namaaz ki kitaab · 2020. 7. 13. · namaaz ki kitaab ‘the book of namaaz’ originallly written...

39

Upload: others

Post on 03-Feb-2021

9 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

  • Namaaz ki Kitaab

    ‘The book of Namaaz’

    Originallly written by

    Allama Shah Turab-ul Haq Qadri Alaihir’rahma

    Roman transliteration

    Ayesha Fatima

    Islah ul Muslima co-ordinator and Volunteer at

    Project CARE, Kanzuliman Foundation

    Copyleft by Kanzuliman Islamic Library 28 June 2020

    Version 1.0

    Feedback

    [email protected]

    The transliterator can be contacted at: [email protected]

    Please include the name of the book in the subject of your mail for specific queries or comments. Permission is hereby granted to reproduce or utilise this material in any form or by any means, electronic or otherwise,as long as the content remains unchanged. This book is also

    made freely available by Kanzuliman Islamic Library and can be downloaded fromwww.kanzuliman.org. Permission is granted to anyone to print this book

    for free distribution. Kanzuliman Foundation or any of its divisions does not benefit financially from the sale of books, nor solicits any royalties.

    Permission is also granted to publishers to reprint in their own name provided the following notice is included in the colophon:“Reprinted with royalty-free permission from Kanzuliman Foundation".

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    کتاب یک نماز

    Namaaz ki kitaab “The book of Salaah”

    Originally written by

    Allama Shah Turab-ul Haq Qadri Alaihir’rahma

    ROMAN (Urdu)

    Roman transliteration

    Ayesha Fatima

    Islah ul Muslima co-ordinator and

    Volunteer at ProjectCARE

    Kanzuliman Foundation

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Namaz.... RASOOL E MUAZZAM, NOOR E MUJASSAM, REHMATUL'LILALAMEEN ملسو هيلع هللا ىلص Ki

    Afzal Jihad Hai.... Imaan Ki Alamat Hai.... Dil Ka Noor Hai..... Cehre Ki Ronaq Hai.... Rooh Ki

    Ghiza Hai.

    Namaz.... Ghar Me Nuzool E Barkat Ka Ba'is Hai.... Rizq Me Wusat Ka Sabab Hai.... Jismani Aur

    Roohani Amraz Ki Shifa Hai.... Qabr Ki Andheri Me Roshni Hai.... Mehshar Ki Dhoop Me Saya

    Hai.

    Namaz Qabr Ki Wehshaht Me Dil Behlane Wali Hai.... Pul Siraat Par Se Jaldi Guzarne Wali Hai....

    Gunaho Ki Maghfirat Ka Zariya Hai.... Namazi Aur Dozaq Ke Darmiyan Parda Ya'ani Aar Hai....

    Imaan Aur Aq'aid Ki Durustgi Yaani Kalima E Tayyab Padhne Ke Baad Tamam Fara'iz Me Sabse

    Aham Fareeza Namaz Hai. AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai: "ALLAH هلالج لج Ne Meri

    Ummat Par Tamam Cheez'on Se Pehle Namaz Farz Ki Aur Qayamat Me Sabse Pehle Namaz Hi Ka

    Hisaab Liya Jaega." Ek Hadees Shareef Me Ye Bhi Wa'id Farmae Gaye : Jisne Namaz Ko Qayam

    Rakha, Usne Deen Ko Qayam Rakha Aur Jisne Namaz Ko Tark Kiya Usne Apne Deen Ko Gira

    Diya."

    Hazrat Abu Hurairah رضی ہللا عنہ Se Riwayat Hai Ke NABI E KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Irshaad Farmaya:

    "ALLAH هلالج لج Farmata Hai, Aye Ibne Adam! Tu Meri Ibadat Ke Liye Farigh Hoja, Mai Tera Seena

    Masroof Kardunga Magar Teri Ghareebi Door Na Karunga." (Mishkaat, Ibne Majah)

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Ek Aur Farmane Alishaan Hai: "Paanch Cheez'on Ko Paanch Cheez'on

    Se Pehle Ghanimat Jaano. Budhape Se Pehle Jawani Ko, Bimaari Se Pehle Tandrusti Ko, Faqeeri Se

    Pehle Ameeri Ko, Mashghooliyat Se Pehle Fursat Ko Aur Maut Se Pehle Zindagi Ko." (Tirmizi)

    Afsoos Ke Aaj Musalman Namaz Se Ghafil Hogaye Hai, Aksar Logo Ke Paas Namaz Padhne Ka

    Waqt Hi Nahi Jabki Baaz Log Namaz To Padhte Hai Magar Namaz Padhne Ka Sahi Tariqa Nahi

    Jante. Zaroorat Is Umar Ki Hai Ke Namaz Ka Sahi Tariqa Seekha Jae Aur Pancho Waqt Ki Namaz

    Ba Jamat Pabandi Se Ada Ki Jae. Is Muqtasar Kitaab Me Namaz Ki Fazilat Wa Ehmiyat Aur Iske

    Mutaliq Zaroori Masail Quran Kareem, Ahadees Mubarka Aur Fiqah Hanfi Ki Motbar Kitab, Fatwa

    E Razviya, Bahare Shariat Ki Roshni Me Tehreer Kiye Jarahe Hai, ALLAH هلالج لج Sab Musalmano Ko

    Ilm E Deen Seekhne Aur Ispar Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmae Ameen Bija Hil NABI'IL

    KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص.

    ِحْيمِ ❥ ْحٰمِن الرَّ ِ الرَّ ❥ بِْســــــِم ّٰللاه

    ــٰلوةُ َوالسَََّلُم َعلَْيَك يَا َرُسْوَل ّٰللاه ملسو هيلع هللا ىلص ❥ ❥ اَلصَّ

    Ankho Ki Thandak Hai.... Deen Ka Sutuun Hai.... Jannat Ki Kunji Hai.... Momin Ki Meraj Hai....

    Shaitaan Ko Dafan Karti Hai .... ALLAH هلالج لج Ka Qurb Aur Raza Ata Karti Hai.

    Ginaa Se Bhardunga Aur Agar Tu Aisa Na Karega To Tujhe Bohot Se Kaamo me

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    NAMAZ KI EHMIYAT:

    Quraan E Majeeb Aur Ahadees E Kareema Me Jabaja Namaz Ki Pabandi Ka Hukm Diya Gaya Hai.

    Irshaad E Baari Ta'ala Hua: "Aur Namaz Qayam Rakho Aur Zakat Do Aur Ruku Karne Walo Ke

    Saath Ruku Karo." (Al Baqra 43, Kanzul Imaan Fi Tarjuma Al Quran)

    Dusri Jagah Irshad Farmaya: "Nighbani Karo Sab Namazo Ki Aur Beech Ki Namaz (Asr) Ki." (Al

    Baqra 238, Kanzul Imaan Az Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi رحمت ہللا تعالی علیہ )

    Ek Aur Maqam Par Farmaya Gaya: "Aur Namaz Qayam Rakho Din Ke Dono Kinaro Aur Raat Ke

    Kuch Hisso Me." (Hud 114, Kanzul Imaan)

    Din Ke Dono Kinaro Se Subah Wa Shaam Muraad Hai. Zaval Se Qabl Ka Waqt Subah Me, Aur

    Aur Raat Ke Hisso Ki Namaz'ein Maghrib Aur Isha Hai." (Tafseer Khazain Ul Irfaan)

    Quran Kareem Me Namaz Padhne Ko Mushriko Ki Mukhalifat Qarar Diya Gaya Hai. Irshaad Hua:

    "Aur Namaz Qayam Rakho Aur Mushriko (Me) Se Na Ho." ( Al Room 31)

    Goya Namaz Na Padhna Mushriko Ke Misl Hona Hai. Iski Wazahat AAQA E DO JAHAN ملسو هيلع هللا ىلص Ke Is

    Irshaad E Girami Se Bhi Hoti Hai Ke: "Bande Aur Kafir Ke Darmiyan Farq Namaz Chodna Hai."

    (Muslim)

    Ek Jagah Be Namaz'ion Ke Liye Youn Waeed Farmai Gai:

    "To Inke Baad Inki Jagah Wo Nakhalaf Aae Jinhone Namaz'ein Gawai (Ya'ani Zaya Ki) Aur Apni

    Khwahisho Ke Peeche Hue To Anqareeb Wo Dozaq Me Ghai Ka Jungle Pa'engey." (Maryam 59,

    Kanzul Imaan)

    Ghai Dozaq Ke Nichle Hisse Me Ek Kunwan Hai Jisme Ahle Dozaq Ki Pip Girti Hai Ek Qaul Ye

    Bhi Hai Ke Ye Jahannam Ki Sabse Zyada Garam Aur Gehri Waadi Hai Aur Usme Ek Kunwan Hai

    Jab Jahannam Ki Aag Bujhne Par Aati Hai To ALLAH هلالج لج Us Kunw'e Ko Khol Deta Hai Jisse Wo

    Badastoor Bhadakne Lagti Hai. Ye Kunwan Be-namaziyo, Zaani'iyo, Sharaab'iyo, Sood-khaur'o Aur

    Walidain Ko Izaa Dene Walo Ke Liye Hai.

    Quran Kareem Me Munafiqo Ki Ek Nishani Ye Bayan Ki Gayi Hai Ke Wo Namaz Padhne Me Susti

    Karte Hai Aur Ise Bojh Samajhte Hai.

    142)

    Munafiqo Ke Mutalliq SARKAAR E DO ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad Hai: Munafiqo Par Fajr Aur Isha Se

    Zyada Koi Namaz Bhari Nahi Aur Ye Agar Jantey Ke In Namazo Me Kya Sawab Hai To Zameen

    Par Ghasit'te Hue Bhi Pohonchte." (Bukhari, Muslim)

    Baad Ka Shaam Me Daqil Hai. Subah Ki Namaz E Fajr Aur Shaam Ki Namaz E Zohr Wa Asr Hai

    Irshaad Hua: "Aur Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Ji Se, Logo Ko Dikhawa Karte Hai." (Al Nisa,

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Quran E Kareem Me Ye Bhi Bataya Gaya Hai Ke Namaz Padhna In Logo Ke Liye Hargiz Mushkil

    Nahi Hai Jo ALLAH هلالج لج Aur Aqirat Par Yaqeen Rakhte Hai. Irshaad Hua: "Aur Beshak Namaz

    Zaroor Bhari Hai Magar In Par Nahi Jo Dilse Meri Taraf Jhukte Hai, Jinhe Yaqeen Hai Ke Inhe

    Apne Rab Se Milna Hai Aur Usi Ki Taraf Phirna." (Al Baqra, 45, 46, Kanzul Imaan)

    Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Ye Baat Wazeh Hogayi Ke Har Musalman Par Pancho Namaz'ein

    Pabandi Se Ada Karna Farz Hai. Namaz Padhne Me Susti Karna Qasoosan Fajr Aur Isha Ki

    Namaz'ein Na Padhna Munafiqo Ki Nishani Hai. Ye Bhi Maloom Hua Ke Namaz Na Padhna Kafiro

    Nahi Samajhte The. Namaz Ki Ehmiyat Ka Andaza Is Baat Se Bhi Laga'en Ke Hadees E Pak Me

    Bachpan Hi Se Namaz Padhne Ki Takeed Farmai Gai. NABI E KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Jab

    Bachche Saath Saal Ke Hoja'en To Inhe Namaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab Wo Das Saal Ke

    Hojae To Namaz Me Ghaflat Par Inhe Maro Aur Isi Umr Se Inke Bistar Bhi Alaida Kardo." (Abu

    dawood)

    NAMAZ QAZA KARNE KA GUNAH:

    RASOOL E MUAZZAM NOOR E MUJASSAM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad Hai: "Jo Shaqs Namaz Qaza Kardein

    Aur Baad Me Qaza Padhlein, Wo Apne Waqt Par Namaz Na Padhne Ki Wajah Se Wo Ek Huqab

    Jahannam Me Jalega. Huqab Ki Miqdar Assi (80) Saal Hoti Hai Aur Ek Saal Teen Sau Sa'ath (360)

    Din Ka Jabke Qayamat Ka Ek Din Ek Hazar Saal Ke Barabar Hoga. (Ya'ani Ek Namaz Qaza Karne

    Wale Ko Do Crore Athassi Lakh Saal Jahannam Me Rehna Hoga. عیاذباہللا تعالیال ).... (Majalis Al

    Abrar)

    Sadrush Shariya Hazrat Allama Maulana Amjad Ali Azmi Quds Sarah Farmate Hai: Namaz Ko

    Mutlaqan Chod Dena To Saqt Haulnak Baat Hai Namaz Qaza Karne Walo Ke Liye RAB TA'ALA

    Farmata Hai: Qarabi Hai In Namaz'iyo Ke Liye Jo Apni Namazo Se Be-qabar Hai, Waqt Guzar Kar

    Padhne Uth'te Hai. (Al Maun, 4) Jahannam Me Ek Wadi Hai Jiski Saqti Se Jahannam Bhi Panah

    Mangta Hai Iska Naam Weal Hai Qasda Namaz Qaza Karne Wale Iske Mustahaq Hai. (Bahare

    Shariat, Hissa Suam, Safah 2)

    NAMAZ KI BARKAT'EIN

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Sahaba e Kiram علیہم الرضوان Se Farmaya: "Agar Kisike Darwaze Par Ek

    Naher Ho Jisme Wo Roz'ana Panch Waqt Gusl Kare To Kya Iske Badan Par Kuch Mail Baqi

    Rahega? Arz Ki: Bilkul Nahi. Irshaad Farmaya: "Yahi Misl Panch Namaz'on Ki Hai Ke Inki Barkat

    Se ALLAH هلالج لج Sab Gunah Mita Deta Hai." (Buqari, Muslim)

    Yaha Gunah Se Murad Sageera Gunah Hai. Kabeera Gunah Sachchi Tauba Se Aur Haquq ul Ibad

    Ada Karne Se Muaf Hote Hai. Mishkat Shareef Me Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke SARKAAR E DO

    ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Pat-Jhad Ke Mausam Me Ek Daraqt Ke Paas Tashreef Lae Aur Uski Shaq'ein Pakad Kar

    Halai To Patte Girne Lage. AAP ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Jab Musalman ALLAH هلالج لج Ki Raza Ke Liye Namaz

    Padhta Hai To Uske Gunah Aise Hi Gir Jate Hai Jaise Is Daraqt Ke Patte Girgaye.

    Ka Tariqa Hai Isiliye Sahaba E Kiram Aamal Mese Namaz Ke Siwa Kisi Amal Ke Chodne Ko Kufr

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farmane Alishaan Hai: "Jo Namaz Ki Pabandi Karega Namaz Uske Liye

    Qayamat Ke Din Roshni, Daleel Aur Zariya E Najat Hojaegi Aur Jo Iski Pabandi Na Karega Uske

    Liye Na Roshni Hogi, Na Daleel, Na Najat, Aur Wo Qayamat Ke Din Qarun, Firoun, Haman Aur

    Abi Bin Khalf Ya'ani Bade Bade Kafir'on Ke Saath Hoga." (Mishkat)

    Namaz Ki Ek Barkat Ye Bhi Hai Ke Iske Zariye Har Mushkil Asan Hoti Hai Aur Namazi Ko Sakoon

    Milta Hai. Hazrat Huzaifa رضی ہللا عنہ Ka Irshaad Hai Ke AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ko Jab Koi

    Mushkil Ya Sakht Kaam Pesh Aata To AAP ملسو هيلع هللا ىلص Fauran Namaz Ki Taraf Mutawwaju Hote The. (Abu

    Dawood)

    NAMAZ BA-JAMAT KI FAZILAT

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai: "Ba-Jamat Namaz Padhna Akele Namaz Padhne

    Se Sattais (27) Darje Zyada Afzal Hai." (Bukhari Muslim)

    MEHBOOB E KIBRIYA ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Mera Dil Cahta Hai Ke Chand Jawano Se Kahu Ke Bohot

    Sa Indhan Jama Karke Lae Phir Mai Inke Paas Jau Jo Bila Gharz Gharo Me Namaz'ein Padhte Hai

    Aur Inke Ghar'on Ko Jaladu." (Muslim, Abu Dawood)

    NOOR E MUJASSAM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farmane Alishaan Hai: "Jo Apne Ghar Se Taharat Wa Wazu Karke

    Farz Namaz Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai Iske Har Ek Qadam Par Ek Gunah Mu'af Hota Hai

    Aur Dusre Qadam Par Ek Darja Buland Hota Hai." (Muslim)

    HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Jo Shaqs Azan Ki Awaz Sune Aur Bila Uzr Namaz Ko Na Jae Aur Ghar

    Me Padhlein Uski Wo Namaz Qubool Nahi Hoti." Sahaba E Kiram Ne Arz Ki Ya RASOOLALLAH

    (Uzr Se Kya Murad Hai? Irshaad Farmaya: "Khauf Ya Marz". (Abu Dawood ملسو هيلع هللا ىلص

    NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad Hai: Agar Namaz Ba-Jamat Se Piche Rehjane Wala Janta Ke Us Jane

    Wale Ke Liye Kya Ajr Hai To Wo Ghisit'ta Hua Hazir Hota". (Tabarani)

    KHUSHU O KHUZU KI EHMIYAT:

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farmane Alishaan Hai: "ALLAH هلالج لج Ki Ibadat Aise Kiya Karo Goya

    Tum Ise Dekh Rahe Ho, Agar Ye Na Hosake To Kamazkam Ye Zaroor Yaqeen Rakho Ke Wo

    Tumhein Dekh Raha Hai." (Buqari)

    NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Jo Shaqs Achi Tarha Wazu Karke Sab Namaz'ein Waqt Par Ada

    Kare, Khushu O Khuzu Se Qyam Kare, Ruku Aur Sajda Bhi Itminan Se Kare Aur Poori Namaz

    Achchi Tariqe Se To Wo Namaz Chamakdaar Banjati Hai, Aur Ise You Dua Deti Hai, Aye Namazi!

