mareez kansar kay jarsumay say nahain marta
TRANSCRIPT
MAREEZ
KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Az:
Maqsood Hasni
Paish'kar:
Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016
Farist mazamein
1- Mareez kansar ke jusomay se nahain marta
2- Motwazan ghaza ka masla
3- Kansar koee fooq-ul-fitrat bimari nahain
4- Alaj moaljay se pehlay khamir ke ajza par ghoor ki
zarorat
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Cencer koee Fooq-ul-Fitrat bimari nahain hai.
Is kay jarsumay say bohat kam mareez fori
toor par martay hain. Mareez kay marnay ki
aur bohat sari vajohaat ho sakti hain. Oon
main say chand eak ka zikar kar raha hoon
ta'kah yah samjha ja sakay kah yah maraz
Qabal-e-Alaj hai aur is ka shakar honay walay
mareez ko mout kay monh main janay say
ba'khobi bachaya ja sakta hai aur is ka koee
mehnga alaj bhi nahain. Issay Daktar Hazrat ki
mali havas aur maal kamaee mohim kay
hawala say mehnga samjh aur mehnga bana
diya giya hai.
MAREEZ KAY MARNAY KAY ASBAAB
Jahalat
Soni sanaee batoon par yaqein kar laina
Pehlay say teh kar laina kah is maraz ka koee
alaj nahain aur mareez ki mout yaqini aur
teh'shuda baat hai.
Ghurbat
Zati aur logoon say sonay sana'ay totkoon par
inhasar aur oon ka bila takalluf istamal.
Ta'hum yah tootkay ba'maeni aur la'yaeni bhi
nahain hotay. In kay istamal kay moamla main
ihtayat ki bari zarorat hoti hai.
Alaj ki taraf tavajo karnay main dairi
Is ka matlab yah nahain kah dusri ya taisri
stage samjh kar mareez ko maraz kay
rehm-o-karam par choor diya ja'ay. Allah
karim nay her sata kay liay koee na'koee hal
zaroor rakha hai. Kisi cheez ko imkan say
bahar nahain rakha. Os ka kehna hai kah
masusi gonah hai.
Mareez par khool diya jata hai kah ossay
kansar hai. Woh yah son kar hi adha mar jata
hai. Yah os ta'asar ka natija hai kah yah maraz
na qabal-e-alaj hai aur aakhar mout mareez
ka moqadar teharti hai.
Yah ta'asar kah is maraz ka alaj hamaray haan
mumkin nahain, bazaat-e-khud mout hai
halankah baroon-e-mulak is marz ka alaj
momkin hi nahain. Apnay hi alaqa main is ka
alaj momkin ho sakta hai.
Haspataloon main Daktar Hazraat ki
bila'moavza mareez kay moamla main tasahal
pasandi,
check up main dairi aur la'parvahi
Mareez ko koee relief dainay say pehlay
testoon ki bhar'maar.
ya mehz pain killer adviyaat ka istamal
ya nasha'aawar adviyaat daina takah mareez
sakoon se soya rahay aur ghar walay samjhain
mareez behtari ki taruf aa raha hai.
Testoon ki report main dairi baz reports to
mareez ki mout kay baad mosool hoti hai
Alaj ka aghaz baray zalam injectionoon aur
sakht tarein adviyaat say kiya jata hai. Jab'kah
os waqt tak mareez ki madafti qovatain
intahae kamzoor par chuki hoti hain. Is tara
ossay dou mahazoon par larna parta hai.
Natija-e-kar Kamzori kay baes shakast-e-fash
say dou char hoti hain.
Gher mayari adviyaat ki dasyabi aur oon ki
dasyabi main roak toak/check na hona
Mareez ki aiyadat ko aanay walay, khsusan
mohtaram khatein ki hum'dardi aur
rikat'aamaiz guftagu khatam kar daiti hai.
Attendant ki martay shakas kay sath ka sa
rovaeya, andaz aur salook
Maraz say mail na khati ghaza,
moashi-o-masharti tafakraat, malawat, girani,
ganda pani, na'gowar mahool aur fiza,
gharailu jhagray martay shakas ka sa salook
aur ravaeaya.
