namaaz ki kitaab - kanzuliman

of 39 /39

Author: others

Post on 09-Dec-2021

5 views

Category:

Documents


0 download

Embed Size (px)

TRANSCRIPT

Roman transliteration
Ayesha Fatima
Project CARE, Kanzuliman Foundation
Version 1.0
The transliterator can be contacted at: [email protected]
Please include the name of the book in the subject of your mail for specific queries or comments. Permission is hereby granted to reproduce or utilise this material in any form or by any means, electronic or otherwise,as long as the content remains unchanged. This book is also
made freely available by Kanzuliman Islamic Library and can be downloaded fromwww.kanzuliman.org. Permission is granted to anyone to print this book
for free distribution. Kanzuliman Foundation or any of its divisions does not benefit financially from the sale of books, nor solicits any royalties.
Permission is also granted to publishers to reprint in their own name provided the following notice is included in the colophon:“Reprinted with royalty-free permission from Kanzuliman Foundation".
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Originally written by
ROMAN (Urdu)
Roman transliteration
Ayesha Fatima
Volunteer at ProjectCARE
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Namaz.... RASOOL E MUAZZAM, NOOR E MUJASSAM, REHMATUL'LILALAMEEN Ki
Afzal Jihad Hai.... Imaan Ki Alamat Hai.... Dil Ka Noor Hai..... Cehre Ki Ronaq Hai.... Rooh Ki
Ghiza Hai.
Namaz.... Ghar Me Nuzool E Barkat Ka Ba'is Hai.... Rizq Me Wusat Ka Sabab Hai.... Jismani Aur
Roohani Amraz Ki Shifa Hai.... Qabr Ki Andheri Me Roshni Hai.... Mehshar Ki Dhoop Me Saya
Hai.
Namaz Qabr Ki Wehshaht Me Dil Behlane Wali Hai.... Pul Siraat Par Se Jaldi Guzarne Wali Hai....
Gunaho Ki Maghfirat Ka Zariya Hai.... Namazi Aur Dozaq Ke Darmiyan Parda Ya'ani Aar Hai....
Imaan Aur Aq'aid Ki Durustgi Yaani Kalima E Tayyab Padhne Ke Baad Tamam Fara'iz Me Sabse
Aham Fareeza Namaz Hai. AAQA WA MAULA Ka Irshaad E Girami Hai: "ALLAH Ne Meri
Ummat Par Tamam Cheez'on Se Pehle Namaz Farz Ki Aur Qayamat Me Sabse Pehle Namaz Hi Ka
Hisaab Liya Jaega." Ek Hadees Shareef Me Ye Bhi Wa'id Farmae Gaye : Jisne Namaz Ko Qayam
Rakha, Usne Deen Ko Qayam Rakha Aur Jisne Namaz Ko Tark Kiya Usne Apne Deen Ko Gira
Diya."
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Ke NABI E KAREEM Ne Irshaad Farmaya:
"ALLAH Farmata Hai, Aye Ibne Adam! Tu Meri Ibadat Ke Liye Farigh Hoja, Mai Tera Seena
Masroof Kardunga Magar Teri Ghareebi Door Na Karunga." (Mishkaat, Ibne Majah)
AAQA WA MAULA Ka Ek Aur Farmane Alishaan Hai: "Paanch Cheez'on Ko Paanch Cheez'on
Se Pehle Ghanimat Jaano. Budhape Se Pehle Jawani Ko, Bimaari Se Pehle Tandrusti Ko, Faqeeri Se
Pehle Ameeri Ko, Mashghooliyat Se Pehle Fursat Ko Aur Maut Se Pehle Zindagi Ko." (Tirmizi)
Afsoos Ke Aaj Musalman Namaz Se Ghafil Hogaye Hai, Aksar Logo Ke Paas Namaz Padhne Ka
Waqt Hi Nahi Jabki Baaz Log Namaz To Padhte Hai Magar Namaz Padhne Ka Sahi Tariqa Nahi
Jante. Zaroorat Is Umar Ki Hai Ke Namaz Ka Sahi Tariqa Seekha Jae Aur Pancho Waqt Ki Namaz
Ba Jamat Pabandi Se Ada Ki Jae. Is Muqtasar Kitaab Me Namaz Ki Fazilat Wa Ehmiyat Aur Iske
Mutaliq Zaroori Masail Quran Kareem, Ahadees Mubarka Aur Fiqah Hanfi Ki Motbar Kitab, Fatwa
E Razviya, Bahare Shariat Ki Roshni Me Tehreer Kiye Jarahe Hai, ALLAH Sab Musalmano Ko
Ilm E Deen Seekhne Aur Ispar Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmae Ameen Bija Hil NABI'IL
KAREEM .


