sikh silsala-eak motala

18

Upload: maqsood-hasni

Post on 15-Feb-2017

39 views

Category:

Education


2 download

TRANSCRIPT

Page 1: Sikh Silsala-Eak Motala
Page 2: Sikh Silsala-Eak Motala

Sikh Silsala-Eak Motala

Mashraqi Punjab donyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai.

Zara'ay aur wasael-e-qudrat kay hawala say bhi donyan kay kisi

kitay say kisi tara kam nahain. Is alaqa kay moqimi hazraat

Hazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajun aur

adtun sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darja

jafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat

main dakhal hi nahain. Onhain alag say koee

Page 3: Sikh Silsala-Eak Motala

mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki

pehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai.

Sikh kay maeni

sikhnay wala,

jan'kari ka talib,

aaghi kay amal say gozarnay wala,

jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm waghera

Hoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siray

say mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liay

ziyada'tar ostad aur goru alfaz istamal main aatay hain.

Goru woh jo gur janta ho,

atkal say waqaf,

Page 4: Sikh Silsala-Eak Motala

tajarba'kar,

kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala,

hal nikalnay wala,

hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad,

ostad waghera maeni mostamal hain.

Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay to

ostad shagid kaha ja sakta hai.

Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai

is liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os

say towaqo nahain ki ja sakti.

Is garo kay haan dou chizain bari wazay nazar aati hain

1- Toheed jo adyan ki konji hai

Page 5: Sikh Silsala-Eak Motala

2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o

-wasila hai

Yah garo donyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqriban

qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashi

hawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koee

alag say ya naee cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat ka

natija hain.

Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaat

mosalmanoon ki se rakhtay hain is kay ba'vajood woh Esae hi

hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan

takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Is kay ba'vajood oonhain

Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai aur woh hai.

Is vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism

Page 6: Sikh Silsala-Eak Motala

kay mota'aluq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aur

ziyadti hai.

Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say mota'alaq hain

aur is silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru

Nanak-ji Dav hain.

Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kay

hawala say kaha hai :

"Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitab

kach rakhday san. Ais kitab vich

ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan da

kalaam daraj kar day san"(1)

Agar koee onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay ya

Sheik Nanak keh lay is say kuch farq nahain parta.

Page 7: Sikh Silsala-Eak Motala

Onhoon nay Makka ka safar ikhtayar kiya baghdaad main

qayam farmya.

Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon par

Darood-o-salam) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon par

Darood-o-salam) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar pati

hai. Bilkul issi tara Guru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki

taraf safar ikhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman

aur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay

Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rule

kay tehat Kafar kaha ja sakta hai.

Her Sufi guru apnay libas aur nazaryati toor par apni alag say

shanakht rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru Garanth

Sahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib

Page 8: Sikh Silsala-Eak Motala

(R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaan

mosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri Garanth

Sahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata

hai is liay wo mohtam hai. Is silsalay kay log sikh kehlatay hain

jabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai.

Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya,

Silsala Shitarya waghera.

Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kay

Khalifa/Gadi'nashein/Divan Sahiban kay namoon say malqoob

hazraat moqarar hotay rehtay hain aur is tara yah silsalay

jari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazar

aata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat

Sufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat

Goru (Khulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay

Page 9: Sikh Silsala-Eak Motala

sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. In Sahiban ba'safa nay

Goru Garanth Sahib ki tadvein bhi ki, is main la'jawab azafay bhi

kiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kay

pannoon ki zinat banay.

Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki

haad'darja mehman navazi ki. Is liay mehman'navazi aur

khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya ja

sakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haan

aisi koee naee baat nahain. Hamait, is say bilkul alag cheez hai. Is

silsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'siraf panah di

balkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed

bonyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed is amar

ki khuli daleel hai kah sikh koee alag say dharam nahain balkah

sufi silsalay ki eak kari hai.

Page 10: Sikh Silsala-Eak Motala

Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay istamal

main hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja

rakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru

Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'aluq bhi Syed Family say

hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shah

al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib Punjabi zoban kay sufi

shair thay. Mein nay kaee martaba oon kay monh say "Baba

Goru Nanak" sona. woh "Baba-ji Goru Nanak" Sahib kay liay

bara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib ki

bohat sari baniyaan zobani yaad thein.

Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef ka

doodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aur

doodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizain

samaji ravait nahain hain. In ka ta'aluq mazhab say hai. Mein

Page 11: Sikh Silsala-Eak Motala

aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khud

aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai ya

nahain.

Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatay

hain:

Maal paraya nanaka laho barabar jan

Eak aur bani sonay

kalma kahaan tay kal (2) poway bin kamioon vi na

Hindu kahaan tay marya musalman vi na

Yahaan woh musalman marad hai jo sair ka tein pao tolta hai.

Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain.

Gulbargha aur kaee dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhab

ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat anjam di. Syed

Page 12: Sikh Silsala-Eak Motala

Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai.

Ta'hum bonyadi baat jo is bool ka lob-e-labab hai wo "bin

kamioon vi na" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda main

rakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya say

alag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haan

namayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag

nahain hain.

Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat say

Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikh

na'siraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitay

hain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aur

ehtaram say hazri daitay hai.

Musalman in sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah ohain

Page 13: Sikh Silsala-Eak Motala

mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahi

surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadaee yah

shabad malahza hoon:

"One Universal Creator God. The Name Is Truth. "

sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru Nanak

Dev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah ka

manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala say

musalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar is say mukhtalif

nahain.

"Dayemi Complex Bangladesh"

kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi is kay

darwazay kholay rahay hain.

Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam is

Page 14: Sikh Silsala-Eak Motala

waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Is hawala say oon

ka Sikh silsalay say bhi gehra ta'aluq banta hai. goya jahaan woh

digar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay

kay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaat

main faiz othanay kay moqay mayasar hain.

zara sonain to:

https://www.youtube.com/watch?v=ckjw6JC2ZA4

----------------------------------------------

1-Akhya Baba Fareed Nay p.47,

Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001

2-larae, jagra, kil kil, takrar waghera

3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib

Page 15: Sikh Silsala-Eak Motala

Wed Apr 29, 2009 2:03 pm

_________________

urfi67

Forum Family Member

thx 4 sharing

Wed Apr 29, 2009 2:36 pm

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

shukarriya janab

_________________

http://www.forumpakistan.com/sikh-silsala-eak-motala-t26890.

html#ixzz4GLNu1XQo

Page 16: Sikh Silsala-Eak Motala

Ab Guru Garanth sahib ki yah baniyaan sonain:

https://www.youtube.com/watch?v=5HTn_eX1tok

https://www.youtube.com/watch?v=mmKRO-yuoHw

https://youtu.be/uh3YgRkvC08

Page 17: Sikh Silsala-Eak Motala
Page 18: Sikh Silsala-Eak Motala