ka tareeqa namaaz pardhne...rahe , aur hatheliyaan bichi ho, aur ungliyan qible ki taraf ho, aur kam...

18
KANZULIMAN ISLAMIC LIBRARY ROMAN (URDU) SERIES NAMAAZ PARDHNE KA TAREEQA extracts from Jannati Zewar a guide for Muslim Women PUBLISHED BY WOMEN'S DIVISION (ISLAH UL MUSLIMA) Kanzuliman Foundation www.Kanzuliman.org/women

Upload: others

Post on 25-Jan-2021

11 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

  • KANZULIMAN ISLAMIC LIBRARYROMAN (URDU) SERIES

    NAMAAZ PARDHNEKA TAREEQA

    extracts from Jannati Zewara guide for Muslim Women

    PUBLISHED BYWOMEN'S DIVISION (ISLAH UL MUSLIMA)

    Kanzuliman Foundationwww.Kanzuliman.org/women

  • Namaaz Pardhne ka Tareeqa‘Extracts from Jannati Zewara guide for Muslim Women’

    Compiled byAyesha Siddiqa Razawiya

    Haad of Women's division (Islah ul Muslima)Kanzuliman Foundation

    Copyleft by Kanzuliman Islamic Library

    1st Floor Khanqah Aaliya Qadriya Razawiya Nooria TehsiniaDargah Huzoor Sadrululama, Bareilly Shareef

    06 July 2020

    Version 1.0

    [email protected]

    Please include the name of the book in the subject of your mail for specific queries or comments. Permission is hereby granted to reproduce or utilise this material in any form or by any means,electronic or otherwise ,as long as the content remains unchanged. Thisbook is also made freely available by Kanzuliman Islamic Library and canbe downloaded fromwww.kanzuliman.org. Permission is granted to anyoneto print this book for free distribution. Kanzuliman Foundation or any ofits divisions does not benefit financially from the sale of books, nor solicitsany royalties. Permission is also granted to publishers to reprint in their ownname provided the following notice is included in the colophon: “Reprintedwith royalty-free permission from Kanzuliman Foundation".

  • COMPILED BY

    AYESHA SIDDIQA RAZAWIYYAHEAD OF WOMEN'S DIVISION (ISLAH UL MUSLIMA)

    KANZULIMAN FOUNDATION

  • Part (1)

    Namaaz Pardhne

    Namaaz padhne ka tariqa ye hai ke Wazu karke Qible kitaraf Muh kare.Aur is tarha khada ho ke dono Pairon kedarmiyaan 4 ungul ka fasila rahe.Aur dono Hathon ko donoKano tak uthaye ke dono angothe dono Kanon ke Lou se chujaye.Baqi Ungliyon apne haal per rahen.Na bilkul mili huwina bahot phaili huwi. Is haal me ke Kano ki Lou chute huwedono Hatheliyan Qible ki taraf hoon aur nigah Sajde ki jagahper ho.

    Phir Niyyat karke Allahu Akbar kehte huwe Hath neeche lakar Naaf ke neeche is tarha bandh len ke  dahni hatheli kigaddi bayen Kalayi ke sare per pahonchon ke pass rahe, aurbeech ki 3 Ungliyon Kalayi ki peet per, aur Angotha aur chotiUngli Kalayi ke aghal baghal halkhe ki surat me rahe.

    Phir Sana padhe.Phir Ta'awuz aur Tasmiya phir Al-hamdShareef puri padhe,aur khatam per aashista Aameen kahe.

    Iske baad koi Surat ya 3 Aayaten ya 1 lambi Aayat jo 3Aayaton ke barabar ho padhen.Phir Allahu Akbar kehte huwe Ruku me jaye.

    To be Continued.. In Sha Allah.

    ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (2)

    Namaaz Pardhne

    Aur Ghutno ku hathon se is tarha pakde ke  Hatheliyan donoGhutno per ho aur Ungliyon khoob pahili ho aur Peet bichiho aur Sar Peet ki barabaar ho uncha neecha na ho aurnazar Pairon ki pusht par ho. Aur kam se kam 3 martaba"Subhana Rabbi'al Azeem" kahe. Aur akele Namaaz padhtehain to iske baad

    "Rabbana Lakal Hamd " bhi kahe.Aur dono Hath latkayerahe.Hathon ku bandhe nahi.

    Phir Allahu Akbar keh kar Sajde me jaye, is tarha ke  pehleGhutna Zameen per rakhe phir Hath , phir dono hathon kedarmiyaan me Sar rakhe, is tarha par ke  pehle Naak Zameenper rakhe, phir Matha aur Naak ki haddi ku daba karZameen per jamaye , aur Nazar Naak ki taraf rahe , aurbazuon ku karwaton se aur Pet ku Rano se aur Rano kuPindliyon se juda rakhe , aur paon ki sab ungliyoun ku Qibleki taraf rakhe , is tarha ke ungliyon ka pet Zameen per jamarahe , aur hatheliyaan bichi ho, aur ungliyan Qible ki tarafho, aur kam se kam 3 baar "Subhana Rabbi'al A'la".kahe (ُسْبحَاَن َربَِّي اْألَْعَىل) 

    To be continued.. In Sha Allah Ta'ala

    ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (3)

    Namaaz Pardhne

    Phir Sar uthaye is tarha ke  pehle Matha phir Naak,phir Muh, phir Hath aur Dahina Qadam khada karkeiski ungliyan Qibla Rukh kare aur bayan Qadam bichakar is per khoob seedha baith jaye , aur hatheliyanbicha kar Rano per Ghutno ke pass rakhe is tour perke dono hathon ki Ungliyon Qibla rukh hoon, aurungliyon ka sira ghutno ke pass ho, phir zara teharkar Allahu Akbar kehte huwe dosra Sajda kare, yeSajda bhi pehle ki tarha kare,

    Phir Sar uthaye aur dono Hathon ko ghutno per rakhkar Panjon ke bal khade ho jaye,uthte waqt bila uzrHath Zameen per na teke.Ye Ek Raka'at puri ho gayi.

    Ab phir Tasmiya padh kar Al-hamd puri aur koi Suratpadhe aur pehle ki tarha Ruku aur Sajda kare.

    Ref : Jannati Zewar

    To be continued.. In Sha Allah Ta'ala

    ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (4)

    Namaaz Pardhne

    Phir jab Sajde se sar uthaye to dahina Qadam khada karkeBayan Qadam bicha kar baith jaye, aur Attahiyat padhe.Isku Tashahhud kehte hain. Jab Ashadu Allah ke qareebpahonche to dahine hath ki beech ki ungli aur angothe kahalkha banaye aur choti ungli aur uske pass wali ungli kuhatheli se mila de aur lafz "Laa" per kalme ki ungli uthayemagar idhar udhar na hilaye , aur "Illa" per girade.Aur sab ungliyan fouran seedhi kare,

    Ab agar do se ziyada Raka'aten padhni hai to uth khade hojaye,aur isi tarha padhe ,Magar Farz ki in Raka'aton me Al-hamd Shareef ke sath Surat milana zaruri nahi, Ab pichlaqaida karne ke baad Namaaz khatam kare, Is me tashahhudke baad Darood a e Ibraheem padhe,phir Dua e Masurahpadhe.Phir dahne shane ki taraf muh karke

    "Assalamualaikum wa rahmatullah" kahe, phir bayen shane ktaraf muh karke kahe. Ab Namaaz khatam ho gayi iske baaddono hath utha kar koi dua maslan Allahumma Antas-Salampadhe aur Muh per hath pher len.

