūr MŪSLIM The. (SURAH ZUKHRUF:68-69).

JINNĀT: Ham Meń Se Bāz MŪSLIM Haiń Aūr Bāz Zālim Haiń To Jin Logoń Ne

Islām Qabool Kiya Ūnho Ne Bhalaī Ka Irāda Kiya. (SURAH JINN:14). Kia Ham

MŪSLIMĪN Ko MŪJRIMĪN Ke Mānińd Karde? (SURAH QALAM:35). FAISLA

KIJIYE KYA ĀP MŪSLIM HAI YA MŪJRIM?

-AMBIA (AS) Ke Mūslimīn Hone Ka Sūboot-

QUR’ĀN KA MŪTĀLA VAZEH KARTA HAI KE AL-LĀH NE HAME AIK DĪNĪ NĀM DIYA AŪR VOH NĀM MŪSLIM HAI.

Page 9: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

Al-lāh Ta’ālā Ne Nūzool-e-Qur’ān Se Pehle Āūr Is Qur’ān Meń Bhi Tūmhāra

Nām MŪSLIM Rakha Hai (SURAH HAJJ : 78).

HAZRAT NOOH � : (Ai Rasool ملسو هيلع هللا ىلص ) In’ko NOOH Ka Hāl Sūnāye Jab Ūnho Ne

Apni Qoum Se Kaha -Ai Meri Qoum Agar Mera Mansab Aūr AL-LĀH Ki Āyat Ke

Zarye Meri Nasihat Tūm Par Giran Gūzarti Hai To Main Al-lāh Par Tavakkal Kata

Hooń Tūm Apne Tamām Shūrka Ko Jamā Karo Phir Jo Kūch Karna Chaho Sab Mil

Kar Is’ka Faisla Karo Tūmhāri Tadbīr Ka Koī Gosha Tum Se Makhfi Na Reh Jāye Phir

Mere Khilāf (Jo Chaho) Kar Gūzro Aūr Mūjhe Mūh’lat Na Do. Phir Agar Tum Mooń

Moro To Maiń Tum Se koī Ūjrat Na’hiń Māngta Meri Ūjrat Al-lāh Ke Zimme Hai.

Mūjhe To Ye Hukm Diya Gaya Hai Ke Maiń MŪSLIMĪN maiń Se Hooń. (SURAH

YOUNUS:71-72).

IBRAHIM �: IBRAHIM Na Yahoodi The Na Essai The Balke Voh To Ek Al-lāh Ke

Mānne Vāle MŪSLIM The. Voh Mūshrikīn Meń Se Bhi Na’hiń The (ĀAL-E-IMRAN:

67).

Ya’ni Voh Sirf Mūslim The Yahood o Nasara Ke Firqo Se Unka Koī Vāsta Na

Tha Firqa Bandi Shirk Hai Lihāza VOH MŪSHRIKĪN MEŃ SE BHI NA’HIŃ THE.

YAQOOB � KI VASIAT: Tūmhaiń Maut Na Ā’ye Magar Is Hāl Meń Ke Tūm

MŪSLIM Ho (SURAH BAQARAH:132).

LŪT � : Hameiń Is Basti Meń Koī MŪSLIM Ghar Na Mila Sivaye Ek Ghar Ke

(SURAHZĀRIYĀT:36).

ISMAIL Aur IBRAHIM � Ki DUA: Ai Hamaray RAB Hame Apna MŪSLIM

Banaye Rakh Aur Hamari Aūlād Meń Se Bhi Ek Jamā’at Ko Apna MŪSLIM Bana

(SURAH BAQARAH:128).

YAQOOB � KI VAFĀT KE VAQT ŪNKE BETE: Ham Sab Sirf Al-lāh Ke

MŪSLIM Haiń. (SURAH BAQARAH:133)

PARHTE JAYE.. MŪSLIM NĀM KE QADĪM SŪNEHRI TARĪKH ĀPKE SAMNE

HAI.

YOUSUF �A : Ai RAB Mūjhe Is Hālat Meń Maut De Ke Maiń MŪSLIM Hooń Aūr

Mūjhe Sāleahīn Ka Sāth Atā Farma (SURAH YOUSUF:101).

