poetry 1

11
Nikalna Khuld se aadam ka sunte aaye the lekin "bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale" (Ghalib) ********** Bahut ji Khush hua Haali se milkar "abhi kuch log baaqi hain jahaaN mein" (Haali) ********** Akhir gil apni sarf-e-maikada hui "pahuNchi vaheen pe Khaak jahaaN ka Khameer tha" (Jahandar Shah) ********** Sun to sahi jahaaN mein hai tera fasaana kya "kehati hai tujh ko Khal'q-e-Khuda Ghaa'abaana kya" (Haidar Ali Aatish) ********** Agar baKhashe zah-e-qismat,na bakhashe to shikaayat kya "sar-r-tasleem Kham hai jo mizaaj-e-yaar mein aaye" (Nawab Asghar Ali) ********** Vas'l ka din aur itna muKh'tasar "din gine jaate the is din ke liye" (Akbar Ilaahbadi) ********** Ab udaas phirte ho sardiyoN ki shaamoN mein "is tarha to hota hai is tarha ke kaamoN mein" (Shoaib bin Aziz) ********** Ham taalib-e-shohrat haiN hameN naNg se kya kaam "badnaam agar hoNge to kya naam na hoga" (Shefta) ********** Dil ke aaine main hai tasveer-e-yaar "jab zara gardan jhukai dekh li" (Munshi Maji Raam) **********

Upload: omer-arif

Post on 26-Jun-2015

2.549 views

Category:

Documents


7 download

TRANSCRIPT

Page 1: Poetry 1

Nikalna Khuld se aadam ka sunte aaye the lekin "bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale"

(Ghalib) **********

Bahut ji Khush hua Haali se milkar "abhi kuch log baaqi hain jahaaN mein"

(Haali) **********

Akhir gil apni sarf-e-maikada hui "pahuNchi vaheen pe Khaak jahaaN ka Khameer tha"

(Jahandar Shah) **********

Sun to sahi jahaaN mein hai tera fasaana kya "kehati hai tujh ko Khal'q-e-Khuda Ghaa'abaana kya"

(Haidar Ali Aatish) **********

Agar baKhashe zah-e-qismat,na bakhashe to shikaayat kya "sar-r-tasleem Kham hai jo mizaaj-e-yaar mein aaye"

(Nawab Asghar Ali) **********

Vas'l ka din aur itna muKh'tasar "din gine jaate the is din ke liye"

(Akbar Ilaahbadi) **********

Ab udaas phirte ho sardiyoN ki shaamoN mein "is tarha to hota hai is tarha ke kaamoN mein"

(Shoaib bin Aziz) **********

Ham taalib-e-shohrat haiN hameN naNg se kya kaam "badnaam agar hoNge to kya naam na hoga"

(Shefta) **********

Dil ke aaine main hai tasveer-e-yaar "jab zara gardan jhukai dekh li"

(Munshi Maji Raam) **********

Page 2: Poetry 1

Aqal aaraai-o-tadbeer se kya hota hai "wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai"

(Irshaad Lucknavi) **********

"Bahut shor sunte the pehlu mein dil ka" jo cheera to ek qatra-e-KhuN na nikala

(Aatish) **********

Page 3: Poetry 1

"Yaad-e-maazi azaab hai yaa rab" cheen le mujhe se haafiza mera

(Akhtar Ansaari) **********

Chala jaata hun haNsta khelta mauj-e-havaadis mein "agar aasaaniyaaN hoN to zindagi dushwaar ho jaaye"

(Asghar Govandi) **********

"Ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam" woh qatal bhi karte hain to charcha nahi hota

(Akbar Ilahbadi) **********

Zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya "badalta hai raNg aasmaaN kaise kaise"

(Aatish) **********

"Hazarat-e-Daagh jahaaN baiTh gaye baiTh gaye" aur hoNge teri mehafil se ubharne wale

(Daagh) **********

Qareeb hai yaaro roz-e-mehshar, chupega kushton ka khooN kyunkar "jo chup rahegi zaban-e-khanjar, lahu pukaarega aasteeN ka"

