shabnam - meri · pdf fileteri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya nuksaan hua so hua...

76

Upload: duongtuyen

Post on 06-Feb-2018

330 views

Category:

Documents


8 download

TRANSCRIPT

Page 1: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’
Page 2: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 2

©Arun Bansal Year 2012

Version 1.0

Arun Bansal, #3110 GF, LIG Flats

Sector 52

Chandigarh 09855443849

www.merikavita.info

[email protected]

Published By

Saahb Informatics

www.saahbinformatics.com

Page 3: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 3

Main ek adhura khat jise kabhi padha nahin gaya

Mujhe kya malloom 'saahb' mera maujoon kya hai

Laut aaye jo mil ke haath aajkal Khuda ka shukar kiya karo 'saahb'

Bhula bhatka sa din ek mera 'saahb'

Mere sambhalne se pehle hi kho gaya

Main dhundhti hoon yahin to kahin rakha tha

Bhula bhatka sa ek dil mera kahin kho gaya

Tere chehre per aa ke thehar gayee hai baat phir

Charcha chaand ka chala tha, sach kehta hoon kasam se

Teri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, dil se kadwahat chali gayee

Mera dil hai na ki masjid shekh ji Ismein do khudayon ki jagah kahaan

Yaadon ke sahaare bhi kat jaati hai raat

Tumhaara khaab bhi mujhe sula sakta hai

kitna soonapan hai .. tere hote huye bhee .. e mohabbat .. ja tu bhi chali ja

Page 4: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 4

Is kaarwaan ki manzil kya hai 'saahb'

Jo chal pade ho mohabbat ka paigaam lekar

Hasrat e jaana kabhi laut ke to aa

Tere intezaar mein dekh sadiyaan guzar gayee

Mere halaat ki majbooriyaan samjho to sahi

Wafa karoon ya zimedaariyon ka khyaal karoon

Surkhiyaan tere labon per aaj kyon

Piya hai khoon kya phir kissi gareeb ka

Hum khamosh ho gaye to kehta hai kaho 'saahb'

Jo kehte hein kuchh to aankhein tarerata hai

Yaadein bhi badi ajeeb hoti hein

Koee saamne na rahe to kareeb hoti hein Tadpata hai koee raat bhar 'saahb'

Kissi ke liye yahi saleeb hoti hein

Na jaage aaj jo to kab 'saahb' Zindgi har mauka dobaara nahin deti

Raha na zindgi mein koee aur yun 'saahb' Jaisa dard tumne diya hai kissi ne nahin

Raahein patheron se bhari thi, paavn nange

Mere dil tha janoon e mohabbat, ki aa gaya

Raahein meri veeraan hein 'saahb' tere bina Yun milne julne waale badh gaye hein akeli jaankar

Page 5: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 5

Alsaaye alsaaye se din raat mohabbat ke Intezaar o aarzoo bhi bade kaam lagte hein

Bahut der ho gayee ab jaana chahiye

Intezaar aur bhi hai magar saansein nahin

Hua afsos bahut dil haath se jaane ka

Seene mein shola sa reh gaya jahaan

Log puchhtey hein kuchh kaam nahin kya

Main puchhta hoon intezaar kya kuchh nahin

Sambhal ke rakhna wadam in galiyon mein Dil chheen lete hein log nazar mila ke

Yeh woh jaadu hai jo asar karta hai dheere dheere Pehle hi din koee hosh nahin kho deta mohabbat mein

Aayega rang mohabbat per dheere dheere

Abhi sanwar rahe ho tum aaene mein zara

Kis kaam ke yeh aankhein meri 'saahb'

Jo tumko sanwarna hai phir aaeeno mein

Haraartein dhadkano ki baichaini dil ki Tumse milkar mujhe yeh kya ho jaata hai

Page 6: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 6

Surkiyaan chehre per jaane kis baat se

Yeh lab aur bhi gulaabi hein jaane kyon

Chaand ke chand tukde zameen per aa gire

Maare jalan ke jal gaya tumhe beparda dekhkar

Mujhe nahin pata ki tumhaara kaun hoon main

Itna pata hai mera sab kuchh tumhi ho 'saahb'

Sabar ki mere inteha guzri hai 'saahb' Mazaar pe mere woh bheegi zulf khade hein

Woh bheegi zulf khade hein tanha mujh mein, sanwarte huye Main jad hoon khamosh hoon magar pather nahin aaena hoon

Aasmaan se bijliyaan na giryo ab e khuda

Yeh kaam sonp do bus ab unhein, bheegi zulf

Sabaz rang libaas us per bheegi zulf

Patton per shabnam ne bijli gira di

Jo dekhe dekhta reh jaaye kaynaat e khuda

Jo gaisu geele hokar uljhe, woh uljh se gaye

Parindon ne apni hi tarah guftgu ki unse

Kabhi shaana kabhi zabee kabhi gaisu chum liye

Page 7: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 7

Yaar gaye zindgi se door yun

Main dard ki misaal ban gaya hoon

Mujhe hawaon se uski khushbu aati hai Main use bhula bhi doon, magar kaise

Humne apni pyaas ko bujhne na diya 'saahb'

Jab zara aaraam hua, hum uth ke chal diye

Mere saamne do hi raaste hein 'saahb'

Tujhe bhul jaun kissi tarah, ya zinda rahoon

Aati hai rangat mere chehre pe yun Teri tasweer muskuraati hai dekhkar

Taareekhein gawah hai, kya hashar hoga Tum yeh fariyaadein yun hi zaata karoge

Meri baat per khamosh kyon ho gaye

Batayo meri wafa ka sila kya yun doge

Aa gayee hai rut e bahaar phir se kyon

Mera mazaak udaane se e mausamon baaz aa jao

Silwatein nikli nahin hein mere bister se abhi tak

Karwaton mein guzri raat ke nishaan baaki hein

Main karwat bhi loon to dard hota hai

Silwatein bister ki zakham chhedti hein

Page 8: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 8

Jo sar jhuka diya to tum kamzor samjhe ho Meri khamoshiyaan bagawat bhi ban sakti hein

Takleef se nijaat mile jo tum aa jao

Aakhari saans hai tere bagair nahin aayegi

Teri bayeemaniyon ki kasam 'saahb', agar

Laut aaye to mujhe phir shaidayee kar sakta hai

Main kaun mujhe khud nahin pata

Tum kya ho, mere ho, itna yaad hai

Mausam e ishaq mein hijar ke geet Deewana sach mein deewana ho gaya hai

Mujhe mazhubi sa ishaq ho gaya hai jaise 'saahb' Khuda sajde duayein aur to aur wajoo karta hoon

Judayee ki baatein mere mehboob kyon

Tum gair ho ke hi sahi, mil to sakte ho

Koee to bane taskeen ki surat mere dil ko

Tu, teri yaad, tere asool, tera chale jaana

Peer e mohabbat se na uljh mere dost

Saaya bhi pad jaaye jis per, barbaad hai

Dil ko har waqt khyaal e yaar 'saahb'

Yeh mohabbat ke lamhe bade khubsurat hein

Page 9: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 9

Chaaragar kuchh to khyaal kar unka bhi

Bhar gaye zakham to woh pehchanega kaise

Dost aayein hein puchhne haal e beemar

Maza lete hein teri baatein sun sun ke

Pachhtaya jaye kyon aur kis baat per 'saahb'

Woh bewafa hua uski marzi, mujhe mohabbat hai

Mere lafzo per na jaaya karo tum Kabhi kabhi jhuth bhi bolta hoon main

Raas aa gayee hai adhunikta humein

Treadmill per daudte hein burger kha ke

Tere saath ke lamhe aaj bhi yaad hein mujhe

Main tere liye aaj bhi utna hi bekaraar hoon

Mera kya hai 'saahb', sab tera kiya

main galat hoon ya sahi, bus tera hoon

Main nahin jaanta ki galat sahi kya hai

Bus inta pata hai ki tum na mile to mar jaunga

Chadhe machine per, wazan ko 'saahb'

Ek ek karke aao, yeh awaaz aati hai

Itne shekh o maseeha jab duniya mein 'saahb'

Kyon phir aadam ki zaat raasta bhatak rahi hai

Page 10: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 10

Har baat pe yaad khuda ko karte hein woh

Pareshaan farishtey hein, kya dein kya na dein

Meri aqal ko taala pad gaya hai jaise

Tum saamne ho alfaaz zubaan se chipak gaye

Uljhe uljhe se shaam ke saaye Dil mein phir ek toofaan jaise

E ghatayo ab to baras bhi jao

Pal do pal hai koee mehmaan jaise Nazar mein awaaragardi nahin soonapan Kissi soch mein baitha ho insaan jaise

Kahin yeh ghadiyaan bhi guzar na jayein

Reh gaye khaali dil ke armaan jaise

Badgumaan ho raha hoon main tumhe paakar Mere haath mein tera haath nahin kaynaat hai

Mere hawaas yeh kehte hein ki ab tu nahin 'saahb'

Meri bekhudi abhi tak tera haath pakde khadi hai

Haazir hein hum jo chahe salook kar

E mohabbat ab mujh per tujheikhityar hai

Marziyaan chalti insaan ki agar

Khuda ki jannat bhi lut chuki hoti

Hua hai juda jabse tera wajoob mujhse

Main ek khaali libaas ban ke reh gaya hoon

Talab kaisi dua kaisi intezaar kaisa Jaane waalon per 'saahb' yeh haq kaisa

Page 11: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 11

Mujh per jo guzri hai woh main hi jaanta hoon magar E ishaq tujhe barbaad na yeh jahaan karne dunga

Shabnam ke katre saja dete hein zindgi

Phul sookh jate jo raat roya na karti

Khuda agar khudi tak rakhta, yeh mujasmein

Shayri 'saahb' shayad paida hi huyee na hoti

Paiband lage hein mohabbaton per zarurton ke Aaj bhi paak hai ishaq, bewafa halaaton mein

Rehbar e mohabbat ko puchha to jaye zara

Yeh raaste kyon na band hi kar diye jaayein

Use bata tha maano ki kya kahoonga main

Woh inkaar karne laga, mere sawal se pehle

Dil behlaane ko aata hai sailaani ban ke

Main ghatiyon si bebas hoon

Dekhiye ki, chalo kya dekhna usko 'saahb'