Daktar aur is paisha say motalaq amlay ka
qisabi rovaeya.
Mareez ko mareez say ziyada maal kamanay
ka zariya samja jata hai. Daktaroon ki yah ada
na'siraf insaniat ka qatil hai bal'kah samaji
juram bhi hai.
Kaam say faragh karkay achay aur araam say
din gozarnay aur Allah Allah karnay ki talqein
karna.
Research ka qehat aur foqdan
Siraf Allopathic par iktafa aur issay hi
mawa-o-malja samjh laina aur digar tariqa
ha'ay alaj ko bai'kar qarar day diya jana
Mareez ko alag thalag se mukhlooq qarar day
daina aur karobar e hayat say faragh kar
daina
Pain killer adviyaat ka bila'daraigh aur
bai'tahasha istamal.
Dard door karnay ka chara karna bura nahain
laikin assal maslay ki taraf tavajo pehli tarji
hona chahiay, jo sanvi darja ikhtayar kar gaee
hai
Baray fakhar say bazari ashya-e-khudni ka
istamal
Chatpati, khati mithi aur taizabiat bananay
wali ashya ka ba'kasrat istamal.
Sabzioon main, gher combination rakhnay
wali ashya ka pakwan
Masalai'dar pakwan
Bachay ko, sinay kay hosan ko barqarar
rakhnay kay liay dudh na pilana. Jab'kah dudh
pilana bacha aur zacha, donoon kay liay zarori
hai
Pistanoon say bachay ka Sar lagna/takrana ya
kisi aur hawala say bai ehtayati
Qabaz ka matwatar rehna
Jald hazam na honay wali ashya ka istamal
Sabzi kay qimati aur ossay mutwazan rakhnay
walay ajza ko kat phankna (Chilka baij
waghera)
Khana kha kar lait rehna
Paidal chalnay ka ravaj kam ya khatam sa ho
jana
Kisi choot kay moamla main bai'ehtyati aur la'
parwahi bartna
Parishni, fikar'mandi, dukh waghera
Dhowaan (smoke)
Veham
Nasha aawar ashya ka istamal.
Takleef main nasha day kar sola dainay ka
rujhan
Othtay hi high potency anti-biotic ka istamal
ya in ka omomi istamal
Bayak'waqt dou dou antibiotic adviyat ka
istamal
Aaram talbi
Sadgi say dori
Balgham ka akhraj rokna
Operations
(Eak fisad sahi, laikin yah sabab zaroor hai)
Opertion se ziyada koee khatarnak amal
nahain. Issi ke baes mareez mout ke monh
main chala jata hai.
Moaljay mai baitara ki kotahi; maslan bokhar
hota hai bukhar otarnay ki dwa di jati hai
bukhar to koee bimari hi nahain ya pait main
dard hota hai to Buscopan waghera day daitay
hain halan'kah tap aur dard kisi aza kay amal
main kharabi ki nishan'dahi hai.
Khana khanay kay foran baad cha'ay laina.
Garam garam cha'ay pi laina
Bachay ko zamein par khailnay say mana
karna
Sehat kay moamla main adam'tovajgi
Sadma,
Kal parsoon ki baat hai, eak sahib ko pitay ka
kansar tha woh aaghi say pehlay dard main
sahi, ji raha tha. Jonhi ossay maloom howa to
heart attack say chal basa.
Mairay khayaal main ossay kuch din aur
bimari kay sath jina tha. Kansar itni jaldi kab
marnay daita hai. Bohat waqt daita hai aur
phir tarpa tarpa kar marta hai.
Eak hanstay aur katay pitay aadmi kay hath
ghalti say kansar kay mareez ki report thama
di gaee. Woh dinoon main soch soch kar lakri
ho giya. Kansar ka moalja shuro ho giya. Her
aglay din halat kharab hoee. Ossay dobara say
test ka mashwara diya giya. Ossay siray say
yah maraz tha hi nahain. Yaqein manain woh
eak haftay kay andar andar phir say pehlay sa
ho gya.
Libas aur colors main tabdili na lana
Mutbadlaat ka nazar andaz hona.
Jis tara saieb/apple ka mutbadal gajar hai.
