noor-e-irfaan volume 4

44

Upload: noor-e-irfaan

Post on 22-Jul-2016

480 views

Category:

Documents


32 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: Noor-e-Irfaan Volume 4
Page 2: Noor-e-Irfaan Volume 4

ALL RIGHTS RESERVED - TABLIGH BOARD - DSM

COMPILERS:

AKIL MEGHJI & ALIASGHER MEGHJI

VOLUME 4 - 1432 A.H. (2010/2011)1000 COPIES

TABLIGH BOARD, KSI JAMAATP O BOX 233 | DAR ES SALAAM, TANZANIA

TEL: +255 22 2115119 | FAX: +255 22 2127555EMAIL: [email protected] | WEBSITE: www.dartabligh.org

Page 3: Noor-e-Irfaan Volume 4

NOOR E IRFAAN - VOL 4.

Dear Reader,Salamun Alaykum,

Alhamdulillah, with His grace, The Almighty Allah (SWT) & with the wasilah of the 14 Ma’sumin, We, the compilers come up with the Fourth Volume of NOOR E IRFAAN.

We would like to thank all those who have worked behind the curtains into making NOOR E IRFAAN a success.

However still, a human beings capacity, any errors in the script or typing can please be referred to the below:

NOOR E IRFAANPO BOX 88,Dar es salaam, TanzaniaCell:0713 362 866 | 0784 233 [email protected] | [email protected] 2011, Muharram 1432

KEY.

* Any Letter in the bracket is Pronounced Silently E.g: PARWARDIGAAR TU (N) HI RAHIMO KARIM HAY * Any smallcase alphabet should be pronounced silently OR with continuity. E.g.TAABUTa JAB UTHTAA HAY SHABBIR KAA AY GHAAZI E.g. AFTAAB - Normal Way | AAFaTAABa - Reciting way Also; In Urdu Lingusitics, FUFI it to be recited as PHUPHI.

Also Note:

ZEHRa = Poison | ZEHRA = Lady Fatema (a.s)

DUE TO RESPECTABLE TEXT, PLEASE HANDLE WITH CARE

COVER ILLUSTRATION COURTESY OF WWW. NIKAHMATCH.COM

Page 4: Noor-e-Irfaan Volume 4

MUNAJAAT Page No. 1. BAS EEK BAAR 1 2. AJAB RANG PAR HAY 2 3. FATEMAH TERE DARPE 3 4. TUFAA(N) KI KHATAR 35. MAWLAA KI BAARGAAHME 46. MAWLA ALI KA NAAM 57. PAAS HAY JO KUCH 58. YAA RAB DUA KABUL 69. HAYDAR HU(N) MAY HAYDAR 610. DUA KARO 811. AY RABE PANJETAN 912. EK NAJAF ME 1013. DAM BA DAM 1014. HAR EK HAAL ME 1115. ISHKE ALI ME 1216. NOOR KI ANJUMAN 1317. MADAD KIJIYE YAA 1318. ILAAHI BABIMAARE (RECITED IN ALL MAULUD) 14

MARSHIYAS1. AAJ DONO JAHAA(N) ME 162. BAANU YE AABID KO 173. BOHOT RO CHUKI HAY 184. AAJA ASGHER KI JAGAAH 195. BARBAAD HUWA BAAGHE 196. PUKAARA SHEH NE 207. HAAYE SHABBIR KO 218. WOH FAATEMAH ZEHRAA KA 219. KYU(N) KAR JUDA HUWA 2210. BETA ALI AKBAR 2311. MAA PUKAARI 2412. BAAZAAR ME BINTE 2413. MUJRA-EE SHEH NE KAHAA 2514. HAAY WO SHAAH KA 2615. SADA SAKINA KI AAYI 27

Page 5: Noor-e-Irfaan Volume 4

NAWHAS Page No. 1. BAZAAR KE MANZAR 29 2. SAR PIIT KE BOLE 293. JAA RAAHA HU(N) 305. MU(N)H CHUM KAR 316. YAA WAJIHAN 317. JAA RAHA HAY - JAA RAHA HAY 328. HAAYE KERBALAA WAALO 33 9. DHAL GAYA SURAJ 3410. ZULJANAAH HAQBAL 3411. AA DEKH MERE 3512. YAA HUSEIN 36

Page 6: Noor-e-Irfaan Volume 4
Page 7: Noor-e-Irfaan Volume 4

BAS EEK BAAR-IMAME ZAMAANA

AY IMAAME ZAMAAN AAP KAA MUNTAZIR HAY YE JAHAANBAS EEK BAAR BAS EEK BAARAY WAQT KE HUSAIN AB AAJAAO EEK BAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRAA KAA INTEZAARBAS EEK BAAR BAS EEK BAAR

JALWA KARE(N) JAHAA(N) MEIN IMAAME FALAQ WIQAARCHAMKE UFAQ BATUL KE PHIR NURE QIRDIGHARHO JAYE POORA TIIN SO TERAA KAA AB SHUMAARSADYON KE BAAD KHATM HO MAWLAAKAA INTEZAARAAYE(N) NIKAL KE PARDA E GHAIBAT SE ZULFIQAARHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

GHAIBAT KAA PARDAA UNKE UTHAA NE KE BA’AD BHI ILMO AMAL SE KHUD KO SAJAANE KE BA’AD BHIMAWLAA KAA SAATH DENA HAY AANE KE BA’AD BHIJAANA NAHI(N) CHARAAGH BUJHAANE KE BA’AD BHI NAASIR HAY KAWN KAWN YE HONA HAY PHIR SHUMAARHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

HAY MAQSAD- E- HAYAAT YAHI(N) KHAASO AAM KAAAT-KAA HUWA HAY SINEME DAM ISS GHULAAM KAAPOORA HO KHWAAB NUSRATE SHAAHE ANAAM KAABAS EEK BAAR DEKHLU(N) CHEHRAA IMAAM KAASADIYO(N) SE HAY IMAAME ZAMAANAA KAA INTEZAARHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

BAS EEK BAAR DINE KHUDA KO BACHAA- IYE BAS EEK BAAR AMNO AMAA(N) SAATH LAA-IYEBAS EEK BAAR PARDA-E GHAYBAT UTHAA -IYEDAADI KA ROZA KARTAA HAY FARIYAAD AAI-YEPHIR JANNATUL BAQI ME AAJA-E(N)GI BAHAARHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

BABA AB APNE ZAKHM KO DHOTI NAHI(N) HU(N) MEI(N)NOKE MIZHAAN PE ASHQ PIROTI NAHI(N) HU(N) MEI(N)DURRO(N) SE KHOUF AATA HAY ROTI NAHI(N) HU(N) MEI(N)RAATO(N) KO NIND AATI HAI(N) SOTI NAHI(N) HU(N) MEI(N)ZINDAA(N) SE SAKINA KO LE JAAO EEK BAARHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

1

Page 8: Noor-e-Irfaan Volume 4

BAAZAARE SHAAM MEI(N) HAY MASAAEB KI INTEHAPHUPHIYO(N) KE SAR KHULE HAI(N) TO AABID KAA SAR JHUKAAHO JAAYE(N) TAI YEH SAATWE(N) DAR KAA BHI MARHALANAMUSE MUSTAFAA KO JO MILJAAE EK RIDAREH JAA-E BAAKI CHAADARE TATHIR KI WAFAAHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

DEE(N) PAR AMAL TAMEEZ HALAALO HARAAM HOJAZBAA JIHAADE HAQ KA ZAMAANE MEI(N) AAM HO EE-SAARa KAA HAY SHOWK TO PHIR AYSAA KAAM HO BAS EEK BAAR LASHKARE MAHDI MEI(N) NAAM HOHO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

AJAB RANG PAR HAY BAHAARE MADINA

AJAB RANG PAR HAY BAHAARE MADINAHAM ANKHO(N)SE DEKHE DAYAARE MADINA

SALAAMUN ALAYKUM RASULUN KARIMUNSALAAMUN ALAYKUM RASULUN KARIMUNRAHAM KI NAZAR JO TUM HAMPE HII RAKHNA

TUMHE WAASTAA FAATEMAAKI RIDAA KAATUMHE WAASTA MAWLAA MUSHKIL KUSHAA KAAMUJHE TERE DARSE NA KHAALII PHIRAANAA

SARE HASHR AAKAA KARAM ITNAA KARNAAFAQAT TUM HAME APNI KAMLI ME RAKHNAAKHUDA SE HAMAARI SIFAARISH BHI KARNAA

IJAABAT KAA SEHRAA INAAYAT KAA JORADULHAN BANKE NIKLE DUAA E MUHAMMADMUHAMAD BARHAAYE JAANIBE ILAAHI

YE SHURUWAATE SHAADI KI MAJLIS SAJI HAYKHUSHI KII GHARI HAY KHUSHI KAA SAMAA(N) HAY MUBARAK HO TUMKO KHUSHI KAA NAZAARAA

2

Page 9: Noor-e-Irfaan Volume 4

FATEMAH TERE DARPE-BIBI - FATEMA AS

FATEMAH TERE DARPE AAYAA HU(N)DILKE ARMAAN SAATH LAAYA HU(N)

DILME TASBEEH FATEMAH PARH KARSAR JUKAA YE HUWE MEI(N) AAYA HU(N)

JO JHALAA YAA GAYAA THA DARWAAZAAMAY WAHAA(N) BHIIKH LENE AAYAA HU(N)

TERI CHAADAR KE SAAYEME AAWU(N)YE YAQI(N) DILME RAKH KE AAYAA HU(N)

TERE BACHO(N) KAA WAASTAA TUJH KOBHARDE JHOLI MERI MAY AAYA HU(N)

JIS TARAH ROTI DII FAQIRO(N) KODE DUA MUJHKO MEI(N) BHI AAYA HU(N)

JO BHI BIMAAR WO SHAFAA PAAYEYE DUA DILME LEKE AAYA HU(N)

DE DE ZAINAB KE SADQE MEI(N) BIBIHAATH PHAILA-E MEI(N) BHI AAYA HU(N)

KAASH AAWU(N) MAY TERE ROUZE PARDIL MEI(N) ARMAAN LEKE AAYA HU(N)

TUFAA(N) KI KHATARNAAK- H. ABAAS AS

TUFAA(N) KI KHATAR- NAAK HAWAA-O (N) SE BACHAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANABERAA MERA DUBE NA KAHI (N) PAAR LAGAANAAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

MOUJO KE THAPERONE PARESHAAN KIYA HAYTUFAA(N) BAPAA HAYTUM KO MAGAR AASAAN HAY KASHTI KAA BACHAANAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

