meri kavita

43
1 Voice Of Heart Written by Sarvjeet Kumar Singh Ye Pyara Sa Chehra Ye pyara sa chehra. Mushkurata sa chehra. Chaand ki roshini sa jhilmilata sa chehra. Kya noor hai isme. Jaise koi hoor hai isme. Sabko mad-hosh karata kuch to jarur hai isme. Be-nazeer inaayat hai. Khuda ki tujh par himaayat hai. Kyun pal pal ye gir jaati hai, Bas ek yahi palko se apni sikaayat hai. Koi chaah kar bhi tujhse kabhi rooth na sake. Koi khwaab tere aankhon se kabhi toot na sake.

Upload: sarvjeet-kumar-singh

Post on 24-Nov-2015

162 views

Category:

Documents


1 download

TRANSCRIPT

  • 1 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ye Pyara Sa Chehra

    Ye pyara sa chehra.

    Mushkurata sa chehra.

    Chaand ki roshini sa jhilmilata sa chehra.

    Kya noor hai isme.

    Jaise koi hoor hai isme.

    Sabko mad-hosh karata kuch to jarur hai isme.

    Be-nazeer inaayat hai.

    Khuda ki tujh par himaayat hai.

    Kyun pal pal ye gir jaati hai,

    Bas ek yahi palko se apni sikaayat hai.

    Koi chaah kar bhi tujhse kabhi rooth na sake.

    Koi khwaab tere aankhon se kabhi toot na sake.

  • 2 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Jud jaaye jiska haath tere haath se,

    Umr saari gujar jaaye par wo chhut na sake.

    Nikle duaa meri iss lab se to wo tere ask adhure ho.

    Hai khwahish meri iss dil se,

    Teri har mannat, Teri har chahat, Tere har armaan pure ho.

  • 3 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Kyun Tu Aayi Meri Zindagi Mein

    Kisi ki chahat ki aag mere seene me kabse jal rahi thi,

    Fir tu kyun aayi meri in dhadkano mein jab mere dil me lagi aag ko bujhana na tha.

    Mere asko ko rokte rokte meri palke thak gayi thi,

    Fir khud ko kyun basaya in aankhon mein jab in palko ki jagah khudko bithana na tha.

    Meri raate to yun hi kat rahi thi karwato mein,

    Fir tu kyun aayi mere khwabo mein jab khud ko meri yaado mein thehrana na tha.

    Meri sanse to dheere dheere apne aap rook rahi thi,

    Meri ye akeli zindagi haule haule mar rahi thi.

    Fir tu kyun aayi meri zindagi mein jab mujhe jeene ka ehsaas fir se dilana na tha.

  • 4 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Cheekh cheekh kar keh rahi hai meri rooh ab mujhe.....

    Koi hai jo ab meri jagah le chuka hai.

    Ek baat tujhe sacchi batlaau main yaara.

    Tere jism ko jiski rooh ka hai intezaar wo sayad ab kisi or ka ho chuka hai.

    Apne jism ko ab tu iss mitti mein mil jaane de,

    Kyunki aalam hai ab ye ki tera jism bekaar ho chuka hai.

    Ab to tu khud ko mujhme badal jaane de,

    Tera khud ko mitane ka waqt ho chuka hai.

  • 5 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Main To Yun Hi Apne Har Pal Ko Jeeye Ja Raha Tha.

    Main to yun hi apne har pal ko jeeye ja raha tha.

    Par koi aaya jisne mujhe jeene ka maksad bata diya.

    Bina kisi chahat ke har mukaam the mere,

    Par kisi ne uss mukaam tak jaane ka rasta dikha diya.

    Khamosh thi meri jubaan na jaane kab se ye maine bhi na jaana.

    Mil kar usne mujhse alfaazo ko samajhna sikha diya.

    Keh ke bhi apni baate jo keh na saka ye dil,

    Usse faaslo ne iss dil ko wo kehne sikha diya.

    Khuda hi jaane kya rista hai uske or mere darmiyaan,

    Ho kar ajnabi bhi usne ehsaas apnepan ka dila diya.

  • 6 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Agar Tu Na Ho To

    Agar tu na ho to soona mera har sama hai.

    Bina tere kisi khusboo se anchhui ye hawa hai.