MOOSA � : Moosa Ne Kaha Ai Meri Qoum Agar Tum Al-lāh Par Imān Le Āye

Ho Aūr MŪSLIM Ban Gae Hoto Al-lāh Hi Par Bharosa Karo - (SURAH-

YOUNUS:84).

FIRAUN KE JĀDŪGAR IMĀN LANE KE BĀD: Ai Hamāre RAB Hamaiń Sabr Atā

Farma Aūr Hamaiń Is Hālat Meń Maut De Ke Ham MŪSLIM Hoń (SURAH

AARAAF:126).

Page 10: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

SŪLAIMĀN �: Mere Sāth Sarkashi Na Karo Aūr MŪSLIM Ban Kar Mere Pāss

Ājao (SURAH NAML:31).

MALKA E SABA: Main SŪLAIMĀN Ke Sāth Al-lāh Rabūl Ālamīn Ki MŪSLIM

Hogai (SURAH NAML:44).

ESSA �: Jab ESSA Ne Apni Qoum Meń Kūfr Ko Mehsoos Kiya To Kaha Koń Al-

lāh Ke Rāste meń Mera Madadgār Hai Hawarioń Ne Kaha Ham Al-lāh Ke Madadgār

Haiń Ham Al-lāh Par Imān Lāe Āp Gavāh Rahaiń k Ham MŪSLIM Hai (SURAH

ALAE IMRAN:52).

MŪHAMMED UR Rasoolullah ملسو هيلع هللا ىلص: Keh Dijye - MŪJHE YEH HŪKM MILA HAI

KE MEŃ SAB SE PEHLA MŪSLIM BANŪ. (SURAH ZUMAR:12).

ĀP Keh Dijiye Ke Meri Namaz Meri Qur’bāni Meri Zindagi Aūr Meri Maut Al-lāh

RabulĀlamīn Ke Liye Hai Iska Koī Sharīk Na’hiń Mūjhe Isī Bāt Ka Hūkm Diya Gaya

Hai Aūr Maiń Sab Se Pehla MŪSLIM Hoon. (SURAH ANAAM:162-163).

Ham To Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM Haiń (SURAH AALE IMRAN:84).

JAMAAT UL MUSLIMEEN KO AL-LĀH KI TARAF SE KHŪSH KHABRI:

(QAYĀMAT Ke Din Maiń Kahoonga) Ai Mere Bandoń Āj Tumko Na Ko’ī Khauf

Hoga Aūr Na Tum Ghamgīn Hoge Jo Hamāri Āyatoń Par Imān La’ey The Aūr

MŪSLIM The (SURAH ZUKHRUF:68-69)

JINNĀT: Ham Meń Se Bāz MŪSLIM Haiń Aūr Bāz Zālim Haiń To Jin Logoń Ne

Islam Qūbool Kiya Ūnho Ne Bhalai Ka Irada Kiya (SURAH JINN:14).

Kya Ham MŪSLIMĪN Ko MŪJRIMĪN Ke Mānind Kar De? (SURAH QALAM:35).

FAISLA KIJYE KIA ĀP MŪSLIM HAI YA MŪJRIM?

GHAR KI GAVAHI - Ah’l-e Hadīs Ālim Abdul Gaffar Khairi sāhab kehte haiń:

-Janab Khūvaja Ata ur Rehman Sb Ameer jamaat Ah’l-e Hadīs / Amīr Jamiat Ah’l-e

Hadīs/ Amīr Jamā’at Gūrba Ah’l-e Hadīs ... Āpki Tīno IMARATAIN Tīnoń

JAMĀTAIŇ Gair sharai Gair Islami Iftirāq aūr Intishār ki Būnyadoń per Khari hai-

Mūsalmano ki Jamā’at ka agr ko’ī Nām hosakta hai to voh Jamaat-Ul-Muslimeen hai

Tīno Jamātoń ko KHATAM ker dia jāye. Aik Jamā’at ya’ni Jamaat-ul-Muslimeen

qaim ki jae. BAIT ka silsila shūru kia jāye. Agr āp is khakay aūr Mansoobay ko apni

maujuda Hālat yā kisi aūr sochay samajhay Mansūbay k Mūqablay maiń Galat ya

kamter Samajtay hain to phir Aiye Maut ki taman’na kijiye Maiń bhi Boria Bister lay

ker Āta hoń Āp Aiye. Aik Khūlay Maidān maiń Tā Maut bethai. SHARAIT - Khūla

Maidān hoga. MAKĀN aūr CHAT ko’ī na’hiń hogi VŪZŪ yā GŪSAL key liye pāni

hoga. Khāna Pīna Būnd Hoga. Kalām kisi sey na’hiń karna hoga.