    ALLAH هلالج لج Teri Aisi Hi Hifazat Kare Jaise Tune Meri Hifazat Ki. Aur Jo Namaz Ko Buri Tarha Ada

    Kare Ya'ani Sahi Wazu Na kare Ruku Wa Sajda Bhi Achchi Tarha Na Kare To Wo Namaz Bad-Dua

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Deti Hai Ke ALLAH هلالج لج Tujhe Aisa Hi Barbaad Kardein Jaise Tune Mujhe Barbaad Kiya. Phir Wo

    Namaz Purane Kapde Ki Tarha Lapet Kar Namazi Ke Mu Par Maardi Jati Hai. (Tabarani)

    HUZOOR E AKRAM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: Bat'tareen Chor Wo Hai Jo Namaz Mese Chori Karein.

    Farmaya: Wo Ruku Aur Sajd'ein Achchi Tarha Ada Nahi Karta. (Musnad Ahmed, Tabarani)

    Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی ہللا عنہا Ka Irshaad Hai Ke: "Khushu Karne Wale Wo Hai Jo

    ALLAH هلالج لج Se Darte Hai Aur Namaz Sukoon Se Padte Hai."

    Is Hadees E Mubaraka Se Maloom Hua Ke Tamaam Huqooq Wa Adab Ka Lehaz Rakhte Hue

    Khushu Wa Khuzu Aur Itminan Wa Sukoon Se Namaz Ada Karni Cahiye.

    NAMAZ MUTTAQI BANA DETI HAI

    Irshaad E Bari Ta'ala Hua: "Beshak Namaz Mana Karti Hai Behayai Aur Buri Baat Se" (Al Ankabut

    45, Kanzul Imaan)

    Is Ayat Se Maloom Hua Ke Namaz Behayai Aur Bure Kaamo Se Rokti Hai Ya'ani Jo Shaqs Pabandi

    Se Namaz Ko Iske Huqooq Wa Adab Ka Lehaz Rakhte Hue Ada Karta Hai, Rafta Rafta Wo Tamam

    Bure Kaamo Ko Chod Deta Hai Aur Muttaqi Ban Jata Hai."

    Ek Ansari Jawan SAYYAD E ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Ke Saath Namaz Padha Karta Tha Aur Bohot Se Kabeera

    Gunaho Ka Irtekab Bhi Karta Tha. HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص Se Uski Shikayat Bhi Ki Gayi. HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص Ne

    Farmaya Uski Namaz Kisi Roz Usko In Buri Baat'on Se Rok Degi. Chunache Jald Hi Usne Tauba Ki

    Aur Uska Haal Behtar Hogaya. Hazrat Anas رضی ہللا عنہا Ne Farmaya: "Jiski Naam Ise Be-Hayai Aur

    Bure Kaamo Se Na Roke Wo Namaz Hi Nahi." (Tafseer Khazain Ul Irfan)

    NAMAZ KI QUBOOLIYAT KA GUMAN RAKH'EIN

    Namaz Ke Dauran Jo Duniyawi Qayalat Aae, Inki Taraf Tawajju Na Kare Balki Inki Parwa Kiye

    Bagair Apne Zahen Ko Namaz Me Padhe Jane Wale Alfaz Aur Inke Ma'ane Ki Taraf Mutawwaju

    Karne Ki Koshish Karte Rahe.

    Baaz Log Ye Sawal Karte Hai Ke Hume Itminan Kaise Ho Ke Humne Jo Namaz Padhi Iske ALLAH

    raP kaP E seedaH sI eyiL eK enhjamaS bawaJ aK sI ?ayilamraF loobuQ eN هلالج لج Ghaur Kijiye, Irshaad

    Hua: ALLAH هلالج لج Qayamat Me Apne Bande Ke Saath Waisa Muamla Karega Jaisa Bande Ne Apne

    Rab Ke Saath Zan Rakha Hoga. Lehaza Khauf E KHUDA هلالج لج Ke Saath Saath Ibadat Ke Qubool Hone

    Ka Husn E Zan Rakhna Bhi Zaroori Hai.

    Sahaba E Kiram Ne Arz Ki, Ya RASOOLALLAH ملسو هيلع هللا ىلص! Wo Namaz Mein Se Kaise Chori Karta Hai?

    Ek Aur Hadees E Pak Me Pabandi Se Sab Namazein Khusu Wa Khuzu Se Ada Karne Walo Ko Maghfirat Ki Khushkhabri Di Gayi. (Abu Dawood)

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Aulama E Kiram Farmate Hai: Agar Tumne Fajr Ki Namaz Padhi Aur Phir Zohr Ki Namaz Bhi

    Padhli To Ye Nek Guman Karo Ke ALLAH هلالج لج Ne Tumhari Fajr Ki Namaz Qubool Farmali. Phir

    Namaz E Asr Padhlo To Zohr Ke Qubool Hone Ka Itminam Karlo, Isi Tarha Har Agli Namaz Ada

    Karne Ke Baad Pichli Namaz Qubool Hone Ka Itminan Karlo Kyun'ke Agar ALLAH هلالج لج Tumhari

    Namaz E Fajr Qubool Na Farmata To Tumhe Namaz E Zohr Me Hazir Hone Ki Taufeeq Na Deta.

    Tumhari Pichli Namaz Ko Qubool Farmaliya Hai.

    ALLAH WALO KI NAMAZ

    Namaz Is Shaqs Ki Tarha Padhni Cahiye Jaise Yaqeen Hoke Ye Is Zindagi Ki Aakhri Namaz Hai.

    Hazrat Haatim Balkhiرضی ہللا عنہ Se Kisine Pucha: Aap Namaz Kaise Padhte Hai? Aap Ne Farmaya:

    Jab Namaz Ka Waqt Hota Hai To Achchi Tarha Wazu Karke Jaye Namaz Par Itminan Se Khada

    Hojata Hu Aur Ye Tasawwur Karta Hu Ke Kaaba Mere Samne Hai, Jannat Mere Dai Taraf Aur

    Dozaq Mere Bai Taraf Hai Aur Mai Pul-Sirat Par Khada Hu, Aur Mai Samajhta Hu Ke Maut Ka

    Farishta Mere Sar Par Hai Aur Ye Meri Zindagi Ki Aakhri Namaz Hai. Phir Mai Nihayat Ajizi Se

    Allahu Akbar Kehta Hu, Ma'ane Ko Zahen Me Rakhkar Tilawat Karta Hu Aur Nihayat Khusu Wa

    Khuzu Se Namaz Ada Karta Hu Phir ALLAH هلالج لج Ki Rehmat Se Ise Qubool Hone Ki Ummed Rakhta

    Hu Aur Apne Amal Ke Naqis Hone Ki Wajah Se Ise Tukradiye Jane Ka Khauf Karta hu. Allahh

    akbar!

    Ye Hai Allah Walo Ki Namaz! Bari Ta'ala Hume Auliya E Kiram Ke Naqshe Qadam Par Chalne Ki

    Taufeeq Ata Farmae Ameen.

    TAHARAT KA BAYAN

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai: "Jannat Ki Kunji Namaz Hai Aur Namaz Ki

    Kunji Taharat Hai." (Muslim) Yaha Taharat Se Murad Ye Hai Ke Namaz Ki Jagah Aur Namazi Ka

    Libas Pak Ho Nez Is Ka Jism Hadse Akbar Aur Hadse Asghar Se Pak Ho Ya'ani Namazi Par Gusl

    Wajib Na Ho Aur Wo Ba-Wazu Bhi Ho.

    HUZOOR E KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Is Ghar Me Rehmat Ke Farishte Nahi Aate Jaha Tasveer,

    Kutta Ya Halat E Janabat Me Koi Shaqs Ho." (Abu dawood)

    Ab Pehle Ye Samajhiye Ke Gusl Ya Wazu Kaise Pani Se Kiya Jae.

    Fuqaha Farmate Hai Ke Pani Be Rang Be Bu Aur Be Zaika Ya'ani Qudrati Halat Me Ho Nez Pani

    Istemal Shuda Na Ho. Agar Badan Par Koi Najasat Na Lagi Hoto Jo Pani Wazu Ya Gusl Karne Me

    Badan Se Gire Wo Pak Hai Magar Isse Wazu Ya Gusl Jayaz Nahi. Isi Tarha Agar Be-Wazu Shaqs

    Ka Haath Ya Ungli Ya Nakhoon Ya Badan Ka Koi Hissa Jo Dhula Na Ho, Ya Jis Par Gusl Farz Hai

    Iske Jism Ka Be-Dhula Hissa Pani Me Padh Jae Ya Pani Se Choo Jae To Wo Pani Musta'ml Ho

    Gaya. Ab Is Pani se Wazu Ya Gusl Nahi Hosakta. Iska Pina Aur Isse Aata Gundhna Makrooh Hai.

    Albatta Ise Kapde Dhone Ke Liye Istemal Kiya Ja Sakta Hai.

    RAB KAREEM ka Tumhein Har Agli Namaz Ada Karne Ki Taufeeq Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ke

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Musta'ml Pani Ko Wazu Ya Gusl Ke Istemal Ke Qabil Banane Ka Tareeqa Ye Hai Ke Achcha Pani

    Isse Zyada Isme Miladein Ya Isme Itna Pani Dal'ein Ke Bartan Ke Kinaro Se Behne Lage, Ab Is

    Pani Se Wazu Ya Gusl Jayaz Hai.

    WAZU KE FARA'EZ

    Wazu Ke Char Fara'ez Hai:-

    1. Pura Mu Dhona: Ya'ani Peshani Ke Shuru Se Lekar Thudhi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Tak

    Taman Jild Par Ek Martaba Pani Bahana Farz Hai.

    Mucho Ya Bhawo Ke Baal Agar Ghane Hoto Sirf In Balo Ka Dhona Farz Hai Aur Agar Ghane Na

    Hoto Jild Ka Dhona Bhi Farz Hai. Isi Tarha Daadhi Ke Baal Agar Ghane Na Hoto Jild Ka Dhona

    Farz Hai. Hotho'n Ka Wo Hissa Jo Adatan Band Karne Ke Baad Zahir Rehta Hai Iska Dhona bhi

    Farz Hai.

    2. Dono Haath Kohniyo Samet Dhona: Kisi Uzuu Ke Dhone Ke Ye Ma'ane Hai Ke Is Uzuu Ke Har

    Hisse Par Kam Se Kam Do Do Boondh Pani Behjae, Bheeg Jane Ya Tel Ki Tarha Pani Chapad Lene

    Ya Ek Aadh Boondh Beh Jane Ko Dhona Nahi Kahengey Aur Na Hi Isse Wazu Ya Gusl Ada Hoga.

    Har Qism Ke Challe, Nath, Anghotiya, Cudhiya Wagaira Agar Itne Tang Ho Ke Inke Niche Pani Na

    Bahe To Inhe Utar Kar Jild Ke Har Hisse Par Pani Pohonchana Zaroori Hain.

    Nail Polish Lagi Ho To Ise Door Kiye Bagair Wazu Ya Gusl Nahi Hoga, Albatta Jis Cheez Ki Admi

    Ko Amuman Ya Khususan Zaroorat Padhti Rehti Hai Aur Nighedaasht Ehtiyat Me Harj Ho,

    Nakhoon'on Ke Andar Ya Upar Ya Kisi Aur Dhone Ki Jagah Iske Lage Reh Jane Se Wazu Hojaega

    Agrche Wo Sakht Cheez Ho Aur Iske Neeche Pani Na Pohonche. Maslan Pakane Gundhne Walo Ke

    Liye Aata, Rangrez Ke Liye Rang Ka Jarm, Aurto Ke Liye Mehndi, Likhne Walo Ke Liye Roshnai,

    Mazdoor Ke Liye Garaamti Aur Aam Logo Ke Liye Palko'n Me Surme Ka Jarm Ya Badan Ka Mail

    Wagaira.

    3. Chohtai Sar Ka Masa Karna: Masa Karne Ke Liye Haath Tar Hona Cahiye Khwah Tari Aaza Ke

    Dhone Ke Baad Rehgai Ho Ya Nae Pani Se Haath Tar Kar Liya Ho. Kisi Uzuu Ke Masa Ke Baad Jo

    Haath Me Tari Baqi Rehjaegi Wo Dusre Uzuu Ke Masa Ke Liye Kaafi Na Hogi.

    4. Dono Pa'un Dhona: Ungliyo Ki Karote, Ghaiya, Gitte, Talwe Aur Ediya Sab Ka Dhona Farz Hai.

    Agar Khalal kiye Bagair Ungliyo Me Pani Na Behta Ho To Khalal Bhi Farz Hai.

    WAZU KI SUNNAT'EIN

    Wazu Ki Sunnat'ein Mandarja Zel Hai:

    Hukme Ilahi Ki Tameel Aur Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Karna, Pak Jagah Baith Kar Wazu Karna,

    Wazu Shuru Karne Se Qabl ٰبِْسِم ّللا Padhna, Dono Haath Ghatto Tak Dhona, Miswak Karna, Teen

    Baar Chullu Bhar Pani Se Kulli Karna, Teen Baar Nak Me Haddi Tak Pani Cadhana, Pani Dae Haath

    Se Cadhana, Bae Haath Ki Choti Ungli Se Nak Saaf Karna, Haath Pau Ki Ungliyo Ka Khalal Karna,

    Daadhi Ka Khalal Karna, Pure Sar Ka Masa Karna, Kaano Ka Masa Karna, Aaza Dhone Ki Tarteeb

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Qayam Rakhna, Har Dhone Wale Aaza Ko Teen Baar Dhona, Aaza Ko Pe Dar Pe Is Tarha Dhona

    Ke Pehla Aaza Sukne Na Pae.

    WAZU KARNE KA TAREEQA

    Pakde Ke Choti Ungli Miswak Ke Niche, Darmiyan Ki Teen Ungliya Upar Aur Anghuta Miswak Ke

    Sar Par Niche Ho. Pehle Dai Janib Upar Ke Danto Par Miswak Kare Phir Bai Taraf Upar Ke Danto,

    Phir Dai Taraf Niche Ke Aur Phir Bai Taraf Niche Ke Danto Par Miswak Kare. Miswak Danto Ki

    Chorai Par Karni Cahiye. Phir Teen Baar Chullu Me Pani Lekar Achchi tarha Kulli Kare Aur Teen

    Baar Nak Me Pani Cadhae Aur Bae Haath Ki Choti Ungli Se Nak Saaf Kare. Phir Teen Baar Is

    Tarha Mu Dhoe Ke Peshani Ke Balo Se Thudi Ke Niche Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Tak

    Khushk Na Rahe. Agar Dadhi Hoto Iska Khalal Bhi Kiya Jae. Phir Teen Baar Pehle Daya Haath Phir

    Baya Haath Koni Samet Dhoe. Phir Dono Haath Tar Karke Pure Sar Ka Is Tarha Masa Kare Ke

    Anghute Aur Kalme Ki Ungli Ke Siwa Ek Haath Ki Baqi Teen Ungliyo Ke Sire Dusre Haath Ki

    Teen Ungliyo Ke Sire Se Mile Aur Peshani Par Rakh Kar Gaddi Tak Is Tarha Le Jae Ke Hateliya Sar

    Phir Shahadat Ki Ungli Ke Pet Se Kaan Ke Andruni Hisse Ka Masa Kare Aur Anghute Se Kaan Ki

    Phir Teen Baar Pehle Daya Pau Aur Phir Baya Pau Takhnk Samet Bae Haath Se Dhoe Aur Ungliyo

    Ka Khalal Kare. Dahine Pau Me Khalal Choti Ungli Se Shuru Karke Anghute Par Khatam Kare Aur

    Bae Pau Me Anghute Se Shuru Karke Choti Ungli Par Khatam Kare.