    Kya hua agar ye jamana mere pichhe chal pada,

    Bin chahat ke tere adhura ab bhi mera jahaan hai.

    Sukoon bhari raatein to hain mere sath.

    Par unme koi sunehra sapna kahaan hai.

    Aankhon se aansu to main rok leta hoon sahib,

    Par tanha hoon itna ki meri palke ruwaan hai.

    Ho na yakin tujhko meri mohabbat ka agar.

    Dikh na raha ho tujhko meri chahat ka asar.

    To puchh khud se ek baari apne dil pe haath rakh kar,

    Meri aashiqui ka to khud ye khuda gawaah hai.

  • 7 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ye Gam Se Bhari Raate

    Ye gam se bhari raate kabhi maine to na maangi thi.

    To andhera sath lekar ye kyun aayi meri zindagi mein.

    Khud se ye faasle or dardo ki saugaate maine to na mangi thi.

    To asko ko aankhon mein lekar ye kyun aayi meri zindagi mein,

    Har manjilo mein tanhaiyaan kabhi maine to na maangi thi.

    To akelapan ko pass rakh kar ye kyun aayi meri zindagi mein,

    Jo har waqt mujhe tadpaye har pal mujhe rula jaaye aisi yaari kabhi maine to na maangi thi.

    To ek aisa bewafa sanam lekar ye kyun aayi meri zindagi mein

  • 8 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Iss Dil Mein Agar Koi Chahat Aayi Hai

    Koi bhi chahat agar iss dil mein mere kabhi bhi aayi hai.

    To tere hi dhadkan se maine uski aabroo sajayi hai.

    Na hota agar tu to meri zindagi ka har lamha kaisa hota,

    Meri iss rooh se judi bas teri parchhai hai,

    Aankhon se rushwa maine apni neende karaayi hain.

    Har raaton mein mere safqat bas teri angdaai hai.

    Ab to tujhko pane ko main kuch bhi kar gujroob sayad,

    Haasil bas tujhe karne ko ab meri khuda se ladaai hai.

  • 9 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tu Pass Hai Jo Mere

    Ab kya chahte karoon main

    kuch pane ki iss jahaan mein.

    Bina tere pyar ke kuch bhi kahaan main.

    Har mannat meri tujhse,

    tujhe hi har fariyaade meri.

    Tujhse hi ye sanam meri har bandage hai judi.

    Bas khushiyon ka aasmaan hai

    har sama mein ab mere.

    Ab bas hontho par khili rehti hai

    muskaan shaamo savere.

    Tu pass hai jo mere.

    Tu pass hai jo mere.

  • 10 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ek Roz Chaand Sunehra Dekha

    Ek roz chaand sunehra dekha.

    Apni yaadon mein kisi ka pehra dekha.

    Jise dekh main har waqt madhosh reh gaya,

    Ek itna sunder chehra dekha.

    Jiski bas ek muskaan mere dil mein gehari.

    Palko par apni ek aisa sehra dekha.

    Jiss ki rangat mein main khud ko bhulata chala gaya,

    Ek itna sunder chehra dekha.

    Na maloom ki wo khud rab tha, ya uska bheja sitara koi.

    Bas khud ki rooh ko usme gehra dekha.

    Apne har waqt ko uss par thehra dekha.

    Jo kabhi door bhi chala jaaye to use bhula na sakoon,

    Ek itna sunder chehra dekha.

  • 11 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ye Zindagi

    Ye zindagi ek chhota sa khel hai yaaro,

    Isme jee bhar kar khilkhilaate chalo.

    Apni ek alag hi duniya basa kar,

    Har waqt palko par sapne sajate chalo.

    Mana ki kuch gam ke pal bhi aayenge zindagi me,

    Dard bhare lamhe tumhe satayenge zindagi me.

    Kuch saks aise bhi honge jo tumhe tanhai mein dooba jayenge.

    Kuch pal hansa ka fir dil ko rula jayenge.

    Bhula kar unke sikwe gile unko bhi hansate chalo.

    Hamsafar to milte rahenge zindagi ke har mod par,

    Sab ko sath lekar tum bas muskurate chalo.

    Zindagi jeene ka naam hai gujaarne ka nahi.

  • 12 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Bas khud mein naye hausle jagate chalo.