Ankho Ki Thandak Hai.... Deen Ka Sutuun Hai.... Jannat Ki Kunji Hai.... Momin Ki Meraj Hai....
Shaitaan Ko Dafan Karti Hai .... ALLAH Ka Qurb Aur Raza Ata Karti Hai.
Ginaa Se Bhardunga Aur Agar Tu Aisa Na Karega To Tujhe Bohot Se Kaamo me
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
NAMAZ KI EHMIYAT:
Quraan E Majeeb Aur Ahadees E Kareema Me Jabaja Namaz Ki Pabandi Ka Hukm Diya Gaya Hai.
Irshaad E Baari Ta'ala Hua: "Aur Namaz Qayam Rakho Aur Zakat Do Aur Ruku Karne Walo Ke
Saath Ruku Karo." (Al Baqra 43, Kanzul Imaan Fi Tarjuma Al Quran)
Dusri Jagah Irshad Farmaya: "Nighbani Karo Sab Namazo Ki Aur Beech Ki Namaz (Asr) Ki." (Al
Baqra 238, Kanzul Imaan Az Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi )
Ek Aur Maqam Par Farmaya Gaya: "Aur Namaz Qayam Rakho Din Ke Dono Kinaro Aur Raat Ke
Kuch Hisso Me." (Hud 114, Kanzul Imaan)
Din Ke Dono Kinaro Se Subah Wa Shaam Muraad Hai. Zaval Se Qabl Ka Waqt Subah Me, Aur
Aur Raat Ke Hisso Ki Namaz'ein Maghrib Aur Isha Hai." (Tafseer Khazain Ul Irfaan)
Quran Kareem Me Namaz Padhne Ko Mushriko Ki Mukhalifat Qarar Diya Gaya Hai. Irshaad Hua:
"Aur Namaz Qayam Rakho Aur Mushriko (Me) Se Na Ho." ( Al Room 31)
Goya Namaz Na Padhna Mushriko Ke Misl Hona Hai. Iski Wazahat AAQA E DO JAHAN Ke Is
Irshaad E Girami Se Bhi Hoti Hai Ke: "Bande Aur Kafir Ke Darmiyan Farq Namaz Chodna Hai."
(Muslim)
Ek Jagah Be Namaz'ion Ke Liye Youn Waeed Farmai Gai:
"To Inke Baad Inki Jagah Wo Nakhalaf Aae Jinhone Namaz'ein Gawai (Ya'ani Zaya Ki) Aur Apni
Khwahisho Ke Peeche Hue To Anqareeb Wo Dozaq Me Ghai Ka Jungle Pa'engey." (Maryam 59,
Kanzul Imaan)
Ghai Dozaq Ke Nichle Hisse Me Ek Kunwan Hai Jisme Ahle Dozaq Ki Pip Girti Hai Ek Qaul Ye
Bhi Hai Ke Ye Jahannam Ki Sabse Zyada Garam Aur Gehri Waadi Hai Aur Usme Ek Kunwan Hai
Jab Jahannam Ki Aag Bujhne Par Aati Hai To ALLAH Us Kunw'e Ko Khol Deta Hai Jisse Wo
Badastoor Bhadakne Lagti Hai. Ye Kunwan Be-namaziyo, Zaani'iyo, Sharaab'iyo, Sood-khaur'o Aur
Walidain Ko Izaa Dene Walo Ke Liye Hai.
Quran Kareem Me Munafiqo Ki Ek Nishani Ye Bayan Ki Gayi Hai Ke Wo Namaz Padhne Me Susti
Karte Hai Aur Ise Bojh Samajhte Hai.
142)
Munafiqo Ke Mutalliq SARKAAR E DO ALAM Ka Irshaad Hai: Munafiqo Par Fajr Aur Isha Se
Zyada Koi Namaz Bhari Nahi Aur Ye Agar Jantey Ke In Namazo Me Kya Sawab Hai To Zameen
Par Ghasit'te Hue Bhi Pohonchte." (Bukhari, Muslim)
Baad Ka Shaam Me Daqil Hai. Subah Ki Namaz E Fajr Aur Shaam Ki Namaz E Zohr Wa Asr Hai
Irshaad Hua: "Aur Jab Namaz Ko Khade Ho To Haare Ji Se, Logo Ko Dikhawa Karte Hai." (Al Nisa,
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Quran E Kareem Me Ye Bhi Bataya Gaya Hai Ke Namaz Padhna In Logo Ke Liye Hargiz Mushkil
Nahi Hai Jo ALLAH Aur Aqirat Par Yaqeen Rakhte Hai. Irshaad Hua: "Aur Beshak Namaz
Zaroor Bhari Hai Magar In Par Nahi Jo Dilse Meri Taraf Jhukte Hai, Jinhe Yaqeen Hai Ke Inhe
Apne Rab Se Milna Hai Aur Usi Ki Taraf Phirna." (Al Baqra, 45, 46, Kanzul Imaan)
Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Ye Baat Wazeh Hogayi Ke Har Musalman Par Pancho Namaz'ein
Pabandi Se Ada Karna Farz Hai. Namaz Padhne Me Susti Karna Qasoosan Fajr Aur Isha Ki
Namaz'ein Na Padhna Munafiqo Ki Nishani Hai. Ye Bhi Maloom Hua Ke Namaz Na Padhna Kafiro
Nahi Samajhte The. Namaz Ki Ehmiyat Ka Andaza Is Baat Se Bhi Laga'en Ke Hadees E Pak Me
Bachpan Hi Se Namaz Padhne Ki Takeed Farmai Gai. NABI E KAREEM Ne Farmaya: "Jab
Bachche Saath Saal Ke Hoja'en To Inhe Namaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab Wo Das Saal Ke
Hojae To Namaz Me Ghaflat Par Inhe Maro Aur Isi Umr Se Inke Bistar Bhi Alaida Kardo." (Abu
dawood)
NAMAZ QAZA KARNE KA GUNAH:
RASOOL E MUAZZAM NOOR E MUJASSAM Ka Irshaad Hai: "Jo Shaqs Namaz Qaza Kardein
Aur Baad Me Qaza Padhlein, Wo Apne Waqt Par Namaz Na Padhne Ki Wajah Se Wo Ek Huqab
Jahannam Me Jalega. Huqab Ki Miqdar Assi (80) Saal Hoti Hai Aur Ek Saal Teen Sau Sa'ath (360)
Din Ka Jabke Qayamat Ka Ek Din Ek Hazar Saal Ke Barabar Hoga. (Ya'ani Ek Namaz Qaza Karne
Wale Ko Do Crore Athassi Lakh Saal Jahannam Me Rehna Hoga. ).... (Majalis Al
Abrar)
Sadrush Shariya Hazrat Allama Maulana Amjad Ali Azmi Quds Sarah Farmate Hai: Namaz Ko
Mutlaqan Chod Dena To Saqt Haulnak Baat Hai Namaz Qaza Karne Walo Ke Liye RAB TA'ALA
Farmata Hai: Qarabi Hai In Namaz'iyo Ke Liye Jo Apni Namazo Se Be-qabar Hai, Waqt Guzar Kar
Padhne Uth'te Hai. (Al Maun, 4) Jahannam Me Ek Wadi Hai Jiski Saqti Se Jahannam Bhi Panah
Mangta Hai Iska Naam Weal Hai Qasda Namaz Qaza Karne Wale Iske Mustahaq Hai. (Bahare
Shariat, Hissa Suam, Safah 2)
NAMAZ KI BARKAT'EIN
AAQA WA MAULA Sahaba e Kiram Se Farmaya: "Agar Kisike Darwaze Par Ek
Naher Ho Jisme Wo Roz'ana Panch Waqt Gusl Kare To Kya Iske Badan Par Kuch Mail Baqi
Rahega? Arz Ki: Bilkul Nahi. Irshaad Farmaya: "Yahi Misl Panch Namaz'on Ki Hai Ke Inki Barkat
Se ALLAH Sab Gunah Mita Deta Hai." (Buqari, Muslim)
Yaha Gunah Se Murad Sageera Gunah Hai. Kabeera Gunah Sachchi Tauba Se Aur Haquq ul Ibad
Ada Karne Se Muaf Hote Hai. Mishkat Shareef Me Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ke SARKAAR E DO
ALAM Pat-Jhad Ke Mausam Me Ek Daraqt Ke Paas Tashreef Lae Aur Uski Shaq'ein Pakad Kar
Halai To Patte Girne Lage. AAP Ne Farmaya: "Jab Musalman ALLAH Ki Raza Ke Liye Namaz
Padhta Hai To Uske Gunah Aise Hi Gir Jate Hai Jaise Is Daraqt Ke Patte Girgaye.
Ka Tariqa Hai Isiliye Sahaba E Kiram Aamal Mese Namaz Ke Siwa Kisi Amal Ke Chodne Ko Kufr
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
NABI KAREEM Ka Farmane Alishaan Hai: "Jo Namaz Ki Pabandi Karega Namaz Uske Liye
Qayamat Ke Din Roshni, Daleel Aur Zariya E Najat Hojaegi Aur Jo Iski Pabandi Na Karega Uske
Liye Na Roshni Hogi, Na Daleel, Na Najat, Aur Wo Qayamat Ke Din Qarun, Firoun, Haman Aur
Abi Bin Khalf Ya'ani Bade Bade Kafir'on Ke Saath Hoga." (Mishkat)
Namaz Ki Ek Barkat Ye Bhi Hai Ke Iske Zariye Har Mushkil Asan Hoti Hai Aur Namazi Ko Sakoon
Milta Hai. Hazrat Huzaifa Ka Irshaad Hai Ke AAQA WA MAULA Ko Jab Koi
Mushkil Ya Sakht Kaam Pesh Aata To AAP Fauran Namaz Ki Taraf Mutawwaju Hote The. (Abu
Dawood)
NAMAZ BA-JAMAT KI FAZILAT
AAQA WA MAULA Ka Irshaad E Girami Hai: "Ba-Jamat Namaz Padhna Akele Namaz Padhne
Se Sattais (27) Darje Zyada Afzal Hai." (Bukhari Muslim)
MEHBOOB E KIBRIYA Ne Farmaya: "Mera Dil Cahta Hai Ke Chand Jawano Se Kahu Ke Bohot
Sa Indhan Jama Karke Lae Phir Mai Inke Paas Jau Jo Bila Gharz Gharo Me Namaz'ein Padhte Hai
Aur Inke Ghar'on Ko Jaladu." (Muslim, Abu Dawood)
NOOR E MUJASSAM Ka Farmane Alishaan Hai: "Jo Apne Ghar Se Taharat Wa Wazu Karke
Farz Namaz Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai Iske Har Ek Qadam Par Ek Gunah Mu'af Hota Hai
Aur Dusre Qadam Par Ek Darja Buland Hota Hai." (Muslim)
HUZOOR Ne Farmaya: "Jo Shaqs Azan Ki Awaz Sune Aur Bila Uzr Namaz Ko Na Jae Aur Ghar
Me Padhlein Uski Wo Namaz Qubool Nahi Hoti." Sahaba E Kiram Ne Arz Ki Ya RASOOLALLAH
Uzr Se Kya Murad Hai? Irshaad Farmaya: "Khauf Ya Marz". (Abu Dawood)
NABI KAREEM Ka Irshaad Hai: Agar Namaz Ba-Jamat Se Piche Rehjane Wala Janta Ke Us Jane
Wale Ke Liye Kya Ajr Hai To Wo Ghisit'ta Hua Hazir Hota". (Tabarani)
KHUSHU O KHUZU KI EHMIYAT:
AAQA WA MAULA Ka Farmane Alishaan Hai: "ALLAH Ki Ibadat Aise Kiya Karo Goya
Tum Ise Dekh Rahe Ho, Agar Ye Na Hosake To Kamazkam Ye Zaroor Yaqeen Rakho Ke Wo
Tumhein Dekh Raha Hai." (Buqari)
NABI KAREEM Ne Farmaya: "Jo Shaqs Achi Tarha Wazu Karke Sab Namaz'ein Waqt Par Ada
Kare, Khushu O Khuzu Se Qyam Kare, Ruku Aur Sajda Bhi Itminan Se Kare Aur Poori Namaz
Achchi Tariqe Se To Wo Namaz Chamakdaar Banjati Hai, Aur Ise You Dua Deti Hai, Aye Namazi!
ALLAH Teri Aisi Hi Hifazat Kare Jaise Tune Meri Hifazat Ki. Aur Jo Namaz Ko Buri Tarha Ada
Kare Ya'ani Sahi Wazu Na kare Ruku Wa Sajda Bhi Achchi Tarha Na Kare To Wo Namaz Bad-Dua
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Deti Hai Ke ALLAH Tujhe Aisa Hi Barbaad Kardein Jaise Tune Mujhe Barbaad Kiya. Phir Wo
Namaz Purane Kapde Ki Tarha Lapet Kar Namazi Ke Mu Par Maardi Jati Hai. (Tabarani)
HUZOOR E AKRAM Ne Farmaya: Bat'tareen Chor Wo Hai Jo Namaz Mese Chori Karein.
Farmaya: Wo Ruku Aur Sajd'ein Achchi Tarha Ada Nahi Karta. (Musnad Ahmed, Tabarani)
Hazrat Abdullah Ibne Abbas Ka Irshaad Hai Ke: "Khushu Karne Wale Wo Hai Jo
ALLAH Se Darte Hai Aur Namaz Sukoon Se Padte Hai."
Is Hadees E Mubaraka Se Maloom Hua Ke Tamaam Huqooq Wa Adab Ka Lehaz Rakhte Hue
Khushu Wa Khuzu Aur Itminan Wa Sukoon Se Namaz Ada Karni Cahiye.
NAMAZ MUTTAQI BANA DETI HAI
Irshaad E Bari Ta'ala Hua: "Beshak Namaz Mana Karti Hai Behayai Aur Buri Baat Se" (Al Ankabut
45, Kanzul Imaan)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Namaz Behayai Aur Bure Kaamo Se Rokti Hai Ya'ani Jo Shaqs Pabandi
Se Namaz Ko Iske Huqooq Wa Adab Ka Lehaz Rakhte Hue Ada Karta Hai, Rafta Rafta Wo Tamam
Bure Kaamo Ko Chod Deta Hai Aur Muttaqi Ban Jata Hai."
Ek Ansari Jawan SAYYAD E ALAM Ke Saath Namaz Padha Karta Tha Aur Bohot Se Kabeera
Gunaho Ka Irtekab Bhi Karta Tha. HUZOOR Se Uski Shikayat Bhi Ki Gayi. HUZOOR Ne
Farmaya Uski Namaz Kisi Roz Usko In Buri Baat'on Se Rok Degi. Chunache Jald Hi Usne Tauba Ki
Aur Uska Haal Behtar Hogaya. Hazrat Anas Ne Farmaya: "Jiski Naam Ise Be-Hayai Aur
Bure Kaamo Se Na Roke Wo Namaz Hi Nahi." (Tafseer Khazain Ul Irfan)
NAMAZ KI QUBOOLIYAT KA GUMAN RAKH'EIN
Namaz Ke Dauran Jo Duniyawi Qayalat Aae, Inki Taraf Tawajju Na Kare Balki Inki Parwa Kiye