Taza gajar, saieb/apple kay hotay gajar kay
morabay kay khanay ka kya jawaz hai
Zana'kari,
Jo khoof pashmani aur aza-e-raesa ki kamzori
ka sabab banti hai
Viraj ka ziya na'qabal-e-talafi noqsan hai. Is
liay Zana'kari say ijtanab intahaee zarori hai.
Issi tara hum'jinsi aur janwaroon se ghalt'kari
madafti qovatoon ko mout ke ghat otaranay
ke motraduf hai.
Islam main char shadioon ka jaez hona
bai'maeni aur bila'jawaz nahain hai.
Bhook rakh kar na kana.
Allah kay naam say aaghaz na karna aur
ikhtatam par Allah ka shukar ada na karna.
Dant ki gher monasab safaee ya mail na khati
paste ka istamal.
Yah bhi kah miswak ko nazar andaz kya jana
Nakhan bharana ya oon ka baqaedgi say kata
na jana
KUCH MAZEED BATAIN
Aakhar dudh, podinay, dhnay, anar danay,
tulsi ya sada kachay piyaz kay sath roti
khanay main kya kharabi hai.
Mati kay bartan main khana kayoon nahain
pakaya aur khaya ja sakta.
Gharay ka pani pinay main kya boraee hai?
Kuch khanay kay baad tein bar koli kar lainay
main yaqinan kuch kharach nahain aata.
Neem kay patay, haldi, phatkari, namak milay
pani par pishaab karnay main koee kharach
nahain aata.
Mosam kay sastay phal khanay say qudrati
toor par RBCs aur WBCs ki tarkeeb-o-tashkeel
main madad milti rehti hai .
Bazahar in main say kuch chaizain kansar say
motalaq maloom nahain hotien laikin yah
chizain/batain kisi bimari ko takleef ponchati
hain. In ka na hona kisi na'kisi bimari ka
sabab banta hai. Jo aagay ja kar shifa'yabi na
honay ki surat main kansar ka roop dhar laiti
hai. Yah sada aur mamoli chizain modafti
qowatoon ko sakti se nawazti hain.
Sun Oct 26, 2008 1:46 pm
_________________
chahsanashraf
Moderator
Bahawalpur
Ap na bilkul tak laka ha ma na kudh is ke
taklef ko apni eyes sa daka ha boot taklef hoti
ha mariz ko Allah raham kara
Sun Oct 26, 2008 3:00 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
kansar-----------
tovajo k liay shukar gozar hoon.
jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k
tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka
kaam ho sakay.
Sun Oct 26, 2008 3:25 pm
_________________
chahsanashraf
Moderator
Pakistan
Dr Maqsood Hasni wrote:
tovajo k liay shukar gozar hoon.
jo aap nay daikha likhain ta'kah aap k
tajarbay ki roshni main mazeed tehqeeq ka
kaam ho sakay.
mari papo ko chest cancer ho jia tha ajj sa 3
years pahla pir chest ko remove kar dia
doctor na lakin cansor backbon ma cala jia tha
ore boot taklif the pir calna pirna katam ho jia
Dr na kamya thropy shoro ke gis ka allag sa 4
mount ma per sa calna pirna soro kar dia pir 4
sa 5 mount bad acank dard hova ore isi rat ko
death ho gie is pora arsa ma takreban 2 sal ho
jia tha
Sun Oct 26, 2008 3:44 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
kansar-----------
Allah sahib oon ko jannat main jaga day aur
oon ki rooh ko sakoon day
agar mazeed kuch bata dain gay to mumnoon
hoon ga.
_________________
http://www.forumpakistan.com/mareez-kansar-kay-jarsumay-
say-nahain-marta-t17362.html#ixzz4GGZIXh9p
Motwazan ghaza ka masla
Baigun arbi/aalu ho ya shalgum; kado ho ya
ghiya tori, karailay hoon ya bhindi tori ho ya
goasht mufrad ya marakab, ghobi aalu ho ya
faraee tainday, sab apni zaat main apnay
tamam tar ajza kay sath mokamal aur
motwazan ghaza hain.
