noor e irfaan volume 1

56
English Transliteration of popular Munajaat, Marthias & Nauhas

Upload: noor-e-irfaan

Post on 21-Jul-2016

947 views

Category:

Documents


91 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: Noor e Irfaan Volume 1

English Transliteration of popular Munajaat, Marthias & Nauhas

Page 2: Noor e Irfaan Volume 1

© All rights reservedTabligh Centre - Dsm

Compilers:Akil Meghji

Aliasgher Meghji

FReprinted, 2010 - 1000 copies

irst Edition, 2008 - 1000 copies

Tabligh Sub-CommitteeKSI Jamaat

P.O. Box 233,Dar es Salaam,

TanzaniaTel: +255 22 2115119Fax: +255 22 2127555

Email: [email protected]: dartabligh.org

Page 3: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan1

In the Name of Allah the Beneficent the Merciful

Dear Reader, Salaamun Alaykum, By the grace of Almighty Allah (s.w.t) and the wasilah of 14 Ma’sumin, we the compilers of Noor e Irfaan have Alhamdulillah come up with the first ever edition of the book named NOOR E IRFAAN. This is special-ly compiled for those reciters who are unable to read the usual marthia books available in gujarati or urdu. We would be unfair if we would not thank the following personalities who assisted in this publication. These include: Shaykh Tahir Ridha Imraan Saleh Sajida Tejani Zakira Fatim Dewji

Special thanks to Tabligh Sub-Committee of Dsm Jamaat and Sleepinn Hotel Limited who sponsored the book.

On this note we would also like to thank those personalities who have worked behind the curtains and do not want their names to be made public. May Almighty Allah (s.w.t) shower His blessings upon them all.

While every effort has been made to ensure accuracy of the compiled contents. Mo’mineen are urged to write to us if they spot any errors to enable us to rectify and are requested to remember us in du’as. Thanking you,

NOOR E IRFAAN P.O. Box 88, Dar es Salaam, Tanzania Cell: 0713 362866 / 0784 233455 [email protected], [email protected] January 2008, Muharram 1429

Due to respectable text, please handle with care

Page 4: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 2

MUNAJAAT / QASIDA Page No.

1. Dua - Ay Rabbe jahan 42. Haazri 53. Sufro –Hayn Aashike sub’haan 64. Ya Imaame Zamana Karam 85. Allah Mujhe lashkare 96. Jashn ham manaaenge 107. Aap par duruud 118. Yaa Mohammed Ali 1210. Apni Qismat 1411. Aysa badshaah Husain hay 1512. Banke saail 1613. Yaa Husain meri 1714. Hal kijiye mushkil 1815. Ya Musa-e-kadhim hame aafat 1916. Rahe wirde zabaan 2017. Ya Hazrate Abbas 2118. Naame Abbas 2219. Bi Aale Muhammad 2320. Ali ke saath 24

Page 5: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan3

MARTHIA Page No.

1. Ay ghairate Maryam 252. Ay kerbala Husain ke 253. Jab yaad Sakina ko 264. Baba ye Musalman 275. Ho gaye baazu qalam 286. Ye majlise Husain 29

NAWHA

1. Husainal gharibal (NEW) 312. Dhal gaya suraj 333. Parda duniya ko 334. Raaj dulaaraa (NEW) 345. Saaye me Sayyeda ke 356. Utho Akbar 367. Ya Zainabe kubra 378. Ya Zahra(NEW) 399. Labe faraat 4010. Ay mere baba jaan 4211. Akbare man 4312. Aakhri raat 4413.Beta hai tu Ali ka 4614. Al madad mawla Raza 4715. Ya Musa-e-Kadhim 4816. Zainab bint- e-Ali 51

Page 6: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 4

DU’A

Ay Rabbe Jahan Panjetan-e pak ka sadqaa Is qaum ka daaman ghame Shabbir se bharde

Bachon ko ataa kar Ali Asgher ka tabassum Budhon ko Habib Ibn e Mazaahir ki nazar de

Kamsin ko mile walwalae Aun-o-Muhammad Har ekk jawan ko Ali Akber ka jigar de

Maaon ko mile saani-e-Zehra ka salika Behnon ko Sakina ki duaon ka asar de

Mawla tujhe Zainab ki asiri ki qasam hay Bejurm asiron ko rihai ki khabar de

Jo chaaddar-e-Zainab ki azaadaar hai Mawla Mehfuz rahe aisi Khawaatin ke parde

Ho parcham-e Abbas ka sayaa mere sar par Mohsin ki dua hay ise pur noor asar de

Jo Deen ke kaam aaye wo awlaad ataa kar Jo Majlis-e-Shabbir ki khaatir ho woh ghar de

Muflis pe zaro laalo jawahir ki ho baarish Maqruz ka har qarz adaa ghaib se karde

Kab tak rahu dunia mei yatimo ki tarhaa mein Vaaris meraa parde mei, hai zaahir use karde

Gham koi na de hamko siwaye ghame Shabbir Shabbir ka gham baant rahaa hai to idhar de

Page 7: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan5

HAAZRI

Haazir hai haazri men hazaaro ki hal ataa, Faryaad hai ham par bhi (karam kijiyo aaqaa x2)

1. Bhaai Hassan Hussein ke woh jaane Murtaza Abbaas Alamdaar woh Saqqa-e- Sakina Taarif unki kya karun , kya mujhse ho sanaa, Sadqa unhi ke Naam ka (milta hai marhaba x2)

2. Aaqa ko aaj apni musibat sunaa’o tum, Pehle to apni aankhon se aansoo bahaao tum Roro ke aag aatishe gham ki bujaao tum, Dilme unhi ki yaad ko (mehmaan banaao tum x2)

3. Ek roz jo may majlise Shabbiir may gayaa Thi Haazri Abbaas Alamdaar ki wahaa Jitnaa bhi dilme ranj thaa woh saaraa mit gayaa Aa kar kisi ne kaan mein (Chupke se ye kahaa x2)

4. Jo Haazri Abbaas Alamdaar ki kare, Allah uski mushkilen aasaan sab kare, Din raat jo Abbaas ke naaro se dam bhare, Kya gham usey duniyaa ka (kisi se wo kyu darey x2)

5. Hai haazri Abbas ki tashreef laaiye, Yaane Ali ke laal pe qurbaan jaaiye, Ro kar adab ke saath, yeh padh kar sunaaiye, Sarkaar Aap ka hame (Roza dikhaaiye x2)

Page 8: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 6

HAYN AASHIKE SUBHAAN

Hayn Aashike Subhaan Imaam Jaafare Saadiq Hayn Din Ke Sultaan Imaam Jaafare Saadiq

1. Salwaat Paro Zikr Hay Chathe Imaam Kaa Noore Khudaa Shahanshahe Aalii Maqaam Kaa Yaa Rab Hame Tawfiq De Madhe Imaam Kaa Sadqaa De Hame Hazrate Saadiq Ke Naam Kaa

2. Saaqii Pilaade Jaame Wilaae Shahe Zamaan Tasnimo Sal Sabilki Taasir Hoo Ayaan Dilme Ho Roshni Orr Fasaahat Ho Bar zabaan Aabe Tahuur Pike May Kuch Kar Sakun Bayaan

3. Kyaa Swalle Alaa Shaan Hay Mawlaaki Hamaare Allah Ke Pyaare Hayn Payambar Ke Hayn Pyaare Gar Waqte Musibat Koi Hazrat Ko Pukaare Filfor Madad Karte Hayn Zahraa ke Dulaare

4. Yaa Jaafare Sadiq Teri Midhat Muhaal Hay Qaabu Na Dilko Hay Na Zabaan Ko Majaal Hay May Hun Ghulaam ek meri kyaa majaal Hay Haydar Kaa Jigar Faatemaa Kaa Nawnihaal Hay

5. Ay Ahmade Mursal Ke Khalaf Hazrate Saadiq Gulzaare Imaamat Ke Sharaf Hazrate Saadiq Hayn Bahre Sakhaawat Ka Sadaf Hazrate Saadiq Noore Nazare Shaahe Najaf Hazrate Saadiq

6. Baabul Muraad Aap Ho Ay Kul ke Muqtadaa Haajat Rawaai Kijiyo Ay Rahmate Khudaa Khaali Koi Huzuur Ke Darse Nahin Phiraa Maqbuule Baargaah Hamaari Ho Ilteja

Page 9: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan7

7. Aaqaa Tume Hay Ahmado Haydar Kaa Waasta Zehraa Kaa Aur Shabbiro Shabbar Kaa Waasta Baqir Kaa Aur Aabide muztar Kaa Waasta Dukh Dard Aur Ranjo Alam se Karo Rihaa

8. Mawlaa Sawaal Laaye Hayn Khaali Na Phernaa Daaman Hamaare Gawhare Maqsuud se Bharnaa Nazren Manaai Hamne Jo Maqbuul Hi Karnaa Darbaar Se Maayuus Kisiko Na Phernaa

9. Har Subho Shaam Meri Dua Hay Mere Mawla Hay Ishke Madinaase Mera Dil Tarap Rahaa Yaa Sibte Mustafa Hame Bulwaalo Karbalaa Chume Zarihe Paak Shahanshaahe Karbalaa

10. Aur Kaazmayno Saammarra kaa Showkh Hay Baraa Mashhad Me Orr Najaf Me Ziyarat Karun Adaa Yaa Jaafare Saadiq Meri Arzi Ho Pazira Rawzaa May Dekhuun Zaynabe Ulyaa Maqaam Ka

11. Ya Jaafare Saadiq Meri Arzi Bahaal Ho Fayaaz Ho Kareem Ho Haydar Ke Laal Ho Shiyon Ko Do Jahaan Me Na Ranjo Malaal Ho Jo Dushmanaane Din Hay Unper Zawaal Ho