Bagair Apne Zahen Ko Namaz Me Padhe Jane Wale Alfaz Aur Inke Ma'ane Ki Taraf Mutawwaju
Karne Ki Koshish Karte Rahe.
Baaz Log Ye Sawal Karte Hai Ke Hume Itminan Kaise Ho Ke Humne Jo Namaz Padhi Iske ALLAH
raP kaP E seedaH sI eyiL eK enhjamaS bawaJ aK sI ?ayilamraF loobuQ eN Ghaur Kijiye, Irshaad
Hua: ALLAH Qayamat Me Apne Bande Ke Saath Waisa Muamla Karega Jaisa Bande Ne Apne
Rab Ke Saath Zan Rakha Hoga. Lehaza Khauf E KHUDA Ke Saath Saath Ibadat Ke Qubool Hone
Ka Husn E Zan Rakhna Bhi Zaroori Hai.
Sahaba E Kiram Ne Arz Ki, Ya RASOOLALLAH ! Wo Namaz Mein Se Kaise Chori Karta Hai?
Ek Aur Hadees E Pak Me Pabandi Se Sab Namazein Khusu Wa Khuzu Se Ada Karne Walo Ko Maghfirat Ki Khushkhabri Di Gayi. (Abu Dawood)
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Aulama E Kiram Farmate Hai: Agar Tumne Fajr Ki Namaz Padhi Aur Phir Zohr Ki Namaz Bhi
Padhli To Ye Nek Guman Karo Ke ALLAH Ne Tumhari Fajr Ki Namaz Qubool Farmali. Phir
Namaz E Asr Padhlo To Zohr Ke Qubool Hone Ka Itminam Karlo, Isi Tarha Har Agli Namaz Ada
Karne Ke Baad Pichli Namaz Qubool Hone Ka Itminan Karlo Kyun'ke Agar ALLAH Tumhari
Namaz E Fajr Qubool Na Farmata To Tumhe Namaz E Zohr Me Hazir Hone Ki Taufeeq Na Deta.
Tumhari Pichli Namaz Ko Qubool Farmaliya Hai.
ALLAH WALO KI NAMAZ
Namaz Is Shaqs Ki Tarha Padhni Cahiye Jaise Yaqeen Hoke Ye Is Zindagi Ki Aakhri Namaz Hai.
Hazrat Haatim Balkhi Se Kisine Pucha: Aap Namaz Kaise Padhte Hai? Aap Ne Farmaya:
Jab Namaz Ka Waqt Hota Hai To Achchi Tarha Wazu Karke Jaye Namaz Par Itminan Se Khada
Hojata Hu Aur Ye Tasawwur Karta Hu Ke Kaaba Mere Samne Hai, Jannat Mere Dai Taraf Aur
Dozaq Mere Bai Taraf Hai Aur Mai Pul-Sirat Par Khada Hu, Aur Mai Samajhta Hu Ke Maut Ka
Farishta Mere Sar Par Hai Aur Ye Meri Zindagi Ki Aakhri Namaz Hai. Phir Mai Nihayat Ajizi Se
Allahu Akbar Kehta Hu, Ma'ane Ko Zahen Me Rakhkar Tilawat Karta Hu Aur Nihayat Khusu Wa
Khuzu Se Namaz Ada Karta Hu Phir ALLAH Ki Rehmat Se Ise Qubool Hone Ki Ummed Rakhta
Hu Aur Apne Amal Ke Naqis Hone Ki Wajah Se Ise Tukradiye Jane Ka Khauf Karta hu. Allahh
akbar!
Ye Hai Allah Walo Ki Namaz! Bari Ta'ala Hume Auliya E Kiram Ke Naqshe Qadam Par Chalne Ki
Taufeeq Ata Farmae Ameen.
TAHARAT KA BAYAN
AAQA WA MAULA Ka Irshaad E Girami Hai: "Jannat Ki Kunji Namaz Hai Aur Namaz Ki
Kunji Taharat Hai." (Muslim) Yaha Taharat Se Murad Ye Hai Ke Namaz Ki Jagah Aur Namazi Ka
Libas Pak Ho Nez Is Ka Jism Hadse Akbar Aur Hadse Asghar Se Pak Ho Ya'ani Namazi Par Gusl
Wajib Na Ho Aur Wo Ba-Wazu Bhi Ho.
HUZOOR E KAREEM Ne Farmaya: "Is Ghar Me Rehmat Ke Farishte Nahi Aate Jaha Tasveer,
Kutta Ya Halat E Janabat Me Koi Shaqs Ho." (Abu dawood)
Ab Pehle Ye Samajhiye Ke Gusl Ya Wazu Kaise Pani Se Kiya Jae.
Fuqaha Farmate Hai Ke Pani Be Rang Be Bu Aur Be Zaika Ya'ani Qudrati Halat Me Ho Nez Pani
Istemal Shuda Na Ho. Agar Badan Par Koi Najasat Na Lagi Hoto Jo Pani Wazu Ya Gusl Karne Me
Badan Se Gire Wo Pak Hai Magar Isse Wazu Ya Gusl Jayaz Nahi. Isi Tarha Agar Be-Wazu Shaqs
Ka Haath Ya Ungli Ya Nakhoon Ya Badan Ka Koi Hissa Jo Dhula Na Ho, Ya Jis Par Gusl Farz Hai
Iske Jism Ka Be-Dhula Hissa Pani Me Padh Jae Ya Pani Se Choo Jae To Wo Pani Musta'ml Ho
Gaya. Ab Is Pani se Wazu Ya Gusl Nahi Hosakta. Iska Pina Aur Isse Aata Gundhna Makrooh Hai.
Albatta Ise Kapde Dhone Ke Liye Istemal Kiya Ja Sakta Hai.
RAB KAREEM ka Tumhein Har Agli Namaz Ada Karne Ki Taufeeq Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ke
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Musta'ml Pani Ko Wazu Ya Gusl Ke Istemal Ke Qabil Banane Ka Tareeqa Ye Hai Ke Achcha Pani
Isse Zyada Isme Miladein Ya Isme Itna Pani Dal'ein Ke Bartan Ke Kinaro Se Behne Lage, Ab Is
Pani Se Wazu Ya Gusl Jayaz Hai.
WAZU KE FARA'EZ
Wazu Ke Char Fara'ez Hai:-
1. Pura Mu Dhona: Ya'ani Peshani Ke Shuru Se Lekar Thudhi Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Tak
Taman Jild Par Ek Martaba Pani Bahana Farz Hai.
Mucho Ya Bhawo Ke Baal Agar Ghane Hoto Sirf In Balo Ka Dhona Farz Hai Aur Agar Ghane Na
Hoto Jild Ka Dhona Bhi Farz Hai. Isi Tarha Daadhi Ke Baal Agar Ghane Na Hoto Jild Ka Dhona
Farz Hai. Hotho'n Ka Wo Hissa Jo Adatan Band Karne Ke Baad Zahir Rehta Hai Iska Dhona bhi
Farz Hai.
2. Dono Haath Kohniyo Samet Dhona: Kisi Uzuu Ke Dhone Ke Ye Ma'ane Hai Ke Is Uzuu Ke Har
Hisse Par Kam Se Kam Do Do Boondh Pani Behjae, Bheeg Jane Ya Tel Ki Tarha Pani Chapad Lene
Ya Ek Aadh Boondh Beh Jane Ko Dhona Nahi Kahengey Aur Na Hi Isse Wazu Ya Gusl Ada Hoga.
Har Qism Ke Challe, Nath, Anghotiya, Cudhiya Wagaira Agar Itne Tang Ho Ke Inke Niche Pani Na
Bahe To Inhe Utar Kar Jild Ke Har Hisse Par Pani Pohonchana Zaroori Hain.
Nail Polish Lagi Ho To Ise Door Kiye Bagair Wazu Ya Gusl Nahi Hoga, Albatta Jis Cheez Ki Admi
Ko Amuman Ya Khususan Zaroorat Padhti Rehti Hai Aur Nighedaasht Ehtiyat Me Harj Ho,
Nakhoon'on Ke Andar Ya Upar Ya Kisi Aur Dhone Ki Jagah Iske Lage Reh Jane Se Wazu Hojaega
Agrche Wo Sakht Cheez Ho Aur Iske Neeche Pani Na Pohonche. Maslan Pakane Gundhne Walo Ke
Liye Aata, Rangrez Ke Liye Rang Ka Jarm, Aurto Ke Liye Mehndi, Likhne Walo Ke Liye Roshnai,
Mazdoor Ke Liye Garaamti Aur Aam Logo Ke Liye Palko'n Me Surme Ka Jarm Ya Badan Ka Mail
Wagaira.
3. Chohtai Sar Ka Masa Karna: Masa Karne Ke Liye Haath Tar Hona Cahiye Khwah Tari Aaza Ke
Dhone Ke Baad Rehgai Ho Ya Nae Pani Se Haath Tar Kar Liya Ho. Kisi Uzuu Ke Masa Ke Baad Jo
Haath Me Tari Baqi Rehjaegi Wo Dusre Uzuu Ke Masa Ke Liye Kaafi Na Hogi.
4. Dono Pa'un Dhona: Ungliyo Ki Karote, Ghaiya, Gitte, Talwe Aur Ediya Sab Ka Dhona Farz Hai.
Agar Khalal kiye Bagair Ungliyo Me Pani Na Behta Ho To Khalal Bhi Farz Hai.
WAZU KI SUNNAT'EIN
Wazu Ki Sunnat'ein Mandarja Zel Hai:
Hukme Ilahi Ki Tameel Aur Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Karna, Pak Jagah Baith Kar Wazu Karna,
Wazu Shuru Karne Se Qabl Padhna, Dono Haath Ghatto Tak Dhona, Miswak Karna, Teen
Baar Chullu Bhar Pani Se Kulli Karna, Teen Baar Nak Me Haddi Tak Pani Cadhana, Pani Dae Haath
Se Cadhana, Bae Haath Ki Choti Ungli Se Nak Saaf Karna, Haath Pau Ki Ungliyo Ka Khalal Karna,
Daadhi Ka Khalal Karna, Pure Sar Ka Masa Karna, Kaano Ka Masa Karna, Aaza Dhone Ki Tarteeb
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Qayam Rakhna, Har Dhone Wale Aaza Ko Teen Baar Dhona, Aaza Ko Pe Dar Pe Is Tarha Dhona
Ke Pehla Aaza Sukne Na Pae.
WAZU KARNE KA TAREEQA
Pakde Ke Choti Ungli Miswak Ke Niche, Darmiyan Ki Teen Ungliya Upar Aur Anghuta Miswak Ke
Sar Par Niche Ho. Pehle Dai Janib Upar Ke Danto Par Miswak Kare Phir Bai Taraf Upar Ke Danto,
Phir Dai Taraf Niche Ke Aur Phir Bai Taraf Niche Ke Danto Par Miswak Kare. Miswak Danto Ki
Chorai Par Karni Cahiye. Phir Teen Baar Chullu Me Pani Lekar Achchi tarha Kulli Kare Aur Teen
Baar Nak Me Pani Cadhae Aur Bae Haath Ki Choti Ungli Se Nak Saaf Kare. Phir Teen Baar Is
Tarha Mu Dhoe Ke Peshani Ke Balo Se Thudi Ke Niche Tak Aur Ek Kaan Se Dusre Kaan Tak
Khushk Na Rahe. Agar Dadhi Hoto Iska Khalal Bhi Kiya Jae. Phir Teen Baar Pehle Daya Haath Phir
Baya Haath Koni Samet Dhoe. Phir Dono Haath Tar Karke Pure Sar Ka Is Tarha Masa Kare Ke
Anghute Aur Kalme Ki Ungli Ke Siwa Ek Haath Ki Baqi Teen Ungliyo Ke Sire Dusre Haath Ki
Teen Ungliyo Ke Sire Se Mile Aur Peshani Par Rakh Kar Gaddi Tak Is Tarha Le Jae Ke Hateliya Sar
Phir Shahadat Ki Ungli Ke Pet Se Kaan Ke Andruni Hisse Ka Masa Kare Aur Anghute Se Kaan Ki
Phir Teen Baar Pehle Daya Pau Aur Phir Baya Pau Takhnk Samet Bae Haath Se Dhoe Aur Ungliyo
Ka Khalal Kare. Dahine Pau Me Khalal Choti Ungli Se Shuru Karke Anghute Par Khatam Kare Aur
Bae Pau Me Anghute Se Shuru Karke Choti Ungli Par Khatam Kare.
Wazu Ke Baad Kalima E Shahadat Padhne Ki Adat Banale Kyuke Hadees Shareef Me Hai Wazu Ke
Baad Kalima E Shahadat Padhne Wale Ke Liye Jannat Ki Basharat Aai Hai.
WAZU KIN BAAT'ON SE TOOT JATA HAI
Mandarja Zail Cheezo Se Wazu Toot Jata Hai.
Peshab Ya Pakhana Ke Maqam Se Kisi Cheez Ka Nikalna, Mu Bhar Kar Khae Karna, Khoon Ya
Peep Ya Zard Pani Ka Nikal Kar Jism Pae Beh Jana, Kisi Cheez Se Sahara Laga Kar Sojana, Dukhti
Aankh Se Paani Ka Behna, Namaz Me Awaz Se Hasna, Behosh Ya Junoon Tari Hona.
MISWAK KA BAYAN
AAQA WA MAULA Ka Farmane Alishaan Hai: Agar Ye Baat Na Hoti Ke Meri Ummat Par Gira
Hoga To Mai Inko Hukm Deta Ke Wo Har Namaz Ke Saath Miswak Kiya Kare. (Bukhari)
HUZOOR E KAREEM Ne Farmaya: Miswak Lazim Karlo Kyuke Isse Mu Ki Safai Hoti Hai Aur
RAB TA'ALA Bhi Razi Hota Hai. (Musnad E Ahmed)
Aulama Farmate Hai Ke Miswak Karne Ke Sattar (70) Fayde Hai Jin Mese Ek Ye Hai Ke Marte
Waqt Kalima Tayyiba Naseeb Hota Hai Aur Naza Ki Takleef Asan Hojati Hai.
Wazu Shuru Karne Se Qabl Hukme Ilahi ki Tameel Aur Sawab Pane ki Niyyat Kare Aur Padh
Kar Teen Baar Dono Haath Ghatto Tak Dhoe Phir Miswak Kare. Miswak Dae Haath Me Is Tarha
Se Juda Rahe. Waha Se Hateliyo Se Masa Karte Hue Wapas Lae.
Beruni Satah Ka Aur Ungliyo Ki Pusht Se Gardan Ka Masa Kare.
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Miswak Karna Wazu Ke Liye Sunnat Hai. Miswak Na Bohot Narm Ho Na Bohot Sakht. Behtar Hai
Ke Pilu, Zaitoon Ya Neem Kadwi Lakdi Ki Ho.
Miswak Choti Ungli ke Barabar Moti Aur Zyada Se Zyada Ek Balish Barabar Lambi Ho Aur Itni
Choti Bhi Na Ho Ke Miswak Karna Dushwar Ho.
Miswak Dahine Haath Me Is Tarha Pakde Ke Choti Ungli Miswak Ke Niche Aur Beech Ke Teen
Ungliya Upar Aur Anghuta Miswak Ke Sare Par Niche Ho Aur Muth'thi Bandh Na Ki Jae. Isi Tarha