Tum yeh dekho pehle, main kya dekhta hoon

Yeh eent o pather ki imaarat hai 'saahb' Sirf yaadein reh jaane se ghar nahin rehta

Page 12: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 12

Ghar ko talaasha jaye jo kabhi achhe se

Na jaane kis kis ke raaz, apno per khulein

Raaste qatal ke unko aur bhi maloom they magar Tadap jo mohabbat de sakti thi, aur kaun deta

Aa gayee hai khushbu e bahaar bhi

Tum nahin aaye kya baat ho gayee

Dard e mohabbat ek sa dono taraf

Woh zindgi samjh gaye main nasamjh

Gam e mohabbat ko aakhir dosh kahaan tak Zarf e aashik ko chahiye kuchh uncha hona

Teri khubsurat kalayiyon ki kasam 'saahb' Chudiyon ki khanak mere dil ki dhadkan si hai

Saahilon ki ret kissi se lagaav nahin rakhti

Jo utha hai libaas jhaad ke, peecha nahin karti

Tarqeebein saari laga kar dekh li humne

Mere ilm ke saath ishaq ka samjhota nahin

Hawaas ude hein mere tumhe dekhkar 'saahb'

Mujhe badhawas samjho badtameez nahin hoon

Naam uncha unka kaam ka kya kahoon 'saahb' Desh pareshaan hai baba ji bolte kyon nahin

Page 13: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 13

Mil jayenge aapko kissi na kissi tarah woh

Koee dhundhne ke liye chaara to kijiyega

Dil jalyayiye magar haasil kya

Jo zindgi mein nahin

Haasil e mohabbat hai mera yeh

Dastaan e mehfil mein shaamil hoon

Rehbaron ki rehbari ne mujhe badhawas kiya

Seedhe raaste they woh mujhe kahaan le gaye

Tanhayiaan itni ki saaye bhi nahin Teergi itni ki chhooan ka ehsaas nahin

Nahin milta dil yun har kissi se

Teri baat aur hai, tera lehza aur hai

Shaan e gazal mein kahoonga bus itna hi 'saahb'

Teri surat hai tera zikar hai teri khushbu hai

Badal di taqdeer maine apni, ab to mera ho jaye Jis lakeer per nahin likha tha, jala di maine

Page 14: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 14

Mujhsa nahin hua hoga deewana 'saahb' koee

Yeh keh ke mehfil mein usne kadar kho di

Tere baad mile hein hazaar jism o dil mujhe

Na surat ya hai na ada ab tu mera maazi hai bus

Rishta kayam hai abhi tak unse mera

Kuchh aur nahin to maazi hoon unka

Tasweerein kaam aa gayee waqt e aakhir Dum tha ki tere bagair nikalta na tha

Utha jayenge aur do ghadi mein afsos karne waale Tera jaana hua hai umar bhar ke liye, main kya karoon

Mohabbat ab ek tajurba sa ho gayee hai

Sabak seekh lete hein aage chal padte hein

Mohabbat ke sher mein zikar e dozakh

'Saahb' koee dil jale se lagte ho mujhe

Sharaab pee kar na aaya karo mehfil mein 'saahb' Tumhaari nakaam mohabbat ke hum talabgaar nahin hein

Page 15: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 15

Mere raaste aur hein meri manzilein aur

Main musafiron sa musaafir nahin hoon

Mere dil ki pareshaani hai logon ki nazar Parda kar loon magar phir tera khyaal bhi hai

Samjhote dilon ke beech mohabbat ka baaees

Saath reh kar dilon mein jagah ho jaati hai

Sambhal ke rakh paanv, zameen dekhkar

Har pather thokar nahin hua karta

Jo raaste mein ghumaav hai thokarein bhi Tujhe kya hua hai teri himmat kahaan gayee

Unke chehre pe muskurahat aa gayee jo 'saahb' Mujhe yeh bhi yaad na raha, saans aakhiri hai

Mere hosh ki baat hai jab woh aaye they Uske baad ka zikar 'saahb' duniya se puchh lo

Meri hai lag na jaye kahin use 'saahb' Main khuda ke saamne khush rehta hoon

Roz nahin hua karte karishmein 'saahb'

Eka dukka kabhi kabhi aapki baat ho jaise

Desh ko kha gaye mere apne chune huye log Zimedaar mujhe bata rahe hein, is galti ka

Page 16: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 16

Tamanayee mila jo bhi mila 'saahb'

Kya hasrat e mohabbat inti buri hai

Ghatayon ki rimjhim ke beech kal khyaal aaya

Teri zulf ka rang shayad aisa tha nahin waisa tha

Kaantein ho ya pather path per 'saahb'

Pathik se keh do chalo ya raasta chhod de

Sach hai aakhir ko yahi

Sabke hisse chhe fut zamee

Zamaane se keh do aitraaz na kare

Deewane ki baat kya achhi kya buri

Aaeenon se puchhti rehti hoon aksar kaash koee hota jo khud bata sakta

Jap jap naam tap saje, sajayee labon pe bansi

Tere ho gaye kaanha ab to, baja prem ki bansi

Baichain dil ki baatein na suna karo

Samjha do ise tumhe aur bhi kaam hein

Masle zindgi ke talkh ho jaate hein jab Mohabbat bhi kabhi kabhi zanjeer lagti hai

Page 17: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 17

Sharaab o shabaab mein farak hai kitna

Bus raahon aur baahon se zaayda nahin (R aur B)

Ukse saame jhuth nahin kaha jaata 'saahb'

Sach sunkar woh khafa hora hai kya karoon

Meri gazal pe daad beshak na do 'saahb'

Yeh to na kaho ki dil se nahin likhi

Abhi kahaan uth ke jaate ho 'saahb' Abhi woh haal baaki hai, uthaye jayoge

Botelein aksar toot jaati hein kaanch ki Yeh sharaab kissi ki aankh mein sambhaal do

Badmaza na kar mohabbat ki baatein

Yeh zikar e hijar thoda baad mein karna

Pattiyaan gulaab ki tod na saka main

Tere labon ka khyaal aa gaya 'saahb'

Badnaam na kijiye ishaq ko yun Hogi ek aadh dastaan aisi bhi

Page 18: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 18

Raunak e rukh se mere haal ka andaaza na laga

Tere aane se dil yun bhi achha ho jaata hai

Mujhe tere shehar mein raahein apni si lagti hein

Patheron se bhi pehchaan ab to ho chali hai 'saahb'

Mere chehre pe zara si nami hai 'saahb'

Shayad ghabra gaya hoon apse milkar main

Rahe nazar mein tere hi khaab 'saahb' Main aankhein kho chuka hoon tumse milkar

Chaand ki chaandni aur bhi chamak rahi hai aaj

Unhone pakad liya hai mujhe daaman se lipta hua

Nahin keh sakta kyon ho raha hai magar

Dil tera har raaz jaan na chahta hai

Mohabbat ki raatein chaandni hoti hein 'saahb'

Ishaq mein amawas bhi hai lekin poonam ke baad

Mere saame duniya ki ek haseen ladki 'saahb'

Main agar bata doon use, to kya gussa karegi?

Sharartan maine duppta thaam liya, woh akad gaye 'Saahb' is gustaakhi ki saza tumhe khub mila karegi

Page 19: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 19

Musam e mohabbat hai fizaan mein ghula

Tumhaari khushbu hai yeh phul khilein hein

Sohbat e yaar mujhe azeez 'saahb'

Uska kehna hai magar ki baat bhi karo

Tareeke aur bhi hote hein mohabbat ke Aisa bhi kya ki tum berukhi se shuru karo

Raha mere khyaalon mein waqt wohi puraana 'saahb' Yun lamhon ne libaas badal liye lehza badal liya

Mere saamne aur bhi they, mehfil mein aashna Tere chehre pe nazar lekin jam si gayee! kyon?

Tarse hein ek nazar ko teri 'saahb' Mujhe dekh le, bezaar hokar hi sahi

Mere sawal tere kissi kaam ke nahin

'Saahb' tera moohn mod ke keh dena

Magrooriyaan husn ki kab talak rahengi

Jab koee puchhna band kar dega, kya karogi

Rehna mere aas paas hi kahin, beshak hawa banke

Mujhe jism se chhod dena 'saahb', magar dil se nahin

Chaalaki e yaar dekhiye to zara

Mujhe dekh kar andekha karta hai

Page 20: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 20

Mere saamne iska naam na lo

Mujhe nafrat hai mohabbat se

Mera naam shaamil karna us mehfil mein

Jismein diljale tanha udaas log hon

Rakhta hoon zere lab dard chhupa kar

Roz karta hai baithkein AC kamra hai Mere haakim ko meri fikar bahut hai

Mere bachpan per kissi ki nazar nahin jaati Har kissi ki nazar mein

Dashat e mohabbat ka darwaaza band kar do

Aane lage hein badseerat log 'saahb' yahaan

Raaste humesh tera mera naam yaad rakhenge

Chonka karenge mujhe tujhe ajnabi sa dekhkar

Peeri mein khuda ko hi khuda kaha humne

Nahin tum nahin ab mera khuda hi khuda hai

Deewane dil se puchh ki wafa ki kasam kya hai

Woh ro ro ke kahega zindgi hai zindgi hai 'saahb'

Pashemaan kyon hai e dil mere uth to sahi

Oh yeh hungaama!! achha theek hai, ja baith ja

Page 21: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 21

Woh aankhein bahut zaheen hoti hein 'saahb'

Jinse milte waqt nazar adab se jhuk jaati hai

Mere chehre per jo likhi hai 'saahb' ibaarat padh to sahi

Kahin tera naam to nahin, kahin mujhe mohabbat to nahin

Saahil per aa ke kashtiyaan puchh rahi hein

Manjil bhanwar mein thi, yahaan kyon aa gaye

Shehar e wafa mein pareshaaniyon ke baadal hai Baarish e gum hogi, kab kahaan kitni maloom nahin

Mere dil mujhe kahin aur le chal ab Yeh dashat yeh mehfilein mujhe raas nahin

Mere saamne tumhaari tasweer hai, tum ho

Kuchh kehna chahta hoon, mujhe kehne bhi do

Talabgaar hoon mohabbat ka, mohabbat do

Oh achha tum diljale ho, arey gaali kyon?