12. Hoo Aap Sakhi Ibne Sakhii Ay Mere Mawlaa Jo jo Ke Hayn Bimaar Unhe Jald Ho Shifaa Laa Wald Ko Awlaad Ho Ay Khaasa e Khudaa Ho Shaad Do Jahaan Me Muhib Aap Ke Sadaa

13. Parwardigaar Ja’afare Sadiq Ka Waastaa Maangaa Jo Kuch Huzuurse wo Jald Ho Ataa Ham Waasta Dete Hay Tujhe Aale Abaa Ka Sub Shiyon ki Maqbool Ilaahi Ho Iltejaa

Page 10: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 8

YAA IMAME ZAMANA KARAM KIJIYE

Yaa Imame Zamaanaa karam kijiye Nuur aankho kaa meri barhaa dijiye

1. Ghair ke darpe kyun jaaye fariyaad ko aap sarpe salaamat ho imdaad ko maangneka salikaa bataa dijiye

2. Jis ghari aap kii diid ho jaayegi dar haqiqat meri iid ho jayegi zindagi me wo din bhi dikha dijiye

3. Sar uthaaya sipaahe yazidi ne phir ham hayn ehle wilaa aapke muntazir aake nasle yazidii mitaa dijiye

4. Aapki madha kayse Karen yaa Imam ye hay Nabiyonkaa shewaa Khuda kaa hay kaam hamko aadabe midhat sikhaa dijiye

5. Har ghari aap yun to mere dilme ho aur yaqin hay ke mawjuud mehfil me ho sabki nazron se pardaa hataa dijiye

6. Hay Hasan aapkaa eek adnaa ghulaam de rahaa hay sadaa aapko subho shaam Hur saa iskaa muqaddar banaa dijiye

7. Aap ummid hain qalbe taaraaj kii Mujhko haajat nahee takht aur taaj kii bas Ghulaamon me apne bithaa dijiye 8. Aapke daste qudrat me hay do jahaan aapke ghar mile Deene Haq ko amaan phir se kaabe ko kaabaa banaa dijiye

Page 11: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan9

9. Aap hujjat khuda ke ho ay Muntazar Saamaraah kii taraf hay hamaari nazar parda e ghayb ko ab uthaa dijiye

10. Juth or ghiibate aam hone lagi be hijaabi bhi ab aam hone lagi ghayb se ab to pardaa hataa dijiye

11. Jo duaa dilme hay sabkii sun lijiye jo hayn mushkilme unkii madad kijiye or marizon ko jaldii shifaa dijiye

12. Hay tamannaa yehi dilme mere Imaam Hajjo Ziyarat ki bhi aarzoo yaa Imaam Samarrraah me hame ab bulaa lijiye

ALLAH MUJHE LASHKARE

Allah Mujhe Lashkare Mehdise Milaade Aisa Na Ho Aaqa Mera Halmin Kii Sada De

1. Nazron Ko Meri Laayake Deedaar Banaade Parda Jo Paraa Hay Meri Ankhonse Hataade Haadi Ye Zamaan Kaa Mujhe Purnuur Dikhaade

2. Her Eek Nishaan Kufro Zalaalat Kaa Mitaadun Her Raah Me Ek Deep Sadaqat Kaa Jalaadun Iss Khaire Amal Kii Mujhe Tawfiq Khuda De

3. Likhde Meri Taqdir me Maula ki Ghulaami Haasil Mujhe Hojaye Ye E’ejaze Dawaami Har Khwahishe Dunya Ko Mere Dil Se Mitaade

4. Shaamil Rahe Lehje Me Sadaa Harfe Sadaaqat Shamsheer Tale May Bhi Karun Aysii Ibaadat Ay Kaash Mujhe Fatema Zahra Ye Dua De

Page 12: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 10

5. Shabbir Ke Ansaar Me Shaamil Ho Mera Naam Jo Hurr Kaa Ho Mehshar Me Wohi Ho Mera Anjaam Khaake Qadame Hazrate Shabbir Banade

6. Dekhun Na Agar Uthte Huwe Parda-e-Ghaibat Aaye Jo Mere Baad Agar Hazrate Hujjat Turbat Me Abas Koi Mera Shaana Hilaade

7. Khanjar Ki Zuban Kaat du May Sheh rage Jaanse Aawaze Fugha Aane Lage Tiro Kamaase Ek Aisa Tabassum Mere Honthope Sajade

JASHN HAM MANAAENGE Haale ghum sunaaengey jab Imam aaengey Zakhm-e-dil dikhaaengey jab Imam aaengey Mehfilen jamaaengey jab Imam aaengey Baam-o-dar sajaaengey jab Imam aaengey Jashn ham manaaenge (X2) jab Imam aaengey

1. Zakhm hain abhi taaza Makke aur Madeene ke Shaamo Kufa Karbobala hum bhula nahin sakte Jitne dukh uthaaye hain hum ne kalma goyon se Az saqifa taa ee dam ghair se nahi pohnche Ek ekk chukaaenge (X2) jab Imaam aaengey

2. Marhalaa Qayaamat kaa hai zahoor par mauqoof Insedaad-e-joro-jafaa hai zahoor par mauqoof Inteqaam-e-karbobala hai zahoor par mauqoof Ehtemaam-e-roz-e-jaza hai zahoor par mauqoof Hum sukoon paaengey(X2) jab Imam aaengey

3. Shak hai jinko Allah ke adl aur Adaalat par Mansabe Naboowat par Sayyeda ki Ismat par Murtaza ki Ahmed se muttasil Niyaabat par Jin ko shak hai Baaraa par Baarwen ki Ghaibat par Sab hi maar khaaengey(X2) jab Imam aaengey

Page 13: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan11

4. Al ajal’ jo kehte hain aa gaye to kyaa hogaa Kyaa hai apni tayyari pesh hum karenge kyaa Sibte Ja’afer apnaa to kul yahi hai sarmaayaa Soz-o-naat-o-Hamd-o-Salaam aur Manqabat Nauhaa Hum yehi sunaaengey(X2) jab Imam aaengey

AAP PAR DURUUD Aap par duruud or salaam (ay mere Imaam x2) Bas yehi sadaa hay subho shaam (ay mere Imaam x2)

1. Aap hii ke aasre pe jii rahe hay ham Aap aaenge to duur honge ranjo gham Kar rahe hay iltejaa Ghulaam-ay mere …

2. Kar rahe hay iss liye Zuhuur ki Duaa Ho hame bhi teri diid ka sharaf ataa Chaahe phir ho zindagi tamaam-ay mere…

3. Teri raah dekhna fariiza hay mera Manqabat nahi hay ye Ariiza hay mera Par rahaa hun may jo subho shaam- ay mere.

4. Hashr me har eek par ajiib waqt thaa Yaad kuch nahi thaa imtehaan bhi sakht thaa Bach Gaya may leke Teraa Naam-ay mere…

5. Khaanae khudaa Ko qaid se churaaiye Mola aaiye ab aaiye ab aaiye Leke Zulfiqaare be nayaam-ay mere…

6. Aarahe hayn Aap urr rahi hay ye khabar Saamre ki simt me lagi huwi nazar Saj rahe hay Raaste tamaam-ay mere…

Page 14: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 12

7. Tere Naam ka hay ye bhi eek mojizaa Jis ne sidq dilse Teraa Naam leliyaa Us kaa ban gayaa har eek kaam-ay mere..

8. Iss liye tumhaara intezaar hay shadiid Sar uthaa rahe hay phirse waqt ke Yaziid Kaam inka kijiye tamaam-ay mere…

9. Dine Mustafaape ab bhi Tera qarz hay Ham to kya hay Ambiyaa pe jab bhi farz hay Do jahaan me Tera ehteraam-ay mere..

10. Ne’emate bhi Meer Hassan ke naam hogayi Takht or Shaahiyaan ghulaam ho gayi Jab se wo huwa Tera Ghulaam-ay mere…

YAA MOHAMMED ALI

Yaa Mohammed Ali Yaa Fatemaa Zahraa Madad Karne Aawoo…….Duhaai Hay Dilki Yaa Fatemaa Zahraa

1. Mushkil Me Dil Ne Pukaaraa Hay Tumko Sadaa Di Hay Dilne Ghabhraa Ke Tumko Ham Bekas Hay Bibi Kahaan Jaayengee Ham x2 Mushkil Hay Ab Jina………Yaa Fatema……….

2. Yeh Ruh ka Nikalnaa Bahot Hi Hay Mushkil Gunaaho Ke Boj Sarpe Le Jaana Mushkil Hay Ummid Tumse, Azaabon Se Hamko x2 Lahad Me Tum Aake Bachaana…….Yaa Fatema…….

3. Guzarti Chali Hay Ye Zindagi Apni Na Likhi Farishtone Kuch Neki Apni Gunaahon Ka Sarpe Jo Boj Liye Ham x2 Hamaare Gunaah ko Mitaana... .Yaa Fatema...

Page 15: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan13

4. Jo Hazir Yahaan Par Hay Is Waqt Bibi Jo Aaye Hayn Iss Majlis (Miilaad) Me Bibi Inhe Har Balaase Inhe Aafatonse x2 Hameshaa Tum Aake Bachana…......Yaa Fatema... .

5. Jo Bimaar hayn Unko Jald Shafaa Do Bin Awlaad Waalonko Awlaad Dilaado Hay Ummid Tumse Ay Beti Nabiki x2 Haajate Sabki Dilaanaa…….Yaa Fatema…….. 6. Ye Majlise Shaadi Karayi Hay Jisne Ye Mehfile Shaadi Me Aaye Hayn Jitne Inhe Her Balaase Inhe Aafaton Se Hameshaa Tum Aake Bachaana... ..Yaa Fatema……..

7. Hame Kerbalame Ho Jaana Mayassar Zarihe Muqaddas se Ankhe Lagaana Hay Ummeed Tumse Ay Beti Nabiki Sabki Umeede Barlaanaa………..Yaa Fatema……….