JOLI MERI BHARDO SHAHE QAWNAIN KAA SADQAHASNAIN KAA SADQAWARNA MERI HAALAT PE HASE (N) GAA YE ZAMANAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

3

Page 10: Noor-e-Irfaan Volume 4

TUM AALE NABI BHI HO AUR AWLAADE NABI BHI WALIYO(N) KE WALI BHIKYA BAAT GHARAANE KI HAY KYA PAAK GHARAANAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

SUN LIJIYE FARIYAAD PAYAMBAR KAA TASSADDUQHAYDAR KAA TASSADDUQRAKH LIJO MERI LAAJ KE DUSHMAN HAY ZAMAANAAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

MEIN BHI HU(N) BHIKHAARI MERI JOLI KO BHI BHARDORAHEM ITNAA TO KARDOMERI TARAF BHI DASTE KARAM APNAA BARHAANAAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

DO BAATO ME(N) SE EEK BHI PURI HO JO AAKAATO PAAR HO BERAAYAA DARPE BULAANA MUJHE YAA KHWAAB ME AANAAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

BE- SAAKHTAA AA(N)KHO SE NIKAL PARTE HAY AA(N)SUUCHAL PARTE HAY AA(N)SUUJAB KERBALAA KO KAAFELAA HOTA HAY RAWAANAAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

HO UMR BASAR MERI YE SARKAAR KE DARPARMAUT AAWE WAHA(N) PARMAWLA MAY AZADAAR HU(N) KARBAL ME BULAANAABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

MAWLAA KI BAARGAAH ME - H.ALI AS

MAWLAA KI BAARGAAH ME GUNEHGAAR AAYE HAY(N)UMMIDWAAR BARSARE DARBAAR AAYE HAY(N)

QASIM KAA WAASTAA ALI AKBAR KAA WAASTADAR DAR KII KHAAKE THOKARE LAACHAAR AAYE HAY(N)

UN PYAARE NANNE BACHO(N) KAA MAWLA HAY WAASTAJIN KE LIYE NEHR PE ALAMDAAR AAYE HAY(N)

UN DONO LAADLO(N) KAA HAY ZAINAB KO WAASTAJO RANME MISLE JAAFARE TAYAAR AAYE HAY(N)

4

Page 11: Noor-e-Irfaan Volume 4

UN MANZILO(N) KAA WAASTA EHLE HARAM KE SAATHJIN MANZILO(N) SE AABIDE BIMAAR AAYE HAY(N)

KUL MUSHKILO(N) KO HAL KARO MUSHKIL KUSHA HO TUMAAKAA TERI ZIYARAT KE TALABGAAR AAYE HAY(N)

DAAMAN GULE MURAAD SE BHARNE KO AAYE HAY(N)ROUZE PE TERE AB YEH GUNEHGAAR AAYE HAY(N)

MAWLA ALI KAA - H.ALI AS

MAWLA ALI KAA NAAMa LIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)TAWSIIFa AHLEBAIT KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

MEHFIL MEI(N) AAJ JAM’A HAI(N) MUHIBAANE AHLEBAITBHAR BHAR KE UNKO JAAMa DIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

DUSHMAN KAA KHOUF AUR NA KHATRAA BALAAO(N) KAANAADE ALI KAA WIRD KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

DAAMAN ALI KAA MO’MINO CHUTE NA HAATHO(N) SETUM SAB KO YE PAYAAM DIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

AWSAAFE MURTAZA KE HAI(N) LIKH KE RAAT DINUQBAA KAA INTEZAAM KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

YEH FAIZ MUSTAFAA KAA KARAM MURTAZA KA HAYZAR-RE KO AAFaTAABa KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

PAAS HAY JO - BIBI FATEMAH AS

PAAS HAY JO KUCH ATAAYE SAY-YADAAHAAJ JO HAM HAY DUA -E SAY-YADAAH

BAANT-TAA HAY KAUSARO TASNIM JOJO BHI BANJAA-E GHADAA-E SAY-YADAAH

DUSHMANE ZAHRAA PE LA’ANAT BESHUMAARISI - ME HAY SHAAMIL RAZAA-E SAY-YADAAH

JIS KI JO AWQAAT THI DARBAAR MEINAPNE KHUTBEME BATAAYI SAY-YADAAH

5

Page 12: Noor-e-Irfaan Volume 4

DIN KE JO JABRASE REHBAR BANEAA-INAA UNKO DIKHAAYE SAY-YADAAH

AAJ HAY ISLAAM KI JISSE BAQAAWOH TOU HAY LOGO (N) RIDAA -E SAY-YADAAH

TASBIHE ZAHRAA KA HAY YE MO’JIZAAAZMATE RAB KO BATAAYE SAY-YADAAH

HASHR TAK KARNI HAY HAMNE TO BAPAAHAY WIRAASAT YE AZAA-E SAY-YADAAH

APNI WIRAA(N) QABR KE DIDAAR KOJAA-E WOH JISKO BULAAYE (N) SAY-YADAAH

LIKH RAHAA HAY JO KALAAM “ALI DEEP” KAAYEH TO SAB ISKO LIKHAAYE(N) SAY-YADAAH

YAA RAB DUA - BIBI ZAINAB AS

YAA RAB DUA KABUL HO ZAINAB KAA WAASTAKARBO BALAA KI SAABIRAA MUZTAR KAA WAASTA

DAR DAR PHIRI BAAZAARON MEI(N) BE MAQNA O CHAADARUS WAARISE TATHIR KI CHAADAR KAA WAASTA

DO LAAL KO NISAAR KIYA RAAHEY KHUDA ME ZAINAB KE DIL KE DAAGHO KE NASHTAR KAA WAASTA

LORI JISEY SUNAATI THI ZAINAB JO PYAARSE US LAADLE MA’SOOM ALI ASGHAR KAA WAASTA

JO HAI(N) MARIZ UNKO SHIFA JALD ATAA HO HAM SHAKLE FATEMAH KE KHULE SAR KAA WAASTA

YAA RAB HAME MA’SUMO(N) KI ZIYARAT NASIB HO MAZLOOME KARBALA KE KATE SAR KA WAASTA

HAIDAR HU(N) ME HAIDAR - IMAM ALI AS

HAIDAR HU(N) ME HAIDAR HAIDAR HU(N) ME HAIDARKEHTE THE ALI KUFE ME YE BARSARE MIMBAR(HAYRAAN HAI DUNYA) X2 KYU(N) MERE MO’JIZE SUNKAR

6

Page 13: Noor-e-Irfaan Volume 4

SURAJ MERE KEHNE PE BHALAA KYU(N) NA PALAT’TAA TAARA MERI DEHLEES PE KAISE NA UTAR-TAA(MAINE HI JALAAYA) X2 THA BUJHAA DETAA ME AKSAR

MEI(N) GHAYB HU(N) DUNYA KO YE IDRAAK NAHI(N) HAYHAA(N) MUJHPE KISI NAAM KAA ITLAAQ NAHI(N) HAY(BAS MUJHKO SAMAJ SAKTE) X2 ALLAH-O-PAYAMBAR

HAY RAB KI SADAAQAT KE HAWAALE MERE BAS MEI(N) QUR’AN MEI(N) ALLAH NE KHAAYI MERI QASME(N)(LAA RAYB LAQAB HAY ) X2 MERAA QURAANa KE ANDAR

IS BAAT KI QUDRAT HAY FAQAT MERE QALAM MEI(N) TASWEER BANAATAA HU(N) MEI(N) MAADAR KE SHIKAM MEI(N)(TAKHLIQ PE KHAALIQ) X2 NE KIYAA MUJHKO MUQARRAR

GAR QATL KIYAA JAAWU(N) TO MEI(N) QATL NA HU(N)GASO BAAR BHI MAUT AAYEGI PHIR BHI NA MARU(N)GA(BEBAS HAI(N) MERE SAAMNE) X2 YE MAUT KA CHAK-KAR

POHNCHE SAR-E-ME’RAAJ NABI JIS GARI LOGO BAS HAATH MEI(N) LAANE KAA WAHAA(N) IZN THAA MUJHKO(JEE KARTA- THAA KEHDU(N) ) X2 MEI(N) YE PARDE SE NIKAL KAR

MAA(N) NE KABHI MARHAB KI YE MARHAB SE KAHAA THAA TU LAAKH BAHAADUR HAY MAGAR US SE NA LARNAA(MAYDAAN ME AAJAAYE) X2 AGAR KOI YE KEHKAR

TUM KISKO DARAATE HO YU(N) NAAM APNAA BATAAKE WOH AUR THE MAYDAA(N) SE JO BHAAG GAYE THE(MEI(N) AAM SAHABI) X2 NAHI(N) AY MARHAB-O-ANTAR

JO LOG SAMAJHTE HAY MEI(N) WALLAHa NAHI(N) HU(N)BAS JAAN LO SAB KUCH HU(N) MEI(N) ALLAH NAHI(N) HU(N)(MA’ABUDa HAY AKBAR) X2 WOH MERAA KHAALIQ-E-AKBAR

ISS WAASTE DUNYA HAY MERE NAAMa SE JALTIKHAATA HU(N) MEI(N) ZAHRAA KI BANAAYI HUWI ROTI(KHAIBAR TO HAY KYAA)X2 RAKHDUN MEI(N) DUNYAAKO PALAT KAR

7

Page 14: Noor-e-Irfaan Volume 4

DUA KARO - IMAME ZAMANA ATFS

DUA KARO KE ZAHURE IMAM HO JAAYEYE ROZ ROZ KAA KIS-SA TAMAAM HO JAAYE

ALI KI TEGH KE JAU-HAR KHULE ZAMAANE PARTAMAAM DUNYA HO ISS TEGH KE NISHAANE PARHO SAARI KHALQE KHUDA MAUT KE DAHAANE PARJO GHAIB MEIN HAY WOH ZAAHIR IMAAM HO JAAYE

SINAA(N) KI NOUK PE UTH-THEGA KALAA-E KHAIBARKAFAN HAWAA KA MILEGA NA KHAAQ KAA BISTARAJAL CHABAATI PHIRE LAASHE MARHABO ANTARJO ZULFIKAARE ALI BE NIYAAM HO JAAYE

KARENGI MOUJE HAWAA DHULM KO RASAN BASTAAZAMINa BAND KAREGI FARAAR KAA RASTAAWO BARSE AAGH JO DARBAARIYO(N) KO HO SAKTAAAGAR ZAMAANE FADAK HAM KALAAM HO JAAYE