In main say her koee ghee, tamatar/dahi,
adkar (Adrak), thoom piyaz waghera say
marakab ho kar aur aatesh milnay kay baad
pakwan kay darja par faez ho kar matwazan
ghaza ka darja hasal kartay hay.
Her pakwan eak waqt hi khaya jata hai.
Dosray waqt koee aur cheez li jati hai.
Bawar rehna chahiay salan kay sath chapati
bhi lazma rehti hai. Lowazmay main salad bhi
dastar khan ka hissa banta hai.
Dosray waqt ki khorak kay darmiyan main
hum kuch na kuch zaroor khatay rehtay hain.
Goya hamaray jism ko kisi na'kisi hawala say
22 ouns khorak din main mil hi jati hai.
Issi tara mithay main kheer ho kah kastad,
gajar ka halwa ho ya sohan halwa matloba
zarorat ko pora kartay rehtay hain.
Jo cheez hum pasand nahain kartay aur ossay
khorak nahain banatay os ka motbadal
hamari khaesh farahum kar daiti hai.
Khorak ko motwazan karni ki fikar main hum
gher zorori chizain kha jatay hain jo faeday ki
baja ay noqsan ka sabab banti hain. Khorak ko
aam sada aur gharailu sa rakheay. Takalfaat
say dori hamain bimari say door rakhti hai.
_________________
Sun Nov 30, 2008 9:54 pm
amber ali
5 Star Member
LONDON
thanks 4 good info
Sun Nov 30, 2008 10:33 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
Allah Sahib aap k zooq-e-aaghi ko barkat day
_________________
Sun Nov 30, 2008 11:50 pm
urfi67
Forum Family Member
keep it up , Dr Hasni
Mon Dec 01, 2008 9:45 am
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
۔ے شکر گزار ہوںیتوجہ کے ل
ح آپ کوخوش رکھے ۔ہ ص
ںیل رکھین ک خیاپن اور اپنے والد
http://www.forumpakistan.com/motwazan-ghaza-ka-masla-t1
9016.html#ixzz4GGpKU5Kc
KANSAR KOEE FOOQ-UL-FITRAT BIMARI
NAHAIN
Her bimari kisi na'kisi androni aza main
tabdiliz/kharabi ka natija hoti ab mein kehta
hoon gher mehsous andaz say mojoda aur adi
mamolaat main tabdili laee ja'ay to is say
mairi marad androni aur bahar kay mamolaat
hotay hain.
Baroni tabdiliaan:
1- Majoda rehan sehan aur os say
motalqaat
2- Naya mahool aur na'ay atwar ki farahmi
3- Mosamoon ki tabdili
4- Othnay baithnay kay momolaat
5- Khanay pinay ki tarteeb
6- Khanay pinay kay oqaat main tabdili
7- Pasand na'pasand main tabdili
8- Pasand na pasand ki tarteeb main
tabdili
9- Her qisam kay tasalsal aur tawatar ko
tabdeel kya ja'ay
10- Roz mara kay momolaat tabdeel ki'ay
jaein
11- Rangoon ki viraity tabdeel hoti rehni
chahiay
12- Nafrat say mohabat aur mohabat kay
mamolaat aur atwar main tabdili
13- Tovajo batanay kay sabqa atwar
14- Doctor ki sar par sawari taqriban
khatam ki ja'ay mareez kay sath
sath
motalqein say rabta bananay ko bhi
tarji main rakha ja'ay.
15- Aanay janay kay rastoon tak main tabdili
laee ja'ay
16- Jism ko eak hi dwa ka adi na banaya jay
lihaza adviyaat main dosray chothay tabdili
laee ja'ay ya kam az kam oon kay oqaat
tabdeel kartay rehna chahiay
17- Khanay porana hai to bartan pehlay walay
na rahain
Androni aza kay function main tabdiliaan
lanay ki baat bila shuba hiran'kon aur
ahmqana si lagti hai laikin yah otna hi zarori
hai jitna baroni tabdilioon ka lana zarori hota
hai. Masan
a- khorak ki tabdili say
b- walk aur warzesh kay mukhtalif harboon
say
c- sochoon main tabdili la kar
d- jumla havas par mukhtalif hawaloon say
asar andaz ho kar
e- mosmoon kay tafawat kay zariay
f- Mashrobaat main tabdili say
g- Khush rakh kar
h- Tarjihaat main tabdili la kar
i- chalnay prirnay aur othnay baithnay ke
andaz o atwar badal kar
j- badal badal kar saman-e-tafree farahum
kiya j'ay.