Miswak Karne Wala Bawasir Ke Marz Se Mehfooz Rehta Hai.
Miswak Danto Ki Chorai Me Karni Cahiye Lambayi Me Nahi. Pehle Upar Ke Dant Dahine Janib
Aur Bae Janib Se Saaf Kare Phir Niche Ke Daant Pehle Dae Aur Phir Bae Janib Se Saaf Kare. Upar
Niche Dae Bae Kam az Kam Teen Teen Martaba Miswak kare. Aur Har Baar Miswak Ko Dhole.
GUSL KE FARA'EZ
Gusl Me Teen Farz Hai:-
1. Gharghara Karna Ya'ani Mu Bhar Kar Is Tarha Kulli Karna Ke Honth Se Halaq Ki Jad Tak Pani
Pohonch Jae.
2. Nak Me Haddi Tak Pani Pohonchana Ke Dono Nathno Me Haddi Tak Koi Jagah Khushk Na
Rahe.
3. Saare Badan Par Is Tarha Pani Bahana Ke Baal Barabar Jagah Bhi Khushk Na Rahe.
Agar Danto Me Gosht Ke Reshe Ya Paan Chaliya Wagaira Phanse Hoto Inhe Saaf Karna Zaroori
Hai Isi Tarha Agar Nak Me Mail Jam Gai Hoto Ise Saaf Karke Pani Sakht Haddi Ke Shuru Tak
Pohonchana Bhi Lazim Hai Albatta Roze Ki Halat Me Mubaligha Se Bachna Cahiye.
GUSL KA MASNOON TARIQA
Gusl Ki Niyyat Karke Pehle Do Haath Ghatto Tak Dhoe Phir Istenja Ki Jagah Dhoe Khwah Najasat
Ho Ya Nahi. Phir Badan Par Jaha Najasat Ho Ise Door Karke Wazu Kare Magar Pau Na Dhoe Agar
Kisi Caukhi Par Gusl Kare To Pau Bhi Dhole Phir Badan Par Tel Ki Tarha Pani Mal Lein Phir Teen
Baar Dae Kandhe Par Phir Teen Baar Bae Kandhe Par Pani Baha'ein. Phir Teen Baar Sar Par Aur
Phir Saare Jism Par Teen Baar Achchi Tarha Pani Baha'ein Aur Haath Pher Kar Mal'ein Take Baal
Barabar Jagah Bhi Khushk Na Rahe. Agar Wazu Me Pau Nahi Dhoe The To Ab Gusl Ki Jagah Se
Alag Hokar Pau Dhol'ein. Gusl Ke Dauran Is Baat Ka Khayal Rakh'ein Ke Aap Na To Qibla Rukh
Ho Aur Na Hi Koi Kalam Kare Ya Dua Padhein. Nez Aisi Jagah Nahae Jaha Be-Pardagi Na Ho.
GUSL IN CHEEZ'ON SE FARZ HOTA HAI
Shehwat Ke Saath Mani Ka Nikalna, Nind Me Ehtelaam Hona, Mard Ya Aurat Se Mubashrat Karna
Khwah Inzaal Ho ya Nahi. Aurat Ka Haiz Se Farigh Hona, Aurat Ka Nifas Khatam Hona.
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
TAYAMMUM KAB KIYA JATA HAI?
Jaise Wazu Ya Gusl Ki Hajat Ho Magar Ise Pani Istemal Karne Par Qudrat Na Ho Ise Tayammum
Karna Cahiye. Iski Chand Surat'ein Darj Zel Hai:
Charo Taraf Ek Ek Mil Tak Pani Ka Pata Na Ho.
Ya Aisi Bemari Ho Ke Pani Ke Bais Shadeed Bemaar Hone Ya Der Me Achcha Hone Ka Sahi
Bataya Ho.
Ya Itni Sakht Sardi Ho Ke Nahane Se Marjane Ya Bemaar Hojane Ka Qawi Andesha Ho Aur Lihaaf
Wagaira Koi Aisi Cheez Iske Paas Na Ho Jisse Nahane Ke Baad Sardi Se Bach Sake,
Ya Train Ya Bus Se Utar Kar Pani Istemal Karne Me Gadhi Choot Jane Ka Khadsha Ho,
Ya Wazu, Gusl Karne Ki Surat Me Namaz E Eid'ain Nikal Jane Ka Guman Ho.
TAYAMMUM KA TARIQA AUR AHEM MASAIL
Tayammum Me Teen Farz Hai.
Awwal: Niyyat Karna Ke Ye Tayammum Wazu Ya Gusl Ya Dono Ki Paki Ke Liye Hai.
Duwam: Sare Mu Par Is Tarha Haath Pherna Ke Baal Barabar Jagah Bhi Baqi Na Rahe.
Suwam: Dono Haath'on Ka Kohniyo Samet Masa Karne Ke Koi Hissa Baqi Na Rahe.
Tayammum Ka Tariqa Ye Hai Ke Niyyat Karke Padh Kar Dono Haath Zameen Ki Jins Se
Talluq Rakhne Wali Kisi Cheez (Maslan Mit'thi, Paththar, Marble Ya Aisi Cheez Jispar Kaafi Gard
Dusre Haath Ke Anghute Ki Jad Par Marein. Phir Dono Haath Saare Mu Par Is Tarha Pher Lein Ki
Koi Jagah Baqi Na Rahe. Hoth Ka Wo Hissa Jo Adatan Mu Band Hone Ki Halat Me Dikhai Deta
Hai Ispar Bhi Masa karna Zaroori Hai. Agar Dadhi Hoto Is Ka Khalal Bhi Kare.
Phir Dobara Mit'thi Ya Paththar Par Haath Mare Aur Pehle Dae Haath Ka Is Tarha Masa Kare Ke
Bae Hath Ke Anghute Ke Alawa Char Ungliyo Ka Pet Dae Haath Ki Pusht Par Rakhein Aur Ungliyo
Ke Sare Se Kohni Tak Le Jae Aur Phir Waha Se Bae Haath Ki Hateli Se Dae Haath Ke Pusht (Ya'ani
Andruni Taraf) Par Pherte Hue Ghatte Tak Lae Aur Bae Anghute Ke Pusht Se Dae Anghute Ki Pusht
Ka Masa Karein.
Isi Tarha Dae Haath Se Bae Haath Ka Masa Kare. Mit'thi Ya Paththar Par Haath Marte Waqt
Khalal Karna Sunnat Hai Aur Agar Paththar Wagaira Se Tayammum Kiya Jae Jis Par Gubbar Na Ho
To Ungliyo Ka Khalal Farz Hai.
Tayammum Ke Waqt Khawateen Is Baat Ka Ehtiyaat Rakhein Ke Anghuti, Challe, Nat Aur Deegar
Zevrat Hatakar Jabke Nail Polish Utar Kar Jild Ke Har Hisse Par Haath pherna Zaroori Hai. Beemari
Me Agar Thanda Paani Nuqsaa.n Karta Hai To Garam Pani Istemal Karna Cahiye Agar Garam Pani
Na Mile To Tayammum Kiya Jae. Yuhi Agar Sar Par Pani Dalna Nuqsaa.n Karta Hai To Gale Se
Andesha Ho Khwah Ye Isne Khud Azmaya Ho Ya Kisi Mustanad Ya Ghair E Fasiq Tabeeb Ne
Wagaira Ho) Par Mare Aur Agar Zyada Mit'thi Lag Ja e To Ek Haath Ke Anghute Ki Jad Ko
Ungliya Khuli Hui Halat Me Ho. Agar Ungliyo Ke Darmiyan Gubbar Pohonch Gaya To Inka
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Nahaye Aur Geela Haath Pher Kar Pure Sar Ka Masa Karlein.
Agar Kisi Uzuu Par Zaqm Ke Bais Patti Bandi Ho Ya Plaster Chada Ho To Haath Geela Karke Is
Patti Ke Upar Pher Diya Jae Aur Baqi Jism Ko Dhoya Jae. Jab Itna Aram Hojae Ke Patti Par Se Pani
Bahane Me Nuqsaa.n Na Ho To Pani Bahae, Phir Jab Itna Araam Hojae Ke Zaqm Wali Jagah Masa
Karsakta Ho To Fauran Masa Kare, Phir Jab Itni Sahet Hojae Ke Uzuu Par Pani Baha Sakta Hoto
Jis Uzr Ke Bais Tayammum Kiya Gaya Agar Wo Khatm Hojae Ya Jin Cheez'on Se Wazu TootTa
NA-PAK KAPDE PAK KARNE KA TARIQA
Na-Pak Kapde Pak Karne Ka Tariqa Ye Hai Ke Inhe Achchi Tarha Dho Kar Puri Quwwat Se
Nichoda Jae Yaha Tak Ke Mazeed Quwwat Lagne Par Koi Khatra Na Tapke. Phir Haath Dho Kar
Kapde Dhoe Aur Inhe Isi Tarha Puri Taqat Se Nichode, Phir Teesri Baar Haath Dhoe Aur Kapde
Dhokar Inhe Puri Taqat Se Inhe Nichode Ke Mazeed Nichode Par Koi Qatra Na Tapke. Ab Kapde
Pak Hogaye. Agar Kisine Puri Quwwat Se Kapda Nichodliya Magar Koi Dusra Jo Taqat Me Zyada
Hai, Ise Nichode To Chand Boondh Pani Mazeed Tapak Jaega To Kapda Pehle Ke Haq Me Pak Aur
Is Doosre Ke Haq Me Na-pak Hai.
Is Masle Me Ehtiyat Karni Cahiye. Har Koi Ya To Apna Na-Pak Kapda Khud Pak Kare Ya Phir Inhe
Behte Pani Me Pak Kiya Jae. Iska Tariqa Ye Hai Ke Sabun Ya Washing Machine Se Kapde Dho Kar
Inhe Kisi Bartan Me Daal Dein Aur Phir Itna Pani Dale Ke Kapde Pani Me Mukammal Doob Jae
Aur Pani Bartan Ke Kinaro Se Behne Lage, Jab Pani Beh Raha Hoto Is Behte Pani Se Kapdo Ko
Nikal Le, Ye Behte Pani Ki Wajah Se Pak Hogaye.
Aise Nazuk Kapde Jo Nichodne Ke Qabil Nahi Hai Isi Tarha Chatai, Qalin, Jootey Wagaira Bhi
Agar Na-Pak Hojae To Inhe Pak Karne Ka Tareeqa Ye Hai Ke Inhe Dhokar Latka Diya Jae Yaha
Tak Ke Inse Pani Tapakna Band Hojae. Phir Dobara Dho Kar Latka De, Jab Pani Tapakna Band
Hojae Phir Teesri Baar Dhokar Sukale, Ye Pak Hojaengey.
AZAN KA BAYAN
SARKAAR E DO ALAM Ka Farmane Alishaan Hai: "Azan Dene Walo Ki Gardane Qayamat Ke
Din Sabse Zyada Daraz Hongi." (Muslim) Ya'ani Wo Rehmat E Ilahi Ke Zyada Umeed Waar Aur
Sawab Ke Zyada Mustahaq Hongey.
NABI KAREEM Ka Irshaad E Girami Hai: "Jo Saath Baras Ke Sawab Ke Liye Azan Kahe,
ALLAH TA'ALA Ise Jahannam Ki Aag Se Mehfooz Rakhta Hai." (Tirmizi, Ibne Majah)
AAQA WA MAULA Ne Farmaya: Jo Azan Dene Wala Mahez Sawab Ka Talib Ho Wo Is
Bahae. Gharz Ye Ke Alaa Par Jitnni Qudrat Hasil Hoti Jaye, Adna Par Itefa Jaiz Nahi. Agar Namaz Ka Waqt Itna Kam Rehgaya Ke Wazu Ya Gusl Karne Ki Surat Me Namaz Qaza
Shaheed Ki Misl Hai Jo Khoon Me Aloda Hai Aur Jab Wo Marega Qabr Me Iska Badan Keedo Se
Dohrana Zaroori Hai.
Hai Inse Wazu Ka Ya Jin Baat'on Se Gusl Wajib Hota Hai Inse Gusl Ka Tayammum Toot Jata Hai.
Hojaegi To Tayammum Karke Namaz Padh Leni Cahiye. Albatta Wazu Ya Gusl Karke Is Namaz Ko
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Masjid Me Ba-Jamat Pancho Farz Namazo Ki Waqt Par Adaegi Ke Liye Azan Sunnat E MaukKdia
Hai Aur Iska Hukm Wajib Ke Misl Hai Ke Agar Azan Na Kahi To Waha Ke Sab Log Gunahgaar
Hongey. Be-Wazu Azan Kehna Makrooh Hai. Har Farz Namaz Ke Liye Azan Is Namaz Ka Waqt
Shuru Hone Ke Baad Kahi Jaa Sakti Hai. Jo Azan Waqt Se Qabl Kahi Gayi Ise Waqt Par Lautana
Cahiye.
Shariyat Me Azan Ek Khaas Qism Ka Ailaan Hai. Jis Ke Liye Ye Alfaz Muqarrar Hai:
"ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se
Bada Hai, Mai Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Mai Gawahi Deta Hu Ke
ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Mai Gawahi Deta Hu Ke HAZRAT MUHAMMED ALLAH
Ke Rasool Hai, Mai Gawahi Deta Hu Ke HAZRAT MUHAMMED ALLAH Ke Rasool Hai, Aao
Namaz Ki Taraf, Aao Namaz Ki Taraf, Aao Kaamyaabi Ki Taraf, Aao Kaamyaabi Ki Taraf, ALLAH
Sab Se Bada Hai, ALLAH Sab Se Bada Hai, ALLAH TA'ALA Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi."
Azan Aur Iqamat Dono Me Kehte Waqt Dae Aur Kehte Waqt Bae Taraf
Mu Karna Cahiye. Azan Sunkar Iska Jawab Dene Ka Hukm Hai Ya'ani Jo Kalma Muazzin Kahe
Sunne Wala Wahi Kalma Kahe Magar aur ke Jawab Me
Kahe.
Fajr Ki Azan Me Ke Baad Do Baar Ye Kaha Jae:
"Namaz Nind Se Behtar Hai." Iske Jawab Me Ye Kahe:
"Tumne Sach Kaha Aur Achcha Kaam Kiya Aur Tumne Haq Kaha."
Jab Azan Hoti Ho To Itni Der Ke Liye Salam Wa Kalam Aur Tilawat Wagaira Tamam Ashgaal
Mauqoof Kardein Aur Azan Ko Ghaur Se Sune Aur Jawab Dein. Iqamat Ka Bhi Yahi Hukm Hai. Jo
Azan Ke Waqt Baat'on Me Mashghul Rahe Is Par Khatima Bura Hone Ka Qhauf Hai. Jab
Muazzin
Kahe To Sunne Wala Durood Shareef Padhe,
" Aur Mustahab Ye Hai Ke Apne Anghut'on Ko Bosa Dekar Ankho "
Se Lagae Aur Ye Padhe Aisa Karne Wale ko HUZOOR
Apne Saath Jannat Me Le Jaengey. Jamat Ke Waqt Jo Kalimat Kahe Jate Hai Inhe Iqamat Kehte Hai,
Ye Azan Ki Misl Hai Siwae Iske
Ke Iqamat Me