Mohabbat sachi ho to dil se hoti hai hai Jo zara sa bhi kachi ho, surat dekhi jaati hai

Page 22: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 22

Jab ji mein aaya nikal jao keh diya

Kya aashik koee izzat nahin hoti

Mere hisse mein kya ab yeh bhi naseeb nahin

Tera dar teri gali tera shehar teri duniya

Taqdeedron da keha mud nahin sakda, dil samjhona chunga hai

Rahe gardishon mein sitaare taqdeer ke bhi Mera hona chaha usne magar ho na saki

Meri nazarein talaasha karti hein lamhein woh Jinhe saath lekar tum, zindgi se chale gaye

Rahi sarkaarein bhi saath unke 'saahb'

Danga bhadkaya log ladwaye vote chheen liye

Sikke gir gaye kal mere chaar Akad nikal gayee, jhukna pada

Udta hua dil asmaan se, zameen per aa gira

Mera dil kaanch ka kirch kirch ho gaya Tum puchhtey ho 'saahb' hua hi kya hai

Sakhat jaan hoon yun nahin mar sakta Mere qatal ke liye tumhe khud aana padega

Betiyaan dhan hein magar paraya nahin

E zamaane tujhe apni soch badalni hogi

Zulf ka shaane per machlana tere Meri hasraton ki aah nikal jaati hai

Page 23: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 23

Hota aaya hai sadiyon se yahi

Inqlaab ki kahaani dohrayee jayegi

Nahin mujhe aur byaan dena 'saahb'

Tu ab mere lafzon ke kaabil nahin

Mujhe aaj bhi yaad hai woh garamjoshi

Jab main tumhaari sirf hasrat hua karti thi

Woh mujh per nahin meri kahaani per fida hein Taweerein haqeeqat se dardnaak hoti hein

Nahin khair kissi dum mere dil ki E ishaq tera kuchh nahin jaata

Shat shat parnaam is dharti ko, magar

Jinke pairon tale hai, unka kya karoon

Mujhe mera pata puchhte ho 'saahb'

Fakeer kahin is gali kabhi us gali

Prindo ko chhat se udaana theek nahin Yeh samjho ki ek basti ujaad rahe ho tum

Page 24: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 24

Har wqat janoon e mohabbat 'saahb'

Kya watan ki baatein koee aur karega

Mere yakeen per yakeen rakh 'saahb' Aaeeno se na puchh, main bata raha hoon

Tere saath main bhi dastaan ho jaunga

Mujhe apni kahaani mein shareek kar lo

Haath ki garmjoshiyaan kayam rahein

Dil beshak badal jaye, nazar wohi rahe

Shaq ke ghere mein 'saahb' bhi aa gaye Puchh rahi hai duniya muskuraya kaise

Mujhe azaad kar de is gam e shabistaan se 'saahb' Tujhe main manzoor nahin, mujhe yeh manzoor nahin

Charkhe moohre baith main, hisaab kardi haan

Jinne chakkar ishaq de, ohniyaan pooniyaan kataangi

Mujhe padhna nahin aata 'saahb'

Tum apni nazar ko awaaz de do

Tasweerein kahaan tak dil behla sakengi 'saahb' Kaagaz hai berang ho jayega ek roz kaagzon mein

Page 25: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 25

Kaynaat ko baandh liya usne yeh keh ke

Abhi bus abhi parda utaar denge 'saahb'

Mere peechhe aane ki wajah kya hai

E saaye tu bhi duniya ke saath mil ja

Mere saamne aa gaye hein do raaste 'saahb'

Teri shehar tera gali makaan tera, aur woh jahaan

Mera naman har us aurat ko jo iski haqdaar hai

Mere saamne se yeh aaeena uth lo saaki, maan jao Khud ko ander o saamne mujhse bardashat nahin hoga

Main khud ko bheeter se bardashat kaise karta hoon

Saame bardashat nahin hoga, yeh aaeene utha lo saaki

Nahin nazar aata kuchh tere siwa phir bhi

Fikar e rozgaar ki fikar zaruri hai sanam

Rehta hai har pal roshani ban ke humsafar mera Maan ke hote mujhe andhera mehsoos nahin hota

Page 26: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 26

Bad-dua lagti hai na nazar isko

Mera dil ek pather se kam nahin

Mod zindgi ke aur bhi khubsurat aayenge

Tum nahak pareshaan ho tooti chappal ke liye

Mod zindgi ke aur bhi khubsurat aayenge 'saahb'

Tum pareshaan hi rehna, tooti chappal ke liye

Inhein pareshaan kyon karte ho 'saahb'

Shukar karo ki sehan mein parinde aaye hein

Meri nazar ko pyaasa kar ke

Aab meri aankh ka woh le gaya

Tanhayiyaan badh gayee hein tere jaane ke baad Mehfilein byabaan lagti hein, dyaar ujhde ujhde

Mujhe teri nazar se jaam ek mil jaye to

Umar bhar ka khumaar mujh per chhaya rahega

Mere ho to mere ho kyon nahin jaate

Chale kyon jaate ho aakar khaab mein

Na kar tauheen mohabbat ki yun 'saahb'

Woh chala gaya magar aaj bhi wohi hai

Do lamhe naseeb se jud jayein to shukar hai

Aajkal duniya mohabbat mein wafa nahin karti

Page 27: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 27

Raha unko yahi fikar ki nuksaan ho gaya to

Mohabbat mein 'saahb' fayda kahaan se hota

Woh hoga aaraam se yahi bahut hai mujhko 'saahb'

Mera haal puchh kar kyon waqt barbaad karte ho

Mere dil ka khyaal kuchh to kabhi kabhi

Aisa bhi kya jab milo, sitam hi sitam

Mere hosh mein to nahin hua, pehle ki baat hogi Tumhaari kahaani mein yeh wafa kya cheez hai

Baat yeh nahin ki waada toda kisne Mudda yeh ki shikayat kiski hai

Mere apne hi dil mein yeh baat rahi hogi

Usne yeh nahin kaha ki mujhe mohabbat kar

Mere tajurbon se na seekh, kaisi hai

Mohabbat ka asar sab per hai juda juda

Is daaman ka ab main kya karoon bata Daag teri mohabbat ke 'saahb' jaate nahin

Page 28: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 28

Tasweerein jala doge, yaadein mita doge, dil bujha doge

Hum samjhe ki tum sab kuchh bhula doge, kya kar payoge aisa?

Tujhe kyon nahin lag jaati aakhir kissi ki nazar

Mehfil mein kaun hai jise tune loota nahin hai

Zindgi ke maayne samjhe nahin ho 'saahb' abhi

Jo mohabbat ki baatein bana rahe ho, abhi tak

Kya ho gaya jo tumhaari zubaan khul gayee

Khulne na paaye had se zyaada mohabbat ki baat

Zubaan tumhaari hai beshak, zikar humaara hai

Mohbbat bhare haath uske mujhe chhoo gaye 'saahb'

Main bhi soch liya, do chaar lamhon ka dhokha hi sahi

Zindgi ke riwaaz aur hein mohabbat ke aur Yeh wafa ki baatein 'saahb' kitaabi baatein hein

Mujhe labon ki talab hai 'saahb' Yeh jaam e kausar yahaan se utha le

Main koee gira patta shajar se Khizaan mein apne badal gaye 'saahb'

Maik ke deewane huye hein yun 'saahb'

Nazar aata hai unka badan bheega hua

Mere mehboob ki nazar, kya kahoon

Saamne sharaab be-asar, kya kahoon

Mujhe woh khumaari hai ki bekhudi

Mujhe puchhti hai bashar, kya kahoon

Ruth bhi gaya to kya hoga 'saahb' ka Main hoon woh nahin, jo manaya jayega

Page 29: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 29

Tu maalik hai, teri marzi hai, teri chalti hai

Acha ek nazar! aadhi? chalo woh na dekhein!!

Mere sabar ka imtihaan saaki

Yeh jaam nazar ke khaali kyon hein

Meri nazar per chhayee hein ranginiyaan si

Teri tasweer ke rang maano, inmein utar gaye

Yeh to itihaas hai sadiyon puraana, hairat kya Ek guzri huyee kahaani hi to dohrayee ja rahi hai

Inqlaab hoga, takhta paltega, log ujhad jayenge Phir dheere dheere waqt karwat lega, naye phul khilenge

Rahegi bashar humesha pareshaan 'saahb'

Jo mod khubsurat hoga, chappal toot jayegi

Mere naseeb mein aur gam likh do 'saahb'

Jo aaj lag raha hai ki gamon ki baarishein

Yeh samjhata hoon kabhi khush huye they hum

Mujhe ishaq ne us mod pe la khada kiya Jahaan tumhaara khyaal tumse bhi azeez hai

Page 30: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 30

Mere kismat se tum mile mujhe 'saahb' Tera chale jaane bhi mera hi naseeb tha

Jab talak saath rahe, ehsaas tha magar kam

Tere baad yeh samjhe tu kitna kareeb tha

Teri khaahish aaj nayee karwatein leti hein

Main dil se to nahin shayad jeb se gareeb tha Fitartan na bewafa tum na main dagabaaz sanam

Humaari mohabbat ka rozgaar hi saleeb tha

Tumhe le gaya jo teri meri marzi ke khilaaf

Muqadar mere dost yeh muqadar nahin rakeeb tha

Mere khaabon ki muslsal aawajahi rehti hai

Main neend mein bhi aksar logon se milta hoon

Mere khaabon ki muslsal aawajahi rehti hai 'saahb' Aankh bhi meri, meri tarah chain se so nahin paati

Aakar hi raha dil mein khyaal e mohabbat Maine samjhaya bahut 'saahb' sufi hoon main

Reh gayee hai ab pardadaari tumse 'saahb'

Mere bheeter tum ho, tumse kya parda karoon

Byaan juda hai mohabbat wohi

Kirdaar alag hai manch wohi

Kirnein subah subah jab pehli dastak deti hein Teri muskura ke kehna, subah ho gayee, yaad aata hai

Page 31: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 31

Ulfatein mujhe chain nahin lene deti

Tum mazhub ko zariya bana rahe ho 'Saahb'