    Apni kissmat ki laqeere apne haatho se banate chalo.

    Chhod kar pichhe purani baato ko,

    Apni zindagi ko aage badhate chalo.

  • 13 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tere Palko Par

    Tere palko par har raato mein main khwabo ko saja dunga.

    Teri har ek khwahish ko main haqiqat bana dunga.

    Bas ek bar tu mujhko apna kar to dekh.

    Ek baar haan keh kar to dekh.

    Har raaste tere mai foolo ki khusboo se bhar dunga.

    Har gam har muskilo ko tujhse main door hata dunga.

    Bas ek baar meri nazro se nazre mila kar to dekh.

    Ek baar haan keh kar to dekh.

    Main ye to nahi kehta ki tere liye chand-sitare tod launga.

    Kyonki ye mumkin hi nahi.

    Par ye wada hai mera tujhse,

  • 14 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ki Tere daman mein duniya bhar ki la kar khushiyan rakh dunga.

    Meri chahat ko ek bar apna kar to dekh.

    Ek baar haan to keh kar dekh.

  • 15 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Apna Bana Kar Dekh Lo

    Tumhari yaado mein to thodi bahut jagah bana hi li hai maine,

    Apni raato ka har khwab bhi mere sang saja kar dekh lo.

    Mana tumhari ye palke kisi or ke sajde jhukti hain,

    Bas ek nazar mujhe dekhne ko inhe ek baar utha kar dekh lo.

    Tere raaste mein khada hoon apni khushiyon ko bichhaye.

    Meri har manjil ko apna mukaam bana kar dekh lo.

    Yun kalpana ka ek chehra apne dil mein to har koi basa leta hai,

    Mujhko tum ek baar bas haqiqat bana kar dekh lo.

    Sikayat ka ek mauka bhi na dunga tumhe,

    Ek baari mera pyar aajma kar dekh ko.

    Bas itni si gujarish hai meri tumse,

    Ek baar mujhko tum apna bana kar dekh lo.

  • 16 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ek Baar Haan To Keh De

    Tere palko par har raato mein main khwabo ko saja dunga.

    Teri har ek khwahish ko main haqiqat bana dunga.

    Bas ek bar tu mujhko apna kar to dekh.

    Ek baar haan keh kar to dekh.

    Har raaste tere mai foolo ki khusboo se bhar dunga.

    Har gam har muskilo ko tujhse main door hata dunga.

    Bas ek baar meri nazro se nazre mila kar to dekh.

    Ek baar haan keh kar to dekh.

    Main ye to nahi kehta ki tere liye chand-sitare tod launga.

    Kyonki ye mumkin hi nahi.

    Par ye wada hai mera tujhse,

    Ki Tere daman mein duniya bhar ki la kar khushiyan rakh dunga.

    Meri chahat ko ek bar apna kar to dekh.

    Ek baar haan to keh kar dekh.

  • 17 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Afsaane Badal Diye

    Iss kadar khud ko bhul jaane ki kabhi khwahish to na thi,

    Par tujhe dekha maine jabse maine apne saare iraade badal diye.

    Tujhe teri manzilon tak pahunchane ki chahat mein,

    Har ek maine apne raaste badal diye.

    Tere khwabon ke khatir main raaton mein jaagta raha,

    Jinme tu mujhe mil har unn sapno ke pichhe bhagta raha.

    Tujhe sunne ke khatir to maine apne farmaan badal diye.

    Koi ek bhi duaa teri adhuri na reh jaaye,

    Iss chahat mein mapne apne saare armaan badal diye.

    Ab bas ek tamanna hai iss dil ki tu mujhe mil jaaye,

    Tu hi mera har kalma tu hi meri duniya ban jaaye.

    Iss aarzoo mein maine khuda ke har paimaane badal diye.

    Tere saath apni zindagi ki ek kahani likhne ke khatir,

    Khud ke kitne afsaaane badal diye.

  • 18 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Mujhse Kya Khata Ho Gayi

    Aisi bhi mujhse kya khata ho gayi.

    Jo meri chahat mujhse juda ho gayi.

    Lakh koshish ki usko manane ki maine,

    Apne sabdo se samjhane ki maine.