    Wazu Ke Baad Kalima E Shahadat Padhne Ki Adat Banale Kyuke Hadees Shareef Me Hai Wazu Ke

    Baad Kalima E Shahadat Padhne Wale Ke Liye Jannat Ki Basharat Aai Hai.

    WAZU KIN BAAT'ON SE TOOT JATA HAI

    Mandarja Zail Cheezo Se Wazu Toot Jata Hai.

    Peshab Ya Pakhana Ke Maqam Se Kisi Cheez Ka Nikalna, Mu Bhar Kar Khae Karna, Khoon Ya

    Peep Ya Zard Pani Ka Nikal Kar Jism Pae Beh Jana, Kisi Cheez Se Sahara Laga Kar Sojana, Dukhti

    Aankh Se Paani Ka Behna, Namaz Me Awaz Se Hasna, Behosh Ya Junoon Tari Hona.

    MISWAK KA BAYAN

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farmane Alishaan Hai: Agar Ye Baat Na Hoti Ke Meri Ummat Par Gira

    Hoga To Mai Inko Hukm Deta Ke Wo Har Namaz Ke Saath Miswak Kiya Kare. (Bukhari)

    HUZOOR E KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: Miswak Lazim Karlo Kyuke Isse Mu Ki Safai Hoti Hai Aur

    RAB TA'ALA Bhi Razi Hota Hai. (Musnad E Ahmed)

    Aulama Farmate Hai Ke Miswak Karne Ke Sattar (70) Fayde Hai Jin Mese Ek Ye Hai Ke Marte

    Waqt Kalima Tayyiba Naseeb Hota Hai Aur Naza Ki Takleef Asan Hojati Hai.

    Wazu Shuru Karne Se Qabl Hukme Ilahi ki Tameel Aur Sawab Pane ki Niyyat Kare Aur اللّٰ مِسِْبPadh

    Kar Teen Baar Dono Haath Ghatto Tak Dhoe Phir Miswak Kare. Miswak Dae Haath Me Is Tarha

    Se Juda Rahe. Waha Se Hateliyo Se Masa Karte Hue Wapas Lae.

    Beruni Satah Ka Aur Ungliyo Ki Pusht Se Gardan Ka Masa Kare.

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Miswak Karna Wazu Ke Liye Sunnat Hai. Miswak Na Bohot Narm Ho Na Bohot Sakht. Behtar Hai

    Ke Pilu, Zaitoon Ya Neem Kadwi Lakdi Ki Ho.

    Miswak Choti Ungli ke Barabar Moti Aur Zyada Se Zyada Ek Balish Barabar Lambi Ho Aur Itni

    Choti Bhi Na Ho Ke Miswak Karna Dushwar Ho.

    Miswak Dahine Haath Me Is Tarha Pakde Ke Choti Ungli Miswak Ke Niche Aur Beech Ke Teen

    Ungliya Upar Aur Anghuta Miswak Ke Sare Par Niche Ho Aur Muth'thi Bandh Na Ki Jae. Isi Tarha

    Miswak Karne Wala Bawasir Ke Marz Se Mehfooz Rehta Hai.

    Miswak Danto Ki Chorai Me Karni Cahiye Lambayi Me Nahi. Pehle Upar Ke Dant Dahine Janib

    Aur Bae Janib Se Saaf Kare Phir Niche Ke Daant Pehle Dae Aur Phir Bae Janib Se Saaf Kare. Upar

    Niche Dae Bae Kam az Kam Teen Teen Martaba Miswak kare. Aur Har Baar Miswak Ko Dhole.

    GUSL KE FARA'EZ

    Gusl Me Teen Farz Hai:-

    1. Gharghara Karna Ya'ani Mu Bhar Kar Is Tarha Kulli Karna Ke Honth Se Halaq Ki Jad Tak Pani

    Pohonch Jae.

    2. Nak Me Haddi Tak Pani Pohonchana Ke Dono Nathno Me Haddi Tak Koi Jagah Khushk Na

    Rahe.

    3. Saare Badan Par Is Tarha Pani Bahana Ke Baal Barabar Jagah Bhi Khushk Na Rahe.

    Agar Danto Me Gosht Ke Reshe Ya Paan Chaliya Wagaira Phanse Hoto Inhe Saaf Karna Zaroori

    Hai Isi Tarha Agar Nak Me Mail Jam Gai Hoto Ise Saaf Karke Pani Sakht Haddi Ke Shuru Tak

    Pohonchana Bhi Lazim Hai Albatta Roze Ki Halat Me Mubaligha Se Bachna Cahiye.

    GUSL KA MASNOON TARIQA

    Gusl Ki Niyyat Karke Pehle Do Haath Ghatto Tak Dhoe Phir Istenja Ki Jagah Dhoe Khwah Najasat

    Ho Ya Nahi. Phir Badan Par Jaha Najasat Ho Ise Door Karke Wazu Kare Magar Pau Na Dhoe Agar

    Kisi Caukhi Par Gusl Kare To Pau Bhi Dhole Phir Badan Par Tel Ki Tarha Pani Mal Lein Phir Teen

    Baar Dae Kandhe Par Phir Teen Baar Bae Kandhe Par Pani Baha'ein. Phir Teen Baar Sar Par Aur

    Phir Saare Jism Par Teen Baar Achchi Tarha Pani Baha'ein Aur Haath Pher Kar Mal'ein Take Baal

    Barabar Jagah Bhi Khushk Na Rahe. Agar Wazu Me Pau Nahi Dhoe The To Ab Gusl Ki Jagah Se

    Alag Hokar Pau Dhol'ein. Gusl Ke Dauran Is Baat Ka Khayal Rakh'ein Ke Aap Na To Qibla Rukh

    Ho Aur Na Hi Koi Kalam Kare Ya Dua Padhein. Nez Aisi Jagah Nahae Jaha Be-Pardagi Na Ho.

    GUSL IN CHEEZ'ON SE FARZ HOTA HAI

    Shehwat Ke Saath Mani Ka Nikalna, Nind Me Ehtelaam Hona, Mard Ya Aurat Se Mubashrat Karna

    Khwah Inzaal Ho ya Nahi. Aurat Ka Haiz Se Farigh Hona, Aurat Ka Nifas Khatam Hona.

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    TAYAMMUM KAB KIYA JATA HAI?

    Jaise Wazu Ya Gusl Ki Hajat Ho Magar Ise Pani Istemal Karne Par Qudrat Na Ho Ise Tayammum

    Karna Cahiye. Iski Chand Surat'ein Darj Zel Hai:

    Charo Taraf Ek Ek Mil Tak Pani Ka Pata Na Ho.

    Ya Aisi Bemari Ho Ke Pani Ke Bais Shadeed Bemaar Hone Ya Der Me Achcha Hone Ka Sahi

    Bataya Ho.

    Ya Itni Sakht Sardi Ho Ke Nahane Se Marjane Ya Bemaar Hojane Ka Qawi Andesha Ho Aur Lihaaf

    Wagaira Koi Aisi Cheez Iske Paas Na Ho Jisse Nahane Ke Baad Sardi Se Bach Sake,

    Ya Train Ya Bus Se Utar Kar Pani Istemal Karne Me Gadhi Choot Jane Ka Khadsha Ho,

    Ya Wazu, Gusl Karne Ki Surat Me Namaz E Eid'ain Nikal Jane Ka Guman Ho.

    TAYAMMUM KA TARIQA AUR AHEM MASAIL

    Tayammum Me Teen Farz Hai.

    Awwal: Niyyat Karna Ke Ye Tayammum Wazu Ya Gusl Ya Dono Ki Paki Ke Liye Hai.

    Duwam: Sare Mu Par Is Tarha Haath Pherna Ke Baal Barabar Jagah Bhi Baqi Na Rahe.

    Suwam: Dono Haath'on Ka Kohniyo Samet Masa Karne Ke Koi Hissa Baqi Na Rahe.

    Tayammum Ka Tariqa Ye Hai Ke Niyyat Karke ٰبِْسِم ّللا Padh Kar Dono Haath Zameen Ki Jins Se

    Talluq Rakhne Wali Kisi Cheez (Maslan Mit'thi, Paththar, Marble Ya Aisi Cheez Jispar Kaafi Gard

    Dusre Haath Ke Anghute Ki Jad Par Marein. Phir Dono Haath Saare Mu Par Is Tarha Pher Lein Ki

    Koi Jagah Baqi Na Rahe. Hoth Ka Wo Hissa Jo Adatan Mu Band Hone Ki Halat Me Dikhai Deta

    Hai Ispar Bhi Masa karna Zaroori Hai. Agar Dadhi Hoto Is Ka Khalal Bhi Kare.

    Phir Dobara Mit'thi Ya Paththar Par Haath Mare Aur Pehle Dae Haath Ka Is Tarha Masa Kare Ke

    Bae Hath Ke Anghute Ke Alawa Char Ungliyo Ka Pet Dae Haath Ki Pusht Par Rakhein Aur Ungliyo

    Ke Sare Se Kohni Tak Le Jae Aur Phir Waha Se Bae Haath Ki Hateli Se Dae Haath Ke Pusht (Ya'ani

    Andruni Taraf) Par Pherte Hue Ghatte Tak Lae Aur Bae Anghute Ke Pusht Se Dae Anghute Ki Pusht

    Ka Masa Karein.

    Isi Tarha Dae Haath Se Bae Haath Ka Masa Kare. Mit'thi Ya Paththar Par Haath Marte Waqt

    Khalal Karna Sunnat Hai Aur Agar Paththar Wagaira Se Tayammum Kiya Jae Jis Par Gubbar Na Ho

    To Ungliyo Ka Khalal Farz Hai.

    Tayammum Ke Waqt Khawateen Is Baat Ka Ehtiyaat Rakhein Ke Anghuti, Challe, Nat Aur Deegar

    Zevrat Hatakar Jabke Nail Polish Utar Kar Jild Ke Har Hisse Par Haath pherna Zaroori Hai. Beemari

    Me Agar Thanda Paani Nuqsaa.n Karta Hai To Garam Pani Istemal Karna Cahiye Agar Garam Pani

    Na Mile To Tayammum Kiya Jae. Yuhi Agar Sar Par Pani Dalna Nuqsaa.n Karta Hai To Gale Se

    Andesha Ho Khwah Ye Isne Khud Azmaya Ho Ya Kisi Mustanad Ya Ghair E Fasiq Tabeeb Ne

    Wagaira Ho) Par Mare Aur Agar Zyada Mit'thi Lag Ja e To Ek Haath Ke Anghute Ki Jad Ko

    Ungliya Khuli Hui Halat Me Ho. Agar Ungliyo Ke Darmiyan Gubbar Pohonch Gaya To Inka

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Nahaye Aur Geela Haath Pher Kar Pure Sar Ka Masa Karlein.

    Agar Kisi Uzuu Par Zaqm Ke Bais Patti Bandi Ho Ya Plaster Chada Ho To Haath Geela Karke Is

    Patti Ke Upar Pher Diya Jae Aur Baqi Jism Ko Dhoya Jae. Jab Itna Aram Hojae Ke Patti Par Se Pani

    Bahane Me Nuqsaa.n Na Ho To Pani Bahae, Phir Jab Itna Araam Hojae Ke Zaqm Wali Jagah Masa

    Karsakta Ho To Fauran Masa Kare, Phir Jab Itni Sahet Hojae Ke Uzuu Par Pani Baha Sakta Hoto

    Jis Uzr Ke Bais Tayammum Kiya Gaya Agar Wo Khatm Hojae Ya Jin Cheez'on Se Wazu TootTa

    NA-PAK KAPDE PAK KARNE KA TARIQA

    Na-Pak Kapde Pak Karne Ka Tariqa Ye Hai Ke Inhe Achchi Tarha Dho Kar Puri Quwwat Se

    Nichoda Jae Yaha Tak Ke Mazeed Quwwat Lagne Par Koi Khatra Na Tapke. Phir Haath Dho Kar

    Kapde Dhoe Aur Inhe Isi Tarha Puri Taqat Se Nichode, Phir Teesri Baar Haath Dhoe Aur Kapde

    Dhokar Inhe Puri Taqat Se Inhe Nichode Ke Mazeed Nichode Par Koi Qatra Na Tapke. Ab Kapde

    Pak Hogaye. Agar Kisine Puri Quwwat Se Kapda Nichodliya Magar Koi Dusra Jo Taqat Me Zyada

    Hai, Ise Nichode To Chand Boondh Pani Mazeed Tapak Jaega To Kapda Pehle Ke Haq Me Pak Aur

    Is Doosre Ke Haq Me Na-pak Hai.

    Is Masle Me Ehtiyat Karni Cahiye. Har Koi Ya To Apna Na-Pak Kapda Khud Pak Kare Ya Phir Inhe

    Behte Pani Me Pak Kiya Jae. Iska Tariqa Ye Hai Ke Sabun Ya Washing Machine Se Kapde Dho Kar

    Inhe Kisi Bartan Me Daal Dein Aur Phir Itna Pani Dale Ke Kapde Pani Me Mukammal Doob Jae

    Aur Pani Bartan Ke Kinaro Se Behne Lage, Jab Pani Beh Raha Hoto Is Behte Pani Se Kapdo Ko

    Nikal Le, Ye Behte Pani Ki Wajah Se Pak Hogaye.

    Aise Nazuk Kapde Jo Nichodne Ke Qabil Nahi Hai Isi Tarha Chatai, Qalin, Jootey Wagaira Bhi

    Agar Na-Pak Hojae To Inhe Pak Karne Ka Tareeqa Ye Hai Ke Inhe Dhokar Latka Diya Jae Yaha

    Tak Ke Inse Pani Tapakna Band Hojae. Phir Dobara Dho Kar Latka De, Jab Pani Tapakna Band

    Hojae Phir Teesri Baar Dhokar Sukale, Ye Pak Hojaengey.

    AZAN KA BAYAN

    SARKAAR E DO ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farmane Alishaan Hai: "Azan Dene Walo Ki Gardane Qayamat Ke

    Din Sabse Zyada Daraz Hongi." (Muslim) Ya'ani Wo Rehmat E Ilahi Ke Zyada Umeed Waar Aur

    Sawab Ke Zyada Mustahaq Hongey.

    NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai: "Jo Saath Baras Ke Sawab Ke Liye Azan Kahe,

    ALLAH TA'ALA Ise Jahannam Ki Aag Se Mehfooz Rakhta Hai." (Tirmizi, Ibne Majah)

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: Jo Azan Dene Wala Mahez Sawab Ka Talib Ho Wo Is

    Bahae. Gharz Ye Ke Alaa Par Jitnni Qudrat Hasil Hoti Jaye, Adna Par Itefa Jaiz Nahi.Agar Namaz Ka Waqt Itna Kam Rehgaya Ke Wazu Ya Gusl Karne Ki Surat Me Namaz Qaza

    Shaheed Ki Misl Hai Jo Khoon Me Aloda Hai Aur Jab Wo Marega Qabr Me Iska Badan Keedo Se

    Dohrana Zaroori Hai.

    Hai Inse Wazu Ka Ya Jin Baat'on Se Gusl Wajib Hota Hai Inse Gusl Ka Tayammum Toot Jata Hai.

    Hojaegi To Tayammum Karke Namaz Padh Leni Cahiye. Albatta Wazu Ya Gusl Karke Is Namaz Ko

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Masjid Me Ba-Jamat Pancho Farz Namazo Ki Waqt Par Adaegi Ke Liye Azan Sunnat E MaukKdia

    Hai Aur Iska Hukm Wajib Ke Misl Hai Ke Agar Azan Na Kahi To Waha Ke Sab Log Gunahgaar

    Hongey. Be-Wazu Azan Kehna Makrooh Hai. Har Farz Namaz Ke Liye Azan Is Namaz Ka Waqt

    Shuru Hone Ke Baad Kahi Jaa Sakti Hai. Jo Azan Waqt Se Qabl Kahi Gayi Ise Waqt Par Lautana

    Cahiye.