Peeri mein mohabbat ka zariya khuda ka naam hai

Geet bageechon mein gaye jaate hein, jawani mein

Maala pherte hein 'saahb' aaj woh bhi khuda ke naam se

Aksar keh diya karte they mohabbat se badhkar kya hai

Samjhota hua hai dono ke beech kal hi

Dil yaad nahin karega zehan bhulega nahin

Wafa ki aadat ek aadat achhi nahin warna

Tumhaare ishaq mein kuchh aib nahin hai

Yeh kaisa waqt aa gaya hai 'saahb' mujh per

Log samjha rahe hein, chalo mara to nahin

Farishton se puchh lena zara kaun tha

Mera kaatil ata pata bata ke nahin gaya

Mujhe per tohmat hai 'saahb' ishaq ki Main apne khuda ki ibadat karta hoon

Logon ka kya hai log to yun hi Tum kaho, tumhe mohabbat hai ki nahin

Reh jayega raaz hi, hasrat ban ke

Zaahir ho gaya 'saahb' afsos banega

Sharartan usne mujhe shaamil kar liya dastaan mein Mera itne se 'saahb' umar har ka zariya ho chala hai

Page 32: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 32

Rehguzar na bana is dil ke raaston ko, pachhtayega Kaafila to hoga jismon ka magar, dil tanha reh jayega

Talabgaar hoon ab tak us nazar ka 'saahb'

Jis nazar se pehli baar tumne dekha tha

Meri aadton se khafa hein 'saahb'

Wafa ki umeed meri jaati nahin

Chhod jaate hein sab saath

Kya bache aur kya maan baap

Rehte hein angani sada sangani Ek biwi aur uske do haath

Haakim phir haakim hai, janta phir janta 'saahb'

Inqlaab hoga takhta paltega kahaani dohrayee jayegi

Naseeb se naseeb mila bada badnaseeb nikla

Humein umeed thi bewafa hoga, wafadaar nikla

Utaar-chadaav jeena-marna sukh-dukh aab-hawa Sabhi jode mein hein, phir bhi zindgi tanha

Wajah yeh nahin ki wajah thi koee Bus yun hi zid mein ghar ujad gaya

Nahin meri marzi ke khilaaf ja sakta

Dil pe 'saahb' humein aitbaar bahut tha

Page 33: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 33

Raaston per ab aitbaar nahin mujhe 'saahb'

Manzil ka waada karke bhul bhulaiya le gaye

Khudgarz hai zamaana yeh sach kaha aapne

Kuchh dil magar aaj bhi masoom hua karte hein

Khuda ki marzi hai yeh ki apna karam karo 'saahb'

Yeh baatein fizool hein ki khuda kuchh chahta hai

Waada toot jaata hai agar bojh ban jaaye Wafa wahin hoti hai jahaan dil milte hein

Saraapa aahat hi aahat mehsoos hoti hai

Jaise mere ander hi ander gashat ho teri

Haya bhi jever hai 'saahb' haseenon ka

Jo pehan ke nikle aur khubsurat lagti hein

Main sach kahunga to shikayat lagegi magar, kitaab se sar utha kar duniya dekho

Kya sach mein yahi satya hai Kya sach mein yahi sach hai

Baat kissi aur ki zikar kissi aur ka Dastaan kissi aur ki afsaana kissi aur ka

Umar yun guzar gayee hasrton mein meri

Haath kissi ka 'saahb' deewana kissi aur ka

Sehra ki ret se do chaar muthi le bhi liya to kya E tabeeb mere, teri dawa se aur kitna asar hoga?

Page 34: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 34

Vaid g ko kas ke pakad liya hai maine 'saahb'

Dekhta hoon chhoone se rog yeh failta hai kya

Ujaad do haan haan ujaad do magar basa kar

Tum ek baar haan kehke yeh basti basane to do

Ujaad do haan haan ujaad do magar basa kar

Tum ek baar haan kehke yeh basti basane to do

Bahut badh gayee hein nazdeekiya, ghutan si hone lagi hai Aao mohabbat ko rawaan karein, aisa karo tum thoda door ho jao

Akhiri saans hai vaid g bata rahe hein

Tum abhi tak keh rahe ho, thodi der main!

Sikhaata hoon padho likho afsar banoge Unka sawal aapko kursi kyon nahin mili

Main khaab dikhaata hoon caaron ke unhein

Woh meri cycle roz puncture karte hein Main ek paathshaala ka karamchaari hoon

Mujhe ab koee master ji nahin kehta

Shaam dhale door gagan se dharti ka milan Meri aankhon mein hai aaj bhi magar

Mujhe aaj bhi umeed hai yug paltega

Mujha phir koee, bada hokar pehchanega

Main apni kitaabon aadarshon ki duniya mein

Ek khoya sa praani, mujhe tum jaante ho

Mujhe majboor karne ki koshish na karo

'Saahb' main ab tumhaara nahin hoon

Page 35: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 35

Bus yeh samjha do ki naram bister pe neend kyon nahin aati

Woh aadha bhukha hokar bhi 'saahb' chain se kaise so jaata hai

Umar ka mod hai jawani, aur jawani ki dhadkanein 'saahb' Naseehat kya kare koee, kab dhuaan aag mein badal jaye

Nahin aati asaani se gaadi phir patri per, jo utar jaye

Achha wohi daur hai, jo bach ke is gali se guzar jaye

Yeh shajar gawah hein na jaane kin kin haadson ke Inhein izzat se pukaaro yeh waqt ke sipaahi hein

Utaar lo mere zeene yeh chaandni tum bhi

Dil khule aur roshani asal honi chahiye

Kadar pehchaani baap ki, 'saahb' khud baap hokar

Hum samjhe mohabbat uski, jab dil khud ka bhar aaya

Paheliyaan si baatein unki, sun sun chakkar aaye

Main kya samjha kya samjhun koee mujhe samjhaaye

Tukra diya hans ke mera sawal usne Mujhe jawab ka intezaar bhi na raha

Sar se paanv tak zakham mujh per 'saahb' Tumhein kya lagta hai mohabbat kaisi hai

Jhuth hai ek jhuth nu hawa na deni

Mohabbat ek kahaani hai, asal to pare

Page 36: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 36

Unhein khamoshi pasand hai mujhe guftgu Hum milte to hein magar, bechain hokar

Mujhe kya puchhte ho ab haal tum 'saahb'

Yeh keh ke, chup bhi raha karo kabhi kabhi

Rukhsati ke waqt usne yeh puchha mujhe

Yaad aayegi tumhein, roya to nahin karoge

Mujhe chhudwa do kissi tarah inke bhanwar se

Yaadein baatein karti hein mujhse khaab mein

Baaton mein kya hai baat kuchh bhi nahin Khamoshi badi cheez hai, kabhi raha karo

Meri unse huyee itni mukhtsar si baat Ek nazar unki 'saahb' mera dil doob gaya

Baat nahin karte woh mujhse aajkal

Galti ki maine khamoshi ki kasam dekar

Tum baat nahin karti, khushbu baant ti ho

Kaash ki waqt tumhaare liye yun hi rahe

Waqt ka pahiya chalta rahega

Page 37: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 37

Nazar se kuchh zubaan se kuchh

Tum baat per baat badal jaati ho

Bus itna hi kehna tha tumse

Ruk jaate to jaan bach sakti hai

Bus itna hi kehna tha tumse

Zindgi ab teri amanat hai

Bus itna hi kehna tha tumse

Tum jaldi mein ho, Chalo koee baat nahin

Bus itna hi kehna tha tumse Ab tumhaara nahin hoon main

Bus itna hi kehna tha tumse

Mere paas teri nishaani hai

Bus itna hi kehna tha tumse

Mere nazar ko sirf tu chahiye

Bus itna hi kehna tha tumse Mujhe kissi tarah apna lo tum

Page 38: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 38

Bus itna hi kehna tha tumse

Mere aadat ban gaye ho tum

Bus itna hi kehna tha tumse

Mer itna kareeb na aaya karo

Bus itna hi kehna tha tumse Bina kahe samjhate kyon nahin

Bus itna hi kehna tha tumse Bus itna hi kehna tha tumse

Apne hi dil se maat kha raha hoon

Jhuth hai jhuth hai samjha raha hoon Baat per baat nikal padti hai 'saahb'

Jab nazar dono taraf se ladti hai

Aa jaati hai hawayein hum dono ke beech

Kaynaat jalti hai 'saahb' humaare milne se

Haadse itne badh gaye hein shehar mein

Mera tabaah ho jaana koee khabar nahin hai

Shajar se puchh lo zara kitne log they

Haadse se bhi pehle ka yeh gawah rahe hein

Mere saamne woh, aur zubaan ki lagzishein

Kehna kuchh hai kehta kuchh hoon, mayne kuchh

Rahega saaya saath mere dua banke Bazurgon ka ashirwaad le ke chala hoon

Page 39: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 39

Haunsle ke baad phir haunsla hai 'saahb'

Meri fitrat mein hai, rukta nahin hoon

Qadam unke nahin tukte jinhein

Manzilein khud sada deti hein

Saazishein waqt ki hein un logon ke khilaaf Jo waqt ke khilaaf jurrat karte hein 'saahb'

Utra karti hai mohabbat sar pe chadhi Magar nikaah ke baad, do bachon ke baad

Aadmi hi sunta gar aadmi ki to bhala hota Hum pather poojte hein dil ki tassali ke liye

Rahegi sharat kya humesha yahi zindgi ki Mai e kausar mile mujhe yahaan chhodni padegi

Mohabbat ki baat karte hein 'saahb' jo

Zubaan saaf dil paak rooh peeron ki hogi

Raha der tak main yun hi khada wahin

Woh guzar gaye ek jhalak dikha ke mujhe

Aa aa ke mil jaate hein log aajkal Bister se lage hein 'saahb' jabse

Page 40: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 40

Teri nazron mein kya hai tu kya jaane 'saahb'

Meri nazar se dekh ki yeh aankhein kya hein

Alfaazon mein byaan gar hota yeh ishaq

Kyon ibaadat ka naam de ke koee karta

Yeh nazrein jin mein tum sanwar rahe ho

Duniya dekhti hai haal tere deewane ka

Yeh aankhein karishma khuda ka ek Dekhti kam hein, kaatil zyaada

Kam na aankna mohabbat ko 'saahb' Ibaadat keh ke shekh g karte hein

Shahadat ka rang hai sulag raha

E hindustan tujhe abhi azaad hona hai

Fizzan mein khushbu khushbu hai

Nahin yeh bahaan nahin sirf tu hai

Nahin milenge aur kahin mohabbat ke geet Yeh dastaan kabhi jawani mein dohrayee jayegi