Ke Baad Do Martaba Ye Bhi Kaha Jata Hai:
"Namaz Ke Liye Jamat Khadi Hogayi." Iske Jawab Me Ye Kaha Jae: "
Isko Qayam Rakhe Aur Hamesha Rakhe Jab Tak Aasman ALLAH" "
Yahi Hukm Imam Ke Liye Hai.
Agar Chand Azan'en Sune To Sunne Wale Ko Pehli Azan Ka Jawab Dena Cahiye Aur Behtar Hai Ki
Mehfooz Rahega. (Bahare Shariat Ba Hawala Tabarani)
Aur Zameen Qayam Hai."
Iqamat Ke Waqt Koi Shaqs Aaya To Ise Khada Hokar Intezar Karna Makrooh Hai, Ise Cahiye Ke

Baithe Hai Wo Bhi Baithe Rahe Aur Is Waqt Khade Hojae Jab Mukabbir Par Pohonche.
Baith Jae Aur Mukabbir Par Pohonche Is Waqt Khada Ho. YouN Hi Jo Log Masjid Me
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Sab Ka Jawab Diya Jae. Khutbe Ki Azan Ka Jawab Zaban Se Dena Muqtadiyo Ke Liye Jayaz Nahi.
Azan Ke Baad Durood Shareef Padhkar Ye Dua Padhe:
"Aye ALLAH! Aye Is Dawat E Kamil Aur Qayam Hone Wali Namaz Ke Malik! Tu Hamare
SARDAAR HAZRAT MUHAMMED Ko Waseela, Fazeelat Aur Buland Darja Ata Kar Aur Inki
Is Maqaam E Mehmood Par Fa'iz Farma Jiska Tune Inse Wada Farmaya Hai Aur Hame Qayamat Me
Inki Shifa'at Naseeb Farma, Beshak Tu Apne Wade Ke Khilaaf Nahi Karta.
NAMAZ KI RAKAT
Fajr Ki Namaz Ki Chaar Rakat Hai: Pehle Do Sunnat (maukkida) Aur Phir Do Farz.
Zohar Ki Namaz Ki Barah Rakat Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Pehle Chaar Sunnat (maukkida), Phir
Chaar Farz, Phir Do Sunnat (maukkida), Phir Do Nafl.
Asr Ki Namaz Ki Aanth Rakat Hai: Pehle Chaar Sunnat (Ghair maukkida), Phir Chaar Farz.
Maghrib Ki Namaz Ki Saath Rakat Hai Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Pehle Teen Farz Phir Do
Sunnat (maukkida) Phir Do Nafl.
Isha Ki Namaz Ki Satrah Rakat Hai Jinki Tarteeb Ye Hai: Chaar Sunnat (Ghair maukkida), Chaar
Farz, Do Sunnat (maukkida), Do Nafl, Teen Witr (Wajib), Do Nafl.
Jumu'ah Ki Namaz Ki Chaudah Rakat Hai Jinki Tarteeb Yu Hai: Chaar Sunnat (maukkida), Do
Farz, Chaar Sunnat (maukkida), Do Sunnat (maukkida) Aur Do Nafl.
Sunnat'ein Baaz maukkida Hai Ke Shariat Me Ispar Takeed Aai, Bila Uzr Ek Baar Bhi Tark Kare To
Gunah Wajib Ke Tark Se Kam Hai. Sunnat Ko Tark Karlene Ki Adat Banalena Haram Ke Khareeb
Hai Aur Aise Shaqs Ke Mutalliq Andesha Hai Ke Shifa'at Se Mehroom Hojae Ke HUZOOR E
AQDAS Ne Farmaya: "Jo Sunnat Ko Tark Karega Ise Meri Shifa'at Na Milegi."
NAMAZ KI SHARA'IT
Namaz Ki Che Shara'it Hai. Taharat, Sitr E Aurat, Isteqbal E Qibla, Waqt, Niyyat, Tehrima.
1. Namaz Ki Pehli Shart Taharat Hai Ya'ani Namazi Ka Jism Aur Libas Pak Hona Cahiye Nez Jis
Jagah Namaz Padhi Jae Wo Bhi Najasat Se Pak Honi Zaroori Hai. Taharat Ke Liye Agar Hajat Hoto
Gusl Kiya Jae Warna Wazu Karna Zaroori Hai. Wazu, Gusl, Tayammum, Kapde Pak Karne Se
Mutalliq Zaroori Masail Pehle Bayan Kiye Ja Chuke Hai
2. Namaz Ki Doosri Shart Sitr E Aurat Hai Ya'ani Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Ise
Chupaya Jae. Mard Ke Liye Naaf Ke Niche Se Ghutno Ke Niche Tak Ka Hissa Sitr E Aurat Hai.
Jabke Aurat Ke Liye Dono Hateliyo, Pau Ke Talwo Aur Cehre Ke Siwa Saara Badan Aurat Ya'ani
Chupane Ki Cheez Hai. Namaz Ke Alawa Aurat Ko Na Mehram Se Cehre Ka Parda Karna Bhi
Lazim Hai.
Itna Bareek Libas Jisse Badan Ki Rangat Jhalakti Ho Ya Aisa Bareek Dupatta Jisse Baal'on Ki
Siyahi Chamke, Sitr Ke Liye Kaafi Nahi Ya'ani Aise Libas Me Namaz Nahi Hoti Balke Aisa Libas
Namaz Ke Alawa Bhi Haram Hai.
Mustahiq E Malamat Hai Aur Tark Ki Adat Kare To Fasiq, Mardoodu Ashshahadaat Aur Mustahiq E
Naar Hai. Baaz Aiamma Ne Farmaya Wo Gumrah Tehraya Jaega Aur Gunahgaar Hai Agarche Iska
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
3. Namaz Ki Teesri Shart Isteqbal E Qibla Ya'ani Kaaba Shareef Ki Tarah Mu Karna Hai. Namazi
Ka Mu Aur Seena Qible Ki Taraf Hona Cahiye.
4. Cohti Shart Namaz Ka Waqt Hai. Fajr Ki Namaz Ka Waqt Subah Sadiq Se Lekar Suraj Ki Kiran
Chamakne Tak Hai Ya'ani Suraj Tulu Hone Se Pehle Namaz E Fajr Mukammal Karleni Cahiye.
Zohar Ki Namaz Ka Waqt Suraj Dhalne Se Is Waqt Tak Hai Jab Har Cheez Ka Saaya Asal Saaye Se
Asr Ki Namaz Ka Waqt Zohar Ka Waqt Khatam Hone Se Lekar Suraj Ghuroob Hone Tak Hai.
Ghuroob E Aftab Se Qabl Bees Minute Ka Waqt Makrooh Hota Hai Isse Pehle Namaz E Asr Padh
Leni Cahiye Agar Kisi Wajah Se Asr Na Padhi Hoto Is Makrooh Waqt Me Padh Leni Cahiye.
Maghrib Ka Waqt Ghuroob E Aftaab Se Shafaq Guroob Hone Tak Hai Jabke Isha Ka Waqt Shafaq
Ghuroob Hone Se Lekar Tulu E Fajr Tak Hai Albatta Nisf Shab Se Zaieed Taakhir Makrooh Hai.
Ye Hai Ke Agar Is Waqt Koi Puche Ke Kounsi Namaz Padh Rahe Hai To Fauran Bata De, Agar
Sonch Kar Bataega To Namaz Na Hogi. Zaban Se Niyyat Kehlena Mustahab Hai Aur Iske Liye Kisi
Zabaan Ki Qaid Nahi. Behtar Hai Ke Takbeer E Oola Kehte Waqt Niyyat Maujood Ho.
6. Namaz Ki Chathi Shart Takbeer e Tehrima Hai Ya'ani Kehkar Namaz Shuru Ki Jae. Lafze
Kaha To Namaz Na Hogi Balke Agar Inke Faasid Ma'ani Samajh "" Ko "" Ya "" Ko ""
Kar Jaan Boojh Kar Aisa Kiya To Kafir Hai.
KIN WAQA'ET ME NAMAZ MANA HAI?
Jin Waqa'et Me Namaz Padhna Makrooh Hai Inme Tulu E Aftab Se Bees Minute Baad Tak Aur
Ghuroob E Aftaab Se Bees Minute Qabl Se Ghuroob Tak Aur Zawu Kubra Ya'ani Nisfunnar sharayi
Se Nisfunnar Haqiqi Ya'ani Zawal Tak Ka Waqt Shaamil Hai.
In Waqa'et Me Koi Namaz Ya Sajda E Tilawat Jayaz Nahi, In Waqa'et Ke Alawa Har Waqt Qaza
Namaz'ein Aur Nawafil Padhi Ja Sakti Hai, Albatta Subhe Sadiq Se Tulu E Aftab Tak, Aur Namaz E
Asr Aftab Ghuroob Hone Tak Koi Nafl Namaz, Aur Imam Ke Khutba E Jumu'ah Ke Liye Khade
Hone Se Lekar Farz E Jumu'ah Khatam Hone Tak Nafl Aur Sunnat Dono Jayaz Nahi.
NAMAZ PADHNE KA MASNOON TARIQA
Ba-Wazu Qible Ki Taraf Taraf Mu Karke Is Tarha Khade Ho Ke Do Pau Ke Darmiyan Chaar Ungal
Ka Faasla Hai Phir Apne Haath Kaano Tak Is Tarha Uthae Ke Anghute Kano Ki Lau Se Chu Jae.
Aur Ungliya Na Mili Ho Na Khoob Khuli Ho Balki Apni Asal Halat Par Ho Aur Hateliya Qibla
Rukh Ho Phir Niyyat Karke Kehte Hue Haath Naaf Ke Niche La Kar Is Tarha Bandhle Ke
Daya Haath Bae Haath Ki Pusht Par Aur Darmiyan Teen Ungliya Kalai Ki Pusht Par Ho Phir
Anghute Aur Choti Ungli Se Halqa Banakar Ba'i Kalai Ko Pakadle Aur Sana Padhe.
"Pak Hai Tu Aye ALLAH! Aur Mai Teri Hamd Karta Hu, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Teri
Azmat Buland Hai Aur Tere Siwa Koi Mabood Nahi."
Pair Tauz Aur Tasmia Padhkar Surah Fateha Padhe.
"Mai Panah Mangta Hu ALLAH Ki, Shaitan Mardood Se."
Dugna Hojaega. Asli Saaya Wo Hai Jo Suraj Ke Khat
Nasfun Nihar Par Pohonchne Ke Waqt Hota Hai.
5. Namaz Ki Panchwi Shart niyyat Hai. Niyyat Dil Ke Pakke Irade Ko Kehte Hai Iska Adna Darja
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
"ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Bohot Mehrbaan Rehmat Wala Hai."
"Sab Qubiya ALLAH Ko Jo Malik Saare Jahan Walo Ka, Bohot Mehrbaan Rehmat Wala, Roze Jaza
Ka Malik, Hum Tujhi Ko Puje Aur Tujhi Se Madad Cahe, Humko Seedha Raasta Chala, Raasta Inka
Jinpar Tune Ehsaan Kiya, Na Inka Jinpar Gazab Hua, Aur Na Behke Huo Ka." (Kazul Imaan Az Ala
Hazrat Imam Ahmed Raza Muhaddis E Barelvi )
Surah Fateha Ke Baad Ahista Se Ameen Kahe, Iske Baad Koi Surat Ya Teen Ayat Ya Teen Ayat Ke
Barabar Koi Ayat Padhe.
"Tum Farmao! Wo ALLAH Hai Wo Ek Hai, ALLAH Be Niyaz Hai, Na Iski Koi Aulad Na Wo Kisi
Se Paida Hua, Aur Na Iske Jod Ka Koi." (Kanzul Imaan)
Phir Kehte Hue Ruku Me Jae Aur Ghutno Ko Ungliya Khol Kar Mazbooti Se Pakadle Aur
Jabke Qiyam Ke Dauran Nigah Sajde Ki Jagah Rakhni Cahiye.
Ruku Me Kam Se Kam Teen Baar Ye Padhe:
"Pak Hai Mera Parwardigar Azmat Wala."
Phir Tasmia Kehte Hue Khade hojae.
"ALLAH Ne Iski Sunli Jisne Iski Tareef Ki."
Phir Tamheed Kahe.
"Aye Hamare Malik! Sab Tareef Tere Hi Liye Hai." Phir Takbeer Kehte Hue You Sajde Me Jae Ke
Pehle Ghutne Phir Dono Haath Zameen Par Rakhe, Phir Nak Phir Peshani Zameen Par Jamae Aur
Sajde Me Kam Az Kam Teen Baar Ye Tasbee Padhe.
"Pak Hai Mera Parwardigar Bohot Buland." Sajde Se Uth'te Hue Takbeer Kahe Aur Baya Pau Bicha
Kar Ise Baithe Aur Daya Pau Khada Karke Iski Ungliya Qibla Rukh Karlein. Is Dauran Hateliya
Ghutno Par Rakh Kar Panjo Ke Bal Khade Hojae.
Ab Sirf Padh Kar Qiraat Shuru Kare Phir Isi Tarha Ruku Aur Sajda Karke Daya
Pau Khada Karke Baye Pau Par Baith Jae Aur Tashah'hud Padhe.
"Tamam Qauli Ibadat'ein Aur Tamam Faili Ibadaqt'ein Aur Tamam Maali Ibadat'ein ALLAH Hi Ke
Liye Hai, Salam Ho AAP Par Aye NABI ( ) Aur ALLAH Ki Rehmat'ein Aur Barkat'ein. Hum Par
Aur ALLAH Ke Nek Bando Par Salam Ho. Main Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi
Tashah'hud Padhe Waqt Jab " " Ke Qareeb Pohoncho To Dae Haath Ki Beech Ki Ungli Aur
Anghute Ko Milakar Halqa Banae Aur Choti Ungli Aur Iske Saath Wali Ungli Ko Hateli Se Mila De
Agar Farz Namaz Ho Aur Do Se Zyada Rakat'ein Padhni Ho To Tashah'hud Ke Baad Khade Hojae
Aur Agli Rakat'on Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Na Milae. Aakhri Qaida Me Tashah'hud
Itna Jhuke Ke Sar Aur Kamar Ek Satah Par Rahe. Ruku Me Nazar Dono Pau'on Ki Pusht Par Rahe
RanO Par Bicha Kar Ghutno Ke Paas Is Tarha Rakhe Ke Ungliya Qibla Rukh Rahe. Phir Takbeer
Mabood Nahi Aur Gawahi Deta Hu Ke MUHAMMED Iske Bande Aur Rasool Hai."
Aur Lafz " " Par Shahadat Ki Ungli Utahe Aur " " Par Niche Karlein Aur Phir Sab Ungliya Fauran
Seedha Karlein. Qaide ke Dauraan Nazar Apne God Ki Tarfa Karlein.
Seere Par Rahe. Dono Pau Ki Tamam Ungliya Qibla Rukh Lagi Ho Aur Dono Hateliya Zameen Par
Phir Dono Haath'on Ke Darmiyaan Cahra Rakhe
Nazar Nak Ke
Qibla Rukh Bichi Ho. Nez Dono Bazu Karwato Se, Pet Rano Se Aur Rane Pindliyo Se Juda Rahen.
Is Baat Ka Khayal Rakhe Ke Sajde Ke Douraan Nak Ki Haddi Zameen Par Sahi Lagi Hui Ho.
Doosra Sajda Kare. Phir Kehte Hue Is Tarha Khade Ho Ke Pehle Sar Uthae Phir Haath'on Ko
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Ke Baad Durood Shareef Padhe.
"Aye ALLAH! Durood Bhej Hamare SARKAAR E DO ALAM Par, Aur INKI ( ) Ki Aal Par Jis
Tarha Tune Durood Bheja Sayyedna Ibraheem Par Aur Inki Aal Par, Beshak Tu Saraha hua
buzurg Hai.
Barkat Nazil Kar Hamare SARKAAR E DO ALAM Par Aur INKI ( ) Aal Par Jis Tarha Tune
Barkat Nazil Ki Sayyedna Ibraheem Par Aur Inki Aal Par, Beshak Tu Saraha hua buzurg
Hai."
Phir Ye Dua Ya Koi Dua E Masurah Padh Lein.
"Aye ALLAH Aye Mere Rab! Mujhe Namaz Qayam Karne Wala Rakh Aur Kuch Meri Aulad Ko,
Aye Hamare Rab! Aur Hamari Dua Sunlein, Aye ALLAH Aye Hamare Rab! Mujhe Bakhsh De Aur
Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmano Ko Jis Din Hisaab Qayam Hoga."
Phir Pehle Dae Khande Ki Taraf Mu Karke Salam Kahe Aur Phir Bai Taraf Bhi.
"Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rehmat." Namaz Ke Baad Dono Haath Seene Ke Muqabil
Utha Kar ALLAH Se Ikhlaas Wa Aajzi Se Dua Mange Aur Dua Ke Baad Apne Haath Cehre Par
Pher Lein. Dua'on Ke Liye Faqeer Ki Kitaab "Masnoon Dua'ein" Mulahiza Farmae.
Agar Char Rakat Sunnat Ya Nafl Padhe To Teesre Aur Cohti Rakat Me Surah Fateha Ke Baad
Koi Choti Surat Ya Iske Ayat Bhi Padhe. Sunnat E Ghair Maukkida Aur Nafl Namaz Ke Pehle
Qaide Me Tashah'hud Ke Baad Durood Shareef Aur Dua Bhi Padhe Aur Teesri Rakat Ki Shuru Me
Sana Bhi Padhe.
Agar Jamat Se Namaz Padhi To Pehli Rakat Ke Qayam Me Sirf Sana Padhi Aur Khamoosh
Ruku Se Uthte Waqt Sirf Imam Kahe Aur Muqtadi Tahmeed Kahe.
NAMAZ KE FARA'EZ
Namaz Ke Saath Fara'ez Hai:
Zyada Talluq Hone Ki Wajah Se Ise Namaz Ke Fara'ez Me Bhi Shumar Kiya Jata Hai. Agar Takbeer
E Tehrima Kehne Ke Waqt Namaz Ki Koi Shart Na Pai Gayi To Namaz Nahi Hogi.
Agar Muqtadi Ne Lafz "" Imam Ke Saath Kaha Lekin "" Ko Imam Se Pehle Khatam Kar Liya
To Namaz Na Hui. Agar Muqtadi Imam Ko Ruku Ki Halat Me Pae To Muqtadi Ko Cahiye Ke
Takbeer E Tehrima Qiyam Ki Halat Me Kahe Aur Dusri Takbeer Kehte Hue Ruku Me Jae. Agar
2. Qiyam Ya'ani Seedha Khada Hona Namaz Me Farz Hai. Qiyam Itni Der Tak Hai Jitni Der Tak
Qiraat Ki Jae. Qiyam Is Waqt Saaqit Hoga Jab Koi Khada Na Hosake Ya Sajda Karne Par Qadir Na
Ho Ya Is Se Marz Me Ziyaddati Hoti Ho Ya Naqabile Bardaasht Takleef Hoti Ho.
Mamuli Buqaar Ya Qabile Bardaasht Takleef Ke Bais Qiyam Chodna Jaiz Nahi. Iski Ehmiyat Is
Qadr Hai Ke Agar Mareez Asaa Ya Khadim Ya Diwaar Se Tek Laga Kar Khada Hosakta Ho To
Farz Hai Ke Khada Hokar Namaz Padhe. Agar Kuch Der Khada Hosakta Ho Agarche Itna Hi Ke
Khada Hokar Kehle To Farz Hai Ke Khada Hokar Itna Kehle Phir Baith Kar Namaz Ada
Kare.
Khade Rahe Yohi Degar Rakat'on Ke Qayam Me Bhi Muqtadi Ko Qiraat Nahi Karni Cahiye.
1. Takbeer E Tehreema Jo Darasal Namaz ki Sharaet Mese Hai Magar Namaz Ke Af'al Se Bohot
Pehli Rakat Ka Ruku Mil Jae To Takbeer E Awlaa Ki Fazilat Mil Jati Hai.
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
3. Qirat Ya'ani Tamam Hurf Ka Makharij Se Ada Karna Take Har Hurf Dusre Hurf Se Mumtaz
Hojae Nez Aise Padhna Ke Ise Khud Sun Sake, Farz Hai. Mahez Lab Hilana Tilawat Ke Liye Kaafi
Nahi. Padhne Ki Tareef Ye Hai Ke Kamazkam Itni Awaz Se Padhe Ke Khud Sune. Agar Aise Padhe
Ke Khud Na Sun Sake Jabke Sunne Se Ma'ana Koi Sabab Maslan Shor Wagaira Na Hoto Namaz Na
Hogi.
Farz Namaz Ki Pehli Do Rakat'on Me Aur Witr Wa Nafl Ki Har Rakat Me Mutlaqan Ek Ayat
Padhna Farz Hai. Imam Ki Qiraat Muqtadiyo Ke Liye Kaafi Hai Lehaza Muqtadiyo Ko Kisi Namaz
Me Qiraat Jayaz Nahi Khwah Wo Sirri Namaz Ho (Ya'ani Zohr Wa Asr) Ya Jahri Namaz (Ya'ani
Fajr, Maghrib, Isha).
4. Ruku Bhi Farz Hai. Iska Adna Darja Ye Hai Ke Itna Jhuka Jae Ke Haath Badhae To Ghutno Tak
Pohonch Jae Aur Aala Ye Hai Ke Kamar Seedhi Ho Nez Sar Aur Peth Yaksaa Unche Ho.
5. Sujood Ya'ani Har Rakat Me Do Baar Sajda Karna Farz Hai. Peshaani Aur Nak Ki Haddi Ka
Zameen Par Jamna Sajde Ki Haqiqat Hai Aur Har Pau Ki Ek Ungli Ka Pet Lagna Shart. Agar Kisine
Is Tarha Sajda Kiya Ke Dono Pau Zameen Se Uthe Rahe To Namaz Na Hui Balke Agar Sirf Ungli
Ki Nok Zameen Se Lagi Jab Bhi Namaz Na Hui.
6. Qaida E Aakhira Ya'ani Tamam Rakat'ein Padh Kar Itni Der Baithna Ke Poori Tashah'hud Padh Li
Jae, Farz Hai. Agar Sajda E Sahu Kiya To Iske Baad Ba-Qadre Tashah'hud Baithna Farz Hai.
7. Khuruj E Bisun'ihi Ya'ani Aakhri Qaide Ke Baad Salam Pherna Farz Hai. Qiyam Wa Ruku Wa
Sajda Aur Qaida E Aakhira Me Tarteeb Bhi Farz Hai. Nez Jo Cheezein Farz Hai Inme Imam Ki
Pairwi Muqtadi Par Farz Hai.
WAJIBAT E NAMAZ
1. Takbeer E Tehrima Ke Liye " " Kehna,
2. Farz Namaz Ki Pehli Do Rakat'on Aur Deegar Namaz'on Ki Har Rakat Me Ek Baar Puri Surat E
Fateha Padhna,
3. Farz Ki Pehli Do Aur Baaqi Namaz'on Ki Har Rakat Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Ya Ek
Ya Do Ayat'ein Teen Choti Ayat Ke Barabar Padhna,
4. Har Rakat Me Ruku Ek Hi Martaba Karna,
5. Har Rakat Me Sajda Do Hi Martaba Karna,
7. Jalsa Ya'ani Do Sajdo Ke Darmiyaan Seedha Baithna,
8. Sajde Me Peshaani Aur Nak Dono Ko Zameen Par Lagana,
9. Sajde Me Dono Pau'on Ki Teen Teen Ungliyo Ka Pet Zameen Par Lagna,
10. Ruku Wa Sajda Wa Qauma Wa Jalse Me Kamazkam Ek Bar Kehne Ki Miqdaar
Thaherna,
11. Qaida E Oola Ya'ani Teen Ya Char Rakat Wali Namaz Me Do Rakat Ke Baad Baithna,
12. Dono Qaido Me Attahiyyat Wa Tashah'hud Padhna,
13. Pehle Qaide Me Tashah'hud Ke Baad Kuch Na Padhna,
14. Pehli Rakat Ke Baad Aur Char Rakat Wali Namaz Me Teesri Rakat Ke Baad Qaida Na Karna,
15. Jahri Namaz Me Ya'ani Fajr Wa Maghrib Wa Isha Me Imam Ko Awaz Se Qiraat Karna,
6. Qauma Ya'ani Ruku Ke Baad Seedha Khada Hona,
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
16. Sirri Namaz Ya'ani Zohr Wa Asr Me Imam Ko Ahista Qiraat Karna,
17. Imam Buland Awaz Se Tilawat Kare Ya Ahista Is Waqt Muqtadiyo Ka Khamoosh Rehna,
18. Siwae Qiraat Ke Tamam Wajibat Me Imam Ki Pairwi Karna,
19. Do Farz Ya Do Wajib Ya Wajib Wa Farz Ke Darmiyaan Teen Tasbee Ke Barabar Waqfa Na
Hona,
20. Dono Taraf Salam Pherte Waqt Lafz Assalam Kehna,
21. Witr Me Dua E Qunoot Padhna Aur Dua E Qunoot Se Qabl Takbeer Kehna,
22. Eid'ain Me Che Takbeer'ein Aur Dusri Rakat Ke Ruku Ke Liye Takbeer Kehna,
23. Ayat E Sajda Tilawat Karne Par Sajda E Tilawat Karna,
24. Har Farz Aur Wajib Ka Iski Jagah Par Ada Karna,
25. Namaz Ke Arkaan Sukoon Wa Itminan Se Ada Karna.
Me Takheer Hojae To Sajda e Sahu Wajib Hojata Hai. Sajda E Sahu Ka Tariqa Ye Hai Ke Aakhri
Qaide Me Tashah'hud Padhkar Dai Taraf Salam Pher'ein Aur Do Sajde Karke Phir Tashah'hud,
Durood Shareef Aur Dua Padhkar Salam Pherlein.
Agar Surah Fateha Aur Choti Surat Padhne Ke Darmiyaan Teen Baar Kehne Ke Barabar
Khamoosh Raha To Sajda E Sahu Wajib Hogaya. Farz, Wajib Aur Maukkida Sunnat'on Ke Qiada E
Oola Me Agar Tashah'hud Ke Baad Bhool Kar Itna Keh Liya To
Sajda E Sahu Wajib Hai.
NAMAZ KI SUNNAT'EIN
Hateliyo Aur Ungliyo Ka Qibla Rukh Hona,
Takbeer Ke Waqt Cehra Qibla Rukh Karna (Ya'ani Is Waqi Sar Jhuka Hua Na Ho),
Takbeer Se Pehle Haath Uthana,
Dae Haath Ko Bae Haath Par Rakh Kar Ghera Band Kar Naaf Ke Niche Rakhna,
Sana, Tauz Aur Tasmia Ahista Padhna, Fateha Ke Baad Ahista Ameen Kehna,
Har Rakat Ke Shuru Me Ahista Tasmia Padhna,
Ek Rukn Se Doosre Rukn Me Jate Waqt Takbeer Kehna,
Imam Ka Tamam Takbeer'on, Tasmia Aur Salam Ko Baqadre Hajat Buland Awaz Se Kehna,
Farz Ki Teesri Aur Chohti Rakat Me Sirf Surah Fateha Padhna,
Ruku Aur Sajdo Me Teen Teen Baar Tasbeeh Padhna,
Ruku Me Ghutno Ko Haath'on Se Pakadna Aur Ungliya Khoob Khuli Rakhna,
Ruku Me Tange Seedhi Rakhna Aur Sar Aur Kamar Barabar Rakhna,
Ruku Se Uth'te Waqt Imam Ka Aur Muqtadi Ka Kehna,