HAQIQI SURATE ISLAAM BHI AYAA(N) HOGINIGAAHE ADL ZAMAANE KI PAASBAA(N) HOGIPHIR EK KALMA YAHAA(N) EEK HI AZAA(N) HOGIPAYE NAMAAZ JO HAAZIR IMAAM HO JAAYE

NA SHIRK HOGA NA ILHAAD KUFR KUCH BHI NAHI(N)KHUDA KE DIIN SE AABAAD HOGI SAARI ZAMI(N)HAR EK SAAGARE NAFSE BASHAR MEIN HOGA YAQI(N)MUQIME SHEHRAGE JAA(N) KAA QAYAAM HO JAAYE MAGAR WOH SHEHRAGE JAA(N) JISPE CHAL GAYAA KHANJARMAGAR WOH SAR JO UTHAAYAA GAYAA THA NEZE PARMAGAR WOH PYASE JO HAY IBNE SAAQIYE KAUSARHAR EK ZABAAN KI ZINAT WOH NAAM HO JAAYE

HAYAA BHI ROTI HAY JIS PAR WOH ZAINABE MUDHTARUSE BHI KUCHA BA KUCHA PHIRAAYA BE CHAADARWOH SAYYADAH KI HAY BETI HUSAIN KI KHWAAHARWOHI JO RUU- KASHE DARBAARE SHAAM HO JAAYE RAHE JO PYAASE LABE JUU UNHE ABAD KAA SALAAMQALAM JO HO GAYE BAAZU UNHE ABAD KAA SALAAMJO UNKE GHAM MEIN HAY AA(N)SUU UNHE ABAD KAA SALAAMKHUDA KARE KE SHURU INTEQAAM HO JAAYE

8

Page 15: Noor-e-Irfaan Volume 4

AY RABBE PANJETAN

AY RABBE PANJETAN AY RABBE PANJETAN AY RABBE PANJETAN MERI TUJHSE HAY YEH DUA

PARWARDIGAAR TU(N) HI RAHIMO KARIM HAYQUR’AAN KEH RAHAA HAY ALIYUL AZIM HAYAAWAAZ TUMSE PEHLE HAY ITNA QADIM HAYWAAJIB HAY QAENAAT PE HARDAM TERI THANA

CHAAHAA JO TUNE KHALQa ME PEHCHAAN HO TERITUNE BANAAYI PAANCH SITAARO(N) KI EK LARIUNKI REDHA ME TERI RAZA HAY CHUPI HUWINAARAAZ HAMSE HONA KABHI AALE MUSTAFA

TANHAAIYO(N) KAA TERE RAHAA HAY JO HAMSAFARWOH MUSTAFA JO BA’AD TERE SAB SE MO’TABARHO QARZ JISKA AJRE RISAALAT JAHAAN PARHAR QARZ KARDE GHAIB SE MAKRUZ KAA ADAA

TUJSA ALI BHI KEHTA HAY KHAALIQ JISE ALIUNGLI PAKAR KE JISKI SHARIAT TERI CHALIRAAZIQ HAY DO JAHAAN KA, WALIYO(N) KA HAY WALISADQEME USKE RIZQ ME HO WUS-ATE ATAA

WOH FATEMAH HIJAAB BHI NURI MILA JISEHASNAIN JAYSE JISNE PISAR PAAL KAR DIYERAHMAT BANI JO RAHMATE AALAM KE WAASTETUTE NA MO’MINEEN SE RAHMAT KAA SILSILA

WOH MUSTAFA KAA LAAL JO DEE(N) KO BACHA GAYAATEGHO KO APNE ZERE QALAM SE HARAA-GAYAAMNO AMAA(N) KA DARS JAHAA(N) KO PARHAA GAYAAHAR SIMT USKE SADQE-ME HO AMN KI FIZAA

MA’ABUDa WOH HUSAIN JO MEHBOOB HAY TERASAR KAAT KAR BHI JISKA NA ZAALIM JHUKA SAKAAJISNE ZAMI(N) KO ARSHE MUALLA BANAA DIYAADIKHLAADE HAM FAKIRO(N) KO RAWZAA HUSAIN KAA

MUSHKIL KO TAAL, HAL-LE MASAAIB KO BHEJ DEHAY JISKA MUNTAZIR USI SAAHIB KO BHEJ DEMUSHKIL KUSHAA KE AAKHERI NAAIB KO BHEJ DEHAY SIBTE JAAFER AUR HASSAN KI YEH ILTEJAA

9

Page 16: Noor-e-Irfaan Volume 4

EK NAJAF ME MERA ALI HAY - IMAME RAZA AS

EK NAJAF ME MERA ALI HAY EK ALI IRAAN ME HAYHAMPAL-LAA DONO KI SAKHAAWAT KUDRAT KE MIZAAN MEIN HAY

MAWLA RAZA OR MEHDIE DEE(N) MEIN FARQ YEHI MAA’MULI HAYEK QURAAN KHULA RAKHA HAY EK ABHI JUZDAAN ME HAY

MASHHAD INKE DAMSE MUQADDAS SHEHR HUWA HAY SHEHRO(N) MEINJAISE KE RAHMAAN KA SURAH DULHAN SAA QURAAN ME HAY

NAQSHE QADAM KO CHUMKE UN KE SURAJ REHTAA HAY ROSHANCHAAND KAA CHEHRAA INKI ZIYAASE SURAJ KI PEHCHAAN BHI HAY

MAWLA ALI BHI MAWLA ALI HAY NAADE ALI TO PARKE DEKHNAADE ALI MO’MIN KAA SAHAARA JANG KE HAR MAYDAAN MEIN HAY

EK RAZA EK SHERE KHUDA HAY EK SHAJRAA EK ADAAJANNAT KE MEWO(N) KAA MAZAA DONO KE DASTARKHAAN MEIN HAY

DAM BA DAM - IMAM ALI AS

DAM BA DAM ALI ALI PUKAAR HAR KADAM ALI ALI PUKAARTERE SUNE AA(N)GAN MEI(N) KHELEGI BAHAAR DAM BA DAM ALI ALI PUKAAR

DAR BADAR BHATAK NE-KA KYUN YE ROGa PAALAA HAYSAB KE SAB BHIKHAARI HAY KOWN DENE WALAA HAYUSSE MAA(N)GO UNTO(N) KI DEDE JO QATAAR

PAAK HAY LAHU KISKA KISME KYA KHARAABI HAYKON HAY SAQIFAAI KON BUTURAABI HAYPAL ME SAB KE CHEHRESE HOGA AASHQAAR

AAL KI TARHA GAR TU(N) EK QADAM BARHAA-EGADAS QADAM ZAMAANESE KHUD KO AAGE PAA-EGAKYU(N) KE YE NAHI(N) RAKHTE KISIKA UDHAAR

RANJO GHAM KI RAAHO(N) MEIN BAD HAWAAS BAYTHA HAYCHAL ALI KE RAWZE PAR KYU(N) UDAAS BAYTHAA HAYBAS PALAK JAPAK TE-HI HOGA BERAA PAAR

NAAME FAATAHE KHAYBER GAR TERA WAZEEFA HAY PURI HO(N)GI HAR MUSHKIL YE HAMAARA DAAWA HAYKHAALI JAA NAHI(N) SAKTAA TERAA KOI WAAR

10

Page 17: Noor-e-Irfaan Volume 4

PHIR NA KOI GHAM HOGA PHIR NA KOI DAR HOGA MAR BHI JAAEGA LAIKIN PHIR BHI TU(N) AMAR HOGAKARDE APNI JAA(N) MERE MAWLAA PAR NISAAR

CHAAH-TAA HAY GAR TUJSE SAYYADAH BHI RAAZI HO KHUSH HO KHAALIQE AKBAR MUSTAFA BHI RAAZI HO DUSHMANAANE HAYDAR PE KARKE BE SHUMAAR

TUJHKO FAATEMA ZAHRAA KI DUA-E MILJAA-YEKHUD TERI ZIYAARAT KO AMBIYA CHALE AA-YEKARBALAA PAHONCH JAAYE TU(N) JO EK BAAR

ADL OR ADAALAT KA INTEQAAM LENEKOKARBALAAKA AY ”NAAYAAB” INTEQAAM LENE KO AANEWAALA HAY KOI LEKE ZULFIQAAR

BE MISAAL GHAAZI HAY KYU(N) ALAM NAHI(N) DETEAAP KAA SAHAABI HAY KYU(N) ALAM NAHI(N) DETESHAAYAD AAP KO NAHI(N) HAY INPE E’TBAAR

APNI AAQEBAT APNE HAATHO(N) SE SAWAARU(N)GA SHUKRE RAB KE SAJDO(N) ME ZINDAGI GUZAARU(N)GA MAATAMI MEI(N) HOJAAYE GAR MERA SHUMAAR