Page 41: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 41

Nahin gaye jayenge phir wohi mohabbat ke geet

Na phir hum jawan honge, na tum jawan hoge

Teri saadgi per fida laakhon sanam

Tune kitne kaafir muslmaan kar diye

Mudda guftgu ka rakhna laazmi hai

Teri aankhein padhunga tu naraaz hoge

Udaan hai aasmaano ki, gehraayiaan saagar ki

Yeh nazar kuchh juda hai, raft rafta manzil ki aur Yeh dekhti hein door tak jahaan asmaan hi aasmaan hai

Is nazar ko sawal puchha kare koee 'saahb' Kya beimaani sirf aankhon mein hai ya dil mein

Keh dein jise ek nazar se tum mere ho Umar bhar yahi soch kar zehan chakraya kare

Teri sheeshein mein sanwarne ki aadat Meri tujhe aankhon mein bharne ki khahish

Tu pyaasa hai laakh sanwar kar bhi 'saahb'

Main pyaasa hoon sanwarta dekh kar bhi

Main har shaam teri tasweer le ke baitha hoon

Tujhe aitraaz tha meri mohabbat per, aakhir kyon

Rahega mausam badal kar, 'saahb' phir se

Asmaan ko raas nahin kissi ko mausam raas aa jaye

Tere sahaare din raat badal rahe hein Chaand o suraj mein tai hua hai, baari baari

Page 42: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 42

Nikla karo jo chhat per bhi to parda karo

Mehtaab ki nazar buri hai, abar ki oat se

Shehar e wafa ki kasam khakar bewafa ho jaate hein

Aajkal ishaq mein log 'saahb' deewana ho jaate hein

Rahe nazar mein unki sanwarne ke shauk mein

Usne paani ki tarah baha diya, ek thokar per

Nahin gamzada main tere khyaal se magar Yeh afsos rahega beqadar huye tum kiske liye

Baaware nain mere, tere sang chale gaye Meri aankhein taras gayee, tere khaab ko

Mere sawal ka jawab yun diya usne Ek nazar teekhi tirshi aur kaatilaana

Meri mohabbat ka yeh haal hoga socha na tha Tum is kadar bekadar nikloge socha na tha

Hum tere haseen chehre se dhokha kha gaye

In nazron ke jhuthey waadon mein aa gaye Tum ander se is kadar nikloge socha na tha

Hum khaab sajaane lage they, neend khokar

Khud ko hi bhul jaane lage they, tere hokar

Tum mere liye befikar nikloge socha na tha

Page 43: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 43

Mere mehboob yeh mausam e ishaq phir kahaan Mere dil sa dil teri jawani ke din phir kahaan

Tum har baat ko nashukar nikolge socha na tha

Mujhko zaahir baatin kuchh pata nahin 'saahb'

Log puchh rahe hein, tumhein khyaal kiska hai

Mere khaabon ko haseen magar

Meri zindgi ko barbaad kiya tumne

Main kissi bhi pal tumhe nahin bhula Kya kissi pal mujhko yaad kiya tumne

Din o raat ke chakkar hein mohabbat mein 'saahb' Lekin phul bahaar mein na khilein to kab khilein

Samjh ke daali gulaab ki mohabbat ki thi Yeh kya maloom tha kaanto se zakhmi honge

Mere haunsle ki daad dijiyega 'saahb' Raah e mohabbat per chal pada hoon

Yun bhi mit jaate hein ek nigaah per log Na bike yeh dil to na bike takhto taaj per

Humaare nahin kissi kaam aa saki 'saahb'

Tum apni dosti ka e dost dum bharte raho

Mere saamne do hi raaste bache hein 'saahb' Ek tum dikha rahe ho, ek jo main dekh raha hoon

Page 44: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 44

Nahin kaabil e gaur zindgi ka yeh pehloo

Pehle yeh samjhiye ki apna kirdaar kya hai

Samjhotawaadi duniya mein 'saahb'

Samjhota na karna hi asehyog hai

Zindgi ke pehloo mein rang hein kitne 'saahb'

Kis per kaun sa chadha yeh kismat ki baat hai

Rishton mein thodi si tijarat bhi hoti hai Kabhi maan khush kabhi biwi to kabhi bache

Hum khel samjhate rahe mohabbat 'saahb' Baithey hein haare huye juaari ki tarah

Utra nahin bukhaar e ishaq laakh dawa ki

Vaid g khud beemaar ho gaye chara karte karte

Uljh ke reh gaye hein rang 'saahb' teri tasweer ke yun

Mujhe tu kabhi yahaan se kabhi wahaan se haseen lagta hai

Aksar 'kyon?' puchh baithtey hein hum

Agar koee apna bhi humein kuchh kaam keh de

Meri umeed ka diya jal raha hai abhi tak 'saahb'

Tumhaari laakh aandhiyaan e zamaane ise bujha na saki

Page 45: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 45

Ehsaas e wafa sirf mujhe hai ya tujhe bhi

Yakeen hai magar gunjayish e shaq bhi hai

Karke dekhiye ki kya maza hai ishaq mein 'saahb'

Sun sun ke dastaan yun hi muslmaan huye jaate ho

Main nahin hoon pather dil mujhe galat na samjh

Naseehat karta hoon 'saahb' maine karke dekh liya hai

Mere pehloo mein tha kuchh pather jaisa Toot gaya beawaaz beshikayat beshakal sa

Kuchh zyaada nahin badal tere jaane ke baad Kuchh mom sa tha pehloo mein, kuchh pather sa hai

Mehfilein veeraan lagti hein, veerane abaad

Yahaan koee nahin, wahaan teri yaadein hein

Naseehat aati hai man mein, dard jab saamne ho

Bheetar se uthta hai jab, shikan pad hi jaati hai

Mere sanam mujhe na pukaara kar yun Main neend mein chal padta hoon, teri taraf

Page 46: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 46

Puchha ki kab khatam hoga intezaar

Kehne lage bus tere khatam hote hi

Tammana dil se nikal kyon nahin jaati mere

Jaise tu nikal gaya zindgi se alvida keh ke

Kaun puchhta hai kaun samjhta hai inki bhasha // Phulon hasrat se dekhe jaate hein titliyon ko

Kaun puchhta hai kaun samjhta hai inki bhasha 'saahb' yeh dil bhi badi guftgu kiya karte hein

Mere hosh to tum le gaye, na jaane kaise dekha tumne Main sanwroon kaise aaene teri nazar lagte hein

Mere dard ki shikayat kaun sune Fursat kissi ko aah o zaar nahin

Ek nazar hai kahin, to khaate ka maal hai kahin

Cycle nahin car chahiye 'saahb' rose garden jayenge

Yeh mohabbat mere dosto, gareeb ke bus ki baat nahin

Utar gaya hai bukhaar ishaq unka Burke mein bhai 'saahb' nikle

Page 47: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 47

Tum woh jahaan sanwaar lo shareef hokar Main is jahaan ka maza le loon gustaakhi se

Badh gayee hai raftaar dhadkano ki 'saahb'

Koee keh de unse ki parda kar lein humse

Woh bata rahe hein baat ek khaab ki

Kehte hein bura sapna dekha kal raat

Woh kehte hein ki bura sapna dekha kal raat

Main khush hoon ki baat khaab tak pahunch gayee

Doobte ko mila hai 'saahb' kinaara jaise

Thehar gaya hai kaur pe aankh ke aansoo

Main sar se paanv tak mohabbat 'saahb'

Lekin Mujhe fikar e rozgaar kha gaya

Aitbaar kar e zindgi mera, main phir lotungi Mujhe aaj jaane se, us paar meri mohabbat hai

Museebat itni badi hai ki main jee nahin sakta

Museebat yeh hai magar, ki mar jaun kya isliye

Dekhta hoon aaeena to pehchaan nahin paata hoon khud ko

Shayad din badal rahe hein tezi se, ya mujhe fursat nahin milti

Main jaata hoon ghula baarish mein aaj Mujhe per baras rahi hai nazar uski

Page 48: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 48

Khuda se puchha maine ki mea kya hoga

Muskura ke kehne laga, jo duniya ka hua

Mere sawal se puchhte ho ki sawal kyon hai

Mohabbat ko kaafir keh do, jo jawab nahin

Khaane se paseene ki boo aati hai ab tumhe

Kitchen mein exhaust fan hi theek karwa do

Utar jayegi raat ki sharaab 'saahb' Mujhe naukri ki yaad dila rahe ho tum

Badi mushkil se raat bhar guzara kiya hai Sehar ko woh dhamka rahe hein, hisaab kar do

Mujhe theek se ab nazar nahin aata 'saahb'

Tere chehre ke peeche sab chehre dhundhle hein

Awaaz do ki nahin aaya hai roz ka peene waala

Saaki pareshaan hai, meri sharaab kahaan gayee

Nazar peeli padh gayee hai, chehra utar gaya Sanwar ke aaye they jiske liye, woh nahin aaya

Page 49: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 49

Ban gayee zehar nazar unki mujhe dekhkar 'saahb'

Aa gaya hoon shayad kissi aur ke samay per main

Nahin kaabil e gaur yeh baat magar, suno

Ziska tumhe intezaar hai kya woh aa gaya

Ukta gaye hein woh shayad mohabbat ki baat se

Puchh rahe hein aur sunayo, khuda ka haal chaal naya

Masjidein tarak kar do mehfilein khaali kar do Maikade band karwaane ki sazishein rachi ja rahi hein

Mujhe pareshaan na kar main uktaya hua hoon

Mere haasil e ishaq ko dekh zara 'saahb'

Mujhe lene khuda ke farishtey aaye hein

Mere haasil e ishaq ko dekh zara 'saahb'

Shaamil e janaaza mere tamaam kaynaat hai

Manzilein sada de rahi hein idhar nahin idhar

Ek akela main, kaun kaun sa rasta tai karoon

Mere hone na hone se kya farak tumhe 'saahb'

Tum apni marzi ke maalik, main apni tabyat ka

Page 50: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 50

Woh dost yaar phul o kaliyaan badal gayee

Kheer o churi gud ki daliyaan badal gayee

Main aaj phir khada hoon usi dashat mein 'saahb'

Mere bachpan ki saari galiyaan badal gayee

Mera nahin koee aur 'saahb'

Sirf woh, jiska main hoon

Bant gayee baant te baant te khushiyaan saari

Mere haath khaali beshaq, mujhse neend achhi haasil

Mujhse tera saamna nahin hota 'saahb', darta hoon Raaz khultey hein teri aankhein tehqeeqat karti hai