Adviyaat main
Calc flour (6) TDS yaeni tein martaba
siraf char qatray pani main dal kar
Kali Phos (30) OD yaeni eak martaba,
khas tour par sotay waqt.
preshani ya kisi afsurda halat main dohraein
Ka kisi bhi surat main naga nahain hona
chahiay.
Digar main
Apes (30)
Belladonna (30)
Selenium (30)
Naja (30)
Thoja (30)
Ya jo bhi dwa laga rakhti ho mareez kay baltay
mazaj aur badalti halat kay motabaq di jinai
chahiay. Yaad rehna chahiay mareez ka her
lumha mazaj, halat, zarorat, rujhan, khaesh
waghera main tabdili aati rehti hai is liay eak
hi dwa ka daina monasab/soud'mand na ho
sakay ga. Ghar waloon ko is moamla main
bara hi sensitive hona paray ga.
Attendant ko moalaj ki si hasiat hasal hoti hai
woh mareez ki halat zarorat waghera ko
ba'chasham-e-khud daikhta rehta hai is liay
ossay choti choti tabdilioon ko nazar main
rakhna ho ga.
Is kay liay ossay lamha lamha ki khabr likhtay
jana chahiay is say mareez kay Doctor ko alaj
main aasani rahay gi.
Note: likh nahain sakta to moti motu batoon
ko yaad main rakhe.
Adviyaat kay sath sath:
1- Khiray ki jhaag ko pani main mala kar di
ja'ay
2- Eak waqt main eak sabzi ki yakhni bana kar
os
main say eak chamach jab mareez pani
talab kary,
pani kay glass main mala di ja'ay
3- Her qisam ka phal mareez ko diya ja'ay.
Pabandi
na rakhi ja'ay jitna ji chahay kha'ay
chahay eak
qash hi kayoon na lay.
4- Phal ka juice nikal kar rakh lain. Jab mareez
pani
talab kary, pani kay glass main eak
chamcha mala
diya ja'ay.
5- a. Gosht ko soka aur masala'dar na
pakwaein.
b. Gosht ka shorbay wala aur kam
masaoon wala
hona chahiay.
c. Ziyada chiknaee se parhaiz karain.
d. Gosht main chahay eak hi kash sabzi ki
zaroor
dain. Os kash ko khaein na'khaein
yah zarori
nahain haan os ka dalna zarori hai.
Rang aur Shmsi tavanaee
Rang zindgi main bara aham kirdar rakhtay
hain. Mareez ko jo rang pasand ho, os rang ki
botal ya phir os rang ka patla kaghaz boltal
lipait lain. Pani say bhari yah botal 6 ta 8
ghaintay kari dhoop main rakhain baad azaan
ossay thainda karkay mareez ko dain aur yah
amal tawatar say hona chahiay.
is pani ko ahista ahista gira'ay aur os par
paishab ki dhar maray.
Wasael omuman sad-e-rah bantay hain aur
ghurbat kaam bigarti hai laikin ghurbat main
bhi mamolaat main tabdili lana mushkal kaam
nahain. Rastoon ki tabdili, dhoop main chaoon
ki khaesh, pakwan kay zaeqay badal kar,
namak kam rakh kar namak ki khaesh paida
ho sakti hai, mirch ziyada rakh kar kam mirch
kay liay rujhan ho sakta, tovajo tabdeel
karkay waghera waghera qisam kay aqdam
aur harboon main koee dushwari ya kharach
nahain aata.
In tamam iqdamaat ka kya faeda ho ga?
Rozmara kay mamolaat khorak ki tabdili say:
1-Androni aza kay function main tabdili aa'ay
gi jab kah bimiri kay garaseem sabqa
mukhsous halaat main parwan charay hotay
hain. Wo tabdiloon kay ammal main apni
survival barqarar na rakh paein gay.