    To be continued.. In Sha Allah Ta'ala

    ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (1)

    Namaaz mein

    Takbeer-e-tahrima

    Awraton ku chahiye ke Takbeer-e-tahrima ke waqtmardon ki tarha kano tak hath na uthayen,

    balke sirf mondhe tak hi hath utha kar bayen hatheliseene per rakh kar iski peet par dahni hatheli rakhe. 

    Ruku

    Ruku me ziyada na jhuke, balke thoda jhuken, yani sirf isqadar ke hath ghutno tak pahonch jaye.

    Isi tarha awraten ruku me peet seedhi na karen , aurghutno per zoor na den, balke mahaz ghutno per hath

    rakh den, aur hathon ki ugliyan mili huwi rakhen , aurpaon kuch jhuka huwa rakhen, mardon ki tarha khoob

    seedha na karden.

    Ref: Jannati Zewar

    Islah-ul-Muslima

    Awraton ke chandKhaas Masail

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (2)

    Namaaz mein

    Sajda

    Awraton ku bilkul simat kar Sajda karna chahiye, yanibazu ku karwaton se mila den, aur pet ku raan se aur

    raan ku pindliyon se aur pindliyoun ku zameen semiladen,

    QaidaQaide me Aatahiyat padhte waqt awraten bayen qadamper na baithen, balke dono paon dahni janib nikal den

    aur bayen suarain per baithe, mardon ki tarha nabaithen.

    Awraten bhi khadi ho kar Namaaz padhen, bahot si jahilAuraten Farz o Wajib aur Sunnat o Nafil sari Namazen

    baith kar padhti hain, ye bilkul galat tariqa hai.

    Ref: Jannati Zewar

    Islah ul Muslima

    Awraton ke chandKhaas Masail

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (3)

    Namaaz mein

    Nafil ke siwa koi Namaaz bhi bila uzr ke baith kar padhnijaiz nahi,ye jahil awraten Farz o Wajib jitni Namazen

    baghair uzr baith kar padh chuki hain un sab Namaazonki qaza karen.Aur tauba karen.

    Mas'alaAwrat mardon ki imamat karen ye najaiz hai, hargiz

    awrat mardon ki Imam nahi ban sakti. Aur sirf awratonki jam'at ke awrat hi Imam ho aur awraten hi muqtadi ho

    ye makru e tehrimi aur najaiz hai.

    Mas'ala Awraton per Jumma aur Edian ki Namaaz wajib nahi.Panj waqta Namazon ke liye bhi awraton ka masjid me

    jana mana hai.

    Islah-ul-Muslima

    Awraton ke chandKhaas Masail

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (1)

    Namaaz k baad

    Namaaz ke baad bahot se duaon ke padhne kaHadeeson me zikr hai, Unme se jis qadar padh sakepadhen.Lekin Zohar o Maghrib Isha me tamam wazaifsunnaton se farigh hone ke baad padhen. Sunnat sepehle muqtasar dua per qina'at chahiye .Warnasunnaton ka sawaab kam hogayega iska khiyal rahe.(Raddul Muqtar )

    FaidaHadeeson me jin duaon ke bare me jo ta'dad muqarrarhai, isse kam ya ziyada na karen.Kyunke jo fazail induaon ke hain o inhi adadon ke sath maqsoos hain,inme kam o beshi karne ki misal ye hai ke tala kisikhaas qisam ki kunji se khulata hai to agar is kunji kedandane kuch kam ya zayid kar den to usse o tala nakhulega.Haan albatta agar ginti shumaar karne meshak ho jaye to ziyada kar sakte hain aur ye ziyadakarna ginti badhane ke liye nahi hai. Balke ginti kuyaqini tour per puri karne ke liye hai.