    Par wo sunti bhi kaise mere sabdo ko,

    Jab meri awaaze mujhse kafa ho gayi.

    Tut kar chaha maine usko apne dilo jaan se,

    Par bereham wo to jaise bewafa ho gayi.

    Meri aankhein jam gayi meri har saanse tham gayi.

    Jab uski raah takte takte intehaan ho gayi.

  • 19 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Itni Muskilo Se to Tu Pass Aaya Hai Mere

    Itni muskilon se to tu pass aaya hai mere.

    Fir tune soch kaise liya ki main tujhko yun hi door jaane dunga.

    Apni dil lagi ki intehaan tak chaha hai tujhko,

    Fir kaise main tujhko apni chahat ko bhulane dunga.

    Ho chahe kitni bhi muskile raaste mein teri,

    Main kisi bhi dard ko kabhi tujh tak aane na dunga.

    Ho shaqq agar mujh par to aajma kar dekh le,

    Khud par se bharosa tera kabhi uthne na dunga.

    Koshish bhi karega agar tu bhulaane ki mujhko,

    Kahunga bhul ja tu apna sab kuch in panaho mein meri.

    Par khud ko kabhi bhi tujhko main bhulane na dunga.

  • 20 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Har Baar Jo Chaha Maine

    Har baar jo chaha maine wo haasil karta gaya.

    Apne har khwabo ko haqiqat mein badalta gaya.

    Afsos tha itna ki bas tu sath na tha mere,

    Par fir bhi tere naks main apne aankhon mein gadta gaya.

    Har wo lamha mera jinme tu mere pass na tha,

    Bewajah ki bechaini or tanhai mein gujarta gaya.

    Dard tha iss dil mein jisko tujhse dooriyon ne paida kiya,

    Phir bhi tere liye main uss dard ko hans kar sehta gaya.

    Yakeen to tha mujhko ki tu laut kar ek din aayigi,

    Zindagi bhar sath nibhane ki mujh sang kasme khayegi.

    Isi aarzoo ki moti ko har duao mein pirota gaya.

    Isi chahat ki patthar se main apna Aashiyana sanjota gaya.

  • 21 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ho Dil Mein Agar Sacchi Chahat

    Ho dil mein agar sacchi chahat,

    To wo chahat puri ho jaati hai.

    Kisi adhure khwab ki gujarish dil se ki jaaye,

    To uski har fariyaade sun li jaati hai.

    Jab koi pasand aa jata hai hamari in nigaaho ko,

    Khud-b-khud uski aahte hamari dhadkan ban jaati hai.

    Har raaste uske kadmo ke saath chalte hain apne,

    Uske armaano me apni saari manjile badal jaati hain.

    Bas wo hi wo dikhta hai hamko har ghadi, har pal, har lamho me apne.

    Or usko paane ki khwahish hamari zindagi ban jaati hai.

    Ho dil mein agar sacchi chahat.

  • 22 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tujhme Ek Basti Pyari Duniya Hain Meri

    Mere labo par thehre hue har shabd tere hain.

    Meri saanso mein ghule hue har nabz tere hain.

    Meri zindagi ki kahaani ki har kadiyaan hain teri.

    Tujhme basti ek pyari duniya hai meri.

    Teri nazron mein mujhko mera aks nazar aata hai.

    Jab sochun tere baare mein ye dil saham jaata hai.

    Mere har lamhe har pal har ghadiyaan hai teri.

    Tujhme basti ek pyari duniya hai meri.

    Apni aashiqui ko lafzo mein bayaan kar na sakunga.

    Tujhse door ab main ek pal bhi reh na sakunga.

    Mere hisse ki har khwahishein har khushiyaan hai teri.

    Tujhme basti ek pyari duniya hai meri.

  • 23 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tu Apne Har Asko Ko Meri Palko Par Saja De

    Tu apne har asko ko mere palko par saja de.

    Har dard ko mere apni khushiyon se mita de.

    Kar pyar mujhko itna ki main khud ko bhul jaaun,

    Bechain dhadkano ko tu meri apne dil ne jagah de.

    Meri rooh tere jism se milne ko bekarar hai.

    Meri saanse tere khatir ab rukne ko taiyaar hain.

    Meri mohabbat ko tu apne jeene ka zariya bana de.