HAR EK HAAL ME - IMAM ALI AS

HAR EK HAAL ME SHAJRAA ZARUR BOLEGAJO KHUSH NASAB HAY TABARRA ZARUR BOLEGA

JO BE SADAA HAY WO SEHRAA ZARUR BOLEGAKABHI NA BOLNEWAALA ZARUR BOLEGA

ZABAANE MISAME TAMMAAR KI QASAM DEDOALI KE NAAM PE GUNGA ZARUR BOLEGA

KOI BHI BOLE NA BOLE MAGAR KHUDA KI QASAMALI KE BAAREME KA’ABA ZARUR BOLEGA

NIFAAQ CHUP NAHI(N) SAKTAA KABHI CHUPAANE SEHO LAB KHAMOSH TO CHEHRAA ZARUR BOLEGA

TU(N) APNE AYB CHUPAA LAAKHa DUSHMANE HAIDARBURE AMAL KAA NATIJAA ZARUR BOLEGA

11

Page 18: Noor-e-Irfaan Volume 4

KAHI(N) BHI BAAT JO AAYEGI HAQ-QE ZAHRAA KIALI KAA CHAAHNE WAALAA ZARUR BOLEGA

JAHAA(N) MEI(N) PAAYE IMAAMATKI THOKARE AY “GAWAAH”ALI JO CHAAHE TO MURDA ZARUR BOLEGA

GHAME HUSAIN PE GAR AANCH AAEGI KOIYE AANSUO(N) KAA QABILA ZARUR BOLEGA

NA KHUL SAKE(N)GI JAHAA(N) PAR IBAADATO(N) KI ZUBAA(N)TERI AZAAN KA LEHJAA ZARUR BOLEGA

SIPAR HUSAIN KE SAJDEH KI BAN KE AY AKBARTERI AZAAN KAA LEHJAA ZARUR BOLEGA

MUJHE HUSAIN KE BIMAAR NE SHIFAA BAK-SHIWOH HAR SADI KAA MASIHA ZARUR BOLEGA

“WAQAAR” PESHE NAKIRAIN MERI MARQAD MEI(N)MERE LIYE MERA MAWLA ZARUR BOLEGA

ISHKE ALI NE –IMAM ALI AS

ISHKE ALI NE YU(N) MERI BIGRI BANAAYI HAYKAUTHAR BHI HAATHa AAGAYAA JANNAT BHI PAAYI HAY

TAARE NE BHI JABI(N) USI DAR PAR JHUKAAYI HAYSHAAHI SE BHI BALANDa JAHAA(N) KI GHADAAYI HAY

SHERE KHUDASE JANGa KI DILME SAMAAYI HAYMARHAB KO AAJ USKI KAZAA GAR LAAYI HAY

MEI(N) HUN GHULAAMa AUR MERA AAKAA HAY WOH ALIKABZE MEI(N) JISKE AAJ BHI SAARI KHUDAAI HAY

HAL MUSHKILE(N) WOH KYU(N) NA KARE KUL JAHAAN KIMUSHKIL KUSHA KA KAAM HI MUSHKIL KUSHAAI HAY

AAYI HAY AASMAA(N) SE KITABE(N) TO CHAAR CHAAR TEGHE ALI WOH HAY JO FAQAT EK AAYI HAY

“AKHTAR” WOHI BACHAAEGA MERI BHI AABaRUTUFAA(N) SE JISNE NUHa KI KASHTI BACHAAYI HAY

12

Page 19: Noor-e-Irfaan Volume 4

NOOR KI ANJUMAN - BIBI FATEMAH A S

NOOR KI ANJUMAN FATEMAHMARKAZE PANJATAN FATEMAH

ARSH SE BANKE AAYI HAY TU(N)MURTUZA KI DULHAN FATEMAH

KEHKASHA(N) SE ZIYAADA HASI (N)TERE GHAR KAA CHAMAN FATEMAH

KHULD KAA ARSH PAR HAY DIMAAGH CHUU KE TERE CHARAN FATEMAH

KAB KISI MAA NE PAYDA KIYEPHIR HUSSAIN O HASSAN FATEMAH

BANGAYAA TERA BAAGHE FADAQGHASIBO(N) KAA KAFAN FATEMAH

BOLI ZAINAB SE RUHE ALISAR UTHAA AUR BAN FATEMAH

HAY YEH KAWLE NABI AY “SAROUSH”MERA TAN MERA MAN FATEMAH

MADAD KIJIYE-IMAME ZAMAANA AS MADAD KIJIYE YAA IMAM E ZAMAANAA HATAA DIJE GHAYBAT KAA PARDAA KHUDARAA PARDAA KHUDARAAMADAD KIJIYE YAA IMAM E ZAMAANAA BARI AAFATE(N) HAI(N) ZAMAANE PE MAWLAAPAREHSHAAN SHIA KAHAA(N) JAYE(N) MAWLAAPUKARA TUMHE JAB HUWA DIL JO MUDHTAR BALA-E(N) HAI(N) GERII NAHI KOYI SAATHIANDHERA HAI(N) HARSU UDASI HAI(N) CHAAYITUMHARE QADAM SE HO DUNYA MUNAWAR BHAWAR MEIN HAI KASHTI BACHAA NE KO AAWOGHAME(N) ZINDAGI SE CHURAANE KO AAWOMUHAMMED KI JAA(N) HO SAFINE KE LANGAR

13

Page 20: Noor-e-Irfaan Volume 4

GHUNEHGAAR HU(N) AUR SHARMINDA MAWLAAMAGAR AAP PAR HI HAI(N) MUJKO BHAROSAAKARO REHBARII AB BARAA E PAYAMBAR TAMANNA YE DIL MEIN BOHOT KUCH HAI(N) MERIHAI UMEED HOGI BOHOT JALD PURIMERE HAQ MEIN KARDIJE JO KUCH HO BEHTAR

ILLAHI BABIMARE DASHTE BALAA

ILLAHI BA-BIMAARE DASHTE BALAA JO BEEMAARa HO JALD PAAWE SHIFAAILLAHI BARAA-YE IMAME ZAMAA(N) HAME HAWLE MEHSHAR SE DE TU(N) AMAA(N)QAYAMAT KO ME’-SHUURa HO MAa ALI UTHE(N) QABRa SE KEH-TE HAM YAA ALI

HAI PAANCH-O-NAW MIL CHAHAARDA TANAHMAD WA ALI ZAHRAA WA HASSAN SHABBIRa-SE LE TAA IMAME ZAMAAN X2EK EK PE SADAASALAWAAT PAR(h)O SALAWAATSALAWAATa KE USPE NISAARE “GAWHAR”JO NABI-YE BULAND SIFAAT HUWE SALAWAAT SALAWAAT O SALAAM YAA IMAME ZAMAA(N)FARMAA-O DHUHUR YAA IMAME ZAMAA(N) SALWAAT

14

Page 21: Noor-e-Irfaan Volume 4
Page 22: Noor-e-Irfaan Volume 4

AAJ DONO JAHAA(N) ME HAY - BIBI FATEMAH AS

AAJ DONO JAHAA(N) MEI(N) HAY MAATAM BAPAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAHDEKHO SURAJ KE GHAR ME ANDHERAA HUWA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

EK MEHSHAR BAPAA EK QAYAAMAT UTHI AAJ DUNYAA SE KHAATUNE JANNAT CHALIAB AKELE AKELE HAY(N) SHERE KHUDAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

DEKH LO DONO BACHO KAA KOI NAHI(N) AAJ SE IN YATIMO(N) KAA KOI NAHI(N)SAR SE HASNAIN KE MAAKA SAAYAA UTHAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

MAAMTAA JAYSAA DUNYAA MEI(N) RISHTAA NAHI(N)KOI MAA KI TARAH PYAAR KARTAA NAHI(N)JAB TALAK MAA HAY DUNYAA MEI(N) HAY MAAM-TAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

PAAS BULWAAKE BACHO(N) KO BOSE DIYEJAATE JAATE YE BACHO(N) KO TOHFE DIYEDEKH KAR YEH, FARISHTO(N) KAA DIL HIL GAYAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

MARNESE PEHLE BACHO(N) KAA KITNAA KHAYAALACH-CHE KAPRE PINHAA KE SAWAARE(N) HAY(N) BAALKAYSI HOTI HAY(N) MAA TUMNE DIKHLAA DIYAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

ZEHRa TUMKO DIYAA JAAYEGA AY HASSANMERA SHABBIR REH JAAYEGAA BE KAFANTUM KO KARNAA HAY NAANAA KAA WA’ADA WAFAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

PAAS BULWAAKE SHERE KHUDAASE KAHAAAB TUMHAARE HAWAALE HAY YE GHAR MERABAKHSH DENAA HUWI-HO JO MERI KHATAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

MERE SARTAAJ MAI TO GUNEH-GAAR HU(N)AAPKE AAGHE AB TAK KHATAA WAAR HU(N)EK ZAWJAA KAA HAQ, KAR SAKI NA ADAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

16

Page 23: Noor-e-Irfaan Volume 4

AA-HO ZAARI MERE BACHO(N) ACH-CHI NAHI(N)MAA KISIKI HAMESHAA TO REHTI NAHI(N)SABR KARNAA, KE HAY SAABIRO(N) KAA KHUDAAHAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH

AAP KE HAATHO(N)-SE GUSLE MAYYAT MILEAUR UTH-THE JANAAZA TO SHAB KO UTHEMAR-NEKE BA’AD BHI, RAKHNAA PARDAA MERAHAAYE KHAIRUNISSA FATEMAH FATEMAH

BAANU YEH AABID-BIBI SAKINA AS

BAANU YEH AABID KO BATLAA RAHI HAY MERI SAKINA KO NIND AARAHI HAY

KEHDO HAWAAO(N)SE AAHISTAA AAYEKEHDO PARINDO(N)SE GUL NA MACHAAWEKEHDO ANDHERO(N) SE WAAPAS NA JAAYEJAAGI HUWI CHAIN KUCH PAA RAHI HAY

YEH SHAAME GHARIBAA(N) KI JAAGI HUWI HAYTAMAACHO(N) KE DARSE NAHI(N) SO SAKI HAYZARAA JO GALESE RASAN JO KHULAA HAYSUKU(N) SE JO AB SAA(N)S LE PAA RAHI HAY

ZINDAA(N) KAA DAR ZOR SE AB NA KHOLO AY PEHRE DAARO AB AAHISTAA BOLOTUM BHI TO JAAGE HO KHUCH DER SOLOBABA KI KHUSHBU ISE AA RAHI HAY

MAY KHUSH HU(N) KE SOE(N)GI MERI DULAARIMEI(N) KURBAAN ISKE MEI(N) AB ISKE WAARIBOHOT SEH CHUKI HAI YEH GHAAZI KI PYAARIMAGAR LAFZ KUCH AUR BATLAA RAHI HAY

MAGAR YEH HUWA KYA KE ZINDAAN ROYABADAN RUH KE SAATH BACHI KAA SOYAANA JAAGI TO AABID NE SHAANA HILAAYAAAB MAA YEH KEHTE BHI SHARMAA RAHI HAY

KAHAA(N) TAK LIKHU(N)GA MAY “REHAAN” NAWHAAKABHI SHAAM JAAU(N) TO DEKHUN MEI(N) RAWZAAJAHAA(N) QAIDI BACHI KAA MARQAD HAY TANHAAJAHAA(N) MAA ABHI BHI KAHE JAA RAHI HAY

17

Page 24: Noor-e-Irfaan Volume 4

BOHOT RO CHUKI HAY - BIBI SAKINA AS

HAAYE HAAYE HAAYEKHAAMOSHIYO(N) SE HI PUCHO IN AANSUO(N) SE HI PUCHOBARE ZULM RAAHO(N) ME SEHTI RAHI HAY YATIMI KE TA’ANE YEH SUNTI RAHI HAYNAHI(N) MAAR ZAALIM TAMAACHE ISE - NA KAR ISKA DUSHWAAR JEENABOHOT RO CHUKI HAY SAKINA - ALLAH - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINASAFAR MEI(N) YEH SOYI NA ZINDAA(N) ME AAKAR UJAALA KIYA HAY YAHAA(N) DIL JALAAKARPADAR SE JO BICHRI HAY AASHURa KOSUKU(N) PAA SAKI PHIR KABHI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA

MILAA DASHT ME JAB KE BAABAA KAA LAASHALIPAT KAR PADAR SE KIYA KHUB GIRYAAWAHAA(N) POH(N)CHI ZAINAB TO SHEH NE KAHAASULAADO ISE JAAKE BEHNAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA

RASAN DE GAYI HAY NISHAANI GALE PARHAY PESHAANI ZAKHMI JO KHAA-E THE PAT-THARNISHA(N) HAY TAMAACHO(N) KE RUKHSAAR PARMASAAEB SE ZAKHMI HAY SINAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA

KABHI APNE BAABA KE QAATIL SE DAR KARKABHI RO-EE ZINDAA(N) ME TANHAA-IYO(N) PARKABHI BOLI ZAINAB SE AB GHAR CHALOHUWA EKK BARAS EKK MAHINAA - BAHOT RO CHUKI HAY SAKINA

QAYAAMAT KI EK RAAT AYSI BHI AAYIKAZAA NE SAKINA KO LORI SUNAAYIKAHAA ROKE SAJJAD NE AY PHUPHIKE AB ROEGI PHIR KABHI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA

JO QABRE SAKINA PE ROTE THE QAIDITO UN RONE WAALO(N) SE BAANU YEH KEHTIABHI THAK KE SOYI HAY ZINDAAN MEI(N)JAGAAE USE AB KOI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA YEH KEHTA HAY “FARHAAN” SE ROKE “MAZHAR”JO QABRE SAKINA PE JAAU(N) BARAADARWAHAA(N) MARSIYAAH JAAKE PARNAA YEHIBOHOT RO CHUKI HAY SAKINA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA

18

Page 25: Noor-e-Irfaan Volume 4

AAJA ASGHER KI JAGAAH - BIBI SAKINA AS

AAJA ASGHER KI JAGAAH MERI SAKINA SOJAJAAGTI MAA NE KAHAA MERI SAKINA SOJA

JO TUJHE KHOUF HAY SHAAYAD MAY USE KUM KARDU(N)AAJA AA(N)KHON ME TERE NAADE ALI DAM KARDU(N)DUURa KYUN BAYTHI HAY AA MERI SAKINA SOJA

BAAP KE SINE PE AADAT HAY TUJHE SONE(N)KI MERI GODI MERI QAATIL KO NAHI(N) HAY PHIR BHIHAY MERE DILKI SADAA MERI SAKINA SOJA

CHAAR BHAR SONE NA ZEHMAT DI KABHI TUNE MUJHEAPNI KHIDMAT KAA MUJHE AAJ WO MOUKA DEDEHOGA EHSAAN TERA MERI SAKINA SOJA

QAID KHAANE ME JO AAJAAYE(N)GE TERE BAABAADUKH UTHAA DU(N)GI TUJHE SHAANA HILAAKAR TERAACHAA KUCH DER ZARAA MERI SAKINA SOJA

MUJHSE DEKHA NAHI (N) JAATA YEH TERA DARDE JIGARYEH BATAATE HUWE ACHAA TO NAHI(N) LAGTAA MAGARAB NA AAE(N)GE CHACHAA MERI SAKINA SOJA

SAABIRO(N) KAA YEH QARINA TO NAHI(N) HAY BIBIYEH HAY PARDES MADINA TO NAHI (N) HAY BIBIKARKE BAS SHUKRE KHUDA MERI SAKINA SOJA

ISS TARAAH SOYI”TAKALLUM” WOH YATIMA BIBIMAA UTHAA TI RAHI UTH-THI NA SAKINA BIBIPHIR NA BAANU NE KAHAA MERI SAKINA SOJA

BARBAAD HUWA BAAGHE – H ALI ASGHER AS

BARBAAD HUWA BAAGHE NABI DORE KHIZAA(N) SEAFSOS SAFAR SAY-YADE BEKAS KA JAHAA(N) SE

SHABBIR LIYE JAATE HAY BESHIIR KO RANMEALLAAH BACHAANA INHE DUSHMAN KI JAFAA SE

EK PAL MEI(N) WO ASGHAR KA GHALAA CHED KE NIKLAAWO TIIR JO NIKLAA KISI DHAALIM KI KAMAA(N) SE

19

Page 26: Noor-e-Irfaan Volume 4

BACHAA KAFANO GHOR KAA MOHTAAJ PARAA HAYCHAADAR BHI NAHI(N) SARPE KAFAN DU(N) MAY KAHAA(N) SE

KIS DIL SE NIKAALI SHAHE DILGHIIR NE BARCHILIPTAA THA KALEJA ALI AKBAR KA SINAA(N) SE

SHABBIR CHALE KEHTE HUWE HAAYa RE KISMATWO TIIR PARAA MASHKE SAKINA PE KAMAA(N) SE

KARBAL KI ZAMI(N) NAAM KIYAA TUNE JAHAA(N) MEI(N)SAJDE KE LIYE JHUKTE HAY SAB “SHOUKATO” SHAA(N) SE

PUKAARA SHEHNE KA-EE BAAR - ASHURA DAY

PUKAARA SHEHNE KA-EE BAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB KHUDA HAY TERA MADAD-GHAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB

NA AB HAY AUNO MUHAMMAD NA QAASIMO ASGHARNA AB JAHAA(N) MEIN NA ABBAS AUR NA AKBARTUMHI HO KAAFELAA SAALAARZAINAB ZAINAB ZAINAB

MUSIBATO(N) MEIN TUMHE(N) DILPE JABRa KARNAA HAYKADAM KADAM PE BAHAN TUMKO SABRa KARNAA HAYWO CHAAHE KU-FEKAA BAAZAARZAINAB ZAINAB ZAINAB

HAMAARE BA’AD TUMHE ASHQIYAA(N) SATAA-E(N)GEMERI SAKINA KO YE SANG DIL RULAA-E(N)GERIDAAE(N) CHINE(N)GE KUFAARZAINAB ZAINAB ZAINAB

ASIR HOGAA MERA LAAL SAY-YADE SAJAAD KARE(N)GE EHLE SITAM US GHARIB PAR BE DAAD SIPURD TERE HAY BIMAARZAINAB ZAINAB ZAINAB

TUMHAARE SAATH HARAM HO(N)GE SAB RASAN BASTAABOHOT TAWIL KATHAN HOGAA SHAAM KAA RASTAANA HOGA KOI BHI GHAMKHWAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB

20

Page 27: Noor-e-Irfaan Volume 4

HAAYE SHABBIR KO MEHMAAN

HAAYE SHABBIR KO MEHMAAN BANAAYA NA GAYAAMAAR KAR LUT LIYA WAA’DA NIBHAAYA NA GAYAA

IBNE HAYDAR TERI BE PARDAA BAHAN KEHTI HAYLOG DEKHE(N)GE JO QURAAN SUNAAYA NA GAYAA

SHAAHEDI(N) UTH GAYE DUNIYAASE MAGAR SUNLE YAZIDTUNE KALME KO MITAANA THA MITAAYA NA GAYAA

NAAM WAR LAASHA-E AKBAR PE PUKAARAA AFSOSBAHNa KAA BHAAI KO PAYGHAAM SUNAAYA NA GAYAA

SAB KI LAASHE TO UTHAALI MAGAR AY IBNE ALIKUCH TO HAY LAASHA-E AKBAR JO UTHAAYA NA GAYAA

MUH SIYAAH HOGA SARE HASHR BARU-E ZAHRAAGHAME SHABBIR ME GAR ASHK BAHAAYA NA GAYAA

KARBALAA KUFEME ME AUR SHAAM ME KYA KYA GUZRIRO-E SAJJAD MAGAR KUCH BHI SUNAAYA NA GAYAA

YA MUHAMMAD WA ALI FAATEMA ZAHRAA WA HASANAY MUSALMAAN KAHO KISKO SATAAYA NA GAYAA

ISS QADAR LUUT MACHI KHAYME JHALE DUR BHI CHINEPHIR BHI SAJJAD KO KYU(N) HOSH MEIN LAAYAA NA GAYAA

WOH FATEMAH ZAHRA KA - BIBI FATEMA AS

WOH FATEMAH ZAHRA KA, GHAR BHAR KO BULAANAAAUR SAB KO SHAHAADAT KI KHABAR, HAAYE SUNANAA

JAATI HU(N) MAY WAALI MUJHE, BAABA HAY BULAATE(N)BACHON KO MERE BAAD TUMHI NAAZ UTAANAA

SAR SABZ BADAN HOGA ,PAAO(N) - GE ZAHAR TUMKAT KAT KE KALEJE KO LAGAN MEI(N) HAY GHIRANAA

BETO(N) KO FIDA KARKE, GHAR BAARa LUTAA KEAUR AAKHERI SAJDE KE LIYE SAR KO JHUKANAA

21

Page 28: Noor-e-Irfaan Volume 4

UMMAT HAY MERE BABAA KI, AASI HAY KHATAAKAARBAKHSHISH KE LIYE UNKI SAR NANGE PHIRANAA

SAR NEZE PE SHABBIR ,MERE LAAL CHARENGAABEHNO KO LIYE SAATH TUM DARBAAR ME JANAA

KARDENGE NISAAR QALBO, JIGAR AAP KE DARPARBIBI JO HAME QABR PE EK BAAR BULANAA

JANNAT ME RAHUNGI NA MAY GHAR GHAR ME PHIRUNGIBETE KI MERE FARSHE AZAA TUM JO BICHAANA

KYU(N) KAR JUDAA HUWA SARE

KYU(N) KAR JUDAA HUWA SARE SARWAR NA BHUL NAAGHAM SHAAHEDI(N) KA AY DILE MUZTAR NA BHUL NAA

JALDI BULAANA KEHTI THI SUGHRAA PADAR SE YEHHAALE MARIZ AY MERE SARWAR NA BHUL NAA

KEHTI THI LAILA BETE(N) KI ZULFE SA(N)WAAR KARMERA RIYAAZ AY ALI AKBAR NA BHUL NAA

BHAR -AAE ASHQ AA(N)KHO(N) MEIN PAANI KO DEKH KARHAA(N) TISHNAGI SHAHE DILE MUZTAR NA BHUL NAA

BACHE KO LEKAR JAB CHALE SHABBIR KHAYME(N) SEMAA BOLI MERI MEHNATE ASGHAR NA BHUL NAA

KEHTI THI YEH TASAWWURE ASGHAR ME ROKE MAADADI KE PAAS PEHLUE MAADAR NA BHUL NAA

KEHTE THE DASHTE DHULM ME AA KE ZALZALEJHULE KAA SONA AY ALI ASGHAR NA BHUL NAA

KEHTAA THA SHIMRa CHAADARE ZAINAB UTAARa KEAY DIL KAHI(N) SAKINA KE GOUHAR NA BHUL NAA

MAA KEHTI THI KE YAADa RAHE MERI TISHNAGIKAWTHAR PE MUJHKO AY ALI ASGHAR NA BHUL NAA

AY SHIYO(N) SAR JUDAA HUWAA KIS TARHA SHAAH KAATAA UMRa WOH RAWAANIYE KHANJAR NA BHUL NAA

KEHTAA THA IBNE SAA’D YEH TURBAT KO KHOD KARAY SHIMR KAATa NAA SARE ASGHAR NA BHUL NAA

22

Page 29: Noor-e-Irfaan Volume 4

BETA ALI AKBAR – H ALIAKBAR A S

MAA KEHTI THI AB KISKO PUKAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR MAMTA KO BHALA KIS TARHA MAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