(Ameer Meenai) ********** Shikast-o-Fateh miyaaN ittefaaq hai lekin "muqaabla to dil-e-naatvaaN ne khoob kiya"

(Mohammed Yarkhan Ameer) **********

"Umar guzri hai isi dasht ki sayyahi mein" paanchveeN pusht hai shabbeer ki maddahi mein

(Meer Anees) **********

Page 4: Poetry 1

Dil ke phaphole jal uThe seene ke daaGh se "is ghar ko aag lag gaye ghar ke chiraaGh se"

(Pandit Mehtaab Rai TabaN) **********

BhaaNp hi lenge ishaara sar-e-mehafi jo kiya "taDne vale qyaamat ki nazar rakhte hain"

(Johar Farukh Aabadi) **********

Khirad ka naam junuN paD gaya, junuN ka Khirad "jo chaahe aap ka husn-e-karishma saaz kare"

(Hasrat Mohani) **********

Phool to do din bahar-e-jaaN fiza dikhla gaye "hasrat un GhunchoN pe hai jo bin khile murjh gaye"

(Zauq) **********

Khat unka bahut khoob, ibaarat bahit achchi "allah kare zor-e-qalam aur zyaada"

(Daagh) **********

TaNg dasti agar na ho Saalik "tandrusti hazaar n'aimat hai"

(Mitza Qurban Baig Saalik) **********

Itni na baDha paaki-e-daamaaN ki hikaayat "daaman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh"

(Shefta) **********

Aap hi apni adaaoN pe zara Ghor kareN "ham agar arz kareNge to shikayat hogi"

(Meer Vazeer Ali Saba) **********

Ghazal us ne cheDi mujhe saaz dena "zara umar-e-rafta ko aawaaz dena"

(Safi Lukhnavi) **********

Page 5: Poetry 1

Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaaj "shama har raNg mein jalti hai sehar hone tak"

(Ghaalib) **********

Nairangi-e-siyaasat-e-dauraaN to dekhiye "manzil unhe mili jo shareek-e-safar na the"

(Mohsin Bhopaali) **********

Eid ka din hai, gale aaj to mil le zaalim "rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai dastoor bhi hai"

(Qamar Badayuni) **********

"Qismat ki khoobi dekhiye tooti kahaaN kamand do chaar haath jab keh lab-e-bam reh gaya"

(Qaayam Chaandpuri) **********

Adaa-e-Khaas se Ghalib hua hai nukta sara "Salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta daan ke liye"

(Ghalib) **********

Page 6: Poetry 1

"Hain kavaakib kuch nazar aate hain kuch" dete hain dhoka yeh baazigar khula

(Ghalib) **********

Achchi surat bhi kya buri shai hai jis ne Daali buri nazar Daali

(Kaif) **********

Main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate gaye aur kaarvaaN banta gaya

(Majrooh) **********

Uljha hain paaoN yaar ka zulf-e-daraaz mein "lo aap apne daam mein sayaad aa gaya"

(Momin) **********

"Vujud-e-zan se hai tasveer-e-kaayenaat mein rang" usi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-daruN

(Allama Iqbal) **********

Phirte hain Meer Khuwaar koi poochta nahi "Is aashiqui mein izzat-e-saadat bhi gaye"

(Meer) **********

Laye us but ko ilteja karke "kuf'r toota Khuda Khuda karke"

(Pandit Dayashankar Naseem) **********

RaNj se Khu-gar hua insaaN to miT jaata hai raNj "mushkileN mujh per paDeen itni keh aasaaN ho gayeeN"

(Ghalib) **********

Yeh ajeeb maajra hai keh b'roz-e-eid-equrbaaN "vohi zib'ha bhi kare vohi le sawaab ulTa"

(Mushafi) **********

Page 7: Poetry 1

Baja kahe jise aalam use baja samho "zabaan-e-Khalq ko naqqaara-e-Khuda samjho

(Zauq) **********

Vaaye naadaani keh waqt-e-marg yeh saabit hua "khvaab tha jo kuch keh dekha jo suna afsaana tha"