Yeh baarishon ki shaamein sard sahi bheegne ke liye Tere ehsaas ki garmiyaan mujhe majboor kar deti hein

Rag rag raag raag bhara, sangeet bikhra man mein Aaja piya kissi tarah, tere bina main biyaban mein

Yeh nagmein mohabbat ke dil geet geet ho raha hai Bahut ho chuki tijarat ab, birha naache aangan mein

Mera kya aap daanish bade, masle mazhub o siyasat ke

Main adna sa aam aadmi, mehnge saste se fursat nahin

Kaun bada hai kaun chhota kaun jaane kaun kahe Kadar padti hai yahaan aksar, mar jaane ke baad

Page 51: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 51

Khamoshiyaan aksar galatfehmiyaan ban jaya karti hein

Haq e zindgi gar chahiye to, 'saahb' chilaana hi padta hai

Main aaj bhi us waade per aitbaar kare baitha hoon

Jise saaf saaf 'saahb' tum mere saamne tod gaye they

Utra karti hai zeene se dhup jo

'Saahb' kabhi usmein nahakar dekhna

Ujhad kar bastiyaan bas to jaati hein 'saahb' magar Kuchh log ujadne wale, humesha ke liye kho jaate hein

Wafa ke saaye jab gehra jaate hein 'saahb' Naye daur ki mohabbat ka dum ghutne lagta hai

Kahaaniyaan hein sab kitaabi baatein hein

Wohi puraane kisse hein, kitaabi baatein hein

Aaj ke daur mein naya yahi ki kuchh naya nahin

Aeene aur sheeshe ka farak samjhte ho 'saahb' Ek jismein tum aur ek jismein duniya dikhti hai

Page 52: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 52

Jiske paas hai waqt ki daulat aaj

Samhjhiye ki wohi ameer hai 'saahb'

Jab samjh hi chuke ho tum ki ab tumhaara nahin hoon Yeh duhayee mohabbat ki phir kisliye de rahe ho 'saahb'

Kya farak padta hai kissi ke hone na hone se

Hum nahin honge ya tum nahin hoge, koee aur hoga

Mere dil ne yeh samjh liya hai mohabbat ka matlab

Jawan dil ki hasrtein hein, 'saahb' chaar din ki

Taqdeeron ke gulaam hote hein bebas log Bebas logon ke liye mohabbat nahin hoti

Woh chupke se guzar gaye kal shab khaab mein Mujhe neend mein aahtein sunayee deti rahi

Jo jiska hai uska nahin hota 'saahb'

Zindgi ke asal maayne yahi samjho

Zulf ko zara kaaboo mein rakh karo

Kaafir kar degi achha bhale muslmaan

Juda hone ka matlab kya hai 'saahb' Roohein ek ho gayee hein jab, kaho

Page 53: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 53

Utra jaata hai mujhko bukaar e ishaq 'saahb'

Roz mehnge ho rahein hai aata daal dheere dheere

Na kar yun kufar ki baatein 'saahb'

Mohabbat waala hokar ilzaam na de

Kufar hai kufar hai ilzaam tera 'saahb'

Mohabbat waale yun badzubaan nahin hote

Mohabbat nahin 'saahb' zarf kam pad jaate hein Log dil se nahin zarurton se bewafa ho jaate hein

Mohabbat ko palon dino saalon mein na baandh 'saahb' Yeh kahaani adam ke zamaane se hashar ke roz tak chalegi

Hai ki yeh kya ho gaya zamaane ko

Mohabbat mein badzubaan ho gaye woh

Amaanat samjh ke chhoda tha dil tere pass

Tum haq jata rahe ho, waapis kyon nahin dete

Fariyaad karne waalon ki hardum kaun sune Jo khud na kar sake uska khuda bhi kya kare

Page 54: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 54

Bekhudi itni badhi ki 'saahb' gumshuda se ho gaye Khud ki tasweer mili ek roz puchh rahe hein kiski hai

Kya zikar karna ab uske sitamon ka 'saahb'

Aao koee puraani baat karein jab woh bawafa tha

Meri na chali us roz 'saahb' kya karta

Main tujhe bhula nahin, maar daala gaya

Mohalat na mili aur mujhe 'saahb'

Saansein zaruri thi us waqt pata chala

Woh mere ashak dekhkar bhi pather hi raha Main apne hi sog ka afsos karke aa gaya

Mujhe nahin takleef tere zakhmon se magar Cheese uthti hai jab koee tafteesh karta hai

Meri rooh se puchho ki mohabbat kya hai

Mere jism mein shayad kuchh kami reh jaye

Mera haath nahin chhodte woh mohabbat se

Badi uljhan mein daal diya e dil tune

Zulf sanwarein to haath chhut ta hai

Khuda kare jo bhi kaam kare 'saahb'

Ishaq mein log kissi kaam ke nahin

Lakeetein banti bigdati rahengi 'saahb'

Qadamon mein raftaar rahe, manzil ho na ho

Page 55: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 55

Imtihaan le rahe hein woh mera 'saahb' kyon

Jo main nahin unka woh mere nahin, phir yeh kyon

Aa gaya hoon mohabbat ki zad mein main bhi

Naseehtbaazi karte karte, 'saahb' fans gaye

Tera aitbaar kisse hai yeh to bata de

Tera dar fizool hai ki waada toot jayega

Dil ka koee badal hota hai to bata de

Teri yeh amaanat ab sambhali nahin jaati

Mausam ki tarah badal jaate hein kuchh log

Dushan se bure hote hein aise kuchh dost

Humne koshish ki hai bahut ki na kahein Teri tasweer ke saamne, phir kaha jata hai

Waqt guzar jaane ke baad aur keemti ho jaata hai

Kya yeh baat samjh rahe ho, aane waale waqt ke liye

Dard ka dariya beh nikla hai ek

Teri mohabbat mujhe rone nahin deti

Zakham zakham hai 'saahb' jism aisa Log haath lagaane se dar rahe hein

Page 56: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 56

Mujhe daanish kr gayee hai mohabbat unki

Mujhe kahaan pata tha aisa bhi hota hai

Main nashaad yun nahin ki nakaam hoon barbaad hoon Mujhe afsos is baat ka, uske kissi kaam aa sakta tha

Guzar gayee rafta rafta zindgi

Hum samjhe they ek do din gaye

Nazar mein reh gayee 'saahb' baat nazar ki

Woh kitaabein padhna jaante they, nazar nahin

Mere dil ke Halaat kuchh theek nahin hein Teri tasweer dekh raha hoon, baar baar main

Mere qadam na jaane kahaan se itne tez ho gaye Manzil ka waada karke tum na jaane kahaan kho gaye

Teri tasweer main jaane kya nazar aaya dil ko

Aankhein hat gaye per, 'saahb' dil wahin reh gaya

Le ke baitha hoon tasweer teri kya kahoon

// Kya naam loon kaise puckaarun kya kahoon

Kuchh saadgi kuchh shararat kuchh ada kuchh haya Teri tasweer mein 'saahb' ek afsaana hai jaise

Page 57: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 57

Rang hein kuchh bikhre bikhre tasweer ke teri

Shab karwaton mein guzri hai kya 'saahb' iski bhi

Bhul bhaliya jaise teri aankhein hein tasweeron hein Andar aane ka raast aasan, bahaar jaana bahut mushkil

Utaar ke fenk diya usne beparwahi se dupptta

Phir meri tasweer se woh khud hi sharma gaye

Rang e tasweer mujhe bade dilkash lage Kahin sunehri kahin surkh kahin sabaz

Yeh betarteeb libaas yeh barhami harktein

Ek tasweer ki tarah main bankar dekh raha hoon Sirf rangeen Kaagaz hi to hai, yun dekhiye to

Meri zindgi ka haasil ban gayee tasweer teri

Ab teri tasweer ko aur kaise khush karoon

Yahi le jayegi aakhir mujhe tere khaab tak

Tujhse bahut alag hai tasweer teri 'saahb'

Nahin badli zara bhi tu kitna badal gaya

Hai hai baramad ho gayee hai tasweer teri Tafteesh karti duniya ko kya jawab doon

Samjhne ki koshish kar raha hoon 'saahb' Teri tasweer se tum bane, ki tum se tasweer

Badal jaunga baat agar phir yeh sawal utha

Tasweer mujhe mili kahaan?, kaun si tasweer!

Teri tasweer ke sahaare kuchh raatein guzar ho gayee Waran waqt kitna mushkil tha, e jaane waale tujhe kya pata

Page 58: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 58

Meri baaton per yakeen, deewane ho kya?

Tasweer tasweer, aakhir kaun si tasweer!

Khyaal na kar kissi aur baat ka 'saahb'

Ek tasweer hai, isi ko gale se laga le

Woh saaf mukar gaye 'saahb' meri nahin hai yeh

Tasweer adaalat mein pesh ki gayee mere saath unki

Tasweeron se ladayee kis liye 'saahb' lekin Kya karoon, samjhota bhi nahin ho sakta humaara

Utra utra chera hai 'saahb' janaab ka kyon Tasweer mein tum kuchh aur lag rahe they

Uska bus chale to mujhe bhula di daale

Meri tasweer lekin khaab se jaati nahin

Tasweer se tasweer jod ke dekh rahe hein

Tumhaare saath aakhir hum lagenge kaise

Bazurgon ki dua bhi suna karo kabhi kabhi Unke khaansne ki awaaz se pareshaan kyon ho

Page 59: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 59

Siyasat ke pech meri samjh ke baahar hein

Mazloom kuchal kar kaun si sarkaar chalti hai

Woh khud hi kyon nahin keh dete ki aisi baat karo

Mera imtihaan hai kahoon kuchh aisa ki khush karde

Khud se nahin rakhte koee mudda e guftgu, kyon

Meri nazar rokte hein meri zubaan tokte hein

Achha! main puchhta hoon, tum jawab dena

Sach sach kaho, tumhe achha kya lagta hai

Aeene ke aage sanwarna, ya baarish mein bheeg jaana Hawayon se uljhana ya udaas lamhon ke geet gaana

Tumhe raat dhale chaand utarta kaisa lagta hai Achha! main puchhta hoon, tum jawab dena

Sach sach kaho, tumhe achha kya lagta hai

Behti huyee kashti ko door tak dekhte rehna Guzrti huyee gaadi ko pul se jhaankte rehna

Doobta hua aftaab paani mein kaisa lagta hai

Achha! main puchhta hoon, tum jawab dena Sach sach kaho, tumhe achha kya lagta hai

Subah libaas ki barhumi per chownk jaana

Khidki per baith kar dhup mein nahaana Khaali raaston per tarsati nazar kaisa lagta hai

Achha! main puchhta hoon, tum jawab dena

Sach sach kaho, tumhe achha kya lagta hai

Yeh utra hua chehre yeh barhumi libaas

Kya tumhaare saath bhi wohi hua hai 'saahb'

Tasweerein bahut kuchh byaan karti hein 'saahb'

Fakat rangeen kaagaz ka tukde nahin hein yeh

Page 60: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 60

Shekh g ki baatein samjh nahin aati kabhi kabhi

Kehte hein mohabbat bhi karo, kaafir bhi na bano

Kaafir kehte hein jo mohabbat karoon to

Shekh g naseehat dete hein yun mohabbat ki

Kabhi khud se puchhta hoon ki sharaft kya hai

Shayad khamoshi unke saamne, jinki zubaan chalti hai

Mohabbat! bada ajeeb sa shehar

Roz ke milne waale bhi ajnabi Aur jo sadiyon se nahin mila

'saahb'wohi sabse zyaada aashna

Zindgi!