    Khwahishein apni saari mere chahto par luta de.

    Kar bharosa ek baar tu mere pyar par ye yaara.

    Meri zindagi se jud kar meri zindagaani bana de.

  • 24 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tujhe Apna Banane Ko Jee Karta Hai

    Tere hi sang jeene ko tere hi sang mar jaane ko jee karta hai.

    Tujhe apni yaado mein ab sajane ko jee karta hai.

    Jis pyar ko pane ke khatir main firta raha dar badar,

    Wo pyar ab tujh par lutane ko jee karta hai.

    Tujhe chaha hai maine apni chahat ke intehaan tak,

    Ki ab iss chahat mein sab kuch bhulane ko jee karta hai.

    Mujhe likhne ka sauk to na tha tujhse milne se pehle.

    Par ab tujhko apne likhe kalme sunane ko jee karta hai.

    Tere husn ne bana diya itna tera diwaana mujhe,

    Bas teri aashiqui mein ab kuch bhi kar jaane ko jee karta hai.

  • 25 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tujhe Khud Se Bichhadne Na Dunga

    Tere palko par asko ko kabhi rukne na dunga.

    Teri jehan me kisi gam ko ek pal ke liye bhi tikne na dunga.

    Na tutega vishvaas tera meri chahat par se kabhi iss kadar chahunga tujhe,

    Apni mohabbat mein teri nazro ko kabhi jhukne na dunga.

    Har raaho par main hardam tera saaya ban chalunga.

    Ki tujhe manzil se teri main kabhi bhatakne na dunga.

    Muskile to hongi teri khwahishon ke raasto par,

    Par bina mujhko chhuye un muskilo ko tujhse gujarne na dunga.

    Ab chahe to khuda bhi dekh le tere mere bich ki rukaawat ban kar,

    Rahunga main zindagi bhar tere sath teri chahat ban kar,

    Ki teri saanso ko apne rooh, teri dhadkan ko apne dil se or tujhe kabhi bhi khud se bichhadne na dunga.

  • 26 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Teri Khushiyon Ke Khatir

    Teri bato mein apni har khamoshi door hata doon.

    Tu jo mil jaaye ek baari main sari duniya bhula doon.

    Teri khwahishon ko pura karne ke khatir sayad jee raha hoon.

    Tere upar to main apni sari chahte luta doon.

    Apne dil mein chhipaye sare gile-sikwe mita doon.

    Sare lamhe apni zindagi ke tere saaye mein bita doon.

    Iss kadar tujhko chaha hai maine ye sanam,

    Ki teri khushiyon ki ke liye apne sare khwabo ko jala doon.

  • 27 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tu Jo Mili Mujhko

    Tum jo mile mujhko jahaan mil gaya.

    Khwabon ka mujhko jaise koi kaarwaan mil gaya.

    Bin tumhare yun zameen par awaara fira karta tha,

    Tum jo mile mujhko aasmaan mil gaya.

    Tere bin har lamha bhi mujhko gunaah lagta hai,

    Tere sang reh kar teri khushboo se bhara sama mil gaya.

    Ab se pehle iss khuda ko maine kabhi dekha bhi na tha.

    Tum jo mile mujhko khuda mil gaya.

    Tum jo mile mujhko jahaan mil gaya.

  • 28 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Mera Yaar Na Mila Mujhko

    Yun hi so kar raat bitane ka kya faayeda,

    Jab raato mein uska khwab na mila mujhko.

    Har muskil ko manzil banane ka kya faayeda,

    Jab raahon mein uska sath na mila mujhko.

    Jab wo mera hi na ban paya to kya faayeda khuda se uske khatir fariyaad lagane ka,

    Ab kya faayeda iss duniya mein jeene ka,

    Jab iss zindagi mein uska pyar na mila mujhko.

  • 29 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Zindagi Mein

    Mujhe mil jaaye tu agar ek baar zindagi mein.

    Fir kyun karun main khuda ka intezaar zindagi mein.

    Teri dhadkan main ban jaaun, tujhe apni saanso mein basa loon.

    Iske siwa kuch or na ab chah zindagi mein.

    Tu meri har khushi, tu meri bandagi, tu mera kuch paane ka khumaar zindagi mein.

    Mere jeene ka sahaara teri aashiqui, teri mohabbat, tera ikraar zindagi mein.

    Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein.

    Khusnasib hoon main ki mujhko mili ye bahaar zindagi mein.

  • 30 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Jee Raha Hoon Main

    Uske lafzo ko apni baato mein saza kar jee raha hoon main.

    Uski yaado mein har lamhe bita kar jee raha hoon main.

    Main ne chaha use iss tarah ki main ise khud na samajh paya,

    Uske khwabon mein apne sare sapne bhula kar jee raha hoon main.

    Ek tamanna hai bas usko paane ki zindagi mein.

    Jannat ko uske kadmo mein bichhane ki zindagi mein.

    Har khwahishon mein uske apni khushiyaan bhula kar jee raha hoon main.

    Uski chahat mein apni sari duniya bhula kar jee raha hoon main.

  • 31 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ab Se Usko Bhula Dunga

    Aaj ek faisla kiya hai maine.

    Ab se usko bhula dunga.

    Jo-Jo baate ki hai maine uske saath,

    Har wo baate apne yaadon se mita dunga.

    Ab se usko bhula dunga.

    Har waqt har mode par uska saath diya maine,

    Uski har taklif ko apne sar mole liya maine.

    Fir bhi wo mujhko apni berukhi dikhata raha,

    Apni kuch baton se mera dil dukhata raha.

    Uski har tasveer ko iss dil se hata dunga.

    Ab se usko bhula dunga.

    Ab se mere kisi lafz mein wo na hogi,

  • 32 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ab usse mere kisi kaam ki suruaat na hogi.

    Na hoga uska koi saya bhi mere saath mere raaston par,

    Mere honthon par uske naam ki ab se darkaar na hogi.

    Usse apna har naata main har rishta tod dunga.

    Ab se usko bhula dunga.

  • 33 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Bina Ek Chehre Ke

    Bina ek chehre ke meri har baat adhuri hai,

    Rab se har mulakat adhuri hai.

    Adhure hain mere sare lamhe uske bina,

    Ki Mujhpe rehmat ki har ek barsaat adhuri hai.

    Bina ek chehre ke.

    Main sapne to saja loon bhale hi raaton mein akele,

    Par bina ek chehre ke un sapno ki darkaar adhuri hai.

    Main khud mein khwahishein to jaga loon kuch yaadon ke saye mein,

    Par bina ek chehre ke un khwahishon ki fariyaad adhuri hai.

    Bina ek chehre ke mere manzil ki har raah adhuri hai.

  • 34 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Meri tanha saanso ki har ek aah adhuri hai.

    Abhi khali hai meri zindagi ke daastaan ke sare panne,

    Bina ek chehre ke meri har mohabbat har chaah adhuri hai.

    Bina ek chehre ke.

  • 35 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ab To Bas Ek Tamanna Hai

    Khwahish to na thi kisi par iss kadar mit jaane ki,

    Kisi ki khushiyon ke khatir apne armaano ko bhul jaane ki.

    Par pehli nazar mein hi usne mujhko apna aashiq bana diya,

    Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

    Dekhe bina usko ab main reh nahi sakta,

    Bina uske main ek pal bhi ab jee nahi sakta.

    Bhula diya khudko maine iss kadar aashiqui mein uske,

    Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

    Har dua mein maine uski yaadein maangi hain,

    Paane ki usko bas fariyafein maangi hain.

    Ab aarzoo hai bas uski dil ki har dhadkan ban jaane ki,

    Ki ab to tamanna hai bas uske baahon mein mar jaane ki.

  • 36 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Meri Zindagi Mein Ab Tak Wo Aaya Nahi

    Iss dil ne jiske khwab sajaye.

    Jiski yaadon ke sang har lamhe bitaye.

    Bina jiske maine koi sapna sajaya nahi.

    Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

    Jisko pane ki iss dil mein sada chahat hai meri.

    Aarzoo hai jisko saanso mein basane ki meri.

    Jiska naam apne dil ki dhadkano se kabhi mitaya nahi.

    Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

    Jiske saath ye zindagaani bitani ki sochi hai.

    Jiski khwahishon par apni khushiyaan lutane ki sochi hai.

    Jisne apni nazron ko ab tak mujhse milaya nahi.

    Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

  • 37 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Jiske chehre se jyada kuch or ab mujhko pyara nahi.

    Jiske bina jeena ek pal bhi ab mujhko gawaara nahi.

    Meri zindagi mein ab tak wo aaya nahi.

  • 38 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Meri Har Duaa Mein Tu

    Meri chahat meri har wafa mein tu.

    Meri mannat meri har dua mein tu.

    Mere sabdo mein meri har raaton mein.

    Mere sapne mere har jazbaaton mein.

    Mere har kalme meri har baaton mein tu.

    Meri fariyaad meri har dua mein tu.

    Meri pyaas mein meri har aas mein.

    Mere har kaam ki shuruaat mein.

    Mere har lamhe mein har ghadi mein tu.

    Meri khudaai meri har dua mein tu.

    Meri aahon mein meri panaahon mein.

    Meri dewaangi mein jafaao mein.

    Meri fizaa meri har hawa mein tu.

    Meri aarzoo mein har dua mein tu.

  • 39 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Ek Baar Apni Awaaz Utha Kar Dekh

    Ek baar awaaz utha kar dekh.

    Apni tu awaaz utha kar dekh.

    Har koi sunega teri.

    Bas ek baar tu khud ko jaga kar dekh.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    Bhale hi ye sach ho ki ye duniya bas paise ki sunti hai.

    Daulat mein hi inki saari khushiyaan basti hai.

    Par sabke andar ek achha insaan bhi hota hai.

    Tu unke andar ka wo insaan jaga kar dekh.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    Gajab nasha hai iss hawa mein.

    Kuch ban kar dekh iss jahaan mein.

  • 40 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Har manzil tere pass hogi.

    Khud mein thodi himmat to la kar dekh.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    Achha lagta hai dil ko kuch alag karne mein.

    Par fir bhi darr lagta hai kuch naya karne mein.

    Iss jahaan bas tera hi tera naam hoga.

    Apne kadmo ko aage badha kar to dekha.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    Iss duniya mein har koi bas khud ke liya jeeta hai.

    Wahin sabhi niyam tode jaate hain jahan har zuban par geeta hai.

    Apne saare sapne to poore kar liye tune.

    Kisi doosre ke liye kabhi kuch karke to dekh.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    Ek baar tu apni awaaz utha kar dekh.

    "Iss duniya kabhi bhi apna haqq bina maange nahi milta."

  • 41 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Tujhse Wada Raha Mera

    Tujhse wada raha mera.

    Apna har lamha tere pass bitaunga.

    Har mod par tera sath nibhaunga.

    Tujhse wada raha mera.

    Har jakhmo ko tere khushiyon se bhar dunga.

    Saare dukh dard tere door kar dunga.

    Tujhse wada raha mera.

    Tujhe raaston par akela kabhi chalne na dunga.

    Teri manzil ko tujhse door kabhi hone na dunga.

    Tujhse wada raha mera.

    Jo chahega tu zindagi mein wo sab kuch tujhe la kar dunga.

  • 42 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Saari duniya ko main tere kadmo mein rakh dunga.

    Tujhse wada raha mera.

    Tu chahat hai meri har iltaja mein tu hai.

    Tujhe chaha hai hamesha tujhe chahunga hardam.

    Tujhse wada raha mera.

    Wada raha ki har janam mein main tera hi rahunga.

    Har janam mein main tujhi ko apna hamsafar banaaunga.

    Tujhse wada raha mera.

    Tujhse wada raha mera.

  • 43 Voice Of Heart

    Written by Sarvjeet Kumar Singh

    Dil Ko Iss Kadar Tadpaya Na Karo

    Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

    Mere sapno mein ek baar to aa jaaya karo.

    Mere khwabon ko apni yaadon mein sajaaya karo.

    Bhula kar yun apni sari pyari baton ko.

    Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

    Meri saanson ko apni aanhon mein rehne se yun roka na karo.

    Mere dil se apni dhadkano ko nikala na karo.

    Mujhse tum yun hi dooriyaan badha kar.

    Dil ko iss kadar tadpaya na karo.

    Meri chahat ko khud mein chhipaya na karo.

    Mujhko tum yun tadpaya na karo.

    Meri rooh ko apne jism se alag karke.

    Dil ko iss kadar tadpaya na karo.