Page 16: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 14

APNI QISMAT AAZMAA KER DEKHNAA

Apni qismat aazmaa ker dekhnaa, tum Azaa khaane me aakerdekhnaa x2

1. Mera daawaa hay ujhar sakte nahi x2 Kerbalaa dilme basaakar dekhnaa

2. Sar bulandi chaahteho tum agar x2 Shehke dar par sar jukaakar dekhnaa

3. Ho agar Jannat Zamin per Dekhni x2 Kerbala ekk baar jaakar dekhnaa

4. Aasmaa zere qadam aajayegaa x2 Parchame Ghaazi uthaakar dekhnaa

5. Wo to phir Maula Ali hayn hashr me x2 Martaba Qamber kaa aakar dekhnaa

6. Panjatan Mehmaan khud hojaaenge x2 Farsh Majlis kaa bichaakar dekhnaa

7. Khud Munaafiq kaa pataa chaljaaegaa x2 Haideri naaraa lagaakar dekhnaa

8. Misle ‘Haaris’ dushmane Haider pe bhi x2 Arsh se barsenge pathar dekhnaa

Page 17: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan15

AYSA BADSHAAH

Aysa Baadshaah Husain hai , yaa Husain hai Aysa Baadshah Husain hai (X2)

Ye baat kis qadar hasin (X2) jo keh gaye Moii no Deen, Ke Deen ki panaah Husain hai…. Yaa Husain hai…

1. Chupa huwaa, khazaana thaa, mera kisii ko bhi pataa na thaa, Na aate Paanch, zahuur me to may kisii kaa bhi Khudaa na thaa Meri kul Khudaai hai (X2) Inke rubaru bani, ke Paanchwa gawaah Husain hai.. yaa Husain hai… aysa Baadshaah…

2. Duaaonme, nauhaaonme, jo waastaa Inhe banaaegaa, Bahisht ki, jo raahon kaa , hay waasta Inhe banaaegaa, Na Raaste me mor hai (X2) Na Waaste me mor hai, Aisi sidhi Raah Husain hai …yaa Husain hai…aysa Baadshaah..

3. Suno suno, ye Deen to, Husain kaa hame hii daan hay, Jahaan jahaan, ye Deen hai, wahaan Hussain hukmaraan hay, Paak sar zameenka (X2) Iska har Makeen kaa , Abto Sar baraah Hussain hai…yaa Hussain hai.. aysa Baadshaah Hussain hai..

Page 18: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 16

BANKE SAAIL AAYE HAY

Banke Saail Aaye Hay, Darpe Tumhaare Yaa Hassan Aaj Puure Kijiye, Armaan Hamaare Yaa Hassan

1. Fatemaa Ke Lakhte Dil, Mushkil Kushaa Ke Nuure Ayn x2 Ho Rasullullah Ke, Aankho Ke Taare Yaa Hassan

2. Dastaghire Be Kasaa, Haqne Banaayaa Aapko x2 Kyun Na Phir Koi Musibat, Me Pukaare Yaa Hassan

3. Maalike Kulne Banaayaa, Hay Tumhe Mukhtaare Kul x2 Aap Makhluuqe Khudaa Ke, Ho Sahaare Yaa Hassan

4. Godiyaa Bhardijiye, Sarkaar Behre Fatema x2 Muntazir Hayn Der Se, Daaman Pasaare Yaa Hassan 5. Aapkaa Dar Chor Ke, Jaayen Kahaan Fermaaiye x2 Hay Ye Khaadim Aapke, Mawlaa Hamaare Yaa Hassan

6. Aap Jo Fermaaenge, Maqbule Haq Hoga Wohi x2 Aap Hayn Allah Ke, Pyaaro Ke Pyaare Yaa Hassan

7. Jitne Hay Momin Mariiz, Unko Shafaa To Dijiye x2 Ek Ishaaraa Kaafii Hay, Unpe Hamaare Yaa Hassan

8. Gharse To Ummiid Lekar, Aayaa Hun Mawlaa Hassan x2 Bigri Meri Aap Banaawo, Raaj Dulaare Yaa Hassan

Page 19: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan17

YAA HUSAIN MERI

Yaa Husain Meri Fariyaad Sunlo Apna Rawza Hame Ab Dikhaawo

1. Jitne Aaye hayn Aapke Darpe Kabhi Khaali Phire Nahin Darse Ham Bhi hayn Aapke sab Sawaali Kayse Khaali Phire Tere Darse Sabki Joli Ko Mawlaa Tum Bhardo

2. Jo Hay Bimaar Paate Shifaa Hayn Naa Binaao Ko Nuur Milaa Hay Haath Phaylaake Kabse Khara Hun Taalibe Rehm may Dil Jalaa Hun Mera Daaman Muraadon Se Bhardo

3. Tumne Laakhon Ke Aansuu Hay Poche Tute Dilko Sahaaraa Hay Bakhshe Meri Ummidonko Ab Na Toro Lutf Ki Ek Nazar Hampe Kardo Mawla Imdaad Karneko Aawo

4. Apni Taklif Se May Hun Magmum Kuch Nahin Sujtaa Haal Hay Meraa Aapke Hote Hun Be Sahaaraa Tum Bin Mera Nahin Hay Kinaara May Pareshan Hun Mujhko Bachaawo

5. Mawla Mushkil Kusha Ke Pisar Ho Fatemaa Ke Tum Nuure Nazar Ho Ho Sakhaawat Ke Gehre Samandar Mera Dil Ab Na Tarpaawo Sarwar Behre Maabud Ke Rehm Kardo

Page 20: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 18

HALKIJIYE MUSHKIL

Ab Sarpe Mere Tuut Paraa Kohe Alam hay Aur Charkh Bhi Har Lahza Mere Darpaye Gham Hay Aflaak Ki Gardish Se Mera Naak Me Dam Hay May Qatrae Naachiiz Hun Tun Behre Karam Hay

Hal Kijiye Mushkil Meri Ab Der Sitam Hay Abbas e Ali Tumko Sakina Ki Qasam Hay

1. Takliif Ke Haathonse Mera Haal Hay Zaahir Zillat Mujhe Dikhlaataa Hay Hardam Falake Piir Mohtaaj Samaj Kar Koi Kartaa Nahin Tawqiir Fariyaad Hay Do Daad Meri Baazue Shabbir

2. Iss Waqt Me Howega Mera Kon Madadgaar Is waqt me munis na koi yaar na ghamkhwaar Aaqaa Mere May Kisse Karun Darde Dil Izhaar Sun Lijiye Ab Behre Khuda Yeh Meri Guftaar 3. Har Lahza Sataataa Hay Yeh Charkhe Sitam iijaad Dedeke Mujhe Ranj Bahot Hota Hay Wo Shaad Yaa Hazrate Abbaas Meri Kijiyo Imdaad Fariyaad Hay Fariyaad Hay Fariyad Hay Fariyaad 4. Ab Waastaa Deta Hun Tumhe Shere Khudaa Ka Sun Lijiye Sadqaa Hasane Sabz Qabaa Ka Baad Unke Jo Maydaane Sitam Me Muwaa Pyaasaa Sadqaa Usi Mazluum Kaa Aur Zaynul Abaakaa

Page 21: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan19

YA MUSAE KADHIM HAME

Yaa Musae Kadhim Hame Aafat Se Churaawo Bahre Hasan Husain Musibat Se Bachhaawo

1. Pehle Hay Talab Izne Dukhul Musae Kadhim Kartaa Hun Salaam Kijo Qabuul Musae Kadhim Matlab Mera Howe Husul Musae Kadhim Naa Phernaa Darse Maluul Musae Kadhim

2. Hoti Hay Her Ek Subh Meri Ranjo Alam Me Or Din Mera Guzartaa Hay Bas Saara Hii Gham Me Kuch Suujtaa Nahin Hay Iss Ranjo Mahan Me Hay Kon Siwaa Aap Pukaarun Jise Dukh Me

3 Aayaa Hun Darpe Aapke Orr Kartaa Hun Sawaal Tumhi Mere Haajat Rawaa Ho Fatema Ke Laal Saamaane Ghayb Kar Do Mere Waaste Fill Haal Tal Jaae Jisse Saaraa Mera Ranj Or Malaal

4. Baabul Hawaaij Aapkaa Laqab Hay Aashkaar Thore Hi Baras Pehle ka Hay Kissa Yaadgaar Bimaar Shifaa Paake Gaye Aapse sarkaar Wallah barii rehm kii hay aapki sarkaar

5. Haa Hun May Gunehgaar Khataa Afwa Kijiyo Hota Hun Pashemaan Mujhe Bakhsh Dijiyo Hay Mujhme Nahin Taabe Sazaa Rahm Kijiyo Wallaah Tum Ho Rahm Dill Ab Bakhsh Dijiyo

6. Khaaliq Ne Tume Khalq Ka Mukhtaar Banayaa Bhatke Huwonko Ko Aap Hi Ne Raah Bataayaa May Bhi Hun Pareshaan Karo Lutf Ka Saayaa Orr Dijiyo Jo Aapse May Maangne Aayaa

Page 22: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 20

7. Kyaa Aaj Na Ummid Mujhe Pheroge Darse Aysa Kabhi Huwa Nahin Hay Aapke Gharse Khaali Phiraa Kabhi Nahin Aapke Darse May Hoke Ghulaam Aapka Khaali Phirun Kayse

RAHE WIRDE ZABAAN

Rahe Wirde Zabaan Shiyaa Naade Ali Pare Mushkil To Keh Do Madad Ya Ali

1. Ali Ka Naam Bhi Naame Khuda Raahate Jaan Hay Ali Ka Naam Bhi Naame Hirze Tiflaa Hay Ali Ka Naam Bhi Naame Khudaa Teghe Jawaan Hay Liyaa Naame Ali To Balaa Sab Tali Arshe Aazam Pe Likhaa Hay Naame Ali Pare Mushkil To…….