Kitaabon se

Bilkul juda Ek bus ki tarah

Mera chadhana, utarna, pahunchna

Sab bheed per nirbhar Main! khush!!

Ki main yeh sab karta hoon

Apni hi nazron per kuchh jam gaya hai shayad

Milne waale badh gaye hein, aashna log kam

Jo hai bus yahin hein 'saahb'

khubsurat hai dilkash hai Jannat hai

Mere saaye bhi ab mujhse katraane lage hein

Mere haal se mere apne bhi ghabraane lage hein Log ab haal bhi nahin puchhteym mujhse 'saahb' Mere ashaq o alfaaz khanzar ban jaane lage hein

Page 61: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 61

Tafteesh e zamaane se na ghabra 'saahb'

Tu fikar mat kar tera raaz raaz rahega

Aaj paani mein aag lagi hai 'saahb'

Mere ashak ghul rahe hein baarish mein

Yun laga ki tasweer se bhi tapke hein do aansoo Mere haal pe shayad tera bhi jee bhar aaya hai

Katal karne ke 101 tareeke 'saahb', faansi, goli Chaaku, .... talwaar, neta ko kursi se utha dena

Hai masla naazuk yeh khyaal rahe Fakat tasweer nahin hai, yeh tassavur unka

Utra nahin hai khumaar mujh se abhi tak Teri tasweer barson huye khaab mein dekhi

Shikwa bhi zaruri kadi hai rishton mein 'saahb' Sirf mohabbat ki baatein, bezaar kar deti hein

Adab se peena nahin aaya unhein 'saahb', samjhaaye koee Woh aakhon se pila rahe hein, yeh paimaane utha rahe hein

Surkh labon per titliyaan mandra rahi hein

Woh ek pal mein hazaar baar puchhtey hein, kaisi lag rahi hoon

Hum aaeene ke saamen do pal khade kya hue, shaukeen bata rahi hein

Kya kya baatein zamaana bana raha hai

Tere khyaal ne dekh mujhe ruswa kar diya

Page 62: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 62

Mera aur kya ho sakta hai tajurba, dard ke siwa

Tum bata rahe ho 'saahb' kahin chain se kat ti hai

'saahb' mohabbat ko nikaah ke baad kya ho jaata hai Woh saamne aa jayein to uth jaane ka ji chahta hai

Mujhe saleeka e izhaar na aaya 'saahb' Woh haan kar dete, gar main puchhta shayad

Khuda ne ilm bakhsha hai mohabbat ka Tumhein inkaar kyon hai kufar samjh ke

Mere apne hi dil ki uljhane hein 'saahb' Yeh maan jaye to phir mohabbat kar loon

Chhode hein nakash humne 'saahb' wahaan bhi Jahaan duniya kehti hai jaana theek nahin

Mohabbat mein hosh o hawas kho dena 'saahb' Tumhe kya naseehat karoon, behki huyee baat per

Yeh inteqaam yeh badle ki bhawna Dariya ko insaan samjha hai kya

Marne ke baad tasweer per phul chhadhaye jaate hein

Jeete ji door se khiska ke thaali pakdayee jaati hai

Humaari hi aadat kharaab hai tumhaara dosh nahin Hum hi waafa ki hasrat 'saahb' dil se na nikal sake

Page 63: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 63

Zoo mein bore ho rahe hein bache

TV per haathi zyaada mazedaar tha

Dil ko apni padi hai mujhe apni fikar 'saahb'

Yeh tujhe yaad rakhna chahta hai main bhulna

Jis per guzarti hai wohi jaanta hai 'saahb'

Yeh pyaale mohabbat ke, sharaab bhi zehar bhi

Nazar mein muskurahat bhar to sahi Log apna lenge tujhe insaan samjhkar

Mohabbat ki bus yahi baatein raas nahin aati Har waqt ka tasawur, koee aur kaam na karoon

Kuchh to khyaal unka bhi kiya hota

Barson jinki god mein khelte rahe

Na kar zikar unka musalsal e dil

Wah to karne de, aah to bharne de

Kaam aa raha hoon akhir main kissi ke Koee mere dil se 'saahb' khel raha hai

Page 64: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 64

Phulon per mandra raha hai bhanwra phir

Kaanton se phir koee saanth gaanth ki hai

Fakeer e ishaq ko deewana mat kaho 'saahb'

Yeh pather kissi din apni masjid pahunchega

Har pather ka hota hai apna hi dair o haram Kissi ka khuda kissi ke liye khuda nahin hota

Yeh hum hi hein jo kiye jaate hein tere khyaal Yun dhalti umar mein koee humsaaya nahin hota Hata loon ab to parda ki wasal ki raat hai 'saahb'

Poonam ki shab chaand per baadal achhe nahin lagte

Mujhe pukaar ke dekho to sahi 'saahb'

Main khaak se shajar ban ke lautunga

Umeed e mausam nahin hai 'saahb' umeed e mohabbat Jo chaar din baarish na huyee byaan badal gaye

Toot gaya belan kal mujh per fenka gaya

Chappal khaani padi, kyon jhuk gaya tha main

Na kar kaafil mujhe saath apne

'saahb' apni nazar sambhaal ke rakh

Hum aaj phir unhi galiyon se guzar rahe hein Jahaan kasam khayee thi, aaj ke baad phir nahin

Page 65: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 65

Aandhiyaan le jaati hein baha ke aashiyaane

Bikhre huye tinke reh jaate hein, umeed ke

Lagti nahin hai aankh kissi bhi taur

Tere khaab ka waada bhi aankh se kar liya

Neend se nahin kuchh shikwa mujhko 'saahb'

Tere saath mere aur bhi tabeeb chale gaye

Neend poori nahin hoti aajkal 'saahb' unki Karwatein gina karte hein, ek pal mein sau

Woh mera chehra aksar haathon mein le liya karta tha Ashak beh jaayein kabhi aise naubat hi na aati thi

Mere haunsle ki daad de raha hai zamaana aaj

Ruswayee se behtar deewane ne khudkushi samjhi

Mohabbat ne banaya hai mujhko sabardaar bahut

Ab chhoti chooti bat per dil gila nahin karta

Utar rahi hai pahaad ki choti se aab dhaara Usne yeh kehke 'saahb' mujhe phir hansa diya

Page 66: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 66

Haq se baat karta hai jo chhedoon to

Hai ghar yeh dard ka pushtaini jaise

Mere haq mein nahin uht ti ek bhi awaaz

Mera dil bhi gawahi de raha hai teri aur se

Tera ek waada meri jaan bhi bacha sakta tah

Tujhe sabaab hi milta 'saahb' yeh jhuth bolkar

Samjhe they aashna humse log kayee hein 'saahb' Janaaze mein ginti ko ungliyaan bhi zyaada nikli

Samjha rahe hein log mujhe, milega jitna kismat mein hai Aur meri nazar mein hai door kahin, aasmaan se milti zameen

Meri nanhin si gudiya, khaana bhi pakaati hai kabhi kabhi

Ghar ghar khelte khelte, maan bhi ban jaati hai kabhi kabhi

Mere ishaq ki badhawasiyaan na puchhiye mujhse

Unhi se puchh baitha pata unka kal ghabra ke

Aisa nahin ki tere bina kuchh nahin 'saahb' Tu mil jaye magar to zindgi ki aur baat ho

Page 67: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 67

Ujaala subah ka faile to ander tak 'saahb'

Koee aisi kiran ho jo rooh ko jagmag kar de

Nahin! kuchh nahin kehna tum use

E hawayo, woh pareshaan hoga yun hi

Awaaragard baadal yeh, apni marzi ke maalik

Inhein kya khabar sookha kahaan baadh kahaan

Ishaq sacha woh 'saahb' ki aadmi gunahgaar na ho

Maan baap bhul jayein, kissi ko aisa pyaar na ho Rishton ki dor to sabke saath hi bana karti hai

Ujaad ke rakh de zindgi, kissi ko aisa pyaar na ho

Hai hai ki kismat ko kya kahoon

Haal dekhti hai, aur puchhti hai Deewaane woh jiska naam sunte hein

'saahb' tumhi hoi kya, tumhi ho kya

Utrega kaise janoon e ishaq tu hi bata

Mere saamne tun nahin, dil mein to hai

Hazaaron baatein aisi jo tere baad aati hein

Tere saamne kya kahoon, zubaan khulti nahin

Jab main chun sakti thi, options kam they

Options badh gaye to woh choosy ho gaye

Mere haal per taras kha ke hi dekh

Ek baar dekh to sahi 'saahb' Tere intezaar ne kya kar diya

Page 68: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 68

Mere ruswa hone ka sabab tera hi noor hai

Mere chehre ki surkhiyaan, tafteesh ban gayee

Umar ka ek daur aisa bhi aata hai 'saahb'