Dosra khanay pinay kay mamolaat, taste,
ouqaat, variety aur pakan ki cooking mamool
say hatnay say oon main baichaini bharay gi
natija kar oon ki bahmi thun ja'ay gi. eak
dosray ko marain ge aur apni khorak banaein
ge.
Os ki zinda ki missal yah hai kah karoroon
sperms main say eak do ya kuch hi uterus
main dakhal ho patay hain baqi eak dosray
kay hatoon mout kay ghat otar jatay hain.
Ya yah missal lay lain eak aadmi mukhsous
masaloon main bhona howa ghost khata raha
hai aur wo is ka arsa daraz say aadi hai. Ab
ossay pehlay masaloon say hat kar masaloon
main paka shorbay wala ghost khanay ko diya
jata hai. Yah ammal androni tabdilioon ka
sabab banay ga.
Eak shakas bhanis ka doodh pita chal;a aa
raha hai ab bhanis kay doodh ki bajay onthni,
bakri ya phir ga'ay ka doodh pinay ko diya
ja'ay.
Eak shakas hot tea ka adi hai ab ossay ice/cold
tea di ja'ay.
Eak aadmi chaoon walay rastay say gozarta
hai aur yahhi hamaisha say os ka mamool
raha hai. Ab ossay dhoop walay rastay say
gozarna parta hai. Andar chaoon ki khaesh
paida ho gi. Yah khaesh pehlay routine ki
zarorat ho gi. Puri na honay kay sabab andar
kay function main tabdiliaan la'ay gi. Yah
tabdiliaan bimari kay jarasimoon ko kisi bhi
hawalsa say khush na aaein gi.
Is moamla main eak zarori baat note karni
chahiay kah bar bar tabdiliaan laee jaein. Eak
mamool na rehnay di ja'ay.
2-Blood cells ki haiat-e-tarkibi main tabdili
aa'ay gi. Es hawala say bannay wala khoon
bimari kay jarasemoon kay liay kisi kaam ka
na ho ga. Es tara wo bhokoon marain gay yah
phir eak dusray ki khorak ban jaein gay.
3-Madafti fooj na ay saray say eak dusray
andaz aur nae qisam ki tavanae kay sath
taiyar ho gi. Yah fooj jarasimoon ki kisi tara
bardast na karay gi aur na'ay andaz aur na'ay
tariqa ha'ay kar say jang ka aaghaz karay gi. Is
fooj ki taqat aur larnay kay atwar say bimari
kay jaraseem motahammal na ho sakain gay.
4- jis kamzoor hissa main bimari kay jaraseem
ponahain ge wahaan bilkul mukhtalif qisam
ka khoon ja sakay ga. Is kay doo fawaed hoon
gay:
a- wo hissa zindgi ki taraf lotna shoru kar day
ga aur os ka function pehlay say mukhtalif
andaz aur toor ka ho ga aur yah bimari kay
jarasimoon kay liay mohlak sabat ho ga.
b-yah naee tara ka khoon aur is kay RBCs
bimari kay liay kisi kaam kay na hoon gay. Is
hawala say bimari kay jarasimoon ki
nash-o-nama rok ja'ay gi aur lamha-ba-lamha
kamzoor partay jaein gay.
Panch moalgein ki zarorat
Hamaray haan baad qismati yah hai ka
mareez ko madi laclach ki vaja say bohat hi
kaam waqt diya jata hai. Warna is mozi marz
kay liay panch masihaoon ki zarorat hoti hai:
1- Qualified Record keeper jo bari zimadari
say
mareez ki naqal-o-harqat waghera ko
note karay
2- Mahar-e-Nafasyaat jo marz kay khatamay
main
bara aham kirdar ada kar sakta hai aur
woh:
a- mareez ki soch kay dharay badal sakta hai
b- jinay ki khaesh ko do'chand kar sakta hai
Aagay bharnay say pehlay batoor hawala eak
missal paish kana zarori samjta hoon. Eak
shakas kisi ko qatal karnay kay liay baray
ghusa say dhora chala jar aha hai. Rasta main
koee ossay rook kar moamla pochnay baith
jata hai aur woh dil khool kar sara majra/qisa
keh daita. Keh dainay kay baad woh kisi ko
qatal karny ki pozishan main nahain rehta.