Allah Tāla ki Ibadat yān Nīnd kerna hogi. Chāron ko vahīn Marna hoga. Ager

3 Marjayaiń to 4th vahan sey ūthnay ka Haqdār na hoga. Jabtak Jamaat-Ul-

Page 11: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

Muslimeen aūr is per Amīr Mūqarar na hojayay. Yān to Maidān maiń Āker

Maut ki Taman’na kijiye aūr Apnay Āpko Sachchā Sābit kijiye ya is khakay

aūr Mansūbay ko Qabool Kijiye. FATMANNAVŪL MAUTA IN KUNTUM

SĀDIQUEEN- (AGAR SACHCHEY HOTO MAUT KI TAMMANA KERO)

(Ishtihaar 23 Ramazan 1387 Lahore).

DEKHYE ĀPKE APNE ĀLIM KHŪD JAMAAT-UL-MUSLIMEEN KO

ZINDA KARNE AŪR BAIT E AMEER KEY SILSILAY KO SHŪRŪ

KARNE KE DA’VAT DE RAHE HAI... MASOOD AHMAD SĀHAB NE

YE SILSILA SHŪRŪ KARDIA TO APKO BURA LAG GAYA? KYU IS

LIYE K AAP IS SAADAT SE MAHROOM HOGAE?

Mazīd dekhye: NASIRUDDIN ALBANI SAHAB (JINKO FIRQA AHLE

HADEES OWN KARTA HAI) likhte hai: AL-JAMAAT say muraad Jamaat ul

Muslimeen hai Jamaat kay Aam logon say bhi juray reho (Sharah MISHKAAT

1/65).

Khalid Gher Jākhi Sahab (Ahl e Hadīs) likhte Hai:

- Abu Moosa Ashri RZ Ne Kufa Puhnch Ker Jumay K Roz Khutba Daytay Huway

Jamaatul Muslimeen Say Iftiraaq Durr Kernay Aur Ameer Ul Momineen Ki Itaat

Kernay Ki Talqeen Ki- [Seerat Syed Shuhda Hazrat Usman 82).

Syed Abul Hasan Nadwi likhte hai:

- Woh Shakhs Jamaatul Muslimeen Mai Say Nahi Jo Kisi Asbiat Ki Dawat Day - Woh

Shakhs Jamaatul Muslimeen Main Say Nahi Jo Kisi Asbiat Ki Bunyad Per Jung Karay-

Woh Shakhs Jamaatul Muslimeen Main Say Nahi Hai jiski Maut Asbiat Per Ho.-

[Lisani Wa Tehzeebi Jahiliat Ka Almia Aur Us Say Sabaq P 11).

Saheefa Ahle Hadees ke GAWAHI:

-Aaj Musalman Dunya Main Jis Maqam Per Hain Woh Aisay Hi Dimagi Afkar Per

Deen Ki Bunyad Rekhnay Walon Ki Badolat Hi tou Hain Jinho Nay Aam Feham

Hidayat unaas -Quran O Hadees- Ki Jaga Zamanay Say Mutasir Apnay Afkar Ko Islam

Kay Naam Per Manwa Ker Firqa Bandion Ki Bunyad Qayam Ki.

Saheefa Ahle Hadees ke ibarat ka baqya hissa...

-Aur Jamaatul Muslimeen Ki wehdat Ko Firqon Ki Kasrat Main Tabdeel Kerkay

Muslim Quwwat Ko Muntashir Kerdia.-

-Shumaara 15 Rabiulawal 1377 P7-.

-Kyu Kay Ameer e Jamaatul Muslimeen Unko Quran O Hadees Per Lay Ker Chalayga.-

-Saheefa e Ahle Hadees Karachi 16 Jamadi us Sani 1389 P19-.