2. Ali Ke Naam Se Dono Jahaan Me Izzat Hay Ali Ka Zikr Hay Khaaliq Kii Itaa’at Hay Ali Ke Naam Se Ghamghin Dilko Farhat Hay Karo Haqse Dua To Banaame Ali Hogi Haajat Rawaan To Banaame Ali Pare Mushkil To…….

3. Ilaahi Waasta Tujhko Muhammed Mustafa Ka Ilaahi Waasta Tujhko Aliye Murtaza Ka Ilaahi Waasta Hasnain Ka Aur Faatema ka Rahe Imaan Hamaare Salaamat Sadaa Mominon Ko Naho Koi Ranjo Balaa Pare Mushkil To…….

Page 23: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan21

4. Ali Ke Naam Se Ho Mustajaab Sabki Dua Jo Ke Hay Bimar Momin De Unhe Jaldi Shafaa Qayd Aafat Me Jo Hay Yaa Rab Unhe Karde Riha Teri Zaat Hay Paak Khafiyo Jalii Ho Qabul Hamaari Muraade Dili Pare Mushkil To…….

5. Illaahi Ho Jahaanme Nure Rahmat Kaa Wafoor Mehdie Mawuud Kaa Howe Jahaan Me Jald Zuhoor Ho Alam Abbaas Kaa Jalwaa Numaa Rabbe Ghafoor Haath Phaylaake Mahzuu Tu Kar Ye Dua Ya Ali Ho Shafi Mere Roze Jaza Pare Mushkil To…….

YA HAZRATE ABBAS

Ya Hazrate Abbas Rawzepe Bulalo Bahot Dur Hun Tumse Rawzepe Bulalo

1. Roro Ke Teri Jaaliko Ashkose Bhigowun Ab Kon Hay Tere Siwaa (Jo Haal Sunaawun x2) Lillaah Bulaa Lijiyo Kuch Haal Sunaawun Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

2. Shikwaa Hay Tumhise Shikaayat Hay Tumhise Fariyaad Meri Kartaa Hun (Mawlaa May Tumhise x2) Bar Baad Hun Bekas Hun Bataa Dijiye Mawlaa Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

3. Duniyaame Nahin Koi Jise Haal Sunaaye Rote Huwe Aansu Kise (Mawla Ham Dikhaaye x2) Ham Bekaso Laachaar Hayn Ya Abbaase Alamdaar Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

Page 24: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 22

4. Dam Bharme Meri Bigriko Tum Aake Banaado Kashti Hay Bhawar Me Jo Phasi (Paar Lagaado x2) Ye Waqt Hay Imdaad Ka Imdaad Ko Aawo Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

5. Hairaano Pareshaan Hum Majlisme Aaye Hain Fariyaad Apne Dil Mein (Hum Log Laaye Hain x2) Khaali Na Lota Dijiyo Ay Baabul Hawaaej Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

6. Deta Hun Tumhe Waastaa Zainab Ki Rida Ka Uss Shaame Ghariba Me (Sakina Ki Sadaa Ka x2) Bulwaalo Sabko Kerbalaa Abbase Alamdaar Dil Ghamse Bharaa Hay Tumhe Aakar May Sunaawun

7. Kawnain Kii Shahzaadiyon Ka Waasta Tumko Rawzeki Hasin Jaaliyon Ka (Waasta Tumko x2) Ye Majlise Husain Mei Tum Waada To Karlo Hamko Dare Karbal Pe Jaldise Bulaalo

NAAM-E ABBAAS Naam-e Abbas Wasilaa Hay har Dua ke liye. Isme aazam he ye momin Ki iltija ke liye.

1. Mansha-e Zahra iraada-e Ali hukme Jali, Saaniye Jaafar-e Tayyaar hay ghairat kaa Wali. Khud chunaa Khaaliqe (x2) Akbar ne hay wafaa ke liye .

2. Koi maane yaa na mane Hay ye Imaan mera, Naam-e Abbas hai bakshish Kaa hay saamaan meraa. Chashma e faiz hay (x2) ye Dar har ek ataa ke liye. 3. Baab-e shere Imamat(Shahaadat) pe jo bhi aayegaa, Jo bhi

mangegaa qasam Haq kii wo miljaayengaa. Nuska e kimiyaa (x2) he Naam ye shafaa ke liye.

Page 25: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan23

4. Kaha Shabbir ne Zainab Se jo ye khush hokar, May hu Aaftaab jo Sabr kaa Wo Wafaa kaa hain Qamar. Fakhre Haroon hay (x2) aayaate karbala ke liye .

5. Diid kartaa hu Alam par to Qalam ruktaa hai, Yaad aajaate hay Ghazi Mujhe yu lagtaa hai. Ab bhi rota hai ye (x2) Zainab teri Ridaa ke liye.

6. Hum ko Roze pe bulaawo Mere Aaqaa Abbaas, Chuumle aake Zarih ko Mera Aaqaa Abbaas. Behre Masuma (x2) Sakina ki iltijaa ke liye.

BII AALE MUHAAMAD

Bi aale Muhammadin urifas sawaabu, Wa fi Abyaa ti him nazalal kitaabu.

Shuru kartaa hun may Naame Khudaase Ba Naame Panjatan Ehle Kisaa se

Salaam Tumpar rahe Binte Payambar Rasule Paak ki Paakizaa Dukhtar

Banaayaa hai muhabbat me Tumhaari Khudaa ne Aasmaa Duniyaa ye saari

Iraada kar chukaa hay Rabbe Akbar Rahe har rijs se ye Ghar Motah-har

Har ek Haajat me ye Haajat rawaa hayHar ek Mushkil me ye Mushkil kushaa hay

Aliyyun durru waz zahabul Musaffaa, Wa baaqin Naasi kullo humut Turaabu

Page 26: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 24

ALI KE SAATH HAY

Ali Ke Saaath Hay Zehra Ki Shaadi Sabhi Khush Hain x2 Khudaai Bhi Khudaa Bhi

1. Larka Hay Khuda Ke Gharka, Larki Hay Nabi Ke Gharki. Wo Arzo Samaa Ka Maalik, Ye Malika Behro Barki. (Zamii Raksaa x2) Hay Raksaa Aasmaa Bhi

2. Ab Chaahe Koi Bharke, Ab Chaahe Koi Tarpe. Ab Meri Balaase Chaahe Marjaaye Koi Jal Jal Ke. (Khushi Ki Baat x2) Thi Maine Sunaadi

3. Baaraat Chali Haydar Ki, Rehmat Ke Saaye Saaye. Baaraat Ke Aage Aage, Qur’ane Qasiide Gaaye. (Nabi Saare x2) Chale Bankar Baraati

4. Dunya Ne Sawaaraa Khudko, Andaaz Naye Apnaaye. Tehziibne Zewar Badle, Malboos Naye Silwaaye. (Mehek Uthi x2) Nasabki Paak Waadi

5. Kayse Ho Bayaa Wo Manzar, Jab Khatm Huwi Sab Rasmen. Qawnainki Har Shay Gohar, Kehti Thi Kha Kar Qasme. (Mubaarak Hay x2) Mubaarak Hay Ye Shaadi

6. Tohfe Me Mile Maykese, Inhe Kauser Or Jannat to Ye Saaraa Namak Or Paani, Haq Mehr Mila Zehra Ko (Salaami Me x2) Mili Marzii Khudaa Kii

7. Qudrat Ki Taraf Se Inko, Abhi Tohfe Or Milenge Kal Inke Hasee Aangan Me, Do Asli Phool Khilenge (Hasee Shajre x2) Jinhe Denge Salaami

8. Dharti Ne Bichaayaa Sabzaa, Suraj Ne Ujaale Baante Khud Daste Khuda Ne Shabke, Aanchal Me Sitaare Taanke, (Huwi Rangeen x2) Jo Thi Taswiir Saadi

Page 27: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan25

MARTHIA

AY GHAIRATE MARYAM

Ay ghairate mariyam tujhe baazaar me laana, Naa bhuul sakega ise taa Hashr Zamaana

1. Kyu Zainabo Kulsuum ki, chinti hain Ridaayen x2 Jaawo are logo mere Bhaai ko bulaana.

2. Jis Gharpe Salaami diya , karte the Payambar x2 Thehro ay Musalmaano wahi Ghar na jalaana

3. Tu dukhtare Zehra hay Nawaasi hay Nabi kii x2 Baazaar me sar nange Tera khutba sunaana

4. Nind aaye bhalaa kayse Sakina ko zamii par x2 Tune hi sikhaayaa use Siinepe sulaana

5. Islaam pe do Betonko qurbaan kiya hay x2 Qismat me Teri likha hay ye daagh uthaana

6. Ai Dukhtare Haider woh Qayaamat ki gari thi x2 Sar nange Tera Shaam ke Darbaar me jaana

7. Hay Majliso Maatam ki bina Tere hi Damse x2 Paaya hay Azaadaarone Bakhshish ka bahaana...

AY KERBALA HUSAIN Ay Kerbala Husain Ke Gham Ko Na Bhulaana (Warna Tujhe Bhi Saaraa x2) Bhulaa Dega Zamaana

1. Inn Rait Ke Urte Huwe Zarraat Se Kehnaa (Asgher Ki Yehi Qabr Hay x2) Usko Na Mitaana

Page 28: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 26

2. Khaymese Nange Paaun Chalii Kis Tarha Zainab (Ye Baat Alamdaar Ko x2) Hargiz Na Bataana

3. Tujh Ko Kiyaa Hay Kerbobalaa Kis Ne Muallaa (Ye Khun Hay Rasuul Ka x2) Isko Na Chupaana

4. Ay Chaand Sitaaro Ali Akber Ki Shahaadat (Sughraa Ko Na Rasuul Ke x2) Rauzepe Sunaana

5. Baalon Se Rukh Chupaae Huwe Jaati Hay Zainab (Ay Tez Hawaa Inko Na x2) Chehrese Hataana

6. Nehre Furaat Kii Ye Taraptii Huwi Mawje (Abbas e Alamdaar Ko x2) Surat Na Dikhaana

7. Pyaasa Hay Teen Roz Ka Nanna AliAsgher, (Paani Ke Ewaz Teerse x2) Isko Na Sulaana

8. Dekho To Zara Ghor Se Akber Ko Laeeno, (Hamshakl Hay Rasuul Ka x2) Barchi Na Lagaana 9. Kis Tarha Jaaye Shaam Ke Baazaar Me Zainab, (Sar Nange Nabi Zaadi Hay x2) Chaadar To Urhaana