    Shariyat Me Azan Ek Khaas Qism Ka Ailaan Hai. Jis Ke Liye Ye Alfaz Muqarrar Hai:

    "ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se

    Bada Hai, Mai Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Mai Gawahi Deta Hu Ke

    ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Mai Gawahi Deta Hu Ke HAZRAT MUHAMMED ملسو هيلع هللا ىلص ALLAH

    Ke Rasool Hai, Mai Gawahi Deta Hu Ke HAZRAT MUHAMMED ملسو هيلع هللا ىلص ALLAH Ke Rasool Hai, Aao

    Namaz Ki Taraf, Aao Namaz Ki Taraf, Aao Kaamyaabi Ki Taraf, Aao Kaamyaabi Ki Taraf, ALLAH

    Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH TA'ALA Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi."

    Azan Aur Iqamat Dono Me حی علی الصلوۃ Kehte Waqt Dae Aur حی علی الفالح Kehte Waqt Bae Taraf

    Mu Karna Cahiye. Azan Sunkar Iska Jawab Dene Ka Hukm Hai Ya'ani Jo Kalma Muazzin Kahe

    Sunne Wala Wahi Kalma Kahe Magar حی علی الصلوۃ aur حی علی الفالح ke Jawab Me ۃا إَِلَّ بِاہلل َلا قُوَّ ْولا وا َلا حا

    Kahe.

    Fajr Ki Azan Meحی علی الفالح Ke Baad Do Baar Ye Kaha Jae:

    "Namaz Nind Se Behtar Hai." Iske Jawab Me Ye Kahe: ۔ قَّ ناطاْقتا بِاْلحا ْرتا وا داْقتا وا بارا صا

    "Tumne Sach Kaha Aur Achcha Kaam Kiya Aur Tumne Haq Kaha."

    Jab Azan Hoti Ho To Itni Der Ke Liye Salam Wa Kalam Aur Tilawat Wagaira Tamam Ashgaal

    Mauqoof Kardein Aur Azan Ko Ghaur Se Sune Aur Jawab Dein. Iqamat Ka Bhi Yahi Hukm Hai. Jo

    Azan Ke Waqt Baat'on Me Mashghul Rahe Is Par معاذہللا Khatima Bura Hone Ka Qhauf Hai. Jab

    Muazzin

    Kahe To Sunne Wala Durood Shareef Padhe,

    سُْولا ہللا ۔ " لاْیكا ياا سایَِّدى ياا را لَّى ہللا عا Aur Mustahab Ye Hai Ke Apne Anghut'on Ko Bosa Dekar Ankho " صا

    Se Lagae Aur Ye Padhe ْر ۔ ت ِْعنِْى بِسَّْمعِ ِواْلباصا ُهمَّ ماسُْولا ہللا، اللَّ ْینِْي بِكا ياارا ۃُ عا ملسو هيلع هللا ىلص Aisa Karne Wale ko HUZOORقُرَّ

    Apne Saath Jannat Me Le Jaengey. Jamat Ke Waqt Jo Kalimat Kahe Jate Hai Inhe Iqamat Kehte Hai,

    Ye Azan Ki Misl Hai Siwae Iske

    Ke Iqamat Me

    حی علی الفالح

    Ke Baad Do Martaba Ye Bhi Kaha Jata Hai:

    "Namaz Ke Liye Jamat Khadi Hogayi." Iske Jawab Me Ye Kaha Jae: هااہللا "ااقااما

    اَْلاْرضُ ُت وا وَٰ ِت اسَّمَٰ ا دااما ا ما ها Isko Qayam Rakhe Aur Hamesha Rakhe Jab Tak Aasman هلالج لج ALLAH" "واادااما

    Yahi Hukm Imam Ke Liye Hai.

    Agar Chand Azan'en Sune To Sunne Wale Ko Pehli Azan Ka Jawab Dena Cahiye Aur Behtar Hai Ki

    Mehfooz Rahega. (Bahare Shariat Ba Hawala Tabarani)

    Aur Zameen Qayam Hai."

    Iqamat Ke Waqt Koi Shaqs Aaya To Ise Khada Hokar Intezar Karna Makrooh Hai, Ise Cahiye Ke

    أشھد أن محمدًا رسولُ اللہ

    Baithe Hai Wo Bhi Baithe Rahe Aur Is Waqt Khade Hojae Jab Mukabbirحی علی الفلاح Par Pohonche.Baith Jae Aur Mukabbir حی علی الفلاح Par Pohonche Is Waqt Khada Ho. YouN Hi Jo Log Masjid Me

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Sab Ka Jawab Diya Jae. Khutbe Ki Azan Ka Jawab Zaban Se Dena Muqtadiyo Ke Liye Jayaz Nahi.

    Azan Ke Baad Durood Shareef Padhkar Ye Dua Padhe:

    "Aye ALLAH! Aye Is Dawat E Kamil Aur Qayam Hone Wali Namaz Ke Malik! Tu Hamare

    SARDAAR HAZRAT MUHAMMED ملسو هيلع هللا ىلص Ko Waseela, Fazeelat Aur Buland Darja Ata Kar Aur Inki

    Is Maqaam E Mehmood Par Fa'iz Farma Jiska Tune Inse Wada Farmaya Hai Aur Hame Qayamat Me

    Inki Shifa'at Naseeb Farma, Beshak Tu Apne Wade Ke Khilaaf Nahi Karta.

    NAMAZ KI RAKAT

    ☆ Fajr Ki Namaz Ki Chaar Rakat Hai: Pehle Do Sunnat (maukkida) Aur Phir Do Farz.

    ☆ Zohar Ki Namaz Ki Barah Rakat Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Pehle Chaar Sunnat (maukkida), Phir

    Chaar Farz, Phir Do Sunnat (maukkida), Phir Do Nafl.

    ☆ Asr Ki Namaz Ki Aanth Rakat Hai: Pehle Chaar Sunnat (Ghair maukkida), Phir Chaar Farz.

    ☆ Maghrib Ki Namaz Ki Saath Rakat Hai Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Pehle Teen Farz Phir Do

    Sunnat (maukkida) Phir Do Nafl.

    ☆ Isha Ki Namaz Ki Satrah Rakat Hai Jinki Tarteeb Ye Hai: Chaar Sunnat (Ghair maukkida), Chaar

    Farz, Do Sunnat (maukkida), Do Nafl, Teen Witr (Wajib), Do Nafl.

    ☆ Jumu'ah Ki Namaz Ki Chaudah Rakat Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Chaar Sunnat (maukkida), Do

    Farz, Chaar Sunnat (maukkida), Do Sunnat (maukkida) Aur Do Nafl.

    Sunnat'ein Baaz maukkida Hai Ke Shariat Me Ispar Takeed Aai, Bila Uzr Ek Baar Bhi Tark Kare To

    Gunah Wajib Ke Tark Se Kam Hai. Sunnat Ko Tark Karlene Ki Adat Banalena Haram Ke Khareeb

    Hai Aur Aise Shaqs Ke Mutalliq Andesha Hai Ke معاذہللا Shifa'at Se Mehroom Hojae Ke HUZOOR E

    AQDAS ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: "Jo Sunnat Ko Tark Karega Ise Meri Shifa'at Na Milegi."

    NAMAZ KI SHARA'IT

    Namaz Ki Che Shara'it Hai. Taharat, Sitr E Aurat, Isteqbal E Qibla, Waqt, Niyyat, Tehrima.

    1. Namaz Ki Pehli Shart Taharat Hai Ya'ani Namazi Ka Jism Aur Libas Pak Hona Cahiye Nez Jis

    Jagah Namaz Padhi Jae Wo Bhi Najasat Se Pak Honi Zaroori Hai. Taharat Ke Liye Agar Hajat Hoto

    Gusl Kiya Jae Warna Wazu Karna Zaroori Hai. Wazu, Gusl, Tayammum, Kapde Pak Karne Se

    Mutalliq Zaroori Masail Pehle Bayan Kiye Ja Chuke Hai

    2. Namaz Ki Doosri Shart Sitr E Aurat Hai Ya'ani Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Ise

    Chupaya Jae. Mard Ke Liye Naaf Ke Niche Se Ghutno Ke Niche Tak Ka Hissa Sitr E Aurat Hai.

    Jabke Aurat Ke Liye Dono Hateliyo, Pau Ke Talwo Aur Cehre Ke Siwa Saara Badan Aurat Ya'ani

    Chupane Ki Cheez Hai. Namaz Ke Alawa Aurat Ko Na Mehram Se Cehre Ka Parda Karna Bhi

    Lazim Hai.

    Itna Bareek Libas Jisse Badan Ki Rangat Jhalakti Ho Ya Aisa Bareek Dupatta Jisse Baal'on Ki

    Siyahi Chamke, Sitr Ke Liye Kaafi Nahi Ya'ani Aise Libas Me Namaz Nahi Hoti Balke Aisa Libas

    Namaz Ke Alawa Bhi Haram Hai.

    Mustahiq E Malamat Hai Aur Tark Ki Adat Kare To Fasiq, Mardoodu Ashshahadaat Aur Mustahiq E

    Naar Hai. Baaz Aiamma Ne Farmaya Wo Gumrah Tehraya Jaega Aur Gunahgaar Hai Agarche Iska

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    3. Namaz Ki Teesri Shart Isteqbal E Qibla Ya'ani Kaaba Shareef Ki Tarah Mu Karna Hai. Namazi

    Ka Mu Aur Seena Qible Ki Taraf Hona Cahiye.

    4. Cohti Shart Namaz Ka Waqt Hai. Fajr Ki Namaz Ka Waqt Subah Sadiq Se Lekar Suraj Ki Kiran

    Chamakne Tak Hai Ya'ani Suraj Tulu Hone Se Pehle Namaz E Fajr Mukammal Karleni Cahiye.

    Zohar Ki Namaz Ka Waqt Suraj Dhalne Se Is Waqt Tak Hai Jab Har Cheez Ka Saaya Asal Saaye Se

    Asr Ki Namaz Ka Waqt Zohar Ka Waqt Khatam Hone Se Lekar Suraj Ghuroob Hone Tak Hai.

    Ghuroob E Aftab Se Qabl Bees Minute Ka Waqt Makrooh Hota Hai Isse Pehle Namaz E Asr Padh

    Leni Cahiye Agar Kisi Wajah Se Asr Na Padhi Hoto Is Makrooh Waqt Me Padh Leni Cahiye.

    Maghrib Ka Waqt Ghuroob E Aftaab Se Shafaq Guroob Hone Tak Hai Jabke Isha Ka Waqt Shafaq

    Ghuroob Hone Se Lekar Tulu E Fajr Tak Hai Albatta Nisf Shab Se Zaieed Taakhir Makrooh Hai.

    Ye Hai Ke Agar Is Waqt Koi Puche Ke Kounsi Namaz Padh Rahe Hai To Fauran Bata De, Agar

    Sonch Kar Bataega To Namaz Na Hogi. Zaban Se Niyyat Kehlena Mustahab Hai Aur Iske Liye Kisi

    Zabaan Ki Qaid Nahi. Behtar Hai Ke Takbeer E Oola Kehte Waqt Niyyat Maujood Ho.

    6. Namaz Ki Chathi Shart Takbeer e Tehrima Hai Ya'ani ہللا اکبر Kehkar Namaz Shuru Ki Jae. Lafze

    Kaha To Namaz Na Hogi Balke Agar Inke Faasid Ma'ani Samajh "اکبار" Ko "اکبر" Ya "آہلل" Ko "ہللا"

    Kar Jaan Boojh Kar Aisa Kiya To Kafir Hai.

    KIN WAQA'ET ME NAMAZ MANA HAI?

    Jin Waqa'et Me Namaz Padhna Makrooh Hai Inme Tulu E Aftab Se Bees Minute Baad Tak Aur

    Ghuroob E Aftaab Se Bees Minute Qabl Se Ghuroob Tak Aur Zawu Kubra Ya'ani Nisfunnar sharayi

    Se Nisfunnar Haqiqi Ya'ani Zawal Tak Ka Waqt Shaamil Hai.

    In Waqa'et Me Koi Namaz Ya Sajda E Tilawat Jayaz Nahi, In Waqa'et Ke Alawa Har Waqt Qaza

    Namaz'ein Aur Nawafil Padhi Ja Sakti Hai, Albatta Subhe Sadiq Se Tulu E Aftab Tak, Aur Namaz E

    Asr Aftab Ghuroob Hone Tak Koi Nafl Namaz, Aur Imam Ke Khutba E Jumu'ah Ke Liye Khade

    Hone Se Lekar Farz E Jumu'ah Khatam Hone Tak Nafl Aur Sunnat Dono Jayaz Nahi.

    NAMAZ PADHNE KA MASNOON TARIQA

    Ba-Wazu Qible Ki Taraf Taraf Mu Karke Is Tarha Khade Ho Ke Do Pau Ke Darmiyan Chaar Ungal

    Ka Faasla Hai Phir Apne Haath Kaano Tak Is Tarha Uthae Ke Anghute Kano Ki Lau Se Chu Jae.

    Aur Ungliya Na Mili Ho Na Khoob Khuli Ho Balki Apni Asal Halat Par Ho Aur Hateliya Qibla

    Rukh Ho Phir Niyyat Karke ہللا اکبر Kehte Hue Haath Naaf Ke Niche La Kar Is Tarha Bandhle Ke

    Daya Haath Bae Haath Ki Pusht Par Aur Darmiyan Teen Ungliya Kalai Ki Pusht Par Ho Phir

    Anghute Aur Choti Ungli Se Halqa Banakar Ba'i Kalai Ko Pakadle Aur Sana Padhe.

    "Pak Hai Tu Aye ALLAH! Aur Mai Teri Hamd Karta Hu, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Teri

    Azmat Buland Hai Aur Tere Siwa Koi Mabood Nahi."

    Pair Tauz Aur Tasmia Padhkar Surah Fateha Padhe.

    "Mai Panah Mangta Hu ALLAH Ki, Shaitan Mardood Se."

    Dugna Hojaega. Asli Saaya Wo Hai Jo Suraj Ke Khat

    Nasfun Nihar Par Pohonchne Ke Waqt Hota Hai.

    5. Namaz Ki Panchwi Shart niyyat Hai. Niyyat Dil Ke Pakke Irade Ko Kehte Hai Iska Adna Darja

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    "ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Bohot Mehrbaan Rehmat Wala Hai."

    "Sab Qubiya ALLAH Ko Jo Malik Saare Jahan Walo Ka, Bohot Mehrbaan Rehmat Wala, Roze Jaza

    Ka Malik, Hum Tujhi Ko Puje Aur Tujhi Se Madad Cahe, Humko Seedha Raasta Chala, Raasta Inka

    Jinpar Tune Ehsaan Kiya, Na Inka Jinpar Gazab Hua, Aur Na Behke Huo Ka." (Kazul Imaan Az Ala

    Hazrat Imam Ahmed Raza Muhaddis E Barelvi رحمت ہللا علیہ)

    Surah Fateha Ke Baad Ahista Se Ameen Kahe, Iske Baad Koi Surat Ya Teen Ayat Ya Teen Ayat Ke

    Barabar Koi Ayat Padhe.

    "Tum Farmao! Wo ALLAH Hai Wo Ek Hai, ALLAH Be Niyaz Hai, Na Iski Koi Aulad Na Wo Kisi

    Se Paida Hua, Aur Na Iske Jod Ka Koi." (Kanzul Imaan)

    Phir ہللا اکبر Kehte Hue Ruku Me Jae Aur Ghutno Ko Ungliya Khol Kar Mazbooti Se Pakadle Aur

    Jabke Qiyam Ke Dauran Nigah Sajde Ki Jagah Rakhni Cahiye.

    Ruku Me Kam Se Kam Teen Baar Ye Padhe:

    "Pak Hai Mera Parwardigar Azmat Wala."

    Phir Tasmia Kehte Hue Khade hojae.

    "ALLAH Ne Iski Sunli Jisne Iski Tareef Ki."

    Phir Tamheed Kahe.

    "Aye Hamare Malik! Sab Tareef Tere Hi Liye Hai." Phir Takbeer Kehte Hue You Sajde Me Jae Ke

    Pehle Ghutne Phir Dono Haath Zameen Par Rakhe, Phir Nak Phir Peshani Zameen Par Jamae Aur

    Sajde Me Kam Az Kam Teen Baar Ye Tasbee Padhe.