Jab Koi Wajib Bhool Se Reh Jae Ya Koi Wajib Mukarrar Ada Karliya Jae Ya Kisi Fa rz Ki Adaegi
Sajde Me Jate Wat Pehle Ghutne Phir Haath Phir Nak Phir Peshani Rakhna, Sajde Me Uthte Waqt Iake Bar Aks Karna
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library


Dusri Rakat Ke Kiye Panjo Ke Bal Ghutno Par Haath Rakh kar Uthna (Agar Uzr Na Ho),
Dono Sajdo Ke Darmiyaan Daya Pau Khada Karke Baya Pau Bichakar Ispar Baithna,
Baithne Ki Halat Me Dono Haatho Ko Rano Par Aur Ungliyo Ko Asl Halat Par Rakhna,
Tashah'hud Me Lafz E " " Par Kalime Ki Ungli Uthana Aur " " Par Gira Kar Sab Ungliya Sidhi
Kar Lena,
Aakhri Qaide Me Durood Shareef Aur Dua Padhna,
Pehle Dai aur Phir Bai Taraf Salam Karna,
Ye Sab Umoor NABI KAREEM Ki Sunnat'ein Hai Inme Se Agar Koi Sunnat Bhule Se Rehjae Ya
Qasdan Tark Ki Jae To Namaz Nahi Tutegi Magar Jaan Boojh Kar Sunnat Chodna, Na-jaiz Hai.
AURTO KI NAMAZ
Aurto Ki Namaz Mardo Se Mandarja Zail Umoor Me Muqtalif Hai:
Namaz Se Qabl Khawateen Ko Is Baat Ka Itminaan Karlena Cahiye Ke Inke Cehre, Hateliyo Aur
Pau'o Ke Talwo ke Siwa Tamaam Jism Dabez Kapde Se Dhaka Hua Hai. Aisa Bareek Kapda Jisse
Badan Ki Rangat Jhalakti Ho Ya Aisa Bareek Dupatta Jisse Baalo Ki Siyahi Chamke Pehen Kar
Namaz Padhi To Namaz Na Hogi. Gardan, Kaan, Sar Ke Latakte Hue Baal Aur Kalaiya Chupana
Bhi Farz Hai.
Cehre, Hateliyo Aur Pau'o Ke Talwo Ke Siwa Koi Uzoo Namaz Shuru Karte Waqt Cothai
Miqdaar Me Khula Ho Aur Ise Chupae Bagair " " Kehliya To Namaz Shuru Hi Na Hui. Aur
Agar Namaz Ke Dauran Koi Uzoo Cothai Ke Barabar Itni Der Khula Raha Jisme Teen Baar "
.Kaha Ja Sake To Namaz Na Hui "
Khawateen Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haath Kaano Ke Bajae Sirf Kandho Tak Uthae Aur
Inhe Dupatto Se Bahar Na Nikale.

Ruku Karte Waqt Sirf Itna Jhuke Ke Haath Ghutno Tak Pohonch Jae, Ungliya Bahaam Mili Hui
Ho Aur Ghutno Ko Aage Ki Taraf Zara Saakhim Dekar Khadi Rahe Nez Inke Bazu Pehluo Se Mile
Hue Ho.
Khawateen Sajda Simat Kar Kare. Ya'ani Pet Raano Se Aur Raane Pindliyo Se Aur Pindliya
Zameen Se Aur Bazu Pehluo Se Mila De Aur kalaiya Zameen Par Bichade Nez Pau Khade Karne Ki
Bajae Dai Taraf Nikal Kar Bichadein.
Qaide Me Dono Pau Dai Janib Nikal Dein Aur Bae Kulhe Par Baithe.
Khawateen Ke Liye Ghar Ke Andar Ya'ani Kamre Me Namaz Padhna Sahen Me Namaz Padhne
Se Aur Tehkhane Me Namaz Padhna Kamre Me Namaz Padhne Se Behtar Hai. (Abu Daood)
Sajde Me Kalaiya Zameen Se Unchi Rakhna Aur UngliyoN Ka Zameen Par Mili Hui Halat Me
Sajde Me Dono Pau'o Ki Tamam Ungliyo Ke Pet Zameen Se Lagna Aur Unka Qibla Ru Hona,
Phir Takbeer E Tehrima Kehkar Bai Hateli Seene Par Rakhkar Iske Pusht Par Dai Hateli Rakhe.
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Mandarja Zail Baaton Se Namaz Toot Jaati Hai.
Bhool Kar Ya Jaan Boojh Kar Kisi Se Kalam Karna,
Kisi Ko Salam Karna Ya Kisike Salam Ka Jawab Dena,
Kisi Uzr Ke Bagair Khansna,
Kisi Ki Cheenk Ka Jawab Dena,
Namaz Ki Halat Me Khana Peena,
Bila Uzr Seene Ko Jihate Kaaba Se Pherna,
Kisi Takleef Ke Bais Rona,
Wazu Toot Jana,
Namaz Me Quran E Pak Dekhkar Padhna,
Qiraat Ya Azkar Me Saqht Galti Karna,
Dono Haath Se Aisa Kaam Karna Jisse Dekhne Wala Samjhe Ke Ye Halat E Namaz Me Nahi,
Namaz Ke Kisi Rukn Me Koi Ghair Mutalleqa Kaam Teen Baar Karna Maslan Ek Rukn Me Teen
Baar Khujane Se Namaz Fasid Hojati Hai Is Tarha Ke Ek Baar Khuja Kar Haath Hata Liya Phir
Khujaya Aur Haath Hata Liya Phir Teesri Baar Khujaya Aur Haath Hata Liya. Agar Ek Baar Haath
Rakhkar Chand Martaba Khujaya To Ise Ek Hi Martaba Shumaar Kiya Jaega.
Khankar Ne Me Jab Do Hurf Zahir Ho Jaise Alif Aur Haa To Namaz Fasid Hojaegi Jabke Na Uzr
Ho Na Koi Sahi Gharz. Agar Uzr Ho Maslan Tabiyat Ka Taqaza Ho Ya Kisi Sahi Gharz Ke Liye
Aisa Kiya Maslan Awaz Saaf Karne Ke Liye Ya Imam Se Galti Hogayi, Islie Khankarta Hai Ke Wo
Durust Karlein Ya Islie Khankarta Hai Ke Dusre Shaqs Ko Iska Namaz Me Hona Maloom Ho, In
Surto Me Namaz Fasid Nahi Hoti.
NAMAZ KE MAKROOHAT
Namaz Me Kapde, Dadhi Ya Badan Ke Saath Khelna,
Kapda Sametna Maslan Sajde Me Jate Waqt Aage Ya Piche Se Kapda Utha Lena,
Kapda Latakna Maslan Sar Ya Kandhe Par Rumal Ya Chadar Is Tarha Dalna Ke Dono Kinare
Latakte Ho,
Asteen Aadhi Kalai Se Zyada Chadi Hui Hona,
Shiddat Ka Peshaab Pekhana Maloom Hote Waqt Ya Galba Riyah Ke Waqt Namaz Padhna,
Asmaan Ki Taraf Nazre Uthana Ya Idhar Udhar Mu Pherkar Dekhna,
Ungliya Chatkhana Ya Ek Haath Ki Ungliya Dusre Haath Ki Ungliyo Me Dalna,
Kamar Par Haath Rakhna (Namaz Ke Alawa Bhi Aisa Na Kiya Jae),
Mard Ka Sajde Me Kalaiyo Ko Bichana,
Kisi Ke Cehre Ke Samne Namaz Padhna,
Namaz Me Jaan Boojh Kar Jamai Lena,
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Jis Kapde Par Jaandaar Ki Tasveer Ho Ise Pehen Kar Namaz Padhna,