10. Roti Hay Apne Baaba Ko Zindaan Me Sakina (Urti Huwi Hawaawo x2) Baabaa Ko Bulaana

11. Ab Jaati Ho Zainab To Ye Ek Baat Bhi Sunlo, (Haatho Ke Zakham Ghazi Ko x2) Hargiz Na Bataana

JAB YAAD SAKINA KO Jab yaad Sakina ko Teri aati hai Baba Sar Zinda ke deewaaron se (x2) takraati hai Baba

1. Kaanose tapaktaa hay lahu shaanope dekho Zaalim kii aziyat (x2) mujhe tarpaati hay babaa

Page 29: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan27

2. Darbaare Yazidime bhalaa kayse may jaaun Hay chaak girebaan (x2) hayaa aati hay Babaa

3. Jalte huwe Khaymoke nazaare hay nazar me Ye baat khayaalonse (x2) kahaan jaati hay Babaa

4. Marjaaungi pyaasi na kabhi maangungi Paani Asgher kii mujhe pyaas ( x2) jo yaad aati hay Babaa 5. Yaad aate hayn jab Shimr ke wo Zulmo Tashaduud Ye Nannisi Dukhtar (x2) Teri ghabhraati hay Babaa

6. Jab tak Tere Sine se na lag jaaye Sakina Zindaame use nind (x2) kahaa aati hay Babaa

7. Aansu meri Aankhon me nahi thamte Sahar tak Har raat Tere gham me (x2) guzar jaati hay Babaa

8. Hay kon Mere paas jiyun Kiske sahaare Tanhaai meri mawt (x2) bani jaati hay Babaa

BABA YE MUSALMAN

Baba ye musalman, mujhe rone nahi dete Maatam Tera Zindaan me (x2) hone nahin dete 1. Bistar tera Sinaa tha jise chiin liyaa hay Ab god me Maadar ke ye sone nahi dete

2 . Ehsaase Yatimi mujhe Zindaan me huwaa hay Ab khaak pe soti hu to sone nahi dete

3. Thak jaate hai Sajjad to Baabaa tere Qaatil Bimaar mere Bhaayi ko sone nahi dete

Page 30: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 28

4. Marjaaungi Zindaa ke andhere me sisakti Ek kirne ujaale ki ye hone nahi dete 5. Ghash aate hai Sajjad ko pawon me hayn chaale Zanjir judaa tan se ye hone nahi dete

HO GAYE BAAZU QALAM Ho Gaye Baazu Qalam Mashk Bachaai Na Gayi Pyaas Saqaa Se Sakina Ki Bujaai Na Gayi

1. (Jaane Kya Keh Gaye Bhai Se Alamdaare Jari) x2 Laash Abbas Ki Sarwar Se Uthhaai Na Gayi

2. (Laash Andhere Me Sakina Ki Thi Mohtaaje Kafan) x2 Shamma Tak Shaam Ke Zindaan Me Jalaayi Na Gayi

3. (Karbalaa Se Hay Bahot Duur Sakina Ka Mazaar) x2 Aaj Tak Baap Se Beti Ki Judaayi Na Gayi

4. (Laashe Akber Pe Ye Lailaa Ne Kahaa Roro Kar) x2 Haaye Qismat Teri Shaadi Bhi Rachaai Na Gayi

5. (Khatm Hay Sayyade Sajjad Pe Yeh Tarze Jafaa) x2 Phir Imaamat Kabhi Kaanton Pe Chalaayi Na Gayi

6. (Baazue Shaah Me Ek Tiir Thaa Haath Uth Na Sake) x2 Laash Asgher Ki Kaleje Se Lagaayi Na Gayi

7. (Ruk Gayaa Tera Qalam Haathon Tak Aate Hi Waqaar) x2 Mujh Se Abbas Ki Tasweer Banaai Na Gayi

Page 31: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan29

YE MAJLISE HUSAIN

Ye Majlise Husain Alaihisalaam Hay Wo Karbalaake Hayn Ham Kerbalai Hay

1) Ashke Ghame Azaa Hay Har Daur Ka Jawaab Kisko Pata Chupa Huwa Isme Hay Kya Sawaab (Deta Hay Har ek Qatra Imaan Ka Hisab x2) In Ansuo ne Apni Qismat Jagaai Hay

2) Diwaanaa gar Samajhle Duniya Hame To Kyaa Hay Zindagi Hamaari Waqfe Shahe Hudaa (Baaqi To Ham Hay Jab Tak Qaayam Hay Ye Azaa x2) Shamme Wafaase Aysi Bas Dil Lagaai Hay

3) Aao Ke Saath Milke Duniya Ko Chorde Naate Zamaane Bharke Khush Hoke Torde (Haqse Payaame Haqse Ham Dilko Jorde x2) Karbalki Khaakse Ab Hamaari Rasaai Hay

4) Iss Majlise Azaa Ka Dete Hayn Waastaa Hoti Hay Jis Jagaah Teri Rehmat Ki Intehaa (Ab Us Zamine Paak Pe Mawla Hame Bulaa x2) Ummiid Nazima Ki Itni Ilaahi Hay

5) In Majliso Me Hoti Hay Quraan Lavkusha In Majliso Se Milta Hay Jannat Ka Raasta (In Majliso Ki Milti Hay Kuch Aisi Ifteda x2) Zakir Ke Lab pe Pehle Khuda Kaa Kalaam Hay

6) In Majliso Me Hoti Hay Insaaniyat Ki Baat Zikre Ghame Husain Hay Vehdaniyat Ki Baat Ye majlise Rasool Ki Haqaaniyat Ki Baat Rad Karti Hay Ye Majlise Sufyaniyat Ki Baat Inke Sabab To Hur Bhi Alayhisalaam Hay

Page 32: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 30

7) Ek Majlise Azaa Jo Huwi Mulke Shaam Me Zainab Ne Saf Bichaai Thi Yaade Imaam me Aansu Chupe Hue The Shahiido Ke Naam Me Maatam Hua Jo Yaade Shahe Tishnakaam Me Tabse Ghame Husain Zamaane Me Aam Hay

8) Majlis Me Zikre Baali Sakina Kiya Karo Paani Piyo To Yaade Shahe Karbala Karo Majlis Me Tazkira Ali Asgher Ka Jab Suno Ek Aah Sard Bhar Kar Tarap Kar Yehi Kaho Asgher Baraa Shahidon Me Teraa Maqaam Hay

9) In Majliso Ko Ajre Risalaat Kahaa Gayaa Roze Azal Se Rone Ko Fitrat Kahaa Gayaa Dilki Lughat Me Isko Mohabbat Kahaa Gayaa Yaane Ise Batul Ki Sunnat Kahaa Gayaa Har Rone Wali Aankh Ko Mera Salaam Hay

Page 33: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan31

NAWHA

HUSAIN AL GHARIB AL GHARIB AL HUSAIN

Husain Al Gharib Al Gharib Al Husain Shahid Ash Shahid Ash Shahidal Husain

1. (Salaam Ho Tumhe Ay Shahe Kerbalaa Salaam Ho Tumhe Ay Qateele Jafaa x2) Salaam Ho Tumhe Deen Ke Peshwaa

2. (Tum Hi Ho Baqaa e Dine Khudaa Tum Hi Ho Hamaare Imaame Hudaa x2) Tum Hii To Ho Shaafie Roze Jazaa

3. (Kataa Ke Ghala Tune Saabit Kiya Bachaa Ke Ye Din Tune Saabit Kiya x2) Ke Tum Jaanashine Rasule Khuda

4. (Hame Kerbalaa Me Bulaao Husain Hame Apna Rawzaa Dikhaao Husain x2) Bane Ham Bhi Aake Zawaare Husain

5. (Ay Nuure Khudaa Ay Nuure Mustafa Ay Dashte Jigaare Ali e Murtaza x2) Ay Waarise Nuh Khalile Khuda

6. (Ay Arze Husain Karbalaa Karbalaa Ay Arze Husain Naynawaa Naynawaa x2) Ay Khake Shafaa Karbalaa Karbalaa

7. (Salaam Ay Gharibul Watan Assalaam Salaam Ay Asiire Mahan Assalaam x2) Salaam Ay Imaame Zaman Assalaam

Page 34: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 32

8. (Nabuwat Ki Aaghoshme Tum Pale Hidaayat Ka Baazu Pakar Kar Chale x2) Tumhe Dekh Ker Kyun Na Baatil Jale

9. (Imaamat Ke Maahe Munawwar Ho Tum Tamannae Mehbuube Daawar Ho Tum x2) Jigar Bande Zahra Wa Hayder Ho Tum

10. (Madinese Tumko Churaaya Gaya Gharibul Watan Yun Banaaya Gaya x2) Sitam Par Sitam Tumpe Dhaaya Gaya

11. (Tumhaara Hay Ehsaan Islaam Par Na Hote Kahin Tum Jo Sinaa Sipar x2) Na Leta Koi Naam Bhi Bhul Kar

12. (Kahaan Hay Wo Mashk Kahaan Hay Alam Kahaan Hay Chacha Or Kahaan Hay Alam x2) Sakina Ko Paani Nahin Milsaka

13. (Shabbir Ki Sajdeme Gardan Kati Sajjaad Ke Paaun Me Beri Pari x2) Sakina Hay Qaid Me Roti Rahi

14. (Mazaare Nabi Jab Laraz Jaaega Bahan Jab Teri Wo Karegi Bukaa x2) Kahaan Hay Chacha Aur Kahaan Hay Pidar