    "Pak Hai Mera Parwardigar Bohot Buland." Sajde Se Uth'te Hue Takbeer Kahe Aur Baya Pau Bicha

    Kar Ise Baithe Aur Daya Pau Khada Karke Iski Ungliya Qibla Rukh Karlein. Is Dauran Hateliya

    Ghutno Par Rakh Kar Panjo Ke Bal Khade Hojae.

    Ab Sirf ِِحْیم ِن الرَّ ْحمَٰ Padh Kar Qiraat Shuru Kare Phir Isi Tarha Ruku Aur Sajda Karke Daya بِْسِم ّللٰاِ الرَّ

    Pau Khada Karke Baye Pau Par Baith Jae Aur Tashah'hud Padhe.

    "Tamam Qauli Ibadat'ein Aur Tamam Faili Ibadaqt'ein Aur Tamam Maali Ibadat'ein ALLAH Hi Ke

    Liye Hai, Salam Ho AAP Par Aye NABI (ملسو هيلع هللا ىلص) Aur ALLAH Ki Rehmat'ein Aur Barkat'ein. Hum Par

    Aur ALLAH Ke Nek Bando Par Salam Ho. Main Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi

    Tashah'hud Padhe Waqt Jab " اشهد ان َل " Ke Qareeb Pohoncho To Dae Haath Ki Beech Ki Ungli Aur

    Anghute Ko Milakar Halqa Banae Aur Choti Ungli Aur Iske Saath Wali Ungli Ko Hateli Se Mila De

    Agar Farz Namaz Ho Aur Do Se Zyada Rakat'ein Padhni Ho To Tashah'hud Ke Baad Khade Hojae

    Aur Agli Rakat'on Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Na Milae. Aakhri Qaida Me Tashah'hud

    Itna Jhuke Ke Sar Aur Kamar Ek Satah Par Rahe. Ruku Me Nazar Dono Pau'on Ki Pusht Par Rahe

    RanO Par Bicha Kar Ghutno Ke Paas Is Tarha Rakhe Ke Ungliya Qibla Rukh Rahe. Phir Takbeer

    Mabood Nahi Aur Gawahi Deta Hu Ke MUHAMMED ملسو هيلع هللا ىلص Iske Bande Aur Rasool Hai."

    Aur Lafz "لَا " Par Shahadat Ki Ungli Utahe Aur "لَِ ا " Par Niche Karlein Aur Phir Sab Ungliya FauranSeedha Karlein. Qaide ke Dauraan Nazar Apne God Ki Tarfa Karlein.

    Seere Par Rahe. Dono Pau Ki Tamam Ungliya Qibla Rukh Lagi Ho Aur Dono Hateliya Zameen Par

    Phir Dono Haath'on Ke Darmiyaan Cahra Rakhe

    Nazar Nak Ke

    Qibla Rukh Bichi Ho. Nez Dono Bazu Karwato Se, Pet Rano Se Aur Rane Pindliyo Se Juda Rahen.

    Is Baat Ka Khayal Rakhe Ke Sajde Ke Douraan Nak Ki Haddi Zameen Par Sahi Lagi Hui Ho.

    Doosra Sajda Kare. Phirاللہ اکبر Kehte Hue Is Tarha Khade Ho Ke Pehle Sar Uthae Phir Haath'on Ko

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Ke Baad Durood Shareef Padhe.

    "Aye ALLAH! Durood Bhej Hamare SARKAAR E DO ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Par, Aur INKI (ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Aal Par Jis

    Tarha Tune Durood Bheja Sayyedna Ibraheem علیہ سالم Par Aur Inki Aal Par, Beshak Tu Saraha hua

    buzurg Hai.

    Barkat Nazil Kar Hamare SARKAAR E DO ALAM ملسو هيلع هللا ىلص Par Aur INKI (ملسو هيلع هللا ىلص) Aal Par Jis Tarha Tune

    Barkat Nazil Ki Sayyedna Ibraheem علیہ سالم Par Aur Inki Aal Par, Beshak Tu Saraha hua buzurg

    Hai."

    Phir Ye Dua Ya Koi Dua E Masurah Padh Lein.

    "Aye ALLAH Aye Mere Rab! Mujhe Namaz Qayam Karne Wala Rakh Aur Kuch Meri Aulad Ko,

    Aye Hamare Rab! Aur Hamari Dua Sunlein, Aye ALLAH Aye Hamare Rab! Mujhe Bakhsh De Aur

    Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmano Ko Jis Din Hisaab Qayam Hoga."

    Phir Pehle Dae Khande Ki Taraf Mu Karke Salam Kahe Aur Phir Bai Taraf Bhi.

    "Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rehmat." Namaz Ke Baad Dono Haath Seene Ke Muqabil

    Utha Kar ALLAH هلالج لج Se Ikhlaas Wa Aajzi Se Dua Mange Aur Dua Ke Baad Apne Haath Cehre Par

    Pher Lein. Dua'on Ke Liye Faqeer Ki Kitaab "Masnoon Dua'ein" Mulahiza Farmae.

    ☆ Agar Char Rakat Sunnat Ya Nafl Padhe To Teesre Aur Cohti Rakat Me Surah Fateha Ke Baad

    Koi Choti Surat Ya Iske Ayat Bhi Padhe. Sunnat E Ghair Maukkida Aur Nafl Namaz Ke Pehle

    Qaide Me Tashah'hud Ke Baad Durood Shareef Aur Dua Bhi Padhe Aur Teesri Rakat Ki Shuru Me

    Sana Bhi Padhe.

    ☆ Agar Jamat Se Namaz Padhi To Pehli Rakat Ke Qayam Me Sirf Sana Padhi Aur Khamoosh

    Ruku Se Uthte Waqt سمع ہللا لمن حمدہ Sirf Imam Kahe Aur Muqtadi Tahmeed Kahe.

    NAMAZ KE FARA'EZ

    Namaz Ke Saath Fara'ez Hai:

    Zyada Talluq Hone Ki Wajah Se Ise Namaz Ke Fara'ez Me Bhi Shumar Kiya Jata Hai. Agar Takbeer

    E Tehrima Kehne Ke Waqt Namaz Ki Koi Shart Na Pai Gayi To Namaz Nahi Hogi.

    Agar Muqtadi Ne Lafz "ہللا" Imam Ke Saath Kaha Lekin "اکبر" Ko Imam Se Pehle Khatam Kar Liya

    To Namaz Na Hui. Agar Muqtadi Imam Ko Ruku Ki Halat Me Pae To Muqtadi Ko Cahiye Ke

    Takbeer E Tehrima Qiyam Ki Halat Me Kahe Aur Dusri Takbeer Kehte Hue Ruku Me Jae. Agar

    2. Qiyam Ya'ani Seedha Khada Hona Namaz Me Farz Hai. Qiyam Itni Der Tak Hai Jitni Der Tak

    Qiraat Ki Jae. Qiyam Is Waqt Saaqit Hoga Jab Koi Khada Na Hosake Ya Sajda Karne Par Qadir Na

    Ho Ya Is Se Marz Me Ziyaddati Hoti Ho Ya Naqabile Bardaasht Takleef Hoti Ho.

    Mamuli Buqaar Ya Qabile Bardaasht Takleef Ke Bais Qiyam Chodna Jaiz Nahi. Iski Ehmiyat Is

    Qadr Hai Ke Agar Mareez Asaa Ya Khadim Ya Diwaar Se Tek Laga Kar Khada Hosakta Ho To

    Farz Hai Ke Khada Hokar Namaz Padhe. Agar Kuch Der Khada Hosakta Ho Agarche Itna Hi Ke

    Khada Hokar ہللا اکبر Kehle To Farz Hai Ke Khada Hokar Itna Kehle Phir Baith Kar Namaz Ada

    Kare.

    Khade Rahe Yohi Degar Rakat'on Ke Qayam Me Bhi Muqtadi Ko Qiraat Nahi Karni Cahiye.

    1. Takbeer E Tehreema Jo Darasal Namaz ki Sharaet Mese Hai Magar Namaz Ke Af'al Se Bohot

    Pehli Rakat Ka Ruku Mil Jae To Takbeer E Awlaa Ki Fazilat Mil Jati Hai.

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    3. Qirat Ya'ani Tamam Hurf Ka Makharij Se Ada Karna Take Har Hurf Dusre Hurf Se Mumtaz

    Hojae Nez Aise Padhna Ke Ise Khud Sun Sake, Farz Hai. Mahez Lab Hilana Tilawat Ke Liye Kaafi

    Nahi. Padhne Ki Tareef Ye Hai Ke Kamazkam Itni Awaz Se Padhe Ke Khud Sune. Agar Aise Padhe

    Ke Khud Na Sun Sake Jabke Sunne Se Ma'ana Koi Sabab Maslan Shor Wagaira Na Hoto Namaz Na

    Hogi.

    Farz Namaz Ki Pehli Do Rakat'on Me Aur Witr Wa Nafl Ki Har Rakat Me Mutlaqan Ek Ayat

    Padhna Farz Hai. Imam Ki Qiraat Muqtadiyo Ke Liye Kaafi Hai Lehaza Muqtadiyo Ko Kisi Namaz

    Me Qiraat Jayaz Nahi Khwah Wo Sirri Namaz Ho (Ya'ani Zohr Wa Asr) Ya Jahri Namaz (Ya'ani

    Fajr, Maghrib, Isha).

    4. Ruku Bhi Farz Hai. Iska Adna Darja Ye Hai Ke Itna Jhuka Jae Ke Haath Badhae To Ghutno Tak

    Pohonch Jae Aur Aala Ye Hai Ke Kamar Seedhi Ho Nez Sar Aur Peth Yaksaa Unche Ho.

    5. Sujood Ya'ani Har Rakat Me Do Baar Sajda Karna Farz Hai. Peshaani Aur Nak Ki Haddi Ka

    Zameen Par Jamna Sajde Ki Haqiqat Hai Aur Har Pau Ki Ek Ungli Ka Pet Lagna Shart. Agar Kisine

    Is Tarha Sajda Kiya Ke Dono Pau Zameen Se Uthe Rahe To Namaz Na Hui Balke Agar Sirf Ungli

    Ki Nok Zameen Se Lagi Jab Bhi Namaz Na Hui.

    6. Qaida E Aakhira Ya'ani Tamam Rakat'ein Padh Kar Itni Der Baithna Ke Poori Tashah'hud Padh Li

    Jae, Farz Hai. Agar Sajda E Sahu Kiya To Iske Baad Ba-Qadre Tashah'hud Baithna Farz Hai.

    7. Khuruj E Bisun'ihi Ya'ani Aakhri Qaide Ke Baad Salam Pherna Farz Hai. Qiyam Wa Ruku Wa

    Sajda Aur Qaida E Aakhira Me Tarteeb Bhi Farz Hai. Nez Jo Cheezein Farz Hai Inme Imam Ki

    Pairwi Muqtadi Par Farz Hai.

    WAJIBAT E NAMAZ

    1. Takbeer E Tehrima Ke Liye "ہللا اکبر" Kehna,

    2. Farz Namaz Ki Pehli Do Rakat'on Aur Deegar Namaz'on Ki Har Rakat Me Ek Baar Puri Surat E

    Fateha Padhna,

    3. Farz Ki Pehli Do Aur Baaqi Namaz'on Ki Har Rakat Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Ya Ek

    Ya Do Ayat'ein Teen Choti Ayat Ke Barabar Padhna,

    4. Har Rakat Me Ruku Ek Hi Martaba Karna,

    5. Har Rakat Me Sajda Do Hi Martaba Karna,

    7. Jalsa Ya'ani Do Sajdo Ke Darmiyaan Seedha Baithna,

    8. Sajde Me Peshaani Aur Nak Dono Ko Zameen Par Lagana,

    9. Sajde Me Dono Pau'on Ki Teen Teen Ungliyo Ka Pet Zameen Par Lagna,

    10. Ruku Wa Sajda Wa Qauma Wa Jalse Me Kamazkam Ek Bar سبحان ہللا Kehne Ki Miqdaar

    Thaherna,

    11. Qaida E Oola Ya'ani Teen Ya Char Rakat Wali Namaz Me Do Rakat Ke Baad Baithna,

    12. Dono Qaido Me Attahiyyat Wa Tashah'hud Padhna,

    13. Pehle Qaide Me Tashah'hud Ke Baad Kuch Na Padhna,

    14. Pehli Rakat Ke Baad Aur Char Rakat Wali Namaz Me Teesri Rakat Ke Baad Qaida Na Karna,

    15. Jahri Namaz Me Ya'ani Fajr Wa Maghrib Wa Isha Me Imam Ko Awaz Se Qiraat Karna,

    6. Qauma Ya'ani Ruku Ke Baad Seedha Khada Hona,

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    16. Sirri Namaz Ya'ani Zohr Wa Asr Me Imam Ko Ahista Qiraat Karna,

    17. Imam Buland Awaz Se Tilawat Kare Ya Ahista Is Waqt Muqtadiyo Ka Khamoosh Rehna,

    18. Siwae Qiraat Ke Tamam Wajibat Me Imam Ki Pairwi Karna,

    19. Do Farz Ya Do Wajib Ya Wajib Wa Farz Ke Darmiyaan Teen Tasbee Ke Barabar Waqfa Na

    Hona,

    20. Dono Taraf Salam Pherte Waqt Lafz Assalam Kehna,

    21. Witr Me Dua E Qunoot Padhna Aur Dua E Qunoot Se Qabl Takbeer Kehna,

    22. Eid'ain Me Che Takbeer'ein Aur Dusri Rakat Ke Ruku Ke Liye Takbeer Kehna,

    23. Ayat E Sajda Tilawat Karne Par Sajda E Tilawat Karna,

    24. Har Farz Aur Wajib Ka Iski Jagah Par Ada Karna,

    25. Namaz Ke Arkaan Sukoon Wa Itminan Se Ada Karna.

    Me Takheer Hojae To Sajda e Sahu Wajib Hojata Hai. Sajda E Sahu Ka Tariqa Ye Hai Ke Aakhri

    Qaide Me Tashah'hud Padhkar Dai Taraf Salam Pher'ein Aur Do Sajde Karke Phir Tashah'hud,

    Durood Shareef Aur Dua Padhkar Salam Pherlein.

    Agar Surah Fateha Aur Choti Surat Padhne Ke Darmiyaan Teen Baar سبحان ہللا Kehne Ke Barabar

    Khamoosh Raha To Sajda E Sahu Wajib Hogaya. Farz, Wajib Aur Maukkida Sunnat'on Ke Qiada E

    Oola Me Agar Tashah'hud Ke Baad Bhool Kar Itna Keh Liya یَٰ سیدنااللهم صل علیَٰ محمد يا اللهم صل عل To

    Sajda E Sahu Wajib Hai.