    (Raddul Muqtar )

    Zikr-o-Dua

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (2)

    Namaaz k baad

    Ek Masnoon Wazifa

    Har Namaaz Ke Baad 3 Martaba "Astaghfar" Aur 1 Baar "Ayatul Kursi" Aur

     Ek Ek Baar "Qul Huwallahu" aur "Qul Auzu Bi Rabbil Falaq" aur

     "Qul A'uzu Bi-Rabbi-n-Naas" aur SubhanAllahi 33 Baar,

     Alhamdulillahi 33 Baar,Allahu Akbar 34 Baar, aur

    ال اله اال هللا وحده ال شريك له، له الملك وله الحمد، وهو)(عىل كل شيء قدير

    1 Baar Padh len.to Iske Gunah Baksh DiyeJayenge Agar Che Samadar Ke Jhag Barabar ho,

    Aur Wo Na Murad Nahi Rahenge.( Muslim Shareef)

    Islah-ul-Muslima

    Zikr-o-Dua

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (1)

    Witr ki NamaazWitr ki Namaaz Wajib hai. Agar kisi wajah se Witr kiNamaaz waqt ke andar nahi padhi to Witr qazapadhni wajib hai.( Aalamgeeri j:1 s:104 waghaira)

    Namaaz e witr teen(3) Raka'at ek salaam se hai. Do(2)Raka'at per baithen aur sirf aatahiyat padh kar tesriRaka'at ke liye khada ho jaye.Aur tesri Raka'at me bhiAl-hamd aur Sura padhen .Phir dono hath kano ki loutak uthaye aur "Allahu Akabr " keh kar phir hathbandh len.Aur Dua-e-Qunoot padhen.Jab Dua-e-Qunoot padh chuke to "Allahu Akbar" keh kar Rukukare aur baqi Namaaz puri kare.Dua e Qunoot image me dekhen.

    Note:Dono hath kano ki lou tak uthana ye Mardon ke liyehai, Awraton ko sirf mondhe tak hi hath uthanachahiye.

    Ref: Jannati Zewar

    pardhne ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (2)

    Witr ki NamaazMas'alaJo Dua-e-Qunoot na padh sake to o ye padhenْنَيا َحَسَنًة َوِفي اآلِخرَِة َحَسَنًة َوِقَنا َعَذاَب النَّارِ اللَُّهمَّ َربََّنا آتَِنا ِفي الدُّAur jisse ye bhi na hosake to teen(3) martabaاللهم اغفر ليPadehen.Uski namaaz e witr ada ho jayegi.(Aalamgeeri j:1 s:104)

    Mas'alaDua-e-Qunoot Witr me padhna wajib hai.Agar bhool karDua-e-Qunoot chood diya to Sajda e Sahu karna zarurihai.Aur agar qasdan chod diya to Witr ko dohrana padega.(Aalamgeeri j1 s:104)

    Mas'alaWitr ke siwa aur kisi Namaaz me Dua-e-Qunoot napadhen.Haan albatta agar musalmano per koi bada hadisawaqi'e ho to Fajr ki dosri Raka'at me Ruku se pehle Dua-e-Qunoot padh sakte hain isko Qunoot-e-Naazilah kehtehain.(Dur al Muqtaar wa Rad al Muhtaar j:1 s:54 )

    Ref: Jannati Zewar

    pardhne ka Tareeqa

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (1)

    Namaaz FasidNamaaz me bolne se Namaaz toot jati hai chahejaan boojh kar bole ya bhool kar bole, ziyadahbole ya ek hi baat bole , apni khushi se bole yakisi ke majboor karne se bole ba-har suratNamaaz toot jayegi.Isi tarha zabaan se kisi kosalaam kare qasdan ho ya sahwan Namaaz jatirahegi.