Halan kah ossay samjaya nahain giya hota.
3- Baroni mamolaat main gher mahsous
andaz/tariqa
say tabdiliaan lanay wala
4- Khorak kay zariay androni aza main
tabdiliaan
lanay wala
5- Adviyaat kay hawala say is mozi maraz kay
jaraseem kay khalaaf jang larnay wala
Mareez ka attendant bhi qabal, zimadar,
maraz ki
noeat samjnay wala hona chahiay.
Yah baat zehan nashein rehni chahiay kah
charoon ka bahmi rabta aur sala mashwara
rehna chahiay. Goya woh eak team ka sa
kirdar ada karain. Kaam mukhtalif laikin
maqsad eak. Giyara khilari apnay apnay
hawala say eak marboot khail khail kar goal
karnay ki thantay hain. Zindgi kay liay
moalajein khilari ki si lagan kay sath yah
qabal-e-izzat masiha Sahiban kaam kayoon
nahain kar saktay?!
http://www.forumpakistan.com/kansar-koe-fooq-ul-fitrat-bim
ari-nahain-t17372.html#ixzz4GGpVkOgB
ALAJ MOALAY SAY PEHLAY KHAMIR KAY AJZA
PAR GHOOR KI ZARORAT
Allah Sahib ka kehna hai kah insan ko tein
(Mati) say takhleeq/paida kya giya hai. Hazrat
Amir (AS) is ki wazahat kay zomray main
apnay eak khutbay main arshad farmatay
hain, insan ko mukhtalif amarja ki matti
akathi karkay banaya giya. Goya
Insan matti say bana
Yah mati mukhtalif amarja say li gaee
Matti mokhtalif ajza say tarkeeb paee hai aur
her joz ki taseer dosri say alag hai.
Issi tara mukhtalif amarja ki matti kay ajza
main faraq hai. Mamasal ajza ki taseer main
bhi yaqinun tanasab aur taseer ka faraq rehta
hai.
In ajza main pani miqdar main ziyada hota
hai. Issi tara mokhtalif jagoon kay pani ki
taseer alag say hoti hai. Ajza-e-tarkibi kay
tanasab main bhi faraq hota hai. Yahhi surat
digar ajza ki taseer kay sath dar paish rehti
hai.
Is hawala say daikha ja'ay to mareez ko
na'siraf os kay apnay hawala se daikhnay ki
zarorat hoti hai balkah os alaqa kay matti pani
ki taseer aur ajza e-tarkibi ko bhi daikhnay
ki zarorat ko nazr main kanay ki zarorat rehti
hai. Is hawala say dou kaam karna hoon gay:
1- Os alaqa ki matti pani ki majmoee taseer
aur
ajza-e-tarkibi kay tanasab say
waqfiyat rakhna
paray gi.
2- Madafti qowatoon ki mazboti issi tanazar
main
baqarar rakhna ho gi.
Jahaan alaj moalja ahum hasiat rakhta hai
wahaan madafti qowat ko mazboot say
mazboot karnay ki zarorat ko nazar andaz
karna kharabi say nipatnay main kamzori
daikhana ho gi. Jab yah maloom hai kah
kansar, aid aur yarqan (Hapataitas B) jaisay
mozi marzoon kay liay zalim qisam ka
injekshan /adviyaat daina hai to madafti
qowat ko bhi taqviat daina ho gi. Mareez ki
madafti qowat bimari say naburd azma ho gi
kah in adviyaat kay sakhat tarein raad-e-amal
say barsar-e-paikar ho gi. Yah baat mein nay is
hawala say bhi arz ki hai kah hamaray haan
ailopaithik aur apraishan par hi yaqein rakha
jata hai jab kah digar tariqa ha'ay alaj say
parhaiz hi rakha jata hai. Ta'hum koee bhi
moaljay kay liay tariqa ikhtayar kiya ja'ay
madafti qowatoon ko sahara daina hi ho ga.
Madafti qowatoon ko sambhala dainay kay
liay matti panikay ajza-e-tarkibi ki janch
karna pary gi. Androni nazam main kisi bhi
waja say in ajza-e-tarkibi main say kisi eak ki
kami waqay ho sakti hai ya os main azafa ho
sakta hai. Is kami ya ziyadti ko pura kiya ja'ay.