    NAMAZ KI SUNNAT'EIN

    ☆ Takbeer E Tehrima Kehte Waqt Haath Kaano Tak Uthana,

    ☆ Hateliyo Aur Ungliyo Ka Qibla Rukh Hona,

    ☆ Takbeer Ke Waqt Cehra Qibla Rukh Karna (Ya'ani Is Waqi Sar Jhuka Hua Na Ho),

    ☆ Takbeer Se Pehle Haath Uthana,

    ☆ Dae Haath Ko Bae Haath Par Rakh Kar Ghera Band Kar Naaf Ke Niche Rakhna,

    ☆ Sana, Tauz Aur Tasmia Ahista Padhna, Fateha Ke Baad Ahista Ameen Kehna,

    ☆ Har Rakat Ke Shuru Me Ahista Tasmia Padhna,

    ☆ Ek Rukn Se Doosre Rukn Me Jate Waqt Takbeer Kehna,

    ☆ Imam Ka Tamam Takbeer'on, Tasmia Aur Salam Ko Baqadre Hajat Buland Awaz Se Kehna,

    ☆ Farz Ki Teesri Aur Chohti Rakat Me Sirf Surah Fateha Padhna,

    ☆ Ruku Aur Sajdo Me Teen Teen Baar Tasbeeh Padhna,

    ☆ Ruku Me Ghutno Ko Haath'on Se Pakadna Aur Ungliya Khoob Khuli Rakhna,

    ☆ Ruku Me Tange Seedhi Rakhna Aur Sar Aur Kamar Barabar Rakhna,

    ☆ Ruku Se Uth'te Waqt Imam Ka سمع ہللا لمن حمدہ Aur Muqtadi Ka ربنا لک الحمد Kehna,

    ☆ Akele Namaz Padhne Wale Ko Dono Ya'ani Tasmia Wa Tahmeed Kehna,

    Jab Koi Wajib Bhool Se Reh Jae Ya Koi Wajib Mukarrar Ada Karliya Jae Ya Kisi Fa rz Ki Adaegi

    Sajde Me Jate Wat Pehle Ghutne Phir Haath Phir Nak Phir Peshani Rakhna, Sajde Me Uthte WaqtIake Bar Aks Karna

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    ☆ Sajde Me Bazu Karoto Se Aur Pet Raano Se Juda Rakhna,

    Rakhna,

    ☆ Dusri Rakat Ke Kiye Panjo Ke Bal Ghutno Par Haath Rakh kar Uthna (Agar Uzr Na Ho),

    ☆ Dono Sajdo Ke Darmiyaan Daya Pau Khada Karke Baya Pau Bichakar Ispar Baithna,

    ☆ Baithne Ki Halat Me Dono Haatho Ko Rano Par Aur Ungliyo Ko Asl Halat Par Rakhna,

    ☆ Tashah'hud Me Lafz E " َلا" Par Kalime Ki Ungli Uthana Aur " َّاَِل" Par Gira Kar Sab Ungliya Sidhi

    Kar Lena,

    ☆ Aakhri Qaide Me Durood Shareef Aur Dua Padhna,

    ☆ Pehle Dai aur Phir Bai Taraf Salam Karna,

    Ye Sab Umoor NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ki Sunnat'ein Hai Inme Se Agar Koi Sunnat Bhule Se Rehjae Ya

    Qasdan Tark Ki Jae To Namaz Nahi Tutegi Magar Jaan Boojh Kar Sunnat Chodna, Na-jaiz Hai.

    AURTO KI NAMAZ

    Aurto Ki Namaz Mardo Se Mandarja Zail Umoor Me Muqtalif Hai:

    ☆ Namaz Se Qabl Khawateen Ko Is Baat Ka Itminaan Karlena Cahiye Ke Inke Cehre, Hateliyo Aur

    Pau'o Ke Talwo ke Siwa Tamaam Jism Dabez Kapde Se Dhaka Hua Hai. Aisa Bareek Kapda Jisse

    Badan Ki Rangat Jhalakti Ho Ya Aisa Bareek Dupatta Jisse Baalo Ki Siyahi Chamke Pehen Kar

    Namaz Padhi To Namaz Na Hogi. Gardan, Kaan, Sar Ke Latakte Hue Baal Aur Kalaiya Chupana

    Bhi Farz Hai.

    ☆ Cehre, Hateliyo Aur Pau'o Ke Talwo Ke Siwa Koi Uzoo Namaz Shuru Karte Waqt Cothai

    Miqdaar Me Khula Ho Aur Ise Chupae Bagair "ہللا اکبر" Kehliya To Namaz Shuru Hi Na Hui. Aur

    Agar Namaz Ke Dauran Koi Uzoo Cothai Ke Barabar Itni Der Khula Raha Jisme Teen Baar " سبحان

    .Kaha Ja Sake To Namaz Na Hui " ہللا

    ☆ Khawateen Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haath Kaano Ke Bajae Sirf Kandho Tak Uthae Aur

    Inhe Dupatto Se Bahar Na Nikale.

    ☆ Ruku Karte Waqt Sirf Itna Jhuke Ke Haath Ghutno Tak Pohonch Jae, Ungliya Bahaam Mili Hui

    Ho Aur Ghutno Ko Aage Ki Taraf Zara Saakhim Dekar Khadi Rahe Nez Inke Bazu Pehluo Se Mile

    Hue Ho.

    ☆ Khawateen Sajda Simat Kar Kare. Ya'ani Pet Raano Se Aur Raane Pindliyo Se Aur Pindliya

    Zameen Se Aur Bazu Pehluo Se Mila De Aur kalaiya Zameen Par Bichade Nez Pau Khade Karne Ki

    Bajae Dai Taraf Nikal Kar Bichadein.

    ☆ Qaide Me Dono Pau Dai Janib Nikal Dein Aur Bae Kulhe Par Baithe.

    ☆ Khawateen Ke Liye Ghar Ke Andar Ya'ani Kamre Me Namaz Padhna Sahen Me Namaz Padhne

    Se Aur Tehkhane Me Namaz Padhna Kamre Me Namaz Padhne Se Behtar Hai. (Abu Daood)

    Sajde Me Kalaiya Zameen Se Unchi Rakhna Aur UngliyoN Ka Zameen Par Mili Hui Halat Me

    Sajde Me Dono Pau'o Ki Tamam Ungliyo Ke Pet Zameen Se Lagna Aur Unka Qibla Ru Hona,

    Phir Takbeer E Tehrima Kehkar Bai Hateli Seene Par Rakhkar Iske Pusht Par Dai Hateli Rakhe.

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    NAMAZ FASID KARNE WALI CHEEZ'EIN

    Mandarja Zail Baaton Se Namaz Toot Jaati Hai.

    ☆ Bhool Kar Ya Jaan Boojh Kar Kisi Se Kalam Karna,

    ☆ Kisi Ko Salam Karna Ya Kisike Salam Ka Jawab Dena,

    ☆ Kisi Uzr Ke Bagair Khansna,

    ☆ Kisi Ki Cheenk Ka Jawab Dena,

    ☆ Namaz Ki Halat Me Khana Peena,

    ☆ Bila Uzr Seene Ko Jihate Kaaba Se Pherna,

    ☆ Kisi Takleef Ke Bais Rona,

    ☆ Wazu Toot Jana,

    ☆ Namaz Me Quran E Pak Dekhkar Padhna,

    ☆ Qiraat Ya Azkar Me Saqht Galti Karna,

    ☆ Dono Haath Se Aisa Kaam Karna Jisse Dekhne Wala Samjhe Ke Ye Halat E Namaz Me Nahi,

    ☆ Namaz Ke Kisi Rukn Me Koi Ghair Mutalleqa Kaam Teen Baar Karna Maslan Ek Rukn Me Teen

    Baar Khujane Se Namaz Fasid Hojati Hai Is Tarha Ke Ek Baar Khuja Kar Haath Hata Liya Phir

    Khujaya Aur Haath Hata Liya Phir Teesri Baar Khujaya Aur Haath Hata Liya. Agar Ek Baar Haath

    Rakhkar Chand Martaba Khujaya To Ise Ek Hi Martaba Shumaar Kiya Jaega.

    Khankar Ne Me Jab Do Hurf Zahir Ho Jaise Alif Aur Haa To Namaz Fasid Hojaegi Jabke Na Uzr

    Ho Na Koi Sahi Gharz. Agar Uzr Ho Maslan Tabiyat Ka Taqaza Ho Ya Kisi Sahi Gharz Ke Liye

    Aisa Kiya Maslan Awaz Saaf Karne Ke Liye Ya Imam Se Galti Hogayi, Islie Khankarta Hai Ke Wo

    Durust Karlein Ya Islie Khankarta Hai Ke Dusre Shaqs Ko Iska Namaz Me Hona Maloom Ho, In

    Surto Me Namaz Fasid Nahi Hoti.

    NAMAZ KE MAKROOHAT

    ☆ Namaz Me Kapde, Dadhi Ya Badan Ke Saath Khelna,

    ☆ Kapda Sametna Maslan Sajde Me Jate Waqt Aage Ya Piche Se Kapda Utha Lena,

    ☆ Kapda Latakna Maslan Sar Ya Kandhe Par Rumal Ya Chadar Is Tarha Dalna Ke Dono Kinare

    Latakte Ho,

    ☆ Asteen Aadhi Kalai Se Zyada Chadi Hui Hona,

    ☆ Shiddat Ka Peshaab Pekhana Maloom Hote Waqt Ya Galba Riyah Ke Waqt Namaz Padhna,

    ☆ Asmaan Ki Taraf Nazre Uthana Ya Idhar Udhar Mu Pherkar Dekhna,

    ☆ Ungliya Chatkhana Ya Ek Haath Ki Ungliya Dusre Haath Ki Ungliyo Me Dalna,

    ☆ Kamar Par Haath Rakhna (Namaz Ke Alawa Bhi Aisa Na Kiya Jae),

    ☆ Mard Ka Sajde Me Kalaiyo Ko Bichana,

    ☆ Kisi Ke Cehre Ke Samne Namaz Padhna,

    ☆ Namaz Me Jaan Boojh Kar Jamai Lena,

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    ☆ Jis Kapde Par Jaandaar Ki Tasveer Ho Ise Pehen Kar Namaz Padhna,

    ☆ Shalwar Ka Kapda Nefe Ke Paas Se Ghirasna Ya Patloon Ke Paayiche Mood Lena,

    ☆ Namazi Ke Aage Ya Dae Bae Ya Sar Par Tasveer Ka Hona,

    ☆ Qiyam Ke Alawa Kisi Aur Rukn Me Quran E Majeed Padhna,

    ☆ Qiraat Ko Ruku Me Khatam Karna,

    ☆ Sajde Ko Jate Waqt Bila Uzr Ghutno Se Pehle Haath Niche Rakhna Ya Sajde Se Uth'te Waqt

    Haath Uthane Se Qabl Ghutne Utha Lena,

    ☆ Qabr Ke Samne Namaz Padhna Jabke Darmiyaan Me Koi Aad Na Ho,

    ☆ Wajib Sahi Tarha Ada Na Karna Maslan Ruku Wa Sajde Me Pith Sidhi Na Karna, Qoma Aur

    Jalse Me Sidhe Hone Se Pehle Sajde Ko Chale Jana Wagaira,

    Me "Surah Al Kafiroon" Padhi Ho To Dusri Rakat Me "Surah Al Kauser" Padhna Makrooh Hai Ke

    Ye Tarteeb Ke Khilaaf Hai.

    ☆ Namaz Me Ankhe Band Rakhna Makrooh Hai Albatta Khushu Wa Khuzu Ke Liye Karna Behtar

    Hai.

    Makrooh Fail Sarzad Hone Se Namaz Naqis Hojati Hai Lehaza Aisi Namaz Dobara Padhni Cahiye.

    Nange Sar Namaz Padhna Khilaaf E Sunnat Hai. Susti Se Nange Sar Namaz Padhna Ya'ani Topi

    Pehenna Bojh Maloom Hota Ho Ya Garmi Maloom Hoti Ho To Makrooh E Tanzihi Hai Aur Agar

    Namaz Ki Tehqeer Maqsood Hai Maslan Ye Samajhna ke "Namaz Koi Aisi Azeem Ush Shaan

    Cheez Jiske Liye Topi Ya Amama Pehna Jae" To Ye Kufr Hai Aur Khusu Wa Khuzu Ke Liye

    Barhana Sar Padhi To Mustahab Hai.

    NAMAZI KE AAGE SE GUZARNE KA MASLA

    Namazi Ke Aage Se Guzarna Saqt Gunah Hai. AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: Agar Namazi

    Khadam Chalne Se Behtar Samajhta. Dusri Riwayat Me Hai Ke Wo Zameen Me Dhas Jane Ko

    Accha Samajhta Magar Namazi Ke Aage Se Na Guzarta.

    Agar Koi Namazi Ke Aage Se Guzar Jae To Namaz Nahi Toot'ti Albatta Guzarne Wala Gunahgaar

    Hota Hai Isi Tarha Namazi Ko Bhi Cahiye Ke Wo Aisi Jagah Namaz Na Padhe Ke Guzarne Walo

    Ko Pareshani Ho.

    Agar Namazi Ke Aage Sutrah Ho Ya'ani Koi Aisi Cheez Jisse Aad Hojae Toh Sutra Ke Baad Se

    Guzarne Me Koi Harj Nahi. Sutra Kamazkam Ek Haath Uncha Aur Ek Ungli Ke Barabar Mota Ho.

    Imam Ka Sutra Muqtadiyo Ke Liye Bhi Sutra Hai Islie Agar Masjid Me Bhi Muqtadi Ke Aage Se

    Guzarna Pade To Harj Nahi Jabke Imam Ke Aage Se Na Ho.

    Kurte Ya Khameez Ke Button na Lagana Ke Seena Khula Rahe,

    Imam Se Pehle Ruku Wa Sajda Karna Ya Sajde Se Sar Uthana,

    Surto Ki Tarteeb Ke Ulat Ya'ani Tarteeb Ke Khilaaf Quran E Majeeb Padhna Maslan Pehli Rakat

    Ke Aage Se Guzarne Wala Janta Ke Iska Kya Gunah Hai To Wo Sau Baras Khada Rehna Is Ek

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    MASJID KE ADAAB

    Masjid KHUDA TA'ALA Ka Ghar Hai Iske Adab Ka Khayal Rakhna Bachcho Aur Bado Sab Ke

    Liye Zaroori Hai. Masjid Me Saaf Libas Pehenkar Jana Cahiye. Kacha Pyaas Ya Lehsun Khaa Kar

    Bachaya Jae.

    Masjid Me Duniyawi Baatein Karna Ya Unchi Awaz Se Guftugu Karna Mana Hai. Hadees Shareef

    Me Aaya Hai Ke Masjid Me Duniyawi Baatein Karna Nekiyo Ko Is Tarha Khatam Kardeta Hai Jaise

    IMAMAT KI SHARA'IT

    Imam Ki Mandarja Zail Che Sharait Hai:

    Musalman, Baaligh, Aakil, Mard Hona, Qiraat Jan'na, Mazoor Na Hona.

    Imamat Ka Mustahiq Wo Hai Jo Sahi Ul Aqeeda Ahle Sunnat Wa Jamat Ho, Parhezgaar Ho, Taharat

    O Namaz Ke Ehkaam Ko Sabse Zyada Janta Ho, Ise Itna Quran Yaad Ho Jo Masnoon Taur Par Padh

    Sake Nez Quran E Kareem Ke Huroof Makharij Se Ada Karsakta Ho.

    Wo Bad Mazhab Jinki Badmazhabi Kufr Ki Had Tak Na Pohonchi Aur Wo Fasiq Jo Aelaniya

    Kabeera Gunah Karte Hai Jaise Badkaar, Sharabi, Juwwari, Sood Khaur, Daadhi Mudwane Ya Ek

    Musht Se Kam Rakhne Wale Inko Imam Banana Gunah Hai Aur Inke Peeche Namaz Makrooh E

    Tehrimi Aur Wajib Ul Iaada Hai. Wo Badmazhab Jiski Badmazhabi Hadd E Kufr Ko Pohonch Gayi

    Ho Jaise Rafzi Agarche Sirf Siddiq E Akbar رضی ہللا عنہ Ki Khilafat Se Inkar Karta Ho Ya Hazrat

    Abu Bakr Wa Hazrat Umar رضی ہللا عنہما Ki Shaan E Akhdas Me Tabarra Kehta Ho. Wo Jo Taqdeer

    Ka Munkir Ho Aur Wo Jo Shafa'at, Deedar E Ilahi Ya Azaab E Qabr Ya Kiraman Katibeen Ka

    Inkaar Karta Ho Inke Piche Namaz Nahi Ho Sakti. Isse Sakht Tar Hukm In Logo Ko Hai Jo Apne

    Aap Ko Musalman Kehe Hai Balke Mutbaaye Sunnat Bante Hai Aur Iske Bawajood Baaz Zarooriyat

    E Deen Ko Nahi Mante, ALLAH TA'ALA Aur RASOOLALLAH ملسو هيلع هللا ىلص Ki Tauheen Karte Hai Ya

    Kamazkam Tauheen Karne Walo Ko Musalman Jante Hai, Inke Piche Bhi Bilkul Namaz Jayaz Nahi.

    NAMAZ E BA-JAMAT KI EHMIYAT

    Har Aaqil Baaligh Qadir Par Jamat Se Namaz Padhna Wajib Hai. Bila Uzr Ek Baar Bhi Chodne

    Wala Gunahgaar Aur Saza Ka Mustahiq Bhi Hai, Aur Kai Baar Chodne Wala Faasiq Aur Mardoodul

    Shahadat Hai Isko Sakht Saza Di Jaegi. MEHBOOB E KIBRIYA AHMED E MUKHTAAR ملسو هيلع هللا ىلص Ka

    Masjid Me Jana, Jayez Nahi Jab Tak Ke Boo Baaqi Ho. Isi Tarha Har Badbodaar Cheez Se Masjid Ko

    Aag Khushkh Lakdiyo Ko Jala Deti Hai. Ek Aur Hadees E Pak Me Irshaad Hua Ke Tum Masjid Me

    Duniyawi Baatein Karne Walo Ke Khareeb Na Baitho Ke Inko Khuda Se Kuch Kaam Nahi.