15. (Woh Jhalte Huwe Khaimagah Khaimagah Tarapne Lagi Laasha e Shohadaa x2) Saronse Jo Chini Gayi Thi Ridaa

Page 35: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan33

DHAL GAYA SURAJ

Dhal gaya Suraj Shamma jali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare. Baanu pukaari kokh jali, Nanna mera Asgher kaha gayaare

1. Raat andheri sunsaan Ban, dhundhu kahaa tujhe ay Gulbadan, Roro pukaari Maa diljali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

2. Waqte madad hay Mushkil kushaa, mushkil karo hal Behre Khudaa, Tumhi bataao Mawla Ali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

3. Jangal me kis jaa Tu khogayaa, Jula hay khaali ay Mehl qaa, Kisko julaae Amma teri, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

4. Ye to bataade ay Hurmalaa , cheda hay kyu tune Nanna ghalaa, Dubi hay khunnme nanni kali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

5. Teri zamii par ay Kerbalaa, gum hogayaa hay Bachaa meraa , Dhundh rahi hu gali gali , Nanna mera Asgher kahaa gayaare

6. Dukhyaari Maadar jaaye kahaan,wiraan lagtaa hai Saaraa Jahaan, Karti hui aaho zaari chali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

7. ‘Saaleh’ na pucho maqtal ka haal, kaasir zuba hay kehna muhaal, Asgher ke ghamme hai be kali, Nanna mera Asgher kahaa gayaare

PARDA DUNIYA KO Parda duniya ko sikhaane waali aayi baazaaro me Zainab Gharse baahar bhi na jaane waali x2 Aayi baazaaro me Zainab

1. Jisne baabaa se churaaye the kai baar Aseer x2 Qaidi aazaad karaane waali x2 Aayi…

2. Deen ki khaatiir ye Bibi saalaar bani x2 Banke Abbaas dikhaane waali x2 Aayi..

Page 36: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 34

3. Jalte khaimose uthaa laayi Abbaas ke baad x2 Ali Aabid ko bachaane waali x2 Aayi..

4. Nange sar parti rahi Khutbe Baazaarome x2 Kasre Dushman ko hilaane waali x2 Aayi..

RAAJ DULAARAA ZAHRA KAA

Raaj Dulaaraa Zahra ka, Zakhmi hay aur pyaasaa hay Buund nahi hay paani ki, Khun kaa darya behta hay.

1. Kitni muraado se paalaa, Piiske Chaki Zahra ne Ayse muraado waalekaa, jalti zami par laasha hay.

2. Khushk ghale par Shimre lain kyun, Pher diya khanjar tune Jisko Nabi ne pyar kiya, tune ghala wo kaata hay.

3. Nehr kinaare khaime jhale, Rote rahe Bache pyaase Kerbobala ke jangal me, khoon ka baadal barsa hay.

4. Khoonme dubaa aaya Alam, Kyun na kare Zainab Maatam Nehr pe qabza karke bhi, Aaj bhi Saqqa pyaasa hay.

5. Khaake Sinaah Akber to gaye,Dashte balaa say Kauthar par Burhaa baap jigar thaame, Kerbobala me rota hay.

6. Asgher ko paani na milaa,Tiire sitam ne cheda ghalaa Mowt bhi rokar kehti hay, zulmo sitam ye kaisa hay.

7. Khaae tamaache Bachi ne, Shaame Ghariba jab aayi Baandha gayaa rassi me ghalaa, Aag se daaman jaltaa hay.

8. Chaadare Zainab chini gayi, Kerbobala ke sahraa me Haath bandhe hay rassi me , Baalo say ab pardaa hay.

Page 37: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan35

SAAYE ME SAYYEDA KE

Saaye me sayyeda ke, Azaadaar rahenge Jab hoga sawaa neze pe khurshido qayaamat

1. Bartaa hi chalaa jaayenga Shabbir ka maatam Qaaid jo gham-e Sheh ke, Alamdaar rahenge 2. Hum Qabr me sojayenge jab, be khabari se Maatam ke nishaa ruh, me be daar karenge 3. Har chiz- ko duniyaa me fanaa, hona hai ek din Qaayam ghame shabbir ke aasaar rahenge 5. Janat me agar Majlise Shabbir na hogi Ham Ehle Azaa khuld se bezaar rahenge 6. Be jaan khudaao se kahaa, Binte Asad ne Kaabe me to ab Haidar e Karraar rahenge 7. Ek baar zara Naam e Ali, leke to dekho Mushkil me Madadgaar wo har baar rahenge 8. Zainab kaa khule sar bhare Darbaar me jaanaa Sajjad isi dard se bimaar rahenge 9. Wo mashk kaa chidna wo sakina kaa bilaknaa Abbas ke sine pe, sadaa waar rahenge

Page 38: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 36

UTHO AKBAR

Qaasid ko leke aaye hayn maqtal mei jab Husain Zakhmon ka ek hujuum tha Maula ke saath me Akber ki laash uthi hai taazim ke liye Aakhir Bahan ka khat jo tha Maula ke haath me Bete se keh rahe the ke behnaa ka khat suno Hai karb kaaenaat ka har ek baat me Utho akber, khat aaya hai, khat aaya hay Utho Akber, khat aaya hay

1. Khat me likhaa hay pehli satar par, ay mere pyaare Bhayya Akber, meri dua hai ay mere bhayya, tujhpe ho qurbaan teri Khwaahar, aanchal dua ko phailaaya hai Utho Akber, khat aaya hay

2. Puchaa hay Beta teri Bahan ne, Akber ko sehra kaisa lagaa hay, Hasrat se usne ye bhi likha hay, sehre me chehraa kaisa lagaa hay baaton ne uski tarpaaya hay Utho Akber, khat aaya hay

3. Kisne lagaayi Akber ko Mehndi, kuch to bataao ay Baba jaani, Shaadi kaa jhoraa jab usne pehna, kaisi lagi thi uski jawaani, aisa woh meraa Maa Jaayaa hay Utho Akber, khat aaya hay

4. Usne likhaa hay Akber ke dam se, kaisi saji hay Karbal ki Waadi, Puchaa hay usne me jo nahi thi, kaisi rahi hay Akber ki Shaadi, Akber pe kaisa roop aaya hay Utho Akber, khat aaya hay

5. Abbas chaachaa ki takbeer sunkar, maidaan saaraa dahalta to hoga, Baali Sakina ki ungli pakar kar, ab meraa Asghar chaltaa to hoga, uska bhi Kurtaa bhijwaaya hay Utho Akber, khat aaya hay

Page 39: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan37

6. Khaane lagi hay dilko udaasi, mushkil huwaa hay ab meraa jina, Betaab raahe khaamosh galiyaa, sunsaan Aangan viraan Madina ek hu kaa aalam saa chaaya huwa hay Utho Akber, khat aaya hay

7. Dekhaa hay maine ek khwaab jisme, giryaa kunaa hai saari Fazaaen, Dekhaa hay maine Daryaa lahu kaa, bikhri huwi hay jisme Ridaaen, meraa kaleja ghabraaya hay Utho Akber, khat aaya hay

8. Sughraa ko ab me likhne lagaa hun, Akber se milne ki ummeed choro, ab umr bhar hay maatam hi maatam, har shaad choro har Eid choro, tumpe ghamon ka ab saaya hay Utho Akber, khat aaya hay

9. Farhaan tumpe lamhaa ba lamhaa, Akber ki ujri Behen ka karam hay, Shoukat ke haathon pe Akber ke damse, har waqt maqtal shanaa sa Qalam hay, nauha usi ne likhwaaya hay Utho Akber, khat aaya hay

YA ZAINAB-E-KUBRA

Yaa Zainab-e-Kubraa Ay Bibi Baaniye Azaa, payghaam Karbala teraa, jisne sunaa yahi kahaa Yaa Zainab-e-Kubra

1. Tegh khutbo ki barsare Darbaar, jaise chalti ho Haideri talwaar, kat ke ghirte the Zaalimo ke jigar, jang-e-khaiber kiya teri lalkaar Yaa Zainab-e-Kubraa Ay Bibi Baaniye Azaa, Deene Rasool bach gayaa, Quran ki thi yehi

sadaa Yaa Zainab-e-Kubra

2. Yaad aata hai Shaam kaa manzar, Bibi sarpe tere na thi Chaadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar . Yaa Zainab-e-Kubra

Page 40: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 38

Ay Bibi Baaniye azaa, sadma thaa ye bahot baraa, roya Sar-e Shahe Hudaa Yaa Zainab-e-Kubra

3. Tune bacho ki di hai qurbaani, haaye ye tera Zoqe Imaani, pyaase Bhayi ki yaad me tune, khun bahaayaa hay Aankh kaa paani . Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baaniye Azaa, ye zabt hoslaa teraa, Neze pe sar pukaarta. Yaa Zainab-e-Kubraa

4. Tere dar par ye istighaasaa hay, jo bhi Farshe Azaa pe rotaa hay, us pe saayaa kare Teraa Ghaazi,wo jo Mushkil kusha ka Betaa hay . Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baaniye Azaa, hum Momino ki ye dua, Ashke Azaa ka

waastaa Yaa Zainab-e-Kubra

5. Kitne maqrooz Maatami hay tere, qarz tu ghaib se adaa karde, Bibi tu to Sakhi ki Beti hay, tu to Muflis ko Baadshaah kar de Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baaniye Azaa, tu Innama tu Hal Ataa, kehta hay sar jukaa huwaa Yaa Zainab-e-Kubra

6. Qaid be jurma jo hai Maatamdaar, misle Mazloom Aabide Bimaar, unko aazaadiyo kaa tohfaa de, aaj tu misle Haidar e Karrar. Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baaniye Azaa, hum ko hai Tera aasraa, Ghairo se maangnaa

hai kyaa Yaa Zainab-e-Kubra

7. Tere Bhaayi ne jaise Rahib ko, Saat bete ataa kiye phirto, tu bhi Hamsheer Us Sakhi ki hai, dede Awlaad chaahiye jisko Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baniye Azaa, awlaad aysi kar ataa, ho wo bhi Maatami teraa Yaa Zainab-e-Kubra

8. Waasta us Aseer Bachi kaa, rassiyo me bandha thaa jiska ghalaa, wo jo pyaasi thi mar gayi pyaasi, koyi Bacha na ab rahe pyaasa.