ARMAAN BOHOT THAA KE BASAAU(N)GI TERA GHARYEH KYA THI KHABAR MUJHKO DIKHAAYEGA MUQADDAR SEHRE KI JAGAAH KHUUN KE DHAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

SO(N)CHAA BHI NA THAA IS TARHA TAQDEER PHIRENGI NAZRO(N) MEIN MERIISS TARHA TAQDEER PHIRENGI YEH ZINDAGI AB KAISE GUZAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

DUBE HAY LAHU(N) MEIN TERE ARMAAN HAMAAREKARTI THI DUAZINDA RAHE SAATH TUMHAAREDUNYA SE TERE SAATH SIDHAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

SAR RAKHKE HAM AAGOSH MEIN AB KISKO SULAAYE AB KISKO “AZAA”KIS LIYE HAM BETA JAGAAYEAB KISKE BHARE GESU(N) SAWAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

HAR MAA KO JAWAA(N) BETE KA HOTA HAY SAHAARAATOOTAA HAY KAHAA(N)AA KE MUQADDAR KAA SITAARAAB TAQ TUME ASHKO(N) KI KATAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

YEH ZAKHME JIGAR SHAAFAE MEHSHAR KO DIKHAANAAYEH SUKHI ZABAANSAAQIYE KAUSER KO DIKHAANAHAM SOG TERA KAISE UTAARE ALI AKBARBETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

23

Page 30: Noor-e-Irfaan Volume 4

MAA PUKAARI MERE AKBAR - ALIAKBAR AS

MAA PUKAARI MERE AKBAR KAISE BHULAAYE DAAGH BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETADILME BHARKE GHAM KE SHOLE KAYSE BHULAAYE DAAGH BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

THI TAMANNAA DULHAA BANAAWU(N) MAATHEPE TERE SEHRAA SAJHAAWU(N)KYAA KARUN KISTARHAA LUTI MAY JIGHAR KE CHAALE KISKO BATAAWU(N)NA DEKHI SEHRAA NA DEKHI MEHNDI NA DEKHI TERI BARAAT BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

NAAZO NA’AM SE TUMKO THAA PAALAA BACHPAN ME ARMAAN KAAJHULAA JHULAAYAAAYI JAWAANI HA(N)S KE MAY BOLI AB MERA BETAA BANE(N)GAA DULHAAKARBOBALAA ME KAYSI KHIZAA THI LUT GAYAA MERA BAAGH BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

MAWLAA KI AAYI AAWAAZ LAILA PARDA UTHAAWO AATA HAY DULHAATHOKARE KHAATI DOURKE AAYI DEKHA KE SAARAA PHATAA HAY SINAAPUKAARI US DAM ZAMI(N) PE GIR KAR ZINDAGANI HAY KHAAK BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

ARMAA(N) BHARE TUM CHAL BASE AKBAR KARBOBALA MEIN AAEGI MAADARKABR PE TERE BICHAAU(N)GI BETA SEHRAA KE BADLE PHULOUN KI CHAADARDAAGHE PISAR SE ZAKHMI JIGAR HAY LUT GAYAA MERA SUHAAG BETAKAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

BAAZAAR MEIN BINTE ALI

BAAZAAR MEIN BINTE ALI DETI THI SADAA BHAAI ABBAS KAHAA(N) HOSAR PAR BHI NAHI(N) CHAADAR X2 LAAKHO HAY TAMAASHA-EE ABBAS KAHAA(N) HO

ISS AALAME GHURBAT ME KOI BHI NAHI(N) MERAHAY KHAAQE SAFAR SAR PAR OR HAATH RASAN BASTAPARDES ME ZAINAB KO X2 TAQDEER KAHAA(N) LAA-EE

PAYWAST HAY YEH NEZE SAR SHAAHE SHAHIDAA(N) KAAYEH DEKH KE AY GHAAZI PHAT -TAA HAY MERA SINAMARJAAE(N)GI ISS GHAM MEIN X2 SHABBIR KI MAAJAAYI

24

Page 31: Noor-e-Irfaan Volume 4

DARIYA KE KANAARE TUM AA’DAASE GAYE LARNETAB DEKH RAHI THI MEIN DARWAAZA-E KHAIMAASEAB JANG HAMAARI BHI X2 DEKHO TO ZARAA BHAAI

DUNIYA KA SAHAARA HAY BAABA TO HAMAARA HAYMUSHKIL ME MAGAR MAINE TUMKO HI PUKAARA HAYAB DHUNDH TI HAY TUM KO X2 BHAYAA MERI BINAA-EE

BE MUNISO YAAWAR HAY BATLAA-O KIDHAR JAAYEISS TARHA TO JINE SE BEHTAR HAY KE MAR JAAYEFARIYAAD KARE KISSE X2 HOTI NAHI(N) SUNWAA-EE

AY SHERE JHARI MERI IMDAAD KO AAJAAWOMAA(N)GAA HAY KANIZI MEIN DHAALIM NE SAKINA KO HAY WAQT QAYAAMAT KA X2 MAA’SUM HAY GHABHRAA-EE

AHMAD KI NAWAASI KA “YAAWAR” YEHI NAWHAA THANAA BHAAI BACHE MERE NAA KOI BACHAA MERAAB JEE KE KARUNGI KYAA X2 GAR MAUT NAHI(N) AAYII

MUJRA-EE SHENE KAHAA - IMAM HUSEIN AS

MUJRA-EE SHEHNE KAHAA PAANI JO PAANAA ZAINABTISHNAGI BHAAI KI TUM BHULa NA JAANA ZAINAB

CHIN LE SHIMR SITAM-GAAR JO SARSE CHAADARSAR KE BAALOU(N) SE GARAZ MUH(N) KO CHUPAANA ZAINAB

REHMa KHAAKAR KOI BE REHMa JO DEWE PAANIPEHLE TUM MERI SAKINA KO PILAANA ZAINAB

QAYD ME CHUP KE HI TUM JAAIYO SAR NIWRAA-EAPNI AWAAZa KISIKO NA SUNAANA ZAINAB

SABR MAADAR KAA TUMHAARE HAY JAHAA(N) ME MASH-HUURLAAKH SADME HO PE TUM LAB NA HILAANA ZAINAB

GAR SAKINA KAA LABE NEHRa GUZAR HO JAA-ELAASH ABBAS DILAAWAR KI CHUPAANA ZAINAB

GAR MUJHE PUCH KE ROWE TO TASAL-LI DENAAUSKE AAGE NA KABHI AA(N)SU BAHAANAA ZAINAB

SOTI THI BAALI SAKINA JO MERI CHAATI PARAB USE CHAATI PE TUM APNI SULAANA ZAINAB

25

Page 32: Noor-e-Irfaan Volume 4

AB KE MAY JAAKE NA MAYDAAN SE PHIR AAUU(N)GAAQAYD TUM HOKE MERI LAASH PE AANAA ZAINAB

QAYD HO RAN ME MERE BAAD JO TUM AA-OGEDEKH KAR LAASH MERI GUL NA MACHAANAA ZAINAB

BE QARAARISE SAKINA KO NA GAR NIND AAWEKAHIYO TUM USSE MERE GHAM KA FASAANAA ZAINAB

HAAY WO SHAAH KA - H.ABBAS AS

HAAY WOH SHAAH KAA KEHNA MERE BHAAI ABBASTUM SE PEHLE MUJHE KYU(N) MAUT NA AAYI ABBAS

HAAYE KYAA NIND TUMHE AAGAYI BAAZU JO KATEBHAA GAYI PYAAS MEIN DARIYAA KI TARAAI ABBAS

TUMNE PEHLU KIYAA KHAALI TO QAMAR TUUT GAYIDIL KALEJE SE JUDAAH HO GAYAA BHAAI ABBAS

HO GAYE BAA’D TUMHAARE ALI ASGHER BHI SHAHEEDNIND BESHIIR KO EK TIIR SE AAYI ABBAS

THOKARE KHAATE HAY A(N)KHO ME BASAARAT NA RAHIJAB SE BARCHI ALIAKBAR NE HAY KHAAYI ABBAS

DHYAAN THI PYAAS MEIN NA MARJAA-E ATFAALE HUSAINTUMNE PAANI KE LIYE JAAN GAWAAI ABBAS

REH GAYI BAA’D TUMHAARE MERE DILME HASRATKEHKE MUJHKO NA PUKARAA KABHI BHAI ABBAS

KABHI MAWLAA KABHI AAQAA KABHI SARWAR KE SIWAAUR KOI BAAT ZABAA(N) PAR NAHI(N) AAYII ABBAS

DIL KABHI THA MERE SINE ME TUMHAARE DAMSEHO GAYI AB MERE LASHKAR KII SAFAAII ABBAS

MUNTAZIR DEKHO SAKINA HAY KHARI DEWRI PARDERSE HAATH ME KUZAA LIYE BHAAI ABBAS

NAAM ISKAA HAY WAHI(N) ISKO “WAFA” KEHTE HAYPYAAS DARYAA PAR BHI JAAKAR BUJHAAI ABBAS

26

Page 33: Noor-e-Irfaan Volume 4

SADAA SAKINA KI AAYI-BIBI SAKINA AS

SADAA SAKINA KI AAYI BOHOT ANDHERAA HAYGHATA SITAM KI HAY CHAA-EE BOHOT ANDHERAA HAY

MAIN KAIDE SHAAMa- MEIN MARJAA-U(N)GI MERE BAABAAHUWI HAY DUNIYA PARAAYI BOHOT ANDHERAA HAY

CHAHEETII BETI KA BAABAA ZARAA KHAYAAL KAROKE SUNLO MERI DUHAAI BOHOT ANDHERAA HAY

YE KAID KHAANA BHI KAYSAA NA CHAT NA DEEWAARE(N)ASEER HAY MERA BHAI BOHOT ANDHERAA HAY

KHUDA SE KAHIYE MADAD KARDE MERI AY BABAAHAY (N) SHAR PASAND KHUDAAI BOHOT ANDHERAA HAY

MAY KAISE BHULU(N)GI KARBOBALAA KA WO MANZARLUTI JAHAA(N) PE KAMAAI BOHOT ANDHERAA HAY

27

Page 34: Noor-e-Irfaan Volume 4
Page 35: Noor-e-Irfaan Volume 4

BAAZAAR KE MANZAR KO

BAAZAAR KE MANZAR KO AUR APNE KHULE SARKO BHULI NAHIN MEI(N)APNE BANDHE HAATHO(N) KO BIMAAR KE ZEWAR KO BHULI NAHIN MEI(N)