    Ka Is Had Tak Khayal Rakhna Cahiye ke Waha Aazaye Wazu Ka Pani Na Girne Pae Aur Na Hi KoiNamaz Ba Jamat Me Shamil Hone Ke Liye Waha Daude.

    Masjid Me Khaana Peena Sona Muatkaf Ke Siwa Kisi Ko Jayaz Nahi Lehaza Agar Khaane Pine Ka

    Iraada Ho To Aitkaaf Ki Niyyat Karke Masjid Me Jae Aur Kuch Zikr E Ilaahi Kare Ya Namaz Padhe

    Bhi Mana Hai. Masjid Ki Deewaro Ya Chataiyo Ya DaryoN Par Ya Unke Neehce Naak Thuk Ya Mail

    Haram Hai Nez Kisi Mangne Wale Ki Madad Karna Aur Kisi Gumshuda Cheez Ko Talash Karna

    Wagaira Dalna Na Jayaz Hai. Na Pak Halat Me Masjid Me Jana Sakht Gunah Hai. Masjid Ke Adab

    Ab Iske Liye Zarooratan Khaana Peena Jayaz Hoga Masjid Me Bheek Mangna

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Irshaad E Girami Hai: "Mera Dil Cahta Hai Ke Chand Jawano Se Kahu Ke Bohot Sa Idhan Jama

    Kareke Lae Phir Mai Inke Pass Jau Jo Namaz'ein Bila Uzr Ghar'on Me Padhte Hai, Aur Inke Gharo

    Ko Jala Du." (Muslim)

    Namaz Ba Jamat Ki Fazilat Wa Ehmiyat Se Mutaliq Ahadees e Mubaraka Kitab Ke Aaghaaz Hi Me

    Tehreer Ki Jaa Chuki, Ab Ye Samajh Lijiye Ke Kin Surto Me Jamat Me Shareek Na Hone Ki

    Rukhsat Hai? Wo Surtein Teen Mandarja Zail Hai:

    Mareez Jise Masjid Tak Jane Me Mashaqat Ho, Jiska Pau Kat Gaya Ho, Jispar Faalij Gira Ho,

    Andha, Itna Budha Ke Masjid Tak Jane Se Aajiz Ho, Raaste Me Sakht Baarish Ya Shadeed Keechad,

    Sakht Taariki Ya Andhi Ho, Maal Ya Khane Ke Talaf Hone Ka Andesha Ho, Tangdast Ko Kharz

    Khwah Ka Khauf Ho, Zaalim Ka Khauf Ho, Peshaab Ya Pakhana Ya Riyah Ki Shadeed Hajat Ho,

    Gaadhi Choot Jane Ka Andesha Ho, Khana Hazir Ho Aur Nafs Ko Iski Shadeed Khwahish Ho,

    Mareez Ki Teemardari Ke Jamat Ke Liye Jane Se Ise Takleef Hogi Aur Wo Ghabraega.

    NAMAZ E BA-JAMAT KE MASAIL

    Jab Jamat Qayam Karne Ka Waqt Ho To Muazzin Iqamat Kahe aur Jab Wo حی علی الصلوۃ حی علی

    Par Pohnche To Imam Aur Muqtadi Sab Khade Ho Aur Safe Durust Kare. Imam Ko Cahiye Ke الفالح

    Wo Muqtadiyo Ko Safe Durust Karne Ki Hidayat Kare. Agar Namazi Apni Ediya Ek Seedh Me

    Karlein To Saf Seedhi Ho Jaegi. Muqtadi Ke Dil Me Is Niyyat Ka Hona Zaroori Hai Ke "Mai Is

    Imam Ki Iqteda Me Namaz Padhta Hoon". Muqtadi Ko Cahiye Ke Wo Imam Ke Takbeer E Tehrima

    Kehne Ke Baad Apni Takbeer Khatam Kare. Jo Cheezein Namaz Me Farz Hai Inme Imam Ki Pairwi

    Muqtadi Par Farz Hai. Agar Koi Farz Imam Se Pehle Ada Kiya Aur Imam Ke Saath Ya Imam Ke

    Ada Karne Ke Baad Ada Na Kiya To Namaz Na Hogi Maslan Imam Se Pehle Sajda Karliya Aur

    Imam Abhi Sajde Me Na Aya Tha Ke Muqtadi Ne Sar Utha Liya To Agar Imam Ke Saath Ya

    Baadme Sajda Karliya To Namaz Hogi Warna Na Hogi.

    Agar Imam Qaida E Oola Karna Bhool Jae Aur Khada Hone Lage To Agar Wo Baithne Ki Halat Ke

    Lekin Agar Imam Khada Hone Ke Khareeb Ho Ya Khada Ho chuka Ho To Ab Loqma Na Dein Ke

    Loqma Dene Wale Ki Namaz Fasid Ho Jaegi. Aur Agar Imam Ne Loqma Liya To Imam Ki Namaz

    Bhi Fasid Ho Jaegi Aur Aisi Surat Me Tamam Muqtadiyo Ki Namaz Fasid Ho Jaegi. Agar Do ya

    Zaaid Muqtadi Ho To Inhe Imam Ke Piche Khada Hona Cahiye Aur Agar Ek Muqtadi Ho To Imam

    Ke Barabar Dae Janib Khada Ho. Imam Ke Barabar Khade Hone Ka Mafhoom Ye Hai Muqtadi Ke

    Pau Ka Ghatta Ya Taqna Imam Ke Ghatte Se Aage Na Ho. Agar Ek Muqtadi Imam Ke Saath Namaz

    Hojae Ya Wo Muqtadi Piche Hath Aaye Khwaah Khud Piche Ho Ya Aane Wala Ise Piche Kheench

    Le, Jayez Hai.

    Agli Saf Me Jaga Hote Hue Pichli Saf Me Khada Hona Makrooh Hai Islie Pehli Saf Me Jagah Ho

    Aur Pichli Saf Bhargayi Ho To Isko Cheer Kar Agli Saf Me Khada Ho. Ye Dekha Gaya Hai Ke Baaz

    Log Agli Saf chodkar Pichli Safo Me Baith'te Hai Inka Ye Fail Shariyat Me Kya Hai? Is Baare Me

    Do Ahadees Mulahiza Farmae:

    HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai:

    Khareeb Ho To Muqtadiyo Ko Cahiye Ke Imam Ko Loqma Dein Take Wo Qaide Ki Taraf Laut Aae

    Padh Raha Tha Ke Ek Aur Aaya To Imam Aage Badh Jae Aur Wo Ane Wala Iske Barabar Khada

    "Agar Log Jante Ke Azan Aur Pehli Saf Ka Kya Ajar O Sawab Hai To Har Koi Inka Talabgaar

    Hota Yaha Tak Ke Wo Ispar Qaraa Andaazi Karte." (Bukhari, Muslim)

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    GHAIB JANNE WALE AAQA KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Farman Hai: "Log Hamesha Pehli Saf Se Piche

    Hote Rahengey Yaha Tak Ke ALLAH هلالج لج Inhe Apni Rehmat Se Door Karke Aag Me Daal Dega."

    (Muslim, Abu Daood, Nasa'i, Ibne Majah)

    MASBOOQ KE MASAIL

    Wo Namazi Jo Ek Rakat Ya Ek Se Zyada Rakat'ein Ho Jane Ke Baad Jamat Me Shamil Hua Ho Ise

    Masbooq Kehte Hai. Jab Imam Namaz Poori Karke Salam Pher'e Is Waqt Masbooq Salam Na Phere

    Balki Khade Hokar Apni Chuti Hui Rakat'ein Ada Kare.

    Agar Masbooq Ne Imam Ko Ruku Ki Halat Me Paya To Ye Niyyat Karke Sidhe Khade Rehne Ki

    Halat Me Takbeer E Tehrima Kahe Phir Doosri Takbeer Kehta Hua Ruku Me Jae. Agar Pehli

    Takbeer Kehta Hua Ruku Ki Hadd Tak Jhuk Gaya To Namaz Na Hogi. Agar Imam Ko Ruku Me Paa

    Liya To Ise Rakat Mil Gayi Aur Agar Imam Ne Ruku Se Sar Utha Liya To Ye Rakat Baad Me Ada

    Kare. Agar Pehli Rakat Ke Ruku Ke Baad Ya Doosri Rakat Me Jamat Me Shareek Hua To Imam Ke

    Salam Pherne Ke Baad Khade Hokar Sana, Tauz, Tasmia, Surah Fateha Aur Choti Surat Padh Kar

    Chooti Hui Pehli Rakat Mukammal Karke Qaida Kare Aur Namaz Puri Kare.

    Agar Char Rakat Namaz Ki Teesri Rakat Me Shareek Hua To Baad Me Do Rakat'ein Mukamal Taur

    Par Padhe Ya'ani Dono Rakat'on Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Bhi Padhe. Agar Chaar

    Hua To Goya Iski Teen Rakat'ein Rehgayi Imam Ke Salam Pherne Ke Baad Khada Hokar Sana,

    Tauz, Tasmia, Surah Fateha Aur Surat Padh Kar Pehli Rakat Mukammal Karein Jo Darasal Iski

    Dusri Rakat Hai Isliye Is Rakat Ke Baad Qaida Karein Aur Sirf Tashah'hud Padhkar Khada Hojae.

    Ab Chooti Hui Dusri Rakat Me (Jo Darasal Iski Teesri Rakat Hai), Surah Fateha Ke Baad Surat Bhi

    Padhein Aur Ye Rakat Poori Karke Khada Hojae Phir Apni Chooti Hui Teesri Rakat Padhein Jisme

    Sirf Tasmia Aur Surah Fateha Padhe, Akhir Me Phir Qaida Karke Salam Pherlein.

    Masbooq Ko Cahiye Ke Imam Ke Awwal Salam Pherte Hi Fauran Khada Na Hojae Balke Dusre

    Salam Ka Intezar Karein Take Ye Maloom Hojae Ke Imam Ko Sajda E Sahu Nahi Karna Hai. Agar

    Isne Bhoolkar Imam Ke Bilkul Saath Saath Salam Pher Diya To Sajda E Sahu Nahi Aur Agar Imam

    Ke Zara Baad Salam Phera To Sajda E Sahu Wajib Hogaya, Ye Khada Hokar Baqaya Namaz Poori

    Karein Aur Akhir Me Sajda E Sahu Karlein Namaz Hojaegi.

    NAMAZ E WITR AUR DUA E QUNOOT

    Shahi Muslim Me Hazrat Abbas رضی ہللا عنہما Marvi Hai Ke AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ne Witr Ki

    Teen Rakat'ein Padhi. Abu Daood Aur Tirmizi Me Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa رضی

    Witr Ki Teen Rakat Padhte ملسو هيلع هللا ىلص Se Marvi Hadees Se Bhi Sabit Hai Ke NOOR E MUJASSAM ہللا عنہا

    The.

    Namaz E Isha Me Teen Rakat Witr Wajib Hai Iske Padhne Ka Tareeqa Ye Hai Ke Do Rakat Padhkar

    Qaida Kiya Jae Aur Tashah'hud Padhkar Khade Hojae, Teesri Rakat Me Tasmia, Surah Fateha Aur

    Koi Choti Surat Padhkar Dono Haath Kaano tak Uthae Aur ہللا اکبر Kehkar Haath Bandhlein Aur Dua

    E Qunoot Padhein.

    "Aye ALLAH! Ham Tujhse Madad Talab Karte Hai Aur Tujhse Maghfirat Cahte Hai Aur Tujhpar

    Rakat Namaz Me Teesri Rakat Ke Ruku Ke Baad Aur Cohti Rakat Ke Ruku Se Pehle Shamil

    Imaan Late Hai Aur Tujhpar Bharosa Karte Hai Aur Har Bhalai Ke Saath Teri Tareef Karte Hai

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Aur Ham Tera Shukr Karte Hai, Nashukri Nahi Karte Aur Hum Juda Hote Hai, Aur Is Shaqs Ko

    Chodte Hai Jo Tera Gunah Kare. Aye ALLAH! Hum Teri Hi Ibadat Karte Hai Aur Hum Tere Hi

    Liye Namaz Padhte Hai Aur Sajda Karte Hai Aur Teri Hi Taraf Daudte Aur Khidmat Ke Liye Hazir

    Hote Hai Aur Teri Rehmat Ke Ummid-waar Hai Aur Tere Azaab Se Darte Hai Aur Beshak Tera

    Azaab Kafir'on Ko Pohonchne Wala Hai.

    Dua E Qunoot Padhna Aur Iske Liye Takbeer Kehna Bhi Wajib Hai. Agar Koi Dua E Qunoot Bhool

    Kar Ruku Me Chala Jae To Wo Qiyam Ki Taraf Na Laute Balke Akhir Me Sajda E Sahu Karlein.

    Agar Kisiko Dua E Qunoot Yaad Na Hoto Wo تِناا ا اَٰ اللُٰهمَّ اْغِفْر لنا Wali Dua Padhlein Ya Teen Baar .....ربَّنا

    Kahe

    NAMAZ E JUMU'AH

    MEHBOOB E KIBRIYA, MUKHTAAR E KUL, KHATIMUL RUSUL ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad Hai:

    "Jisne Acchi Tarha Wazu Kiya Phir Jumu'ah Ko Aaya Aur (Khutba) Suna Aur Chup Raha, Iske In

    Gunaho Ki Maghfirat Hojaegi Jo Is Jumu'ah Aur Doosre Jumu'ah Ke Darmiyaan Hai, Aur (Mazeed)

    Teen Din (Ke Gunaho Ki Bhi). Aur Jisne Kankari Chui Isne Lugu Kiya (Ya'ani Khutba Sunne Ki

    Halat Me Itna Kaam Bhi Lugu Me Dakhil Hai Ke Koi Kankari Padi Ho To Ise Hata Diya Jae)."

    (Muslim, Abu Daood, Tirmizi, Ibne Majah)

    AAQA WA MAULA NABI KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai: Jo Teen Jumu'ah Susti Ki

    Wajah Se Chodega ALLAH هلالج لج Iske Dil Par Mohr Kardega (Aur Wo Ghafilo Me Hojaega)." (Abu

    Daood, Tirmizi) Ek Aur Riwayat Me Hai Ke "Jo Teen Jumu'ah Bila Uzr Chode Wo Munafiq Hai."

    (Ibn Khuzaymah)

    Namaz E Jumu'ah Farz'ain Hai Aur Iski Farziyat Zohr Se Zyada Maukkida Hai Aur Iska Munkir

    Kafir Hai. Har Muslim Mard Par Jo Baaligh, Tandrust, Azaad Aur Muqeem Hai, Jumu'ah Farz Hai.

    Namaz E Jumu'ah Ke Liye Jaldi Jana, Miswak Karna, Acche Kapde Pehenna, Khushboo Lagana Aur

    Pehni Saf Me Baithna Mustahab Hai Aur Gusl Karna Sunnat Hai.

    Jo Cheezein Namaz Me Haram Hai Maslan Khana Peena, Salam Wa Kalam Ye Sab Khutbe Ki Halat

    Me Bhi Haram Hai Albatta Khatibe Amr Bil Maruf Karsakta Hai. Jab Khutba Padha Jae To Tamaam

    Hazireen Par Sunna Aur Chup Rehna Farz Hai Jin Logo Tak Imam Ki Awaz Na Pohnch Rahi Ho,

    Inhe Bhi Chup Rehna Wajib Hai. Agar Kisiko Buri Baat Karte Dekhein To Haath Ya Sar Ke Ishare

    Se Mana Karsakte Hai, Zabaan Se Najayaz Hai.

    EID'AIN KI NAMAZ

    Eid'ain Ki Namaz Inhi Logo Par Wajib Hai Jin Par Jumu'ah Farz Hai. Jumu'ah Ki Namaz Ke Liye

    Qutba Shart Hai Jabke Eid'ain Ki Namaz Me Ye Sunnat Hai. Namaz E Eid Se Qabl Na Azaan Hai

    Na Iqamat. Namaz E Eid Se Qabl Nafl Padhna Makrooh Hai Khwah Ghar Me Padhe Ya Eidgah Me,

    Cahe Ispae Namaz E Eid Wajib Ho Ya Nahi.