Page 41: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan39

Yaa Zainab-e-Kubra Ay Bibi Baaniye Azaa, har Sabeel par likhaa, kehtaa hai khun bhayi

ka Yaa Zainab-e-Kubra

YA ZAHRA Yaa Zahra

Ay meri Bibi (x2) Tere dar pe istighaasa hai Tera mamnoon, meri Shehzaadi ye Jahaa(n) saara hai (Ya Zahra) (x2)

1. Tere Baba ki jo wasiyyat hai Uspe Ummat ko kyu(n) shikaayat hai Aur Tehreer jo huwi tukre Wo ibaaraat, Teri muhabbat hai (Ya Zahra) (x2) Ay meri Bibi (x2) Khatm tumpe hi ibadat hai, Mere sajdo(n) ko teri

ulfat ka hi sahaara hai (Ya Zahra) (x2)

2. Tere bacho(n) se jisko pyaar nahi, Wo tere gham ka talabghaar nahi Kheyl samjhe na wo tere gham ko Ye ibaadat hai kaarobaar nahin (Ya Zahra) (x2) Ay meri Bibi (x2) Ye khulus hai Darvaisho(n) ka, Jinki Tasbeeh tere

Bacho(n) kaa gham manaana hai (Ya Zahra) (x2)

3. Waqt-e-aakhir hay bas meraa Bibi, Anginat hay mere gunaah Bibi, Waasta tujhko tere Bacho(n) kaa, Bakhshwaana mere gunaah Bibi (Ya Zahra) (x2) Ay Meri Bibi (x2) Lab pe ye, dua hamari hay, Arsh me bhi bapaa ho

Maatam ye Dil pukaara hay (Ya Zahra) (x2)

Page 42: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 40

LABE FARAAT-E-ALAMDARE

(Hai Alamdar, hai Alamdar) x2Labe Faraat Alamdare Karbala aayaa(Wafaa ko naaz hay jis par) x2 wo Baa Wafaa aayaa 1. Ali kaa ehde jawaani palat ke aayaa hay Isi liye pare Jibril thartharayaa hay Alam kaa noor zamin se Falak pe chaayaa hay (Zamin pe phir Abu Taalib) x2Ka naqsh paa aayaa

2. Jari kaa sinaa hay yaa-ilm kaa madinaa hay Ali ka Taaj Shuja-at kaa ye Naginaa hay Sakina pyaasi hay dil misle aab ginaa hay (ye Mashk hay yaa uthaye) x2 huwa fughaa aayaa

3. Ise hawaa nami ki namak ghawaara nahi Qadam taraayi me ye soch ke utaara nahi Kabul paani kaa ghazi ko is se aara nahi (baghayr tegh jo larta) x2 wo baawafaa aayaa 4. Ali kaa aqs hassan ki shabaahato kaa ameer Abu turab kaa beta hay taajdaare zameen Salaam karte hay usko tamaam Arsho Nashi (Wafaa pukaar rahi hay) x2Mera khudaa aayaa 5. Taraayi Qabzeme ankho me pyaas bacho ki Likhi huwi hay pharere pe aas Bacho ki Hay fikr Ghazi ko har dam udaas Bacho ki (Wo khaymagah ko mur mur ke) x2 Dekhta aayaa

6. Is ehtiyaat se dariyaa se mashk bhar ke chalaa Labo ko chhu na sake iske sahilo ki hawaa Lagaa ke sine se dilki tarha se Mashkiza (Nikal ke Nehr se yu ibne) x2 Murtaza aayaa

Page 43: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan41

7. Nazar jamaayi sakina alam ko dekh ti thi Dilaase Bacho ko detithi or ye kehti thi Milegaa paani sabhiko mitegi tashna labi (Ye khushk Kuze bharenge) x2 wo Marhala aayaa

8. Ye kya huwaa ke sakina ne aah bhar ke kahaa Alam Chacha kaa Phuphi kyu nazar nahi aataa Ye kehke phenk diyaa apne haath se Kuza (Udhar se Fazl bhi kartaa) x2 huwaa bukaa aayaa

9. Sadaa fizaa me ye gunji husain adrikni May ghirgayaa mere baazu kate hay Mashk chhidi Husain bole kamar meri juk gayi Ghaazi (Mere nasib me ye gham) x2 Bahot baraa aayaa 10. Kabhi ridaa kabhi baazu ko dekhti thi bahan Tasawaraat me Zainab ke thaa Ali kaa sukhan Ridaa chinengi bandhengi kalaaiyo me rasan (Ye soch kar dile Zainab)x2 Me Khauf sa aayaa

Page 44: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 42

AY MERE BABA JAAN

Us waqt jabke Zainab Darbaar me gayi thi, Qaari namaaziyo(n) se Mehfil saji huwi thi, Zalim ye puchhtaa thaa Ghaazi teraa kaha(n) hay, baalo(n) se muh(n) chhupaaye Zainab ye keh rahi thi, (Ay mere Babajaan, ho rahi hai Azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2 Majmaye aam me, bewatan be amaa(n), aagayaa Kaarvaan

1. May bhi hu(n) Marziyaa, Binte Khayrun Nisaa, Mere lehje me hay, Baaba teri adaa Naam Zainab mera, tune jo rakhdiyaa, de di apni zubaa(n) 2. Babajaan me ridaa maangti reh gayi, Baamo dar saj gaye, jiteji margayi, Halqaye Shaam me, naam sunkar meraa, margayaa Naatawa(n)

3. Haath kaano pe hay, neel gaalo(n) pe hay, Aur nisha(n) jo Sakina ke shaano pe hay Har nishaan se yahi, aa rahi hay sadaa, Baabajaan Baabajaan 4. Shaam e aashur se, shaamo Kufaa talak, Maine maangaa nahi hay kharaaje Fadak, Meri chaadar se hay, meri Maa ka suku(n), sunle Zaalim

Jahaa(n) 5. Baabajaan yeh Teraa aakhri thaa bayaan, Teri chaadar bachayegaa Ghaazi Jawaa(n), Margayaa Baawafaa, chingayi hay Ridaa, kehti hain Bibiyaa(n)

6. Ruk na paaya mere Baawafaa kaa wo Sar, Noke neza se aane laga khaak par, Behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paaya Jawaa(n)

Page 45: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan43

7. Kal thi Maa aaj main bhi hu(n) Darbaar me, Misle Zahra khari hu(n) me Aghyaar me, Us taraf hai Shaqi, is taraf rehgayi, bepadar Betiya(n)

8. Aysaa khutbaa diyaa maine Darbaar me, Likh rahaa hay jo “Yaawar” tere pyaar me, Lehjaye Haydari, har Azaan ke liye, hai Sadaaye Azaa(n)

AKBARE MAN NAWJAWAN

(Akbar-e-man nawjawaan) x5Ay mere Raahate jaan Akbar e man naujawaan (x2) tujpe qurbaan ye Maan (Akbar-e-man nawjawaan) x4

1. Saal athaarwaa kya banke qayaamat aaya, Chaand se sine pe pardes mei neza khaaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri Jaan. Akbar-e-man nawjawaan

2. Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujhko Kausar ki taraf leke teri pyaas gayi, mei tarapti hun yahaan, ay mere Raahate Jaan. Akbar-e-man nawjawaan

3. Waada Sughra se kiyaa tha jo chale the gharse, lout aaunga bahot jald may tujhse milne, dhundti hai wo bahen, Tere qadmon ke nishaan. Akbar-e-man nawjawaan

4. Tumko athaaraa baras naazon se jisne paala, Wo Phuphi beton se barkar tujhe jisne chaahaa, kehti hai laut ke aa, ho gayaa Waqte Azaan. Akbar-e-man nawjawaan

5. Khaake sine pe sina sota hai tu Lakhte Jigar, Tere bin zinda na rehpaaegi teri Madar, uske haathon mei rasan, jiska ho Laal Jawaan. Akbar-e-man nawjawaan

Page 46: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 44

6. Aagayi gyaara Moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaaye ye Maa. Akbar-e-man nawjawaan

7. Touq karta hai fughaan karti hai maatam Zanjeer, ashke khun rote hai neze pe Janabe Shabbir, paaye Sajjad ke hain, aable nauha kunaa. Akbar-e-man nawjawaan

8. Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi kuch aise ran mei, roya “Rehan” Qalam, likh ke Laila ka bayaan. Akbar-e-man nawjawaan

AAKHRI RAAT SAKINA KI

(Aakhri raat Sakina ki) x2 (Haay haay haay) x 3 (May khaak pe sojaungi) x2 haa(n)kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

1. Kehti hu ke chehraa hi dikhaa jaayiye Baaba Marne se mere pehle hi aajaa iye Baaba Pehlu me chupaane ko kahan kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi haa kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

2. Baaba mera bachpan kaa taqaazaa to nahi tha Khaabo me khilone the janaazaa to nahi thaa Godi me khilaa ne ko kaha(n) kehti hu Baaba May khaak pa sojaungi ha kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

Page 47: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan45

3. Baaba mere zakhmon ki dawa kon karegaa Ab Jaan Sakina ko bhalaa kon kahegaa Pehlu me chupaane ko kaha(n) kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi ha kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

4. Zindaan ke andheron me sulaa kyun nahi dete Baaba mujhe marne ki dua kyun nahi dete May lori sunaaneko kaha(n) kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi ha kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

5. Marjaawu agar Baaba tera Shaam ho aanaa Bimaar akela hay janaaze ko uthaanaa Godi me uthaane ko kaha(n) kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi haa kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