Qiyam Ke Alawa Kisi Aur Rukn Me Quran E Majeed Padhna,
Qiraat Ko Ruku Me Khatam Karna,
Sajde Ko Jate Waqt Bila Uzr Ghutno Se Pehle Haath Niche Rakhna Ya Sajde Se Uth'te Waqt
Haath Uthane Se Qabl Ghutne Utha Lena,
Qabr Ke Samne Namaz Padhna Jabke Darmiyaan Me Koi Aad Na Ho,
Wajib Sahi Tarha Ada Na Karna Maslan Ruku Wa Sajde Me Pith Sidhi Na Karna, Qoma Aur

Me "Surah Al Kafiroon" Padhi Ho To Dusri Rakat Me "Surah Al Kauser" Padhna Makrooh Hai Ke
Ye Tarteeb Ke Khilaaf Hai.
Namaz Me Ankhe Band Rakhna Makrooh Hai Albatta Khushu Wa Khuzu Ke Liye Karna Behtar
Hai.
Makrooh Fail Sarzad Hone Se Namaz Naqis Hojati Hai Lehaza Aisi Namaz Dobara Padhni Cahiye.
Nange Sar Namaz Padhna Khilaaf E Sunnat Hai. Susti Se Nange Sar Namaz Padhna Ya'ani Topi
Pehenna Bojh Maloom Hota Ho Ya Garmi Maloom Hoti Ho To Makrooh E Tanzihi Hai Aur Agar
Namaz Ki Tehqeer Maqsood Hai Maslan Ye Samajhna ke "Namaz Koi Aisi Azeem Ush Shaan
Cheez Jiske Liye Topi Ya Amama Pehna Jae" To Ye Kufr Hai Aur Khusu Wa Khuzu Ke Liye
Barhana Sar Padhi To Mustahab Hai.
NAMAZI KE AAGE SE GUZARNE KA MASLA
Namazi Ke Aage Se Guzarna Saqt Gunah Hai. AAQA WA MAULA Ne Farmaya: Agar Namazi
Khadam Chalne Se Behtar Samajhta. Dusri Riwayat Me Hai Ke Wo Zameen Me Dhas Jane Ko
Accha Samajhta Magar Namazi Ke Aage Se Na Guzarta.
Agar Koi Namazi Ke Aage Se Guzar Jae To Namaz Nahi Toot'ti Albatta Guzarne Wala Gunahgaar
Hota Hai Isi Tarha Namazi Ko Bhi Cahiye Ke Wo Aisi Jagah Namaz Na Padhe Ke Guzarne Walo
Ko Pareshani Ho.
Agar Namazi Ke Aage Sutrah Ho Ya'ani Koi Aisi Cheez Jisse Aad Hojae Toh Sutra Ke Baad Se
Guzarne Me Koi Harj Nahi. Sutra Kamazkam Ek Haath Uncha Aur Ek Ungli Ke Barabar Mota Ho.
Imam Ka Sutra Muqtadiyo Ke Liye Bhi Sutra Hai Islie Agar Masjid Me Bhi Muqtadi Ke Aage Se
Guzarna Pade To Harj Nahi Jabke Imam Ke Aage Se Na Ho.
Kurte Ya Khameez Ke Button na Lagana Ke Seena Khula Rahe,
Imam Se Pehle Ruku Wa Sajda Karna Ya Sajde Se Sar Uthana,
Surto Ki Tarteeb Ke Ulat Ya'ani Tarteeb Ke Khilaaf Quran E Majeeb Padhna Maslan Pehli Rakat
Ke Aage Se Guzarne Wala Janta Ke Iska Kya Gunah Hai To Wo Sau Baras Khada Rehna Is Ek
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
MASJID KE ADAAB
Masjid KHUDA TA'ALA Ka Ghar Hai Iske Adab Ka Khayal Rakhna Bachcho Aur Bado Sab Ke
Liye Zaroori Hai. Masjid Me Saaf Libas Pehenkar Jana Cahiye. Kacha Pyaas Ya Lehsun Khaa Kar
Bachaya Jae.
Masjid Me Duniyawi Baatein Karna Ya Unchi Awaz Se Guftugu Karna Mana Hai. Hadees Shareef
Me Aaya Hai Ke Masjid Me Duniyawi Baatein Karna Nekiyo Ko Is Tarha Khatam Kardeta Hai Jaise
IMAMAT KI SHARA'IT
Musalman, Baaligh, Aakil, Mard Hona, Qiraat Jan'na, Mazoor Na Hona.
Imamat Ka Mustahiq Wo Hai Jo Sahi Ul Aqeeda Ahle Sunnat Wa Jamat Ho, Parhezgaar Ho, Taharat
O Namaz Ke Ehkaam Ko Sabse Zyada Janta Ho, Ise Itna Quran Yaad Ho Jo Masnoon Taur Par Padh
Sake Nez Quran E Kareem Ke Huroof Makharij Se Ada Karsakta Ho.
Wo Bad Mazhab Jinki Badmazhabi Kufr Ki Had Tak Na Pohonchi Aur Wo Fasiq Jo Aelaniya
Kabeera Gunah Karte Hai Jaise Badkaar, Sharabi, Juwwari, Sood Khaur, Daadhi Mudwane Ya Ek
Musht Se Kam Rakhne Wale Inko Imam Banana Gunah Hai Aur Inke Peeche Namaz Makrooh E
Tehrimi Aur Wajib Ul Iaada Hai. Wo Badmazhab Jiski Badmazhabi Hadd E Kufr Ko Pohonch Gayi
Ho Jaise Rafzi Agarche Sirf Siddiq E Akbar Ki Khilafat Se Inkar Karta Ho Ya Hazrat
Abu Bakr Wa Hazrat Umar Ki Shaan E Akhdas Me Tabarra Kehta Ho. Wo Jo Taqdeer
Ka Munkir Ho Aur Wo Jo Shafa'at, Deedar E Ilahi Ya Azaab E Qabr Ya Kiraman Katibeen Ka
Inkaar Karta Ho Inke Piche Namaz Nahi Ho Sakti. Isse Sakht Tar Hukm In Logo Ko Hai Jo Apne
Aap Ko Musalman Kehe Hai Balke Mutbaaye Sunnat Bante Hai Aur Iske Bawajood Baaz Zarooriyat
E Deen Ko Nahi Mante, ALLAH TA'ALA Aur RASOOLALLAH Ki Tauheen Karte Hai Ya
Kamazkam Tauheen Karne Walo Ko Musalman Jante Hai, Inke Piche Bhi Bilkul Namaz Jayaz Nahi.
NAMAZ E BA-JAMAT KI EHMIYAT
Har Aaqil Baaligh Qadir Par Jamat Se Namaz Padhna Wajib Hai. Bila Uzr Ek Baar Bhi Chodne
Wala Gunahgaar Aur Saza Ka Mustahiq Bhi Hai, Aur Kai Baar Chodne Wala Faasiq Aur Mardoodul
Shahadat Hai Isko Sakht Saza Di Jaegi. MEHBOOB E KIBRIYA AHMED E MUKHTAAR Ka
Masjid Me Jana, Jayez Nahi Jab Tak Ke Boo Baaqi Ho. Isi Tarha Har Badbodaar Cheez Se Masjid Ko
Aag Khushkh Lakdiyo Ko Jala Deti Hai. Ek Aur Hadees E Pak Me Irshaad Hua Ke Tum Masjid Me
Duniyawi Baatein Karne Walo Ke Khareeb Na Baitho Ke Inko Khuda Se Kuch Kaam Nahi.
Ka Is Had Tak Khayal Rakhna Cahiye ke Waha Aazaye Wazu Ka Pani Na Girne Pae Aur Na Hi Koi Namaz Ba Jamat Me Shamil Hone Ke Liye Waha Daude.
Masjid Me Khaana Peena Sona Muatkaf Ke Siwa Kisi Ko Jayaz Nahi Lehaza Agar Khaane Pine Ka
Iraada Ho To Aitkaaf Ki Niyyat Karke Masjid Me Jae Aur Kuch Zikr E Ilaahi Kare Ya Namaz Padhe
Bhi Mana Hai. Masjid Ki Deewaro Ya Chataiyo Ya DaryoN Par Ya Unke Neehce Naak Thuk Ya Mail
Haram Hai Nez Kisi Mangne Wale Ki Madad Karna Aur Kisi Gumshuda Cheez Ko Talash Karna
Wagaira Dalna Na Jayaz Hai. Na Pak Halat Me Masjid Me Jana Sakht Gunah Hai. Masjid Ke Adab
Ab Iske Liye Zarooratan Khaana Peena Jayaz Hoga Masjid Me Bheek Mangna
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Irshaad E Girami Hai: "Mera Dil Cahta Hai Ke Chand Jawano Se Kahu Ke Bohot Sa Idhan Jama
Kareke Lae Phir Mai Inke Pass Jau Jo Namaz'ein Bila Uzr Ghar'on Me Padhte Hai, Aur Inke Gharo
Ko Jala Du." (Muslim)
Namaz Ba Jamat Ki Fazilat Wa Ehmiyat Se Mutaliq Ahadees e Mubaraka Kitab Ke Aaghaaz Hi Me
Tehreer Ki Jaa Chuki, Ab Ye Samajh Lijiye Ke Kin Surto Me Jamat Me Shareek Na Hone Ki
Rukhsat Hai? Wo Surtein Teen Mandarja Zail Hai:
Mareez Jise Masjid Tak Jane Me Mashaqat Ho, Jiska Pau Kat Gaya Ho, Jispar Faalij Gira Ho,
Andha, Itna Budha Ke Masjid Tak Jane Se Aajiz Ho, Raaste Me Sakht Baarish Ya Shadeed Keechad,
Sakht Taariki Ya Andhi Ho, Maal Ya Khane Ke Talaf Hone Ka Andesha Ho, Tangdast Ko Kharz
Khwah Ka Khauf Ho, Zaalim Ka Khauf Ho, Peshaab Ya Pakhana Ya Riyah Ki Shadeed Hajat Ho,
Gaadhi Choot Jane Ka Andesha Ho, Khana Hazir Ho Aur Nafs Ko Iski Shadeed Khwahish Ho,
Mareez Ki Teemardari Ke Jamat Ke Liye Jane Se Ise Takleef Hogi Aur Wo Ghabraega.
NAMAZ E BA-JAMAT KE MASAIL
Jab Jamat Qayam Karne Ka Waqt Ho To Muazzin Iqamat Kahe aur Jab Wo
Par Pohnche To Imam Aur Muqtadi Sab Khade Ho Aur Safe Durust Kare. Imam Ko Cahiye Ke
Wo Muqtadiyo Ko Safe Durust Karne Ki Hidayat Kare. Agar Namazi Apni Ediya Ek Seedh Me
Karlein To Saf Seedhi Ho Jaegi. Muqtadi Ke Dil Me Is Niyyat Ka Hona Zaroori Hai Ke "Mai Is
Imam Ki Iqteda Me Namaz Padhta Hoon". Muqtadi Ko Cahiye Ke Wo Imam Ke Takbeer E Tehrima
Kehne Ke Baad Apni Takbeer Khatam Kare. Jo Cheezein Namaz Me Farz Hai Inme Imam Ki Pairwi
Muqtadi Par Farz Hai. Agar Koi Farz Imam Se Pehle Ada Kiya Aur Imam Ke Saath Ya Imam Ke
Ada Karne Ke Baad Ada Na Kiya To Namaz Na Hogi Maslan Imam Se Pehle Sajda Karliya Aur
Imam Abhi Sajde Me Na Aya Tha Ke Muqtadi Ne Sar Utha Liya To Agar Imam Ke Saath Ya
Baadme Sajda Karliya To Namaz Hogi Warna Na Hogi.
Agar Imam Qaida E Oola Karna Bhool Jae Aur Khada Hone Lage To Agar Wo Baithne Ki Halat Ke
Lekin Agar Imam Khada Hone Ke Khareeb Ho Ya Khada Ho chuka Ho To Ab Loqma Na Dein Ke
Loqma Dene Wale Ki Namaz Fasid Ho Jaegi. Aur Agar Imam Ne Loqma Liya To Imam Ki Namaz
Bhi Fasid Ho Jaegi Aur Aisi Surat Me Tamam Muqtadiyo Ki Namaz Fasid Ho Jaegi. Agar Do ya
Zaaid Muqtadi Ho To Inhe Imam Ke Piche Khada Hona Cahiye Aur Agar Ek Muqtadi Ho To Imam
Ke Barabar Dae Janib Khada Ho. Imam Ke Barabar Khade Hone Ka Mafhoom Ye Hai Muqtadi Ke
Pau Ka Ghatta Ya Taqna Imam Ke Ghatte Se Aage Na Ho. Agar Ek Muqtadi Imam Ke Saath Namaz
Hojae Ya Wo Muqtadi Piche Hath Aaye Khwaah Khud Piche Ho Ya Aane Wala Ise Piche Kheench
Le, Jayez Hai.
Agli Saf Me Jaga Hote Hue Pichli Saf Me Khada Hona Makrooh Hai Islie Pehli Saf Me Jagah Ho
Aur Pichli Saf Bhargayi Ho To Isko Cheer Kar Agli Saf Me Khada Ho. Ye Dekha Gaya Hai Ke Baaz
Log Agli Saf chodkar Pichli Safo Me Baith'te Hai Inka Ye Fail Shariyat Me Kya Hai? Is Baare Me
Do Ahadees Mulahiza Farmae:
HUZOOR Ka Irshaad E Girami Hai:
Khareeb Ho To Muqtadiyo Ko Cahiye Ke Imam Ko Loqma Dein Take Wo Qaide Ki Taraf Laut Aae
Padh Raha Tha Ke Ek Aur Aaya To Imam Aage Badh Jae Aur Wo Ane Wala Iske Barabar Khada
"Agar Log Jante Ke Azan Aur Pehli Saf Ka Kya Ajar O Sawab Hai To Har Koi Inka Talabgaar
Hota Yaha Tak Ke Wo Ispar Qaraa Andaazi Karte." (Bukhari, Muslim)
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
GHAIB JANNE WALE AAQA KAREEM Ka Farman Hai: "Log Hamesha Pehli Saf Se Piche
Hote Rahengey Yaha Tak Ke ALLAH Inhe Apni Rehmat Se Door Karke Aag Me Daal Dega."
(Muslim, Abu Daood, Nasa'i, Ibne Majah)
MASBOOQ KE MASAIL
Wo Namazi Jo Ek Rakat Ya Ek Se Zyada Rakat'ein Ho Jane Ke Baad Jamat Me Shamil Hua Ho Ise
Masbooq Kehte Hai. Jab Imam Namaz Poori Karke Salam Pher'e Is Waqt Masbooq Salam Na Phere
Balki Khade Hokar Apni Chuti Hui Rakat'ein Ada Kare.
Agar Masbooq Ne Imam Ko Ruku Ki Halat Me Paya To Ye Niyyat Karke Sidhe Khade Rehne Ki
Halat Me Takbeer E Tehrima Kahe Phir Doosri Takbeer Kehta Hua Ruku Me Jae. Agar Pehli
Takbeer Kehta Hua Ruku Ki Hadd Tak Jhuk Gaya To Namaz Na Hogi. Agar Imam Ko Ruku Me Paa
Liya To Ise Rakat Mil Gayi Aur Agar Imam Ne Ruku Se Sar Utha Liya To Ye Rakat Baad Me Ada
Kare. Agar Pehli Rakat Ke Ruku Ke Baad Ya Doosri Rakat Me Jamat Me Shareek Hua To Imam Ke
Salam Pherne Ke Baad Khade Hokar Sana, Tauz, Tasmia, Surah Fateha Aur Choti Surat Padh Kar
Chooti Hui Pehli Rakat Mukammal Karke Qaida Kare Aur Namaz Puri Kare.
Agar Char Rakat Namaz Ki Teesri Rakat Me Shareek Hua To Baad Me Do Rakat'ein Mukamal Taur
Par Padhe Ya'ani Dono Rakat'on Me Surah Fateha Ke Baad Choti Surat Bhi Padhe. Agar Chaar
Hua To Goya Iski Teen Rakat'ein Rehgayi Imam Ke Salam Pherne Ke Baad Khada Hokar Sana,
Tauz, Tasmia, Surah Fateha Aur Surat Padh Kar Pehli Rakat Mukammal Karein Jo Darasal Iski
Dusri Rakat Hai Isliye Is Rakat Ke Baad Qaida Karein Aur Sirf Tashah'hud Padhkar Khada Hojae.
Ab Chooti Hui Dusri Rakat Me (Jo Darasal Iski Teesri Rakat Hai), Surah Fateha Ke Baad Surat Bhi
Padhein Aur Ye Rakat Poori Karke Khada Hojae Phir Apni Chooti Hui Teesri Rakat Padhein Jisme
Sirf Tasmia Aur Surah Fateha Padhe, Akhir Me Phir Qaida Karke Salam Pherlein.
Masbooq Ko Cahiye Ke Imam Ke Awwal Salam Pherte Hi Fauran Khada Na Hojae Balke Dusre
Salam Ka Intezar Karein Take Ye Maloom Hojae Ke Imam Ko Sajda E Sahu Nahi Karna Hai. Agar
Isne Bhoolkar Imam Ke Bilkul Saath Saath Salam Pher Diya To Sajda E Sahu Nahi Aur Agar Imam
Ke Zara Baad Salam Phera To Sajda E Sahu Wajib Hogaya, Ye Khada Hokar Baqaya Namaz Poori
Karein Aur Akhir Me Sajda E Sahu Karlein Namaz Hojaegi.
NAMAZ E WITR AUR DUA E QUNOOT
Shahi Muslim Me Hazrat Abbas Marvi Hai Ke AAQA WA MAULA Ne Witr Ki
Teen Rakat'ein Padhi. Abu Daood Aur Tirmizi Me Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa
Witr Ki Teen Rakat Padhte Se Marvi Hadees Se Bhi Sabit Hai Ke NOOR E MUJASSAM
The.
Namaz E Isha Me Teen Rakat Witr Wajib Hai Iske Padhne Ka Tareeqa Ye Hai Ke Do Rakat Padhkar
Qaida Kiya Jae Aur Tashah'hud Padhkar Khade Hojae, Teesri Rakat Me Tasmia, Surah Fateha Aur
Koi Choti Surat Padhkar Dono Haath Kaano tak Uthae Aur Kehkar Haath Bandhlein Aur Dua
E Qunoot Padhein.
"Aye ALLAH! Ham Tujhse Madad Talab Karte Hai Aur Tujhse Maghfirat Cahte Hai Aur Tujhpar
Rakat Namaz Me Teesri Rakat Ke Ruku Ke Baad Aur Cohti Rakat Ke Ruku Se Pehle Shamil
Imaan Late Hai Aur Tujhpar Bharosa Karte Hai Aur Har Bhalai Ke Saath Teri Tareef Karte Hai
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Aur Ham Tera Shukr Karte Hai, Nashukri Nahi Karte Aur Hum Juda Hote Hai, Aur Is Shaqs Ko
Chodte Hai Jo Tera Gunah Kare. Aye ALLAH! Hum Teri Hi Ibadat Karte Hai Aur Hum Tere Hi
Liye Namaz Padhte Hai Aur Sajda Karte Hai Aur Teri Hi Taraf Daudte Aur Khidmat Ke Liye Hazir
Hote Hai Aur Teri Rehmat Ke Ummid-waar Hai Aur Tere Azaab Se Darte Hai Aur Beshak Tera
Azaab Kafir'on Ko Pohonchne Wala Hai.
Dua E Qunoot Padhna Aur Iske Liye Takbeer Kehna Bhi Wajib Hai. Agar Koi Dua E Qunoot Bhool
Kar Ruku Me Chala Jae To Wo Qiyam Ki Taraf Na Laute Balke Akhir Me Sajda E Sahu Karlein.
Agar Kisiko Dua E Qunoot Yaad Na Hoto Wo Wali Dua Padhlein Ya Teen Baar .....
Kahe
NAMAZ E JUMU'AH
MEHBOOB E KIBRIYA, MUKHTAAR E KUL, KHATIMUL RUSUL Ka Irshaad Hai:
"Jisne Acchi Tarha Wazu Kiya Phir Jumu'ah Ko Aaya Aur (Khutba) Suna Aur Chup Raha, Iske In
Gunaho Ki Maghfirat Hojaegi Jo Is Jumu'ah Aur Doosre Jumu'ah Ke Darmiyaan Hai, Aur (Mazeed)
Teen Din (Ke Gunaho Ki Bhi). Aur Jisne Kankari Chui Isne Lugu Kiya (Ya'ani Khutba Sunne Ki
Halat Me Itna Kaam Bhi Lugu Me Dakhil Hai Ke Koi Kankari Padi Ho To Ise Hata Diya Jae)."
(Muslim, Abu Daood, Tirmizi, Ibne Majah)
AAQA WA MAULA NABI KAREEM Ka Irshaad E Girami Hai: Jo Teen Jumu'ah Susti Ki
Wajah Se Chodega ALLAH Iske Dil Par Mohr Kardega (Aur Wo Ghafilo Me Hojaega)." (Abu
Daood, Tirmizi) Ek Aur Riwayat Me Hai Ke "Jo Teen Jumu'ah Bila Uzr Chode Wo Munafiq Hai."
(Ibn Khuzaymah)
Namaz E Jumu'ah Farz'ain Hai Aur Iski Farziyat Zohr Se Zyada Maukkida Hai Aur Iska Munkir
Kafir Hai. Har Muslim Mard Par Jo Baaligh, Tandrust, Azaad Aur Muqeem Hai, Jumu'ah Farz Hai.
Namaz E Jumu'ah Ke Liye Jaldi Jana, Miswak Karna, Acche Kapde Pehenna, Khushboo Lagana Aur
Pehni Saf Me Baithna Mustahab Hai Aur Gusl Karna Sunnat Hai.
Jo Cheezein Namaz Me Haram Hai Maslan Khana Peena, Salam Wa Kalam Ye Sab Khutbe Ki Halat
Me Bhi Haram Hai Albatta Khatibe Amr Bil Maruf Karsakta Hai. Jab Khutba Padha Jae To Tamaam
Hazireen Par Sunna Aur Chup Rehna Farz Hai Jin Logo Tak Imam Ki Awaz Na Pohnch Rahi Ho,
Inhe Bhi Chup Rehna Wajib Hai. Agar Kisiko Buri Baat Karte Dekhein To Haath Ya Sar Ke Ishare
Se Mana Karsakte Hai, Zabaan Se Najayaz Hai.
EID'AIN KI NAMAZ
Eid'ain Ki Namaz Inhi Logo Par Wajib Hai Jin Par Jumu'ah Farz Hai. Jumu'ah Ki Namaz Ke Liye
Qutba Shart Hai Jabke Eid'ain Ki Namaz Me Ye Sunnat Hai. Namaz E Eid Se Qabl Na Azaan Hai
Na Iqamat. Namaz E Eid Se Qabl Nafl Padhna Makrooh Hai Khwah Ghar Me Padhe Ya Eidgah Me,
Cahe Ispae Namaz E Eid Wajib Ho Ya Nahi.
Eid Ki Namaz Ke Baad Musafah Karna Aur Gale Milna Jaisa Ke Musalmano Me Raij Hai, Behtar
Hai Ke Isme Izhaar E Masrat Hai.
Hajamat Banwana, Nakhoon Tarashwana, Gusl Karna, Miswak Karna, Ache Kapde Pehenna,
Khushboo Lagana, Eidgah Ko Paidal Jana, Raste Me Takbeer Kehte Jaana, Doosre Raste Se Wapas
Aana, Khushi Zahir Karna, Kasrat Se Sadqa Dena, Mubaarak Baad Dena, Eid Ul Fitr Me Namaz Se
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Qabl Sadqa E Fitr Dena Aur Taaq Tadaad Me Khajoor'ein Khalena Aur Eid Ul Zuha Me Namaz Se
Mustahab Hai.
Baad Jo Jamat E Mustahba Ke Saath Ada Ki Gayi, Ek Baar Buland Awaz Se "Takbeer E Tashreeq"
Kehna Wajid Aur Teen Baar Kehna Afzal Hai.