    Eid Ki Namaz Ke Baad Musafah Karna Aur Gale Milna Jaisa Ke Musalmano Me Raij Hai, Behtar

    Hai Ke Isme Izhaar E Masrat Hai.

    Hajamat Banwana, Nakhoon Tarashwana, Gusl Karna, Miswak Karna, Ache Kapde Pehenna,

    Khushboo Lagana, Eidgah Ko Paidal Jana, Raste Me Takbeer Kehte Jaana, Doosre Raste Se Wapas

    Aana, Khushi Zahir Karna, Kasrat Se Sadqa Dena, Mubaarak Baad Dena, Eid Ul Fitr Me Namaz Se

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Qabl Sadqa E Fitr Dena Aur Taaq Tadaad Me Khajoor'ein Khalena Aur Eid Ul Zuha Me Namaz Se

    Mustahab Hai.

    Baad Jo Jamat E Mustahba Ke Saath Ada Ki Gayi, Ek Baar Buland Awaz Se "Takbeer E Tashreeq"

    Kehna Wajid Aur Teen Baar Kehna Afzal Hai.

    ْمد۔ ِ اْلحا َلِلَّ ُ أاْكباُر وا ُ أاْكباُر ّللاَّ َّ ّللاا ُ وا ُ أاْكباُر َلا إلاها إَلَّ ّللاَّ ُ أاْكباُر ّللاَّ ّللاَّ

    NAMAZ E EID KA TARIQA

    Dono Eid'ain Ki Namaz Ka Tariqa Ek Hi Hai Wo Ye Ke Do Rakat Wajib Namaz Eid Ul Fitr Ya Eid

    Ul Azha Ki Niyyat Karke Kaano Tak Haath Uthae Aur ہللا اکبر Kehkar Bandh Lein. Phir Sana

    Padhkar Kaano Tak Haath Uthae Aur ہللا اکبر Kehte Hue Chodein, Phir Doosri Baar Haath Uthae Aur

    Takbeer Kehte Hue Chodein, Phir Teesri Baar Haath Uthae Aur Takbeer Kehkar Baand Lein. phir

    Imam Buland Awaz Se Surah Fateha Ya Koi Surat Padhkar Ruku Wa Sajda Karega. Doosri Rakat

    Me Surah Fateha Aur Koi Surat Ya Ayat Ki Tilawat Ke Baad Ruku Me Jaane Se Pehle Teen Baar

    Kaano Tak Haath Uthakar ہللا اکبر Kahe Aur Har Baar Haath Chodein Phir Cohti Baar Bagair Haath

    Uthae Takbeer Kehte Hue Ruku Me Chale Jae Aur Namaz Mukammal Karein. Har Do Takbeer"on

    Ke Darmiyan Teen Tasbeeh Ke Barabar Taherna Cahiye.

    NAMAZ E JANAZA

    Hogaye Warna Jinko Qabr Mili Aur Wo Namaz e Janaza Ko Na Aae, Wo Sab Gunahgaar Hongey.

    Janaza Padhte Waqt Mayyat Samne Honi Cahiye, Ghaibana Namaz E Janaza Jayaz Nahi Hai.

    Mayyat Se Murad Wo Hai Jo Zinda Paida Hua Aur Phir Margaya. Agar Baccha Murda Paida Hua To

    Iski Namaz E Janaza Nahi. Agar Janaza Tayyar Hua Aur Wazu Ya Gusl Karne Me Namaz Nikal

    Jane Ka Yaqeen Ho To Tayammum Karke Namaz E Janaza Padhli Jae. Baaz Log Joota Pehne Aur

    Bohot Se Log Joote Par Khade Hokar Namaz E Janaza Padhte Hai Agar Joota Pehenkar Namaz

    Padhi To Joota Aur iske Niche Ki Zameen Dono Ka Pak Hona Zaroori Hai Aur Agar Jootey Par

    Khade Hokar Namaz Padhi To Jootey Ka Pak Hona Zaroori Hai.

    Namaz E Janaza Me Darja Zail Do Rakat'ein Hai:

    Awwal: Namaz E Janaza Khade Hokar Padhna, Duwwam: Chaar Baar ہللا اکبر Kehna.

    Namaz E Janaza Me Teen Cheez'ein Sunnat E Maukkida Hai: ALLAH هلالج لج Ki Sana Karna, NABI

    KAREEM ملسو هيلع هللا ىلص Par Darood Padhna Aur Mayyat Ke Liye Dua Karna.

    Afzal Ye Hai Ke Namaz E Janaze Me Teen (Yataaq) Saf'ein Ho. Namaz E Janaza Ka Tariqa Ye Hai

    Ke Niyyat Karke ہللا اکبر Kehkar Naaf Ke Niche Haath Bandhlein Aur Ye Sana Padhein:

    "Pak Hai Tu Aye ALLAH! Aur Mai Teri Hamd Karta Hu, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Teri

    Shaan Buland Aur Teri Sana Barkat Hai Aur Tere Siwa Koi Ma'abood Nahi."

    Phir Haath Uthae Bagair ہللا اکبر Kahe Aur Durood Shareef padhein. Behtar Hai Ke Wahi Durood

    Padhein Jo Namaz Me Padha Jata Hai Aur Agar Koi Dusra Durood Padha Tab Bhi Harj Nahi. Phir

    Qabl Kuch Na Khana Aur Raaste Me Buland Awaz Se Takbeer Kehna Ye Sab Amwaar Eid Ke Din

    Namaz E Janaza Farz Kifaya Hai Ya'ani Ek Shakhs Ne Bhi Padhli To Sab Bari Azzimmah Hogaye

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Bagair Haath Uthae ہللا اکبر Kahe, Aur Dua Padhein.

    "Aye ALLAH Bakhsh De Hamare Zindo Aur Murdo Ko, Hamare Hazir Aur Ghaib Ko, Hamare

    Chote Aur Bade Ko Aur Hamare Mard Wa Aurat Ko. Aye ALLAH! Ham Mese Tu Jise Zinda

    Rakhein Ise Islam Par Zinda Rakh Aur Ham Mese Tu Jise Wafat De Ise Iman Par Wafat De."

    Ye Dua Baaligh Mard Wa Aurat Ke Liye Hai. Agar Mayyat Nabaligh Ladka Ho To Ye Dua Padhein.

    Aye ALLAH! Tu Is (Ladke) Ko Hamare Liye Pesh Rokar (Ya'ani Aage Pohonchkar Saamaan Karne

    Aur Wo Bana Jiski Shafa'at Qubool Ho."

    Agar Mayyat Nabaligh Lakdi Ki Ho To Ye Dua Padhein.

    "Aye ALLAH! Tu Is (ladki) Ko Hamare Liye Pesh Rokar (Ya'ani Aage Pohonchkar Saamaan Karne

    Aur Wo Bana Jiski Shafa'at Qubool Ho".

    Dua Padhne Ke Baad Cohti Baar ہللا اکبر Kehkar Haath Chod'ein Aur Dono Taraf Salam Pherlein.

    Iske Baad Saf'ein Tod'dein Aur Ek Baar Surah Fateha, Teen Baar Surah Ikhlaas Aur Teen Baar

    Durood Shareef Padhkar Is Mayyat Ko Isaal E Sawab Karein. Aur Iske Liye Rehmat Wa Maghfirat

    Ki Dua Mange.

    AAQA WA MAULA ملسو هيلع هللا ىلص Ka Irshaad E Girami Hai "Jab Tum Mayyat Ki Namaz E Janaza Padhlo To

    Ab Khaas Iske Liye Dua Karo."

    (Mishkaat Ba Hawala Abu Daood, Ibne Majah, al-Bayhaqi)

    TARAWEEH KA BAYAN

    Taraweeh Mard Wa Aurat Sab Ke Liye Sunnat E Maukkida Hai. Jamhur Ka Mazhab Ye Hai Ke

    Taraweeh Ki Bees Rakat'ein Hai Aur Yahi Ahadees Se Sabit Hai. Imam al-Bayhaqi Ne Sahi Sanad

    Ke Saath Hazrat Sa'ib Bin Yazeed رضی ہللا عنہ Se Riwayat Ki Ke Log Hazrat Farooq E Azam رضی ہللا

    Ke Zamane Me Bees Rakat Taraweeh Padha Karte The Aur Hazrat Usman Wa Hazrat Maula Ali عنہ

    .Ke Zamane Me Bhi Yahi Mamool Tha رضی ہللا عنہما

    Matwami Hazrat Sahyi Yazid Bin Rumaan ی ہللا عنہرض Se Riwayat Hai Ke Hazrat Umar رضی ہللا عنہ

    Ke Zamane Me Log Ramzan Me Isha Ke Baad Bad'tiss (23) Rakat'ein Padhte The.

    Imam al-Bayhaqi Ne Iski Shara Me Farmaya Ya'aani Bees Taraweeh Aur 3 Witr.

    Taraweeh Me Ek Baar Quraan E Majeed Khatam Karna Sunnat E Maukkida Hai Aur Do Martaba

    Fazeelat Aur Teen Martaba Afzal Hai. Imam Wa Hafiz Ke Liye Zaroori Hai Ke Quraan Kareem Sahi

    Makharij Ke Saath Padhein. Ujrat Dekar Taraweeh Padhwana, Najayaz Hai, Dene Wala Aur Lene

    Wala Dono Gunahgaar Hai. Taraweeh Ka Waqt Farz Isha Ke Baad Se Tulu E Fajr Tak Hai. Agar

    Isha Jamat Se Na Padh Sake To Tanha Isha Padhkar Taraweeh Ki Jamat Me Shareek Hojae Magar

    Witr Tanha Padhein. Taraweeh Masjid Me Ba Jamat Padhna Afzal Hai. Taraweeh Do Do Rakat

    Me Chaar Rakat'ein Padhe. Baithne Me Ikhtiyaar Hai Ke Khamoosh Rahe Ya Kalma Ya Durood

    Shareef Padhe Ya Ye Tasbeeh Padhe:

    "Pak Hai Wo (Allah) Jo Mulk Aur BadshaHiyat Wala Hai, Pak Hai Wo Jo Izzat, Azmat, Haibat,

    Qudrat, Badhayi Aur Jabrut Wala Hai. Pak Hai Wo Badshah E Haqiqi Jo Zinda Rehne Wala Hai, Na

    Wala Bana) Aur Isko Hamare Liye Ajar Aur Zakhirah kar Aur Isko Hamari Shafa'at Karne Wala Bana

    Wali Bana) Aur Isko Hamare Liye Ajar Aur Zakhirah Kar Aur Isko Hamari Shafa'at Karne Wali Bana

    Karke Padhi Jae. Har Chaar Rakat Ke Baad Itni Deer Baithna Mustahab Hai Jitni Der

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Iske Liye Neend Hai Aur Na Maut. Wo Beinteha Pak Aur Muqaddas Hai Hamara, Farishto Ka Aur

    Rooh Ka Malik Hai. Aye Allah! Hame Aag Se Bacha, Aye Bachane Wale, Aye Najat Dene Wale,

    Aye Panah Dene Wale, Aye Allah! Hazrat MUHAMMED ملسو هيلع هللا ىلص Par Rehnat Nazil Farma."

    QAZA NAMAZ'ON KA BAYAN

    Kisi shari uzr ke bagair namaz qaza kardena bohot sakht gunah hai. Is namaz ki qaza padhna farz hai

    Nez Sachche Dil Se Tauba Bhi Karni Cahiye. Sachchi Tauba Se Qaza Karne Ka Gunah Maaf Hojata

    Hai Albatta Tauba Isi Waqt Sahi Hogi Jabke Chuti Hui Namaz Ki Qaza Padhli Jae, Agar Namaz Ki

    Qaza Na Padhi To Ye Tauba Qubool Na Hogi.

    Bhool Kar Ya Sote Me Namaz Qaza Hojae To Iski Qaza Farz Hai Alabtta Qaza Ka Gunah Na Hoga

    Lekin Ye Zaroori Hai Ke Yaad Aane Par Ya Jaagne Par Is Namaz Ko Fauran Ada Kiya Jae Jabke

    Makrooh Waqt Na Ho. Bila Uzr Der Karna Makrooh Hai. Koi So Raha Hai Ya Namaz Padhna Bhool

    Gaya To Jaise Maloom Ho Ise Wajib Hai Ke Sote Ko Jaga Dein Aur Bhoole Hue Ko Yaad Dila

    Dein. Jisko Ye Andesha Ho Ke Fajr Ki Namaz Qaza Hojaegi, Ise Shara'i Zaroorat Ke Bagair Raat

    Ko Der Tak Jagna Mana Hai.

    Kisi Namaz Ke Waqt Me Agar Takbeer E Tehrima Kehli To Namaz Qaza Na Hui Balke Ada Hai

    Siwae Namaz E Fajr Wa Jumu'ah Wa Eid'ain Ke Ke Isme Salam Pherne Se Qabl Agar Waqt Nikal

    Gaya To Namaz Jaati Rahi. Qaza Namaz Ke Liye Koi Waqt Muqarrar Nahi, Mamnoo Awqat Ke

    Alawa Wo Tamam Umr Me Ye Jab Bhi Padhlein, Aadmi Bari Ul Zimma Hojaega.

    Jiske zimme Qaza Kai Saal Ki Qaza Namaz'ein Ho Ise Cahiye Ke Apne Baaligh Hone Ki Umr Se Is

    Waqt Tak Ki Namaz'on Ka Hisaab Lagaein Aur Phir Jab Jab Fursat Mile Inhe Ada Karein. Kyuke

    Qaza Namaz'ein Nawafil Se Ahem Hai Isliye Nawafil Aur Ghair Maukkida Sunnat'on Ke Bajae

    Qaza Padhta Rahe. Albatta Taraweeh Aur Barah Rakat Sunnat E Maukkida Na Chodein.

    Qaza Namaz Ki Niyyat Youn Bhi Ki Ja Sakti Hai Maslan "Sabse Pehli Namaz E Fajr Jo Qaza Hui

    Ise Ada Karta Hu" Phir Jab Dusri Namaz E Fajr Ki Qaza Padhe To Yahi Niyyat Karein Kyuki Pehli

    Namaz E Fajr To Ada Ho chuki Isliye Ab Dusri Namaz Qaza Namaz'on Me Pehli Ho Gayi, Isi Tarha

    Deegar Namaz'on Ke Liye Bhi YouN Hi Niyyat Karein

    BIMAR KI NAMAZ

    Jo Bimari Ke Bais Khada Hokar Namaz Na Padh Sakta Ho Ke Chakkar Ati Hai Ya Na Qabile

    Wa Sajda Ke Saath Namaz Ada Ki Jati Hai. Agar Khud Baith Na Sakta Ho Lekin Koi Dusra

    Maujood Ho Jo Baitha Dein To Baith Kar Padhna Zaroori Hai, Agar Baithe Rehna Mumkin Na Ho

    To Takkiya Ya Dewar Ya Kisi Cheez Se Tek Laga Kar Padhe Aur Agar Baith Kar Padhna Mumkin

    Ho To Let Kar Namaz Hogi.

    Qayam Chunke Farz Hai Isliye Ise Shara'i Uzr Ke Bagair Tark Karne Se Namaz Na Hogi Yaha Tak

    Ke Agar Koi Asa Ya Qadim Ya Deewar Se Sahara Lekar Khada Ho Sakta Ho To Ise Farz Hai Ke Isi

    Tarha Khada Ho Kar Padhe, Agar Kuch Der Khada Hokar ہللا اکبر Keh Sakta Hoto Farz Hai Namaz

    Khade Hokar Shuru Kare Aur Baithkar Puri Kare Warna Namaz Na Hogi. Jo Mamuli Takleef Jaise

    Halka Bukhaar Ya Sar Dard Ya Zukham Wagaira Ke Bais Baithkar Namaz Padhte Hai, Inki

    Bardasht Dard Hoga Ya Marz Badh Jaega Ya Der Me Sehet Yaab Hoga, In Surto Me Baithkar Ruku

  • www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library

    Namaz'ein Nahi Hoti, In Par Qaza Lazim Hai.

    Agar Mareez Khada Hosakta Hai Magar Ruku Ya Sajda Ya Dono Nahi Karsakta To Behtar Ye Hai

    Ke Khade Hokar Namaz Padhe Aur Ruku Ya Sajda (Jispar Qadir Na Ho) Ya Dono Ke Kiye Ishara

    Karein.

    Sajde Ke Ishare Ke Liye Sar Ko Jitna Jhuka Sake Itna Jhukae Au