Mehfilein chhod kar dil tanhaayee chahta hai

Main! intezaar hoon Baarish ki boondon ka

Main! umeed hoon

Taras chuki aankhon ki Main! khushbu hoon Paseene se bheege badan ki

Main! nahin jaunga

Jab tak baarish nahin hogi

Main Vikaas ka virodh nahin karta

Lekin un paidon se humdardi rakhta hoon Jo khamoshi se jagah bana dete hein

Apna aap luta dete hein, insaan ke liye

Main apne hi ehsaason ka qaidi hoon

Mujhe 'saahb' rehayee kaun dega

Mujhe mere haal per chhod kar Ab tum chale hi jao

Tumhaara saamne hona, jaane ke liye

Ab bardashat nahin ho raha

Utar jaati hai nazar se jawan rut ki fasal e gul

Naseehatein yaad aati hein 'saahb' phir bazurgon ki

Guzar jaane de yeh zindgi jaise guzar rahi hai

Na chhed ise zyaada, yahi hashar tak le jayegi

Page 69: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 69

Woh nazar ki byaan kya karoon

Kuchh aur nahin aaya nazar Woh nazar ki byaan kya karoon

Dekha yun ki nahin dekha jaise

Aur kaam yeh ki kuchh chhoda nahin

Woh thi jaise sehra ko shajar Woh nazar ki byaan kya karoon

Thoda sa uthi thoda sa jhuki

thoda sa chali sa thoda ruki

Pal mein meelon ka tai hua safar

Woh nazar ki byaan kya karoon

Abar ki chaadar odh kar chaand nikla

Chandni chhalak gayee hawayon ke dareeche se Aur kya khoon kyamat ka tha manzar

Woh nazar ki byaan kya karoon

Musafir se umeed e wafa kya karoon Jo raaston ke nahin manzil ke kya honge

Hum sahaare maang bhi lete magar

Koee to shakhas humein kaabil lagta

Main bhi dekhun kabhi, kaisi hai, jiska shor hai

Kahaan milti hai yeh, la mujhe mohabbat ka pata de

Meri ruswayee mein bada kaam aaya

Tera khat gair ke haath pad jaana

Page 70: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 70

Na dikha mujhe dar anjaam ka waeez

Safar e mohabbat per nikla hoon main

Woh aaj bhi magroor hai apne husn per Charcha hi reh gaya beete waqt ka jo

Woh nahin tyaar kissi baat se ki maanein

Meri jaan ja rahi hai unki adayein thehri

Ab kya fayda ki lakeer peetne baithey hein

Jaane waala chala gaya, aansso ponchh lo

Mere hokar mujhi ko loot liya usne Apni cheez kehkar 'saahb' dil tod diya

Utra hai nazla ishaq ka naak mein unki Bata rahe hein naale se khushbu uth rahi hai

Mere wajood se hi inkaar kar gaya woh

Marne waala kaun tha, humein pata nahin

Nagmein mohabbat ke gaate gaate is dil ne

Kab sur badal kar birha ki taan di, pata nahin

Aa gayee hai pareshaani mein jaan 'saahb' ki Luta rahe they mohabbat, nazarein badal gayee

Page 71: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 71

Mera hosh cheen kar tum puchh rahe ho

Yun badhawas kyon tumse baat karta hoon

Mere intezaar ki had to bata de mujhe

Ek jhutha hi sahi dilaasa to de mujhe

Main pareshaan hoon aaj, na naseehat kar

Apni khair chahiye waeez to aaj chala ja

Ujaade honge ghar tumne kayee, e aandhiyon Mere aashiyaane ki magar baat kuchh aur hai

Ujaade honge ghar tumne kayee, e aandhiyon Mere ghar ka rukh jo kiya, jaan bachegi nahin

Rukhsaar se sarkta hua parda zara zara sa

Baadlon ki oat se chaand ka jhaankna jaise

Taareef mein tumhaare shayron ne yeh bhi kaha

Baadalon mein chaand tera rukh naqaab mein

Yeh daur bhi teri hi tabyat ka maalik 'saahb'

Main kehta hoon guzar ja, kehta hai nahin nahin

Kisse suna rahe dastaan e dil tum Zamaana kissi ka kabhi hua hai kya

Page 72: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 72

Tijarat se rozgaar apna chalta hai 'saahb' Tum yeh kehte ho mohabbat mein len den nahin

Umeed kayam rahegi meri, aakhiri saans tak

Tum aa na sakoge 'saahb', hum chale jayenge

Hunar hai apna apna, apni apni taqdeer bhi hoti hai 'saahb'

Humne qaabil khaak mein, qaabil e khaak takhat per dekhein hein

Mere kya main hoon ya nahin, kya farak padta hai

Tum kaho, tumhaare saath, kitni jaanein judi hein

Jaan ke maayne hi kya hein meri Tumhaari baat aur hai, laakhon dil jude hein

Kis kis ko samjhaun ki mohabbat asaan nahin Umar e jawani behka ke sabhi ko liye jaati hai

Mohabbat mein laakh dosh sahi magar, itni khubi hai

Karne waala mohabbat, khud ko khuda se kam nahin maanta

Mohabbat mein laakh dosh sahi magar, itni khubi hai

Deewana kar deti hai magar, jannat ke qaabil bana deti hai

Kahaan hota hai asar un per waqt ka Tasweer jinki lamhein bana lete hein

Page 73: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 73

Kya kehti hai aag deewano ko Yun bhi to mar jayenge,

'Saahb' jo mohabbat na ki

Mere ilm per unka yeh tazkara hai

Haasil kar le aaj hi duniya saari

Main puchhta hoon ki maayne iske Kehte hein, mujhe maloom kuchh nahin

Woh nahin bata rahe ki seekhna kya hai

Yahi kahe jaate hein, seekho kuchh/2

Samasya hai, yeh to sabhi ko pata hai

Hal kahaan magar, koee nahin jaanta

Kya hum sab maar daalte hein ladkiyaan Haan! to kyon? nahin! to kyon?

Kaun hein woh log, kyon nahin pehchaane jaate Kyon darte hein ladkiyon se woh

Kahin kaaran hum hi to nahin

Dhan, samaaj, jawani, shaadi,

Ladkiyaan janam se pehle

Shayad yeh soch kar maar di jaati hein Kahin jee gayee to maar na daale

Sirf charcha se, sirf charcha hi nahin hua 'saahb' Ek aur seminaar prachand saleeke se, sampann ho gaya

Nagmein mohabbat ke gaata hoon main

Har sawaal per muskuraata hoon main Jab tasavur mein hota hoon to 'saahb'

Uska har sitam bhul jaata hoon main

Nagmein mohabbat ke gaata hoon main ....

Mujhe mera mazhub na puchh 'saahb' Tujhe mujh per yakeen nahin hoga

Page 74: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 74

unke andaaz mein jhalkata hai raajsi thaath

Woh koee aam aadmi nahin, zara gaur karein 'saahb'

Tabyat se woh bhi naazuk mizaaj hein zara Dekh bhar loon to tohmat chhedne ki dete hein

Sajda mere khuda ab tujhe kya karoon

Aaj unka karne de, phir tere hi paas hoon

Mushkil hai manzil agar qadam hi mushkil hon

Jo chalega, girega, uthega, daudega, badhega

Utar kar paani samander ka samander mein chala gaya Nishaan reh gaye saahil per, 'saahb'apna pata puchhtey

Mushad nahin rakhta kabhi thaam ke haath Nazar se dua deta hai, ab aage tum jaano

Khuda aur khud ka farak mit chala hai 'saahb'

Yeh mujhe kya ho gaya, teri mohbbat ke baad

Dilon ko pehle bhi dekha hai jalte huye humne

Shama bujha do 'saahb' yeh ab kissi kaam ke nahin

Main apna paraya kya kahoon, mujhe kaun kya pata

Jisko apna samjhi thi, ulta sabak woh seekha gaya

Mera bhi charcha chala hai, chand talabgaaron ke beech

Tamasha bana rahein hein 'saahb' meri dastaan e mohabbat ka

Humein kya maloom tha

Ki unko pasand hai

Gair ka yun chhoo jana,

Kash hum hote Yeh boondein

Page 75: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 75

Baarish ki

Utar aaya hai aankhon mein ek soonapan sa

Tumhaari raah takte takte hum pather ho gaye

Boondein! baarish ki Is baar aankhon se nahin

Asmaan baras raha hai

Log jhum rahe hein Bache budhe jawan sab Main dekh raha hoon

Paudhe bhi hans rahe hein

Tum pakode bana rahi hoon Yeh khushbu!

Meri aur ek kavita ban rahi hai

Na sikhayo inhein mohabbat o jung abhi

Hai! yeh bache hein, inhein bacha rehne do

Tum mujhe sikhaana chahtey they mohabbat

Yeh jaanleva hai, lo maine seekh liya

Daawa yeh ki sirf tumhaara hi to hoon 'saahb'

Nazar ghum jaati hai, jeans mein ladki dekhkar

Shaadi ke liye salwaar o kameez chahiye jab

Kyon chahtey hein mohabbat jeans pehna kare

Sulgta masla hai mohabbat, dhyaan se zikar karo

Zubaan jal jaati hai kabhi kabhi, badhawas hokar

Mere maanjhi mujhe kinaara dikha rahe ho kyon door se? Doobane ko hai kashti bata raha hoon! tairo ho sake to!!

Page 76: Shabnam - Meri  · PDF fileTeri ek hansi ne mujhe phir se bacha bana diya Nuksaan hua so hua magar, ... Shabnam ‘SAAHB’

Shabnam

‘ S A A H B ’

Page 76

Saath howe taan 'saahb' meelaan vi ghat lagde ne

Soonsaan howe taan raah umraan ton lamme hunde ne

Rug bhar ke kadh liya dil chon mere, jad keha usne Hun hor pugaune aukhe ne, hun hor nibhoni aukhi hai

Haunsla de rahe hein log mujhe jaane kyon

Main elaan e mohabbat kiya hai, jung nahin

Tasweeraaan saade kisse kam na aayiyaan

Assin chup chap sirhaane thalle dab layiaan

Woh baarishon ke din aaj bhi hein lekin 'saahb' Ab na main bhejta hoon, na woh baahar jaata hai (son)

Mujhe aur kitaabein na padhayo 'saahb' Ho sake to bus ab jeena sikha do mujhe

Utra hai chaand zameer per, abar ki oat le ke

Ya ki tum chale ho aaj phir sanwar kar kahin

Tere libaas per phul 'saahb'

Phulon per titli aksar dekhi hai Dekha hai titli per puhl pehli baar

Reh jaati hein dastaan e zindgi 'saahb' Jab zindgi kissi ki zindgi nahin rehti