(Meer Dard) **********

Page 8: Poetry 1

BaiTh jaata huN jahaaN chaaoN ghani hoti hai "haaye kya cheez Ghareeb-ul-vatani hoti hai"

(Hafeez Jaunpuri) **********

Laga raha hun mazaameeN-e-nau ke phir aNbaar "khabar karo m're Khurma ke Khosha cheenoN ko"

(Meer Anees) **********

Khyaal-e-khaatir-e-ehbaab chaahiye har dam "Anees THes na lag jaaye aab-geenoN ko"

(Meer Anees) **********

Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazeed hai "Islam zinda hota hai har karbala ke baad"

(Maulana Johar)

Zamaana baDe shauq se sun raha tha "hameeN so gaye daastaaN kehte kehte"

(Saaqib Lukhnavi) **********

Girte hain sheh-sawaar hi maidaan-e-jaNg mein "woh tifl kya gire ga jo ghuTnoN ke bal chale"

(Azeem Dehlavi) **********

Aie Khaal-e- rukh-e-yaar tujhe Theek banaata "jaa choD diya haafiz-e-quraaN samajh kar"

(Shah Naseeruddin Naseer) **********

Suni hikaayat-e-hasti to darmiyaan se suni "Na ibteda ki khabar hai na inteha maaloom"

(Shaad) **********

Page 9: Poetry 1

Gaye dono jahaan ke kaam se ham, na idhar ke rahe na udhar ke rahe "na Khuda hi mila na visaal-e-sanam, na idhar ke rahe na udhar ke rahe

(Mirza Saadiq Sharar) **********

HazaaroN khuwaahishen aisi keh har khuwaahish pe dam nikale bahut nikale m're armaan lekin phir bhi kam nikale

(Ghalib) **********

Daavar-e-hshar m'ra naama-e-a'amal na dekh "is mein kuch parda nasheenoN ke bhi naam aate hain"

(Taseer) **********

Aie Zauq duKhatar-r-raz ko na muNh laga "chuTti nahi hai muNh se yeh kaafir lagi hui"

(Zauq) **********

BaaGhbaan ne aag di jab ashiyaane ko mere "jin pe tha takiya vohi patte hawa dene lage"

(Saaqib Luckhnavi) **********

"hue naamvar be-nishaaN kaise kaise zameeN khaa gaye aasmaaN kaise kaise"

(Ameer Meenai) **********

Lao to qatl-naama m'ra main bhi dekh lun kis kis mohar hai sar-e-mehzar lagi hui

(Meer Mehboob Asif) **********

Apna zamaana aap banate hain ahal-e-dil "ham woh nahi haiN jin ko zamaana bana gaya"

(Jigar) **********

Ham rone pe aa jaayeN to darya hi baha deN "shabnam ki tarha se hameN rona nahi aata"

(Zauq)

Page 10: Poetry 1

********** "Aa andaleeb mil ke kareN aaH-w-zaariyaaN" tu haaye gul pukaar main chillaauN haaye dil

(Sayeed Mohd Khan Rind) **********

Nigah barq nahi chehra aaftaab nahi "woh aadmi hai magar dekhne ki taab nahi"

(Jaleen Manikpuri) **********

Na cheD aie nikhat-e-baad-e-bahaari, raaH lag apni tujhe aThkheliyaaN sujhi haiN ham bezaar baiThe hain

(Inshaa) **********

Raah pe unko laga laaye to hain baatoN mein aur khul jaayeNge do chaar mulaaqaatoN mein

(Daagh) **********

Kehte haiN aaj Zauq jahaaN se guzar gaya 'kya khoob aadami tha khuda maghfirat kare"

(Zauq) **********

Page 11: Poetry 1

Zindagi zinda-dili ka naam hai murda dil kya Khaak jiya karte haiN

(Meer Dard) **********

Jaan di, di hui usi ki thi haqu to yeh hain keh haqu ada na hua

(Ghalib) **********