UTH-TI HUWI AANDHI KO, WEHSHAT KO BAYAABAA(N) KOCHUPTE HUWE SURAJ KO, TAARIKHI KO MAYDAA(N) KOCHALTE HUWE KHANJAR KO, NEZE PE TERE SAR KO BHULI NAHIN MEI(N)

EK CHAAND THA BADLIME, CHUPTA THA NIKAL TAA THAPARDA DARE KHAYMAA KAA, UTH-TAA KABHI GHIR TAA THAWOH KHAYMAE LAILA SE, HAAY RUKHSATE AKBAR KO BHULI NAHIN MEI(N)

FIZZA KO MERA BHAAI, MAA KEH KE BULAA TAA THAGHAM USKAA MERE BHAAI , KE NAAM PE JAA TAA THA KUFE ME JO MAA BANKAR, AAYI USI MAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

LEHRAATA HUWA NEZA, AUR SHIMR KAA WOH BARH-NAAA AAKE MERE PICHE, HAR BIBI KA WOH CHHUP NAASHOULO(N) ME GIRE GHAR KO, CHINI HUWI CHAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

YAAD AATA HAY EK MAA-KA, WOH KHAAK ME DHA(N)S JAA NAAAUR AAGH KE SHOULO(N) MEIN, WOH MAAKA JHULAS JAA NAAJHALTE HUWE JHULE SE, LIPTI HUWI MAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

MA’ASUM SAKINA KO, BARHTE HUWE NEZE KOGHI(N)STE HUWE GHAALON KO, BE REHM TAMAACHO(N) KOKHINCH TE HUWE KAANO KO, KHINCH TE HUWE GAUHAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

UN SHAAM KI GALIYO(N) KO, JINSE KHULE SAR GUZREJIS DAR SE GHUZAR NE MEIN, THE SOLAA PAHAR GUZREDARBAAR KE US DAR KO, AUR SHAAMIYO(N) KE SHAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

SAR PIIT KE BOLE HARAM - H ABBAS AS

SAR PIIT KE BOLE HARAM AAYAA ALAM ABBAS KAMAATAM KO SAB UTHI BAHAM AAYAA ALAM ABBAS KA

PAN-JAA NAZAR JAB AAGAYAA, HA(N)S KAR SAKINA NE KAHAABE AAB THE BETAAB HAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

MASHKIZA BINTE SHAAH KAA, CHOBE ALAM SE HAY BANDHAAKIS SHAAN SE AY EHLE GHAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

29

Page 36: Noor-e-Irfaan Volume 4

PARCHAM LAHU SE LAAL HAY, MASHKIIZA BHI GIRBAAL HAYAFZU(N) NA HO KYU(N) KAR ALAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

WAAQIF SAKINA HOE(N)GI, KYA KYA TARAP KAR ROWEGIAB KYU(N) NA HO BAA CHASH- ME NAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

PAANI WO LAA-E HOE(N)GE, KHAALI NA AAE HOE(N)GESAD SHUKR AAYAA DAM ME DAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

ZAINAB NE RO RO KAR KAHAA, NAADAAN TU(N) SAMJI HAY KYAAJAB LAAE SULTAANE UMAM AAYAA ALAM ABBAS KA

MAARAA GAYAA TERA CHACHAA, JAA(N) APNI KI TUJ PAR FIDADENE KO DARDO RANJHO GHAM, AAYAA ALAM ABBAS KABAS AY “MATINE” KHASTA JAAN, KHAYME(N) MEIN THAA MAHSHAR AYAA(N)KEHTE THE SAB BA CHASH ME NAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

JAA RAHAA HU(N) -1ST MUHARRAM

JAA RAHAA HU(N) JAA RAHAA HU(N) KARBALA AY NAANAJAA(N)MOUT MUJHKO LE CHALI HAY KARBALA AY NAANAJAA(N)

CHOURa KE APNAA WATAN HOTA HU(N) MAY AB BEWATANAMMA ZAHRA KA UJARTAA DEKHTAA HU(N) MEIN CHAMANJAATA HU(N) BACHON KO LE KAR KARBALA AY NAANAJAA(N)

DILKE TUKRE SAATH HAY GHARMI KI MOUSAM ME SAFARKEHTI HAY ZAINAB KE BHAYAA KYU(N) DHARAKTAA HAY JIGARCHOTE CHOTE BACHO(N) KA HAY KAFELA KARBALA AY NAANAJAA(N)

WAA’DAE TIFLI ADAA KARNEKE DIN AB AAGAYEAPNA SAR KHANJAR TALE RAKHNE KE DIN AB AAGAYESABRa KA TUM DIJIYO MUJHKO DUA AY NAANAJAA(N)

AAG SE KHAIME JHALE MEHSHAR MEIN UMMAT NAA JALEPYAAS SE TARPU(N) MEIN NA UMMAT KABHI PYAASI RAHEHASHR MEIN UNPE ABAA KA KIJO SAAYA NAANAJAA(N)

PYASa SE TARPE MERE BACHE NA TARPE DIL MERAJAB PHATE AKBAR KAA SINA DU(N) MEIN QAATIL KO DUAIMTEHAA(N) BHI SAKHT HOGA IMTEHAA(N) AY NAANAJAA(N)

30

Page 37: Noor-e-Irfaan Volume 4

JAB CHURI MUJH PAR PHIRE ALHAMDUL-LILLAH MAY KAHU(N)TIIRa SE ASGHAR CHIHDE ALHAMDUL-LILLAH MAY KAHU(N)MEIN NA RO-UN JAB KE RO-E AASMAA(N) AY NAANAJAA(N)

JAB TAMAACHE KHAAYE(N)GI BAALI SAKINA ROE(N)GIAAKE LAASHE PE MERE QURTAA JALAA DIKHLAAE(N)GITARPE NAA US WAQT BHI LAASHAA MERA AY NAANAJAA(N)

MU(N)H CHUM KAR - H. IMAM HUSAIN AS

MU(N)H CHUM KAR SHEH NE KAHAA LE AY SAKINA ALWIDABABA TERA MARNE CHALAA LE AY SAKINA ALWIDABAA-HE(N) GHALE ME DAAL DE AUR MUH PE MUH RAKHDE MEREBAABAA TERA RAN KO CHALAA LE AY SAKINA ALWIDAAB HAM KAHAA(N) AUR TUM KAHAA(N) DEKHO(N)GI KYA KYA KHWAARIYA(N)MIL LE GHALE AY MERI JAA(N) LE AY SAKINA ALWIDABAABAA FIDAA HAY MAAHE -RU BE WAARISO WAALI HAY TU(N) BETI NA ZID KARNAA KABHI LE AY SAKINA ALWIDAHAALAT HAY AB KARNAA JHARI BAABAA NA KEHNAA HAR GHARIBIN BAAP KI TU(N) HO CHUKI LE AY SAKINA ALWIDAZAALIM JO CHINE BAALIYAA(N) AUR KURTAA HO LOHU LUHAA(N)SHIKWAA NA LAANA BAR ZUBAA(N) LE AY SAKINA ALWIDAGHUZRE JO KUCH RANJHO MAHAN AY MERI PYAARI GULBADANCHUTE NA DAADI KE CHALAN LE AY SAKINA ALWIDAFADHLE KHUDA SE AAJ TAK TAABE RAHE JINNO MALAKAB TUM HO AUR ZHORE FALAK LE AY SAKINA ALWIDALIKHA TERI TAQDEER KAA IS SINME MERI MEHL- KAADAAGHE PIDAR TUJHKO MILE LE AY SAKINA ALWIDA

YAA WAJIHAN INDALLAAH

YAA WAJIHAN INDALLAAH ISH FA’LANA INDALLAAH

BAARE ILAAHA BAN KE SAWAALI TERE HUZURDAAMAN ME APNE LAAYE HAY BE INTEHA QUSURLAIKIN HAMAARE SINO MEIN MAATAM KA DEKH NUURAPNE NABI KE SADKE MEIN BAKHSHENGA TU ZARUR

31

Page 38: Noor-e-Irfaan Volume 4

MAWLA ALI KA RABBE JAHAA(N) TUJHKO WAASTAAYAA RAB BARAAE FATEMA SIDIIQA TAHERABE ILM OR RISHTE KAA SAAGHAR BHARAA HUWAATU - TE NA NE’MATON KA MERE GHAR SE SILSILAA

MAALIK TUJHE IMAAME HASAN KAA HAY WAASTAAJISKE LAHU SE KARBOBALAA KI HAY IBTEDAHAA(N) US IMAME AMN KE SADQEME KIBRIYAAIS MULK MEIN HO AMN KA PARCHAM KHULAA HUWAA

AB WAASTA HUSAIN ALAYHISSALAAM KAPARWARDIGAAR SABR SHAHE TASHNA QAAM KAAJISKE LABO(N) PE WIRD THAA TERE HI NAAM KAAKHANJAR TALE JO JHAARI THA TERE QALAAM KAA

YAA RAB TU(N) MERI HASTI KO AYSA SAWAAR DETU(N) APNI REHMATO(N) SE MERA GHAR NIKHAAR DESAJJAD KA TU(N) SADQA-E PARWARDIGAAR DEBIMAAR KO SHIFAA DE MUKAM-MAL QARAAR DE

MAALIK IMAAME BAAQIRO JAAFAR KA WAASTAAMAJLIS ME MEIN HUSAIN KA KARTA HU(N) YEH DUADONO KA WAASTAA TUJHE DETAA HU(N) AY KHUDAMAQRUZ JO HAY GHAIB SE KAR UNKA QARZ ADAA

YAA RAB BARAA-E MUSAE KAADHIM ALI RAZAMASHHAD MEIN OR NAJAF MEIN JO HAY QIBLA-E DUATU(N) INKE WAASTE SE WOH AWLAAD KAR ATAAMAA BAAP JISS-E SHAAD HO JINKI HO YEH SADAA