6. Koi bhi nahi aansu mere ponchne waalaa Sarpe nahi haathon ko koi pherne waalaa Baahon me chupaane ko kaha(n)kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi haa kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2

7. “Armaan” Sakina ke yahi bayn the haaye Main kehti rahi Baaba magar Aap na aaye Turbat bhi banaane ko kaha(n) kehti hu Baaba May khaak pe sojaungi ha kehti hu Baaba (Sine pe sulaane ko kaha(n) kehti hu Baaba) x2 Baba ko rone waali , Sine pe sonewaali (Sakina guzar gayi) x3

Page 48: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 46

BETA HAI TU ALI KA

Beta hai tu Ali Ka, Zahra ki tu Dua hai Shabbir tera Aaqa, Ummul Baneen Maa hai Har Surato chalan mai Haider se na juda hai Ta hashr tuj se qaayam dunya main bas wafa hai (Abbas, Abbas, Abbas) x2

1. Tere Alam ko thaame, Har shakhs keh raha hai Mazloome Kerbala ka, Zainab ka waasta hai Pardesi koyi aysa, Pardes me na ujde Sadqe mei uske jis ka, Ghar baar lutgaya hai (Abbas, Abbas, Abbas) x2

2. Us waqt jabke Zainab, Darbaar mei gayi thi Qaari Namaazion sey, Mehfil saji huwi thi Zaalim yeh puchta tha, Ghaazi tera kaha hai Baalo se muh chupaaye, Zainab yeh keh rahi thi

(Abbas,Abbas,Abbas) x2

3. Taqdeer ke sataaye, tere dar pe sar jhukaaye Ashko ki iltija ham, Ghaazi tuje sunaaye Beemaare saaribaan ke, Zakhmo ka waasta hai Jitne bhi khasta dil hai, Mowla shifaa wo paaye (Abbas, Abbas, Abbas) x2

4. Dil ki muraad Ghaazi , tere Alam se paaye Roti huwi jo maaen, Tere Alam pe aaye Zahra ke darde pehlu ka, Deti hai waasta Fizza ki kaneezi mei, Mera bhi naam aaye (Abbas, Abbas, Abbas) x2

5. Shaame Ghariban mei jis, Ka kurta jalgaya hai, Kaano se baaliya bhi, Haaye Shimr legaya hai Is bebasi se Mawla, Bacchi koi na tarpe Farsh-e-Azaa pe rokar, Har dil yeh kehrahaa hai (Abbas, Abbas, Abbas) x2

Page 49: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan47

6. Jitne bhi ashk Maula, qirtaas par gire hai Masuma ki qasam hai, Ghaazi faqat tere hai Wo kuch raqam karu mei, jo naa raqam huwa hai Alfaaz wo ataa kar, “Yaawar” se jo pare hai (Abbas, Abbas, Abbas) x2

AL MADAD MAULA RAZA

(Al Madad, Maula Raza) x2 (Maula Raza) x3 (Al Madad, Maula Raza) x4 Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula Raza) x4

1. Tu hai masiha -e- jahaan, Shaahe Khurasaan hai laqab, yu har Farishta roze par, aataa hai tere ba adab, haa radd nahi hoti tere, Roze pe koi bhi dua Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

2. Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujhse koi, daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to Baabe Ilm hai, tu bhi to hai Mushkil Kushaa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

3. Hai Zaamine Aahu bhi tu, Gul bhi hai tu Khushbu bhi tu, hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu, teri ataaye dekh kar, Dushman ko bhi kehnaa paraa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

4. Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar, kehta hai har Zaair tera, Roze ki jaali chum kar, Mash-had Muqaddas ho gaya Tune jo aaker di Azaa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

Page 50: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 48

5. Tere hi Dastar-Khaan par, hota hai Jannat ka gumaan, Jinno Malak lete hai sab, tere hi Dar se Rotiyaan, Maula tere maqruuz hayn, har ek Ghadaao Baadshaa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

6. Roze se tere duur hain, Ham to bahot majbuur hain, aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se chuur hai, Tujhse kahenge haale dil, izne Ziyarat kar ataa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

7. Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera, Ishke ghame Shabbir mei, maare gaye jo bekhataa, hai Munison Yawar tu bhi, Ibne Shahide Karbala Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula

Raza) x2

8. “Rehan” mujhko hai yaqin, Maula Raza ki zaat se, ye Nokri Shabbir ki, jaaegi ab na haath se, Nauhe likhunga mei sadaa, dete rahenge wo silaa Nana Nabi Dada Ali Dadi teri Khairun Nisaa (Al Madad, Maula Raza) x8

YAA MUSA E KADHIM (Yabna Jaffar, Abur-raza) x2 (Abur-raza) x2 (Ya Musa-e-Kadhim) x2 Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x4

1. Tere baba Imam-e-Sadiq hai Jiske dam se hain Jafferi saare Deen-o-Mazhab, sabak ibaadat hai Ham ko saaye usi ke dar se mile Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

Page 51: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan49

2. Hai karaamaat-e-Murtaza tujhme Saa’ilo(n) ke bhi ye ata tujhme Radd jo hoti nahi kisi surat Saans leti hai wo dua tujhme Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

3. Tum bhi Haajat rawaa-e-Aalam ho Haideriyyat ka Azm-e-mohkam ho Tum dua-e-Janaab-e-Zahra ho Pursadaar-e-Janaab-e-Adam ho Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

4. Bas junoon-o-jabal jila watni Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi Kitne Daana the tere Diwaane Umr bhar teri nokri karli Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

5. Tera beta Imam-e-Zaamin hai Jiske qabze mei Raat hai Din hai Wo khurasaan ka hai Shehzaada Har shifa uske dar pe mumkin hai Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

6. Teri dukhtar hai Qum ki Shehzaadi Uski chowkat pe de sadaa jo bhi Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai Ghamse milti hai usko aazaadi Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

Page 52: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 50

7. Tere Taaboot ki wo tanhaayi Na tha beta ghareeb na Bhaayi Chand Mazdoor aaye ujrat par Laash raste se teri uthwaayi Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

8. Hai Najaf dushmano(n) ke narghe men Karbala Samara ke raste meh Bekafan Momino(n) ke laashe hai Kufr daakhil huwa Madine meh Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

9. Maula Tu bhi Dar-e-Hawaaij hai Tera sikka jahaan me raaij hai Ham to har imtihaa(n) se guzrenge Dene wala Tuhi nata’ij hai Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

10. Tu bhi “Rehan” istighaasa kar Kehke ya Musa yaa bin-e-Jafar Nauha goyi karu Qayaamat tak Aur Ghulaami karu dar-e-Shah par Tu Saatwa Mushkil kusha, Noor-e-Janaab-e-Sayyeda (Ya Musa-e-Kadhim) x2

Page 53: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan51

ZAINAB BINT-E-ALI

Ay Munkaro Nakir sunlo meri sadaa tum ko nahi pataa Zainab ka hu(n) FaqeerYeh Qabr nahi hai(n) uskaa hai Azaa Khana jo Bint-e-Murtaza hai Shab-bir ki Hamshir (Zainab Binte Ali) x8

1. Ay Nakirayn sawaalon ki na bharmaar karo, Farshe Majlis hai yaha(n) aawo adab se baitho Sheh ki majlis hay bapa hukm dete hain yahi (Zainab Binte Ali) x8

2. Tum bhi aate the Dar-e-Binte Ali pe aksar Sajda-e-shukr kiya maine bhi us Chowkhat par Jab bhi Sajde me jabee(n) mein bhi kehta tha yahi (Zainab Binte Ali) x8

3. Kon hai Maula mera tum ko bataataa hu abhi Aawo baitho tumhe Talqeen sunaataa hu abhi Kya tumhe yaad nahi hai madadgaar meri (Zainab Binte Ali) x8

4. Daagh-e-Maatam jo hai tehriir mere Sine par Saath aaya hai mere Tera hawaala bankar Hay Kafan par bhi mere ye ibaadat hai likhi (Zainab Binte Ali) x8

5. Tum ko batlaata hu main Ashke Azaa ki Qeemat Ek Aansoo ke baraabar nahi Baabe Jannat Rone waalo ke liye parti hai Naade Ali (Zainab Binte Ali) x8

6. Sunke ye baat Nakirayn ne Khaaliq se kahaa Ay khuda Banda-e-Zainab hai ye banda tera Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi (Zainab Binte Ali) x8

Page 54: Noor e Irfaan Volume 1

Noor - e - Irfaan 52

7. Hum sawaalaat ke khaatir to nahi aate hai Khayriyat puch ke Momin ki chale jaate hai Khuch nahi kahte use jiski Zaamin ho bani (Zainab Binte Ali) x8

8. Phir Nakirayn ne aapas me ye tey kar ke kaha Chordo saare sawaalaat sunaawo Nawha Par musalsal ye sadaa qabr se aati rahi (Zainab Binte Ali) x8

9. Ay Nakirayn wo Abbas-e-Ali ki Khwaahar Majma-e-Ahle sitam mei ye pukaari ro kar me wohi Bibi hu(n) Jisko kehte hai Nabi (Zainab Binte Ali) x8

10. Baad “Darvaish” ne “Rehan” ye saabit kar di Qabr me unse sawaalaat Nakirayn kabhi aake Kardegi nahi jisse bhi ho raazi (Zainab Binte Ali) x8

Page 55: Noor e Irfaan Volume 1

For the isaale thawaab of:

Marhum Ramzanali Alimohamed MeghjiMarhum Sultanali Kermali Jagani

&Marhuma Zainab Bai Fazal Kermali

Qul Marhumeen

Iltemase duʼa

Page 56: Noor e Irfaan Volume 1

P.O. Box 88, Lumumba Road/Mahiwa St.Tel: 2183100/101, Fax: 2183102Cell: 0754 362 866/0784 233 455

Email: [email protected]: www.sleepinnhoteltz.com