NAMAZ E EID KA TARIQA
Dono Eid'ain Ki Namaz Ka Tariqa Ek Hi Hai Wo Ye Ke Do Rakat Wajib Namaz Eid Ul Fitr Ya Eid
Ul Azha Ki Niyyat Karke Kaano Tak Haath Uthae Aur Kehkar Bandh Lein. Phir Sana
Padhkar Kaano Tak Haath Uthae Aur Kehte Hue Chodein, Phir Doosri Baar Haath Uthae Aur
Takbeer Kehte Hue Chodein, Phir Teesri Baar Haath Uthae Aur Takbeer Kehkar Baand Lein. phir
Imam Buland Awaz Se Surah Fateha Ya Koi Surat Padhkar Ruku Wa Sajda Karega. Doosri Rakat
Me Surah Fateha Aur Koi Surat Ya Ayat Ki Tilawat Ke Baad Ruku Me Jaane Se Pehle Teen Baar
Kaano Tak Haath Uthakar Kahe Aur Har Baar Haath Chodein Phir Cohti Baar Bagair Haath
Uthae Takbeer Kehte Hue Ruku Me Chale Jae Aur Namaz Mukammal Karein. Har Do Takbeer"on
Ke Darmiyan Teen Tasbeeh Ke Barabar Taherna Cahiye.
NAMAZ E JANAZA
Hogaye Warna Jinko Qabr Mili Aur Wo Namaz e Janaza Ko Na Aae, Wo Sab Gunahgaar Hongey.
Janaza Padhte Waqt Mayyat Samne Honi Cahiye, Ghaibana Namaz E Janaza Jayaz Nahi Hai.
Mayyat Se Murad Wo Hai Jo Zinda Paida Hua Aur Phir Margaya. Agar Baccha Murda Paida Hua To
Iski Namaz E Janaza Nahi. Agar Janaza Tayyar Hua Aur Wazu Ya Gusl Karne Me Namaz Nikal
Jane Ka Yaqeen Ho To Tayammum Karke Namaz E Janaza Padhli Jae. Baaz Log Joota Pehne Aur
Bohot Se Log Joote Par Khade Hokar Namaz E Janaza Padhte Hai Agar Joota Pehenkar Namaz
Padhi To Joota Aur iske Niche Ki Zameen Dono Ka Pak Hona Zaroori Hai Aur Agar Jootey Par
Khade Hokar Namaz Padhi To Jootey Ka Pak Hona Zaroori Hai.
Namaz E Janaza Me Darja Zail Do Rakat'ein Hai:
Awwal: Namaz E Janaza Khade Hokar Padhna, Duwwam: Chaar Baar Kehna.
Namaz E Janaza Me Teen Cheez'ein Sunnat E Maukkida Hai: ALLAH Ki Sana Karna, NABI
KAREEM Par Darood Padhna Aur Mayyat Ke Liye Dua Karna.
Afzal Ye Hai Ke Namaz E Janaze Me Teen (Yataaq) Saf'ein Ho. Namaz E Janaza Ka Tariqa Ye Hai
Ke Niyyat Karke Kehkar Naaf Ke Niche Haath Bandhlein Aur Ye Sana Padhein:
"Pak Hai Tu Aye ALLAH! Aur Mai Teri Hamd Karta Hu, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Teri
Shaan Buland Aur Teri Sana Barkat Hai Aur Tere Siwa Koi Ma'abood Nahi."
Phir Haath Uthae Bagair Kahe Aur Durood Shareef padhein. Behtar Hai Ke Wahi Durood
Padhein Jo Namaz Me Padha Jata Hai Aur Agar Koi Dusra Durood Padha Tab Bhi Harj Nahi. Phir
Qabl Kuch Na Khana Aur Raaste Me Buland Awaz Se Takbeer Kehna Ye Sab Amwaar Eid Ke Din
Namaz E Janaza Farz Kifaya Hai Ya'ani Ek Shakhs Ne Bhi Padhli To Sab Bari Azzimmah Hogaye
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Bagair Haath Uthae Kahe, Aur Dua Padhein.
"Aye ALLAH Bakhsh De Hamare Zindo Aur Murdo Ko, Hamare Hazir Aur Ghaib Ko, Hamare
Chote Aur Bade Ko Aur Hamare Mard Wa Aurat Ko. Aye ALLAH! Ham Mese Tu Jise Zinda
Rakhein Ise Islam Par Zinda Rakh Aur Ham Mese Tu Jise Wafat De Ise Iman Par Wafat De."
Ye Dua Baaligh Mard Wa Aurat Ke Liye Hai. Agar Mayyat Nabaligh Ladka Ho To Ye Dua Padhein.
Aye ALLAH! Tu Is (Ladke) Ko Hamare Liye Pesh Rokar (Ya'ani Aage Pohonchkar Saamaan Karne
Aur Wo Bana Jiski Shafa'at Qubool Ho."
Agar Mayyat Nabaligh Lakdi Ki Ho To Ye Dua Padhein.
"Aye ALLAH! Tu Is (ladki) Ko Hamare Liye Pesh Rokar (Ya'ani Aage Pohonchkar Saamaan Karne
Aur Wo Bana Jiski Shafa'at Qubool Ho".
Dua Padhne Ke Baad Cohti Baar Kehkar Haath Chod'ein Aur Dono Taraf Salam Pherlein.
Iske Baad Saf'ein Tod'dein Aur Ek Baar Surah Fateha, Teen Baar Surah Ikhlaas Aur Teen Baar
Durood Shareef Padhkar Is Mayyat Ko Isaal E Sawab Karein. Aur Iske Liye Rehmat Wa Maghfirat
Ki Dua Mange.
AAQA WA MAULA Ka Irshaad E Girami Hai "Jab Tum Mayyat Ki Namaz E Janaza Padhlo To
Ab Khaas Iske Liye Dua Karo."
(Mishkaat Ba Hawala Abu Daood, Ibne Majah, al-Bayhaqi)
TARAWEEH KA BAYAN
Taraweeh Mard Wa Aurat Sab Ke Liye Sunnat E Maukkida Hai. Jamhur Ka Mazhab Ye Hai Ke
Taraweeh Ki Bees Rakat'ein Hai Aur Yahi Ahadees Se Sabit Hai. Imam al-Bayhaqi Ne Sahi Sanad
Ke Saath Hazrat Sa'ib Bin Yazeed Se Riwayat Ki Ke Log Hazrat Farooq E Azam
Ke Zamane Me Bees Rakat Taraweeh Padha Karte The Aur Hazrat Usman Wa Hazrat Maula Ali
.Ke Zamane Me Bhi Yahi Mamool Tha
Matwami Hazrat Sahyi Yazid Bin Rumaan Se Riwayat Hai Ke Hazrat Umar
Ke Zamane Me Log Ramzan Me Isha Ke Baad Bad'tiss (23) Rakat'ein Padhte The.
Imam al-Bayhaqi Ne Iski Shara Me Farmaya Ya'aani Bees Taraweeh Aur 3 Witr.
Taraweeh Me Ek Baar Quraan E Majeed Khatam Karna Sunnat E Maukkida Hai Aur Do Martaba
Fazeelat Aur Teen Martaba Afzal Hai. Imam Wa Hafiz Ke Liye Zaroori Hai Ke Quraan Kareem Sahi
Makharij Ke Saath Padhein. Ujrat Dekar Taraweeh Padhwana, Najayaz Hai, Dene Wala Aur Lene
Wala Dono Gunahgaar Hai. Taraweeh Ka Waqt Farz Isha Ke Baad Se Tulu E Fajr Tak Hai. Agar
Isha Jamat Se Na Padh Sake To Tanha Isha Padhkar Taraweeh Ki Jamat Me Shareek Hojae Magar
Witr Tanha Padhein. Taraweeh Masjid Me Ba Jamat Padhna Afzal Hai. Taraweeh Do Do Rakat
Me Chaar Rakat'ein Padhe. Baithne Me Ikhtiyaar Hai Ke Khamoosh Rahe Ya Kalma Ya Durood
Shareef Padhe Ya Ye Tasbeeh Padhe:
"Pak Hai Wo (Allah) Jo Mulk Aur BadshaHiyat Wala Hai, Pak Hai Wo Jo Izzat, Azmat, Haibat,
Qudrat, Badhayi Aur Jabrut Wala Hai. Pak Hai Wo Badshah E Haqiqi Jo Zinda Rehne Wala Hai, Na
Wala Bana) Aur Isko Hamare Liye Ajar Aur Zakhirah kar Aur Isko Hamari Shafa'at Karne Wala Bana
Wali Bana) Aur Isko Hamare Liye Ajar Aur Zakhirah Kar Aur Isko Hamari Shafa'at Karne Wali Bana
Karke Padhi Jae. Har Chaar Rakat Ke Baad Itni Deer Baithna Mustahab Hai Jitni Der
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Iske Liye Neend Hai Aur Na Maut. Wo Beinteha Pak Aur Muqaddas Hai Hamara, Farishto Ka Aur
Rooh Ka Malik Hai. Aye Allah! Hame Aag Se Bacha, Aye Bachane Wale, Aye Najat Dene Wale,
Aye Panah Dene Wale, Aye Allah! Hazrat MUHAMMED Par Rehnat Nazil Farma."
QAZA NAMAZ'ON KA BAYAN
Kisi shari uzr ke bagair namaz qaza kardena bohot sakht gunah hai. Is namaz ki qaza padhna farz hai
Nez Sachche Dil Se Tauba Bhi Karni Cahiye. Sachchi Tauba Se Qaza Karne Ka Gunah Maaf Hojata
Hai Albatta Tauba Isi Waqt Sahi Hogi Jabke Chuti Hui Namaz Ki Qaza Padhli Jae, Agar Namaz Ki
Qaza Na Padhi To Ye Tauba Qubool Na Hogi.
Bhool Kar Ya Sote Me Namaz Qaza Hojae To Iski Qaza Farz Hai Alabtta Qaza Ka Gunah Na Hoga
Lekin Ye Zaroori Hai Ke Yaad Aane Par Ya Jaagne Par Is Namaz Ko Fauran Ada Kiya Jae Jabke
Makrooh Waqt Na Ho. Bila Uzr Der Karna Makrooh Hai. Koi So Raha Hai Ya Namaz Padhna Bhool
Gaya To Jaise Maloom Ho Ise Wajib Hai Ke Sote Ko Jaga Dein Aur Bhoole Hue Ko Yaad Dila
Dein. Jisko Ye Andesha Ho Ke Fajr Ki Namaz Qaza Hojaegi, Ise Shara'i Zaroorat Ke Bagair Raat
Ko Der Tak Jagna Mana Hai.
Kisi Namaz Ke Waqt Me Agar Takbeer E Tehrima Kehli To Namaz Qaza Na Hui Balke Ada Hai
Siwae Namaz E Fajr Wa Jumu'ah Wa Eid'ain Ke Ke Isme Salam Pherne Se Qabl Agar Waqt Nikal
Gaya To Namaz Jaati Rahi. Qaza Namaz Ke Liye Koi Waqt Muqarrar Nahi, Mamnoo Awqat Ke
Alawa Wo Tamam Umr Me Ye Jab Bhi Padhlein, Aadmi Bari Ul Zimma Hojaega.
Jiske zimme Qaza Kai Saal Ki Qaza Namaz'ein Ho Ise Cahiye Ke Apne Baaligh Hone Ki Umr Se Is
Waqt Tak Ki Namaz'on Ka Hisaab Lagaein Aur Phir Jab Jab Fursat Mile Inhe Ada Karein. Kyuke
Qaza Namaz'ein Nawafil Se Ahem Hai Isliye Nawafil Aur Ghair Maukkida Sunnat'on Ke Bajae
Qaza Padhta Rahe. Albatta Taraweeh Aur Barah Rakat Sunnat E Maukkida Na Chodein.
Qaza Namaz Ki Niyyat Youn Bhi Ki Ja Sakti Hai Maslan "Sabse Pehli Namaz E Fajr Jo Qaza Hui
Ise Ada Karta Hu" Phir Jab Dusri Namaz E Fajr Ki Qaza Padhe To Yahi Niyyat Karein Kyuki Pehli
Namaz E Fajr To Ada Ho chuki Isliye Ab Dusri Namaz Qaza Namaz'on Me Pehli Ho Gayi, Isi Tarha
Deegar Namaz'on Ke Liye Bhi YouN Hi Niyyat Karein
BIMAR KI NAMAZ
Jo Bimari Ke Bais Khada Hokar Namaz Na Padh Sakta Ho Ke Chakkar Ati Hai Ya Na Qabile
Wa Sajda Ke Saath Namaz Ada Ki Jati Hai. Agar Khud Baith Na Sakta Ho Lekin Koi Dusra
Maujood Ho Jo Baitha Dein To Baith Kar Padhna Zaroori Hai, Agar Baithe Rehna Mumkin Na Ho
To Takkiya Ya Dewar Ya Kisi Cheez Se Tek Laga Kar Padhe Aur Agar Baith Kar Padhna Mumkin
Ho To Let Kar Namaz Hogi.
Qayam Chunke Farz Hai Isliye Ise Shara'i Uzr Ke Bagair Tark Karne Se Namaz Na Hogi Yaha Tak
Ke Agar Koi Asa Ya Qadim Ya Deewar Se Sahara Lekar Khada Ho Sakta Ho To Ise Farz Hai Ke Isi
Tarha Khada Ho Kar Padhe, Agar Kuch Der Khada Hokar Keh Sakta Hoto Farz Hai Namaz
Khade Hokar Shuru Kare Aur Baithkar Puri Kare Warna Namaz Na Hogi. Jo Mamuli Takleef Jaise
Halka Bukhaar Ya Sar Dard Ya Zukham Wagaira Ke Bais Baithkar Namaz Padhte Hai, Inki
Bardasht Dard Hoga Ya Marz Badh Jaega Ya Der Me Sehet Yaab Hoga, In Surto Me Baithkar Ruku
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Namaz'ein Nahi Hoti, In Par Qaza Lazim Hai.
Agar Mareez Khada Hosakta Hai Magar Ruku Ya Sajda Ya Dono Nahi Karsakta To Behtar Ye Hai
Ke Khade Hokar Namaz Padhe Aur Ruku Ya Sajda (Jispar Qadir Na Ho) Ya Dono Ke Kiye Ishara
Karein.
Sajde Ke Ishare Ke Liye Sar Ko Jitna Jhuka Sake Itna Jhukae Aur Ruku Ke Liye Isse Kuch Kam
Jhukae. Jo Zameen Par Sajda Nahi Karsakta Magar Sajde Ki Sharaiat Ke Saath Koi Cheez Zameen
Par Rakhkar Ispar Sajda Karsakta Ho Ise Sajde Ke Kiye Ishara Karna Jayaz Nahi.
Agar Mareez Baithne Par Qadir Nahi To Let Kar Ishare Se Padhe Khwah Dae Ya Bae Karwat Par
Let Kar Qible Ko Muh Kare Khwah Seedha Let Kar Qible Ko Pau Kare Magar Ghutne Khade Rakhe
Aur Sar Ke Niche Takkiya Wagaira Rakhkar Uncha Karlein Taki Muh Qible Ko Ho Jae.
MUSAFIR KI NAMAZ
Islam Ne Musafir Ko Ye Sahulat Di Hai Ke Wo Safr Me Namaz Qasr Karein Ya'ani Jo Namaz 4
Rakat Par Mushtamil Ho Iski Jagah Wo Do 2 Rakat Padhein.
AAQA WA MAULA Ka Farman e Alishaan Hai: "Ye Ek Sadqa Hai Jo ALLAH Ne Tum Par
Kiya Hai, Tumhe Cahiye Ke Iska Sadqa Qubool Karo." Musafir Par Wajib Hai Ke Namaz Qasr
Karein. Jisne Jaan Boojh Kar 4 Rakat'ein Padhi Wo Gunahgaar Hua, Ise Tauba Karni Cahiye."
Sunnat'on Me Qasr Nahi Wo Poori Padhni Cahiye.
Sharna'n Musafir Wo Shaqs Hai Jo Saath'on Meel Se Kuch Zyada (Asal Mikhdaar 57.375 Meel Ya
92.33 Kilometer Hai) Ke Safar Ke Irade Se Apni Basti Se Bahar Nikal Chuka Ho. Musafir Apne
Shaher Me Jab Tak Wapas Na Pohonche Wo Namaz'ein Qasr Karta Rahega Albatta Dauran E Safar
Kisi Maqaam Par 15 Din Ya Zyada Qiyam Ka Irada Karlein To Wo Waha Poori Namaz Padhega
Cahe Baadme Kisi Wajah 15 Din Se Kam Qiyam Karsake. Is Tarha Agar Kisi Jagah 15 Din Se Kam
Qiyam Ki Niyyat Ho Magar Kisi Wajah Se Waha 15 Din Se Zyada Teherna Pade Phir Bhi Wo Qasr
Karega.
Agar Musafir Muqeem Imam Ke Piche Namaz Padhe To 4 Rakat Ki Ada Karein Aur Agar Muqeem
Log Musafir Imam Ki Iqtida Me Namaz Ada Karein To Imam Ko Cahiye Ki Wo Pehle Logo Ko
Apna Musafir Hona Batadein Phir 2 Rakat Ke Baad Salam Pherlein Aur Muqeen Muqtadi Khade
Hokar Baqiya 2 Rakat'ein Padhein Magar Qayam Me Surah Fateha Padhne Ki Miqdaar Khamoosh
Khade Rahein.
Chalti Train Par Namaz Nahi Hoti Isliye Jab Station Par Gaadi Ruke, Is Waqt Namaz Ada Karein
Aur Agar Namaz Ka Waqt Ja Raha Hoto Jis Tarha Bhi Mumkin Ho Padhlein Phir Jab Mauqa Mile
To Namaz Ka A'aada Karein. Jo Namaz Safar Me Qaza Hui Ya Naqis Padhi Gayi Ise Manzil Par
Pohonch Kar Lautane Me Zaroori Hai Ke Ise Qasr Hi Padha Jae.
NAFL NAMAZ'ON KA BAYAN
Farz Namaz'on Ke Alawa NOOR E MUJASSAM Nafl Namaz'on Ka Bhi Ehtemam Farmate The.
Hadees E Pak Me Nawafil Ki Kasrat Ko Qurb E Ilahi Pane Ka Zarya Farmaya Gaya. Sunnat Aur
Nafl Namaz Ghar Me Padhna Afzal Hai Albatta Taraweeh, Tahyatul Masjid Aur Safar Se Wapsi Ke
Do Nafl Masjid Me Padhna Behtar Hai. Agar Ghar Me Kaam Ki Mashghooliyat Ke Bais Nawafil
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Chootjane Ka Khadsha Ho Ya Ghar Me Dil Na Lage To Masjid Me Hi Nawafil Padhliye Jae. AAQA
WA MAULA Ne Baaz Khaas Mawaqah Par Jo Nawafil Padhne Ki Taleem Di, Inhe Ikhtisar Sa
Bayan Kiya Jaraha Hai.
NAMAZ E TAHIYAT UL WAZU
Wazu Ke Baad Aaza Khushk Hone Se Pehle Do Rakat Nafl Ada Karna Mustahab Hai Younhi Gusl
Ke Baad 2 Rakat Namaz Mustahab Hai. NABI E KAREEM Ka Irshaad Hai: "Jo Shaqs Ache
Tariqe Se Wazu Karke Zahir Wa Batin Ke Saath Mutawajju Hokar Ya'ani Ikhlaas Se 2 Rakat Namaz
Padhliya Karein Iske Liye Jannat Wajib Hojati Hai."
NAMAZ E TAHIYAT UL MASJID
Masjid Me Dakhil Hone Ke Baad 2 Rakat Namaz Padhna Sunnat Aur Behtar Ye Hai Ke 4 Rakat
Padhein. Agar Farz Ya Wajib Ya Sunnat Namaz Ada Karli To Tahyatul Masjid Ada Hogi Agarche
Iski Niyyat Na Ki Ho. Agar Koi Makrooh Waqt Me Masjid Me Aae To Wo Tahyatul Masjid Na
Padhe Balke Zikr E Ilahi Aur Durood Shareef Me Mashghool Hojae, Masjid Ka Haq Ada Hojaega.
NAMAZ E TAHAJJUD
Ho Wo Tahajjud Ka Waqt Hai Aur Afzal Waqt Raat Ka Aakhri Tahayi Hissa.
NAMAZ E ISHRAAQ
Namaz E Ishraaq Ki 2 Rakate'in Hai. Behtar Ye Hai Ke Namaz E Fajr Ke Baad Zikr E Ilahi Aur
Durood Shareef Padhtein Rahein Aur Suraj Tulu Hone Ke Kam Az Kam 20 Minute Baad Ye Namaz
NAMAZ E CASHT
Namaz e Casht Ki Kam Az Kam 2 Rakat'ein Aur Zyada Se Zyada 12 Rakat'ein Hai Aur 12 Afzal
Hai. Iska Waqt Suraj Buland Hone Se Zawal Ya'ani Dahwah Al Kubra Ke Shuru Hone Tak Hai.
Ahadees e Mubarak Me Namaz E Casht Ki Pabandi Karne Wale Ko Maghfirat Aur Jannat Me Sone
Ke Mehel Ki Khush Khabri Di Gayi Hai.
NAMAZ E AWWABEEN
Namaz E Maghrib Ke Baad 6 Rakat Nafl Padhna Mustahab Hai Ye Do Do Rakat Karke Padhna
Afzal Hai Inhe Salat Ul Awwabeen Kehte Hai. NABI KAREEM Ne Inhe Padhne Ki Bhi Targheeb
Di Hai.
Padhein. Hadees Shareef Me Namaz E Ishraaq Padhne Wale Ko Hajj Aur Umrah Ke Sawab Ki
Basharat Di Gayi.
Nawafil Se Afzal Hai. Isi Salat Ul Lail Ki Ek Qism Namaz E Tahajjud Hai. Tahajjud Ki Kam Se Kam Rakat'ein 2 Hai Aur Zyada Se Zyada 8. Namaz E Isha Padhkar Sone Ke Baad Jis Waqt Bedaar
Raat Me Namaz E Isha Ke Baad Jo Nafl Padhe Jae Inhe Salat Ul Lail Kehte Hai Aur Raat Ke Nawafil Din Ke
www.kanzuliman.org Kanzuliman Islamic Library
Tamam Nawafil Bila Uzr Baith Kar Bhi Padhsakte Hai Magar Kahde Hokar Padhne Me Dugna
Sawab Hai.
NAMAZ E SAFAR
Safar Ke Liye Rawana Hote Waqt Mustahab Hai Ke 2 Rakat Nafl Apne Ghar Me Ada Karke Nikle.
AAQA WA MAULA Ne Farmaya: "Koi Shaqs Apne Ghar Walo Ke Paas In Do Rakat'on Se
Behtar Koi Cheez Nahi Chodta Jo Wo Safar Par Rawana Hote Waqt Waha Padhta Hai." Safar Ke
Dauran Jaha Qiyam Ho Waha Do Rakat Padhein Aur Wapsi Par Do Rakat Namaz Masjid Me Ada
Karke Ghar Jae. NABI KAREEM Ka Yahi Mamool Tha.
NAMAZ E TAUBA
Insaan Khatakaar Hai Lekin Jab Bhi Isse Koi Gunah Hojae To Ise Cahiye Ke Fauran Apne Raheem
O Kareem Rab Ki Bargah Me Nadamat Zahir Karein Aur Apne Gunah'on Ki Maafi Mangne Ke Liye
Do Rakat Nafl Padhein, Ye Mustahab Hai. AAQA WA MAULA Ne Farmaya: "Jab Kisise Gunah
Hojae To Isko Cahiye Ke Wazu Karke Do Nafl Ada Karein Aur RAB KAREEM Se Apne Gunah'on
Ki Bakhshish Caahe. ALLAH Iske Gunah Bakhsh Dega.
NAMAZ E TASBEEH
AAQA E DO JAHAN Ne Ye Namaz Apne Chacha Hazrat Abbas Ko Sikhayi. Iska
Tareeqa Ye Hai Ke Pehli Rakat Me Sana Ke Baad (Jabke Dusri Rakat Me Tasbeeh Se Qabl) 15 Baar
Ye Tasbeeh Padhein. (Poo