Quran e Majīd Ahadīs Tarīkh Aimma o Muhaqqiqīn yaha tak k FIRQA E AHLE

HADEES K APNE ULAMA AUR JARAAID se bhi SIRF JAMAAT UL

MUSLIMEEN ka suboot mil raha hai na k kisi FIRQA AHLE HADEES KA... Kia Itni

Shahadato Kay Baad Bhi Aap Mehaz Feham aur Gumaan Ki Pairwi karaingay??

Page 12: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

-JAMHOORIAT-

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN is nizam e jamhooriat ko gair Islami balkay kūfr o shirk

samajhti hai jab k Ahl-e Hadīs ke zailee firqo meń se kūch aise hai jo Jamhooriat ke

LĀT O MANĀT ko is qadr taqviat dete haiń k ELECTIONS meń bāqaida apne

nūmainday kharay karte hain.

Yahań tak ke JAMĀ’AT ŪD DAVAH jo is se qabl Jamhooriat ko Magribi Gair Islami

nizam qarār deker is se ijtinab karte the unke Peshawar spokesman ne Angraizi akhbār

DAWN ENGLISH ko 29.4.13 ke din interview meń bataya ke - AGARCHAY

JAMHOORIAT AIK KAMIL NIZAM NAHIN LEKIN YE ELECTION BOHT AHAM

HAI AŪR HŪM APNE KARKŪNĀN KO KEHTE HAIN KE VOH VOTE DĀL KAR

APNA HAQ E RAEY DAHĪ ISTIMĀL KARAY.

ALHAMDULILLAH JAMAAT-UL-MUSLIMEEN aise POLICY Ū TURN se bezār

hai. KYA ĀP AISE DOHRAY MAYAR RAKHNE VALON KO ISLAM KA ALAM

BARDĀR SAMAJHTE HAI?

Ye to āj ELECTION DAY ke mūnasibat se kuch FIRQA E AHL-E HADĪS ke haqīqat

hai.

Ab is SMS series ka ikhtitām par hamari gūzārish hai ke JAMAAT-UL-MUSLIMEEN

HAQ AŪR FIRQA E AHL-E HADĪS MEŇ FARQ apkay samnay hai. Hamari koshish

hai ke āp tak KHALIS ISLAM AŪR ŪMMAT-E-VAHIDA KA AMALI TASAVVŪR

PAISH KIYA JĀ’EY. Āgay apka apna faisla hai. Akhir meń chand savalāt.

SAVĀLAT:

1. Kya Nabi ملسو هيلع هللا ىلص JAMAAT-UL-MUSLIMEEN ke IMĀM the ya FIRQA AHL-E

HADĪS ke?

2. ISLAM jab mūkammal hūwa kya FIRQA AHL-E HADĪS ka vūjood ūs vaqt tha?

3. Agar nahiń tha to phir is nām se FIRQA banalena kya ISLAM meń izafa hūva ya

nahiń?

4. Kya āp Firqavarana Mūrakkab nām AHL-E HADĪS ka sūboot QŪRAN O HADĪS se

de sakte haiń?

5. Agar āp ye Sūboot hamay na desakay to kal ALLAH ke darbār meń de sakenge?

6. Kia voh shakhs jo kahay ke main AHL-E HADĪS nahiń hooń balkay MŪSLIM hooń

kya āp ūko GŪMRAH samajhte hai?

7. Agar aisa shakhs Haq par hai to phir Haq Aik hi ho sakta hai lihāza MŪSLIM hona

hi Haq hūva na ke AHL-E HADĪS.

Page 13: Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq

8. Agar ko’ī ye kahay ke main MŪSLIM nahiń kia voh Haq par hosakta hai?

9. Jab EISA Alaih Salaam tashrīf layeinge to voh MŪSLIM hońge ya AHL-E

HADEES?

10. Paidāishi bachcha MŪSLIM hota hai ya AHL-E HADĪS?

JAWAB DIJYE

ISHHADU BI ANNA MUSLIMOON

Series End - Regards khurram shaban - shahid Ali sahab jamaat ul muslimeen