YAA RAB BARAA-E MAWLA NAQI TAQWA-E TAQIDE JAZBAE JIHAADE BASHAR SHAANE ASKARIMEHDI KAA BHI ZAHUUR DIKHAADE ISI SADITERE HUZUR MERI DUA HAY YEH AAKHERI

HUM TERE BAARGAAH MEIN AY RABBE KIRDIGAARROE HAY(N) JO DUA-E TAWASSUL MEIN ZAAR ZAAR SUNLE SADAA-E “SARWAR” O “REHAAN” EK BAARHAMKO IMAAME ASR KE LASHKAR MEIN KAR SHUMAAR

JAA RAHA HAY, JAA RAHA HAY

JAA RAHA HAY JAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELAYAAD RAHAA HAY YAAD RAHAA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

32

Page 39: Noor-e-Irfaan Volume 4

DIL KE TUKRE HO GAYE GHAM KI NISHAANI REH GAYIJISKO THAAMA WOH SAHAARAA WOH JAWAANI SO GAYIGHAM PE GHAM DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

JAATA HAY UJRE HUWE GHAR SE KADAM ABBAS KAALE CHALAA MASH-KE SAKINA BHI ALAM ABAAS KAAKHUNE DIL BARSAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

JO TASSAWUR MEIN NIHAA-THA WO SAHAARAA BHI CHALAASO GAYE TURBAT MEIN ASGHAR UJRA JULAA BHI CHALAAMAUT KO BEHLAA RAHAA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

BEHNE WAALI AA(N)SUO(N) MEIN KHU(N) KI LAALI LE CHALICHAAND MAQTAL MEIN CHIPAA MAA GHOD KHAALI LE CHALIDARDO GHAM DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

BUT RAHI HAY JITNI RONAK SHAAM KE BAAZAAR MEIN UTNI BHAARI HO RAHI HAIN BERIYAA(N) BIMAAR KIMANZILE DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

MUH CHUPAA-E JAA RAHI HAY SAR BAREHNAA BIBIYAA(N)BIKHRE(N) GESU RUKH PE HAIN AUR BAAZUO(N) MEIN RASSIYA(N)HAAYE KYAA DIKH LAA RAHA HAI(N) KARBALAA KAA KAAFELA

SHAAMO(N) KUFA MEIN KABHI HAIN AUR KABHI BAAZAARO(N) MEIN HAAYE ZAINAB AUR KULTHUM AUR BHARE DARBAARO(N) MEINDIL KO KHU(N) RULWAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA

JO MUHARRAM SE THI ROUNAK HAAYE RUKHSAT HO GAYIKYAA BATAAE KUCH NA KHIDMAT KAR SAKE MEHMAAN KIAB ANDHERAA CHAA RAHA HAI(N) KARBALAA KAA KAAFELA

HAAYE KARBALAA WAALO

HAAYE KARBALAA WAALO HAAYE KARBALAA WAALO

AY KHUDAA KE BANDO(N) MEIN MUNTAKHAB KHUDA WAALETAKHTE IN-NAMAA WAALE TAAJE HAL ATAA WAALE

SHAANE MUSTAFAA WAALO WAJ-HE MURTAZA WAALOKYAA WAFAAPE JAANE DI(N) TUMNE AY WAFAA WAALO

KAARZAARE HASTI MEIN TUMNE DI PANAA HI KI SHOUKSE TAMANNAA-SE AZM SE IRAADE SE

33

Page 40: Noor-e-Irfaan Volume 4

MOUT KI TAMANNAA-SE HAR TARAF SE MUH MOURAKARBALAAKE SINE PAR NAKSHE ZINDAGI CHORAA

YEH ADAA THI MARNEKI PUSHTE ZULM PAR KORAAPYAASKI AZIYAT MEIN MUSKURAAKE DAM TORAA

CHOTE CHOTE BACHO NE JANG KI IJAAZAT LI BARH GAYE JAWAA(N) BANKAR KAMSINI MEIN RUKHSAT LI

QOUM KI HIMAAYAT MEIN IZZA-TE SHAHAADAT LIZINDAGI KO KYA KAHIYE MOUT SE BHI KHIDMAT LI

KOI TUM MEIN AKBAR THA KOI TUM MEIN ASGHAR THA KOI SAANIE JA’AFAR KOI MISLE HAYDAR THA

KOI KADRO KIMAT MEIN DO JAHAA(N) SE BARTAR THA ZERE TEGH SUNTE HAIN FATEMA KA GHAR BHAR THA

DHAL GAYA SURAJ - BIBI SAKINA AS

DHAL GAYA SURAJ SHAM-MA JALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI BAANU PUKAARI KOUKH JHALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYIYE TO BATAADE SHIMRE LA-EEN KAYSA SITAM TUNE DHAAYE LA-EENKANOSE BAALIYA(N) TUNE CHINII AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYINAAZUK GHALEME RASSI BANDHI DHULM KI HAD TUNE TORI LA-EENCHAL BASI HAAYE BACHI MERI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYICHOTE SE SINME YATIMI SAHI QAYD ME ROTI TU(N) CHALBASIDHUNDHU(N) KAHAA(N) TUJHE AY LAADLI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYIWAQTE MADAD HAY MUSHKIL KUSHAA MUSHKIL KARO HAL BEHRE KHUDATUMHI BATAADO MAULA ALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYIZINDAANE SHAAMa ME QABR BANI WAAPAS MADINA JAA NA SAKIDILME TERE YEH HASRAT RAHI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYIGHOD HAY KHAALI KOUKH JALI HAAYE SAKINA TU(N) BHI CHALIKYA KARE AB YEH MAA DIL JALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI

ZULJANAAH HAQBAL MINAL MAIDAAN-H IMAM HUSAIN A.S

ZULJANAAH HAQBAL MINAL MAIDAAN KHAALI WAWAILAA - HAAY WAA HUSAINAAY WAA SHAHIID - HAAY WAA HUSAINAAY WAA MAZLUM - HAAY WAA HUSAINA

34

Page 41: Noor-e-Irfaan Volume 4

SHOR HUWA LO KHAALI AAYAACHOR KE ZAINAB KAA MAAJAAYAABAAGHE(N) KATI HAY KHU(N) ME NAHAAYAAZAINAB NE DUKHRAA YEH SUNAAYAAKHUN ME TAR REHWAAR KO DEKHAROI TARAP KAR BAALI SAKINABOLI KAHAA(N) HAY MERE BAABAACHIN LIYA KYUN MERA SAHAARAAMAY TERE SADQE MAY TERE WAARI TU(N) MERE BAABAA KI HAY SAWAARITERE BADAN SE KHUN HAY JAARIZAKHM LAGE HAY JISM PE SAAREBAAT NA MAANI TUNE MERIROI BOHOT QADMO SE LIPTIBOLI KAHAA(N) HAY MERE BAABAACHIN LIYA KYU(N) MERA SAHAARAACHOR DIYAA KYU(N) RANME AKELACHUR GHAMO(N) SE THAA MERA BAABAAJISNE UTHAAYA LAASHE PE LAASHAATANHAA KYU(N) MAQTAL SE AAYAABAANU PUKAARI PHENK KE CHAADARLUT GAYI MEI(N) BARBAAD HUWAA GHARRANSE NA AAYE SIBTE PAYAMBARCHALTE HAY MERE QALB PE KHANJARZAINAB KE LAB PAR YEH FUGHAA(N) THISEH NA SAKUNGI SHEHKI JUDAAYITUNE KYU(N) GARDAN YEH JHUKAAIREHGAYAA KYU(N) MAQTAL ME BHAAIQATL HUWE SHABBIR JO RAN MEGUNJI SADAA “REHAAN” YEH BAN MEAAG LAGI ZAHRAA KE CHAMAN ME POHNCHI KHABAR SUGHRAA KO WATAN ME

AA DEKH MERE GHAAZI - H ABBAS A S

AA DEKH MERE GHAAZI U(N)CHAA HAY ALAM TERADIL SINE ME JAB TAK HAY BHULEGA NA GHAM TERAZAINAB KI DUA BAN KAR EK WAQT WO AAYEGAHAR GHAR ME SAJHAA HOGA ABBAS ALAM TERA

35

Page 42: Noor-e-Irfaan Volume 4

AA JAATI HAY ZAHRAA BHI ZAINAB BHI ZIYAARAT KOJAB AATH MUHARRAM KO UTH-TAA HAY ALAM TERATAABUTa JAB UTHTAA HAY SHABBIR KAA AY GHAAZITAABUT KE AAGHE BHI CHALTAA HAY ALAM TERAWO KAUN SE SADME THE SHEH TUUTa GAYE JISSEEK DARD THA ZAINAB KA AUR DUSRA GHAM TERABAAZAAR MEIN ZINDAAN MEIN DARBAAR ME HAR LAMHAAZAINAB KI TO SAANSO PE, THAA NAAM RAQAM TERAJAB BEH GAYAA SAB PAANI TAB AAS TERI TUUTITHAA SINE KE ANDAR YAA MASHKIZE MEIN DAM TERAAAWAAZ TERI “SARWAR”, SHABBIR SE WAA-BASTAAABBAS SE WAA-BASTAA, REHAAN QALAM TERA

YAA HUSAIN YAA HUSAIN - H. IMAM HUSAIN A.S

YAA HUSAIN YAA HUSAIN KULLU YAWMIN AASHURAA KULLU ARZIN KARBALAAYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARYAA SALEELUL AMBIYA ANTA IMAMUL ATQIYAAYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARYAA ILMAN FII KULLI WAAD YAA IMAAMA FIL JIHAADYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARSALMAN LII MAN SAALAMAKUM HARBAN LII MAN HAARABAKUMYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARYAA KAAFIYAL MUSTAJIRIIN YAA SHAFIYAL MUDHNIBIINYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARLAA ILAHA ILALLAAH YAWMI TWAFFI LAA NANSAAYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARYAA KAAHFA WAL MUUTAMAD ANTA ZAADI WA SANADYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAARYAA IMAAMAL MUTTAQIIN FARRAT BIL HAQIL MUBINYAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR

36

Page 43: Noor-e-Irfaan Volume 4

DEDICATION

This book has been dedicated in the loving memory ofMarhum Ramzanali Alimohamed Meghji, Marhum Sultanali Kermali Jagani,

Marhuma Zainab Bai Fazal Kermali and Qul Marhumeen.

All users are requested to recite Sura-e-Fateha for theIsaale Thawaab of the above Marhumeen.

- Iltemaase Dua.

Page 44: Noor-e-Irfaan Volume 4