    Younhi Salaam ka jawaab dena bhi Namaaz kofasid kar deta hai. Kisi ki cheenk ke jawaab me "Yarhamuk Allah" kahe.Ya khushi ki khabar sunkar " Alhamdulillah" kahe ya buri khabar sun karا ِإلَْيِه َراِجعوَن". Kahe to in suraton me..ِإنَّا لِلِّه َوِإنـَّNamaaz toot jayegi.,

    Lekin agar khud Namaaz padhne wale ko cheenkaayi to hukm ye hai ke chup rahe.Lekin agarAlhamdulillah keh diya to us ki Namaaz fasidnahi hogi.

    karne wali cheezein

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (2)

    Namaaz FasidNamaaz padhne wale ne apne Imaam ke ghair koluqma de diya to uski Namaaz fasid hogayi.Aur agarusne luqma le liya to uski bhi Namaaz jati rahegi aurghalat luqma dene se luqma dene wale ki Namaaz jatirehti hai.

    هللا أكبر"( Allahu Akbar ) ke alif ko kheench karAaallahu Akbar ) kehna ya ) ا'لله أكبر " "( Akbar ) أكبر" ko(  Aaakbar )'اكبار kehna Namaaz ko fasid kar deta hai.

    Isi tarha نَسَتِعیُن , ko Alif ke sath نَسَتاِعیُن Padhne Aurَت ke اَنَعمَت  ko pesh ya zeer yani ِاَنَعمت ya ُاَنَعمَت padhne se bhiNamaaz jati rehti hai.

    Aah, ufff, tufff, durrr, ya musibat ki wajah se kahe yaAawaaz ke sath roye aur kuch huruf paida ho jaye toin sab suraton me Namaaz toot jayegi.

    karne wali cheezein

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (3)

    Namaaz FasidMareez ki zabaan se halat e Namaaz me be-ikhteyaar aah, ya oohh, ya haaye, nikal gaya toNamaaz nahi tootegi. Isi tarha cheenk, khansi ,jamahi aur dakaar me jitne huruf majburan zabanse nikal jate hain maaf hai. Aur inse Namaaz nahitootti.

    Danton ke andar koi khane ki cheez atki huyi thi,Namaaz padhte huwe zabaan chala kar isko nikalliya aur nigal gaya. Aagar wo cheez chane kimiqdaar se kam hai to Namaaz makruh hogayi.Auragar chane ke barabar hai to Namaaz toot gayi.

    Namaaz padhte huwe zoor se qehqaha laga karhasn diya to Namaaz bhi toot gayi aur wazu bhitoot gaya. Phir se wazu karke naye sire se Namaazpadhe.

    Awrat Namaaz padh rahi thi bachche ne uskichaati chusi agar doodh nikal aaya to Namaaz jatirahi.

    karne wali cheezein

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

  • Part (4)

    Namaaz FasidNamaaz me kurta ya paijama pehna ya tehband bandha yadono hath se kamar bandh bandha to Namaaz toot gayi.

    Ek rukn me 3 baar badan khujlane se Namaaz toot jati hai.3martaba khujlane ka ye matlab hai ke ek martaba khujlayaphir hath hata liya phir khujlaya phir hath hata liya, phirkhujlaya, ye 3 martaba ho gaya aur ek martaba hath rakh karchand martaba hath ko hila kar khujlaya magar hath nahihataya aur baar baar khujlata raha to ye ek hi martabakhujlana kaha jayega.(Aalamgeeri jild 1 safa 92 waghaira)

    Namaazi ke aage se guzarna Namaaz ko fasid nahikarta.Kwaah guzarne wala mard ho ya awrat lekin Namaazike aage se guzarne wala sakht gunahgaar hota hai.Hadees me hai ke Namaazi ke aage se guzarne wala janta keus per kya gunah hai to wo zameen me dhans jane koguzarne se behtar jaanta.

    Ek dosri Hadees me hai ke Namaazi ke aage se guzarne walaagar jaanta ke us me kitna bada gunaah hai to chalis (40) dintak khade rehne ko guzarne se behtar jaanta.Raawi kabayaan hai ke my nahi jaanta ke Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne chalis(40) dinkaha ya chalis(40) mahine ya chalis(40) baras.(Tirmidhi  jild 1 safa 45)

    karne wali cheezein

    Kanzuliman FoundationTo join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us