Ajza main kami baishi ka andaza moalaj
yahaan tak kah ghar walay ba khobi laga
saktay hain. Wo is tara
1- mareez kay roz mara mamolaat main
tabdili
mehsous karkay
2- mareez kay badaltay atwar say
3- mareez ki badalti khahshaat say
4- mareez kay badaltay sabha aur mazaj say
5- mareez ki badalti pasand na'pasand say
6- mareez ki pehlay aur mojoda ki bool chaal
kay
andaz say
7- aza main mehsous hoti tabdilioon kay
hawala se
8- kahein dard rehnay say
9- bukhar ki halat say
10- susti waqay honay say
11- dilchaspioon ki tabdili say
12- omomun koee taklif rehnay say
13- bhook ki kami baishi se
14- khorak main kisi cheez ki masalsal barhti
khaesh
se
15- napasand ki pasand se
Gharz aaghaz hi say aisi bohat sari chizoon say
andaza lagaya ja sakta hai aur ossi hawala say
moalja sood'mand sabat ho sakta hai. Maslan
a-
mareez main khurdni namak ki khaesh bhar
ya kam ho sakti hai.
Gosht khori ki khaesh main kami baishi aa
sakti hai.
Ziyada pani paina shuro kar daita ha ya
pehlay ki nisbat pani kam pita hai.
Kisi khas sabzi ki taraf raghbat bhar sakti hai.
Pasand ki sabzi say nafrat ho sakti hai.
Khnay main naqs nikalna shuro kar daita hai
Bartanoon ki tabdili ki khaesh karnay lagta
hai
Khnay kay hawala say bohat tara ki tabdilioon
ko mehsus kiya ja sakta hai
b-
Kisi mukhsous shakas say pehlay ka sa
rovaeya nahain rehta.
Mazaj main chirchara'pun aa sakta hai.
Baat baat par jhagra khara kar daita hai
Batain bholnay lagtqa hai
Baat ko olta laita hai
Itmad ki kami aa sakti hai
Kisi par itmad nahain karta
Auroon say ziyada omidain wabasta kar laita
hai
Oltay saidhay khaab daikhnay lagta hai
Hawaee qalay tameer karna shuro kar daita
hai
Khoof aur haras main rehnay lagta hai yah kisi
khas baat say darta hai aur os say dori
ikhtayar karta hai
Mazaji atwar ki bohat sari tabdilioon ko note
kiya ja sakta hai.
Khoraki aur mazaji tabdilioon kay hawala say
khorak say mota'aluq kisi joz main kami ya
azafay ka andaza karna koee dushwar kaam
nahain. Is kami baishi ko ajza say hi pura kya
jana momkin hai. Eak shakas main namak ki
kaesh bhar gaee os ki is khaesh ko din main
tein baar
Nat Mur (6)
nay pura kar diya giya jis say woh aati bimari
say bach gya.
Her shakas apnay khamir ki matti kay
motabaq khoraqi ajza laita hai is liay os say
mota'aluq aaghi hasal karna koee mushkal
kaam nahain. Jab hum os ko ibtada main
mehsous nahain kartay aur os kay badaltay
atwar par nazar nahain kartay to woh aatay
kal ko kisi khoof'nak bimari main mobtala ho
jata hai. Ibtada main hi tovajo day di ja'ay to
yah achi aur sehat'mand baat hai dairi ki surat
main koee pachidgi paida ho sakti hai ta'hum
yah nahain kaha ja sakta kah ab mout hi os ka
moqadar bun chuki hai aur ossay halaat kay
reham-o-karm par choor diya ja' ay. Chara
bahar toor akhri sansoon tak puri shidat aur
dilchaspi say hotay rehna chahiay.
http://www.forumpakistan.com/alaj-moalay-say-pehlay-khami
r-kay-ajza-par-ghoor-ki-zarorat-t17376.html#ixzz4GGpgwypT
MAREEZ
KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN
MARTA
Az:
Maqsood Hasni
Paish'kar:
Prof. Niamat